Surah Al-Baqara Verse 89 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَلَمَّا جَآءَهُمۡ كِتَٰبٞ مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِ مُصَدِّقٞ لِّمَا مَعَهُمۡ وَكَانُواْ مِن قَبۡلُ يَسۡتَفۡتِحُونَ عَلَى ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَلَمَّا جَآءَهُم مَّا عَرَفُواْ كَفَرُواْ بِهِۦۚ فَلَعۡنَةُ ٱللَّهِ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aur ab jo ek kitab Allah ki taraf se unke paas aayi hai, uske saath unka kya bartaao hai? Bawajood yeh ke woh us kitab ki tasdeeq karti hai jo unke paas pehle se maujood thi, bawajood yeh ke iski aamad se pehle woh khud kuffar ke muqable mein fatah o nusrat ki duaein maanga karte thay, magar jab woh cheez aa gayi jisey woh pehchan bhi gaye to unhon ne usey maanne se inkar kardiya, khuda ki laanat in munkireen par