Surah An-Noor Verse 37 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah An-Noorرِجَالٞ لَّا تُلۡهِيهِمۡ تِجَٰرَةٞ وَلَا بَيۡعٌ عَن ذِكۡرِ ٱللَّهِ وَإِقَامِ ٱلصَّلَوٰةِ وَإِيتَآءِ ٱلزَّكَوٰةِ يَخَافُونَ يَوۡمٗا تَتَقَلَّبُ فِيهِ ٱلۡقُلُوبُ وَٱلۡأَبۡصَٰرُ
Un mein aisey log subah o shaam uski tasbeeh karte hain jinhein tijarat aur khareed o farokht Allah ki yaad se aur iqamat e namaaz o adaaye zakaat se gaafil nahin kardeti. Woh us din se darte rehte hain jismein dil ulatne aur deedhey pathra janey ki (eyes will become petrified) naubat aa jayegi