Surah Al-Baqara Verse 286 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraلَا يُكَلِّفُ ٱللَّهُ نَفۡسًا إِلَّا وُسۡعَهَاۚ لَهَا مَا كَسَبَتۡ وَعَلَيۡهَا مَا ٱكۡتَسَبَتۡۗ رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذۡنَآ إِن نَّسِينَآ أَوۡ أَخۡطَأۡنَاۚ رَبَّنَا وَلَا تَحۡمِلۡ عَلَيۡنَآ إِصۡرٗا كَمَا حَمَلۡتَهُۥ عَلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِنَاۚ رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلۡنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِهِۦۖ وَٱعۡفُ عَنَّا وَٱغۡفِرۡ لَنَا وَٱرۡحَمۡنَآۚ أَنتَ مَوۡلَىٰنَا فَٱنصُرۡنَا عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Allah kisi mutanaffis par uski maqdarat (taqat) se badkar zimmedari ka bojh nahin daalta, har shaks ne jo neki kamayi hai uska phal usi ke liye hai aur jo badhi sameti hai uska wabaal usi par hai, (Iman laney walon! Tum yun dua kiya karo) aey hamare Rubb! Humse bhool chuk mein jo kasoor ho jayein unpar giraft na kar, Malik! Humpar woh bojh na daal jo tu-nay humse pehle logon par daley thay. Parwardigaar ! jis baar ko uthane ki taaqat hum mein nahin hai woh humpar na rakh, hamare saath narmi kar, humse darguzar farma, humpar reham kar, tu hamara maula hai, kafiron ke muqable mein hamari madad kar