Surah Al-Baqara Verse 74 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraثُمَّ قَسَتۡ قُلُوبُكُم مِّنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ فَهِيَ كَٱلۡحِجَارَةِ أَوۡ أَشَدُّ قَسۡوَةٗۚ وَإِنَّ مِنَ ٱلۡحِجَارَةِ لَمَا يَتَفَجَّرُ مِنۡهُ ٱلۡأَنۡهَٰرُۚ وَإِنَّ مِنۡهَا لَمَا يَشَّقَّقُ فَيَخۡرُجُ مِنۡهُ ٱلۡمَآءُۚ وَإِنَّ مِنۡهَا لَمَا يَهۡبِطُ مِنۡ خَشۡيَةِ ٱللَّهِۗ وَمَا ٱللَّهُ بِغَٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
Magar aisi nishaniyan dekhne ke baad bhi aakhir e kaar tumhare dil sakht hogaye, pattharon ki tarah sakht, balke sakhti mein kuch inse bhi badey huey, kyunke pattharon mein se to koi aisa bhi hota hai jismein se chashme phoot behte hain, koi phathta hai aur ismein se pani nikal aata hai aur koi khuda ke khauf se laraz kar girr bhi padhta hai. Allah tumhare kartooton se bekhabar nahin hai