Surah Al-Baqara Verse 87 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ وَقَفَّيۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِۦ بِٱلرُّسُلِۖ وَءَاتَيۡنَا عِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ٱلۡبَيِّنَٰتِ وَأَيَّدۡنَٰهُ بِرُوحِ ٱلۡقُدُسِۗ أَفَكُلَّمَا جَآءَكُمۡ رَسُولُۢ بِمَا لَا تَهۡوَىٰٓ أَنفُسُكُمُ ٱسۡتَكۡبَرۡتُمۡ فَفَرِيقٗا كَذَّبۡتُمۡ وَفَرِيقٗا تَقۡتُلُونَ
Humne Moosa ko kitab di, iske baad pai dar pai Rasool bheje, aakhir e kaar Isa Ibn Maryam ko roshan nishaniyan dekar bheja aur rooh e paak se uski madad ki, phir yeh tumhara kya dhang hai ke jab bhi koi Rasool tumhari khwahishaat e nafs ke khilaf koi cheez lekar tumhare paas aaya, to tumne uske muqable mein sarkashi hi ki, kisi ko jhutlaya aur kisi ko qatal kar daala