Surah Al-Baqara Verse 54 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَإِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ إِنَّكُمۡ ظَلَمۡتُمۡ أَنفُسَكُم بِٱتِّخَاذِكُمُ ٱلۡعِجۡلَ فَتُوبُوٓاْ إِلَىٰ بَارِئِكُمۡ فَٱقۡتُلُوٓاْ أَنفُسَكُمۡ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ عِندَ بَارِئِكُمۡ فَتَابَ عَلَيۡكُمۡۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلتَّوَّابُ ٱلرَّحِيمُ
Yaad karo jab Moosa ( yeh niyamat lete huey palta, to us) ne apni qaum se kaha ke “logon, tumne bachde ko mabood bana kar apne upar sakht zulm kiya hai, lihaza tum log apne khaliq ke huzoor tauba karo aur apni jaano ko halaak karo, isi mein tumhare khaliq ke nazdeek tumhari behtari hai” us waqt tumhare khaliq ne tumhari tauba qabool karli ke woh bada maaf karne wala aur reham farmane wala hai