Surah Al-Baqara Verse 285 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraءَامَنَ ٱلرَّسُولُ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِ مِن رَّبِّهِۦ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَۚ كُلٌّ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَمَلَـٰٓئِكَتِهِۦ وَكُتُبِهِۦ وَرُسُلِهِۦ لَا نُفَرِّقُ بَيۡنَ أَحَدٖ مِّن رُّسُلِهِۦۚ وَقَالُواْ سَمِعۡنَا وَأَطَعۡنَاۖ غُفۡرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيۡكَ ٱلۡمَصِيرُ
Rasool us hidayat par iman laya hai jo uske Rubb ki taraf se uspar nazil hui hai aur jo log is Rasool ke maanne waley hain unhon ne bhi is hidayat ko dilse tasleem karliya hai, yeh sab Allah aur uske Farishton aur uski kitabon aur uske Rasoolon ko maante hain aur unka qaul yeh hai ke : “hum Allah ke Rasoolon ko ek dusre se alag nahin karte, humne hukum suna aur itaat qabool ki. Malik! Hum tujhse khata-bakhsi (bakshish) ke taalib hain aur humein teri hi taraf palatna hai.”