Surah Al-Baqara Verse 61 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَإِذۡ قُلۡتُمۡ يَٰمُوسَىٰ لَن نَّصۡبِرَ عَلَىٰ طَعَامٖ وَٰحِدٖ فَٱدۡعُ لَنَا رَبَّكَ يُخۡرِجۡ لَنَا مِمَّا تُنۢبِتُ ٱلۡأَرۡضُ مِنۢ بَقۡلِهَا وَقِثَّآئِهَا وَفُومِهَا وَعَدَسِهَا وَبَصَلِهَاۖ قَالَ أَتَسۡتَبۡدِلُونَ ٱلَّذِي هُوَ أَدۡنَىٰ بِٱلَّذِي هُوَ خَيۡرٌۚ ٱهۡبِطُواْ مِصۡرٗا فَإِنَّ لَكُم مَّا سَأَلۡتُمۡۗ وَضُرِبَتۡ عَلَيۡهِمُ ٱلذِّلَّةُ وَٱلۡمَسۡكَنَةُ وَبَآءُو بِغَضَبٖ مِّنَ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَانُواْ يَكۡفُرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَيَقۡتُلُونَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّۚ ذَٰلِكَ بِمَا عَصَواْ وَّكَانُواْ يَعۡتَدُونَ
Yaad karo, jab tumne kaha tha ke, “Aey Moosa, hum ek hi tarah ke khane par sabr nahin kar saktey, apne Rubb se dua karo ke hamare liye zameen ki paidawaar saag, tarkari, kheera, kakdi, gehoon, lasan, pyaz, daal wagaira paida karey” to Moosa ne kaha “ “kya ek behtar cheez ke bajaye tum adna darje ki cheezein lena chahte ho? Accha, kisi shehri aabaadi mein jaa raho, jo kuch tum maangte ho wahan mil jayega”. Aakhir e kaar naubat yahan tak pahunchi ke zillat o khwari aur pasti o badhaali unpar musallat ho gayi aur woh Allah ke gazab mein ghir gaye, yeh nateeja tha iska jo woh Allah ki aayat se kufr karne lagey aur paighambaron ko na-haqq qatal karne lagey, yeh nateeja tha unki nafarmaaniyon ka aur is baat ka ke woh hudood e sharaa se nikal nikal jatay thay