Surah Al-Baqara Verse 33 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraقَالَ يَـٰٓـَٔادَمُ أَنۢبِئۡهُم بِأَسۡمَآئِهِمۡۖ فَلَمَّآ أَنۢبَأَهُم بِأَسۡمَآئِهِمۡ قَالَ أَلَمۡ أَقُل لَّكُمۡ إِنِّيٓ أَعۡلَمُ غَيۡبَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَأَعۡلَمُ مَا تُبۡدُونَ وَمَا كُنتُمۡ تَكۡتُمُونَ
Phir Allah ne Adam se kaha: “ tum inhein in cheezon ke naam batao” jab usne unko un sabke naam bata diye, to Allah ne farmaya : “ maine tum se kaha na tha ke main aasmano aur zameen ki woh saari haqeeqatein jaanta hoon jo tumse makhfi (chupi) hain, jo kuch tum zaahir karte ho, woh bhi mujhey maloom hai aur jo kuch tum chupate ho, usey bhi main jaanta hoon.”