Surah Al-Baqara Verse 30 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَإِذۡ قَالَ رَبُّكَ لِلۡمَلَـٰٓئِكَةِ إِنِّي جَاعِلٞ فِي ٱلۡأَرۡضِ خَلِيفَةٗۖ قَالُوٓاْ أَتَجۡعَلُ فِيهَا مَن يُفۡسِدُ فِيهَا وَيَسۡفِكُ ٱلدِّمَآءَ وَنَحۡنُ نُسَبِّحُ بِحَمۡدِكَ وَنُقَدِّسُ لَكَۖ قَالَ إِنِّيٓ أَعۡلَمُ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
Phir zara us waqt ka tasavvur karo jab tumhare Rubb ne Farishton se kaha tha ke “ main zameen mein ek khalifa banane wala hoon” unhon ne arz kiya : “kya aap zameen mein kisi aisey ko muqarrar karne waley hain, jo iske intezaam ko bigadh dega aur khoon-reziyan karega? Aap ki hamd o sana ke saath tasbeeh aur aap ke liye taqdees to hum kar hi rahey hain.” Farmaya: “ main jaanta hoon jo kuch tum nahin jaante.”