Surah An-Noor - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
سُورَةٌ أَنزَلۡنَٰهَا وَفَرَضۡنَٰهَا وَأَنزَلۡنَا فِيهَآ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖ لَّعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ
Yeh ek surat hai jisko humne nazil kiya hai, aur isey humne farz kiya hai, aur is mein humne saaf saaf hidayaat nazil ki hain, shayad ke tum sabaq lo
Surah An-Noor, Verse 1
ٱلزَّانِيَةُ وَٱلزَّانِي فَٱجۡلِدُواْ كُلَّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا مِاْئَةَ جَلۡدَةٖۖ وَلَا تَأۡخُذۡكُم بِهِمَا رَأۡفَةٞ فِي دِينِ ٱللَّهِ إِن كُنتُمۡ تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۖ وَلۡيَشۡهَدۡ عَذَابَهُمَا طَآئِفَةٞ مِّنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Zaniya (adulterous) aurat zaani mard, dono mein se har ek ko sau (hundred) kodey (lashes) maaro aur inpar tars khane ka jazba Allah ke deen ke maamle mein tumko daamangeer (pity) na ho agar tum Allah taala aur roz-e-aakhir par iman rakhte ho, aur inko saza detay waqt ehle iman ka ek giroh moujood rahey
Surah An-Noor, Verse 2
ٱلزَّانِي لَا يَنكِحُ إِلَّا زَانِيَةً أَوۡ مُشۡرِكَةٗ وَٱلزَّانِيَةُ لَا يَنكِحُهَآ إِلَّا زَانٍ أَوۡ مُشۡرِكٞۚ وَحُرِّمَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Zaani (man guilty of adultery) nikah na karey magar zaniya ke saath ya mushrika ke saath, aur zaniya ke saath nikah na karey magar zaani ya mushrik. Aur yeh haraam kardiya gaya hai ehle iman par
Surah An-Noor, Verse 3
وَٱلَّذِينَ يَرۡمُونَ ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ ثُمَّ لَمۡ يَأۡتُواْ بِأَرۡبَعَةِ شُهَدَآءَ فَٱجۡلِدُوهُمۡ ثَمَٰنِينَ جَلۡدَةٗ وَلَا تَقۡبَلُواْ لَهُمۡ شَهَٰدَةً أَبَدٗاۚ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
Aur jo log paak daaman auraton par tohmat (ilzam /bohtan/slander) lagayein, phir char (four) gawaah lekar na aayein, unko assi (eighty) kodey (lashes) maaro , aur unki shahadat kabhi qabool na karo. Aur woh khud hi faasiq hain
Surah An-Noor, Verse 4
إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُواْ مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ وَأَصۡلَحُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Siwaye un logon ke jo is harakat ke baad taaib (repent) ho jayein aur islaah karlein ke Allah zaroor (unke haqq mein) gafoor o raheem hai
Surah An-Noor, Verse 5
وَٱلَّذِينَ يَرۡمُونَ أَزۡوَٰجَهُمۡ وَلَمۡ يَكُن لَّهُمۡ شُهَدَآءُ إِلَّآ أَنفُسُهُمۡ فَشَهَٰدَةُ أَحَدِهِمۡ أَرۡبَعُ شَهَٰدَٰتِۭ بِٱللَّهِ إِنَّهُۥ لَمِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
Aur jo log apni biwiyon par ilzam lagayein aur unke paas khud unke apne siwa doosre koi gawaah na hon to unmein se ek shaks ki shahadat(yeh hai ke woh) char martaba Allah ki kasam kha kar gawahi dey ke woh (apne ilzam mein) saccha hai
Surah An-Noor, Verse 6
وَٱلۡخَٰمِسَةُ أَنَّ لَعۡنَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡهِ إِن كَانَ مِنَ ٱلۡكَٰذِبِينَ
Aur panchwi (fifth) baar kahey ke uspar Allah ki lanat ho agar woh (apne ilzaam mein) jhoota ho
Surah An-Noor, Verse 7
وَيَدۡرَؤُاْ عَنۡهَا ٱلۡعَذَابَ أَن تَشۡهَدَ أَرۡبَعَ شَهَٰدَٰتِۭ بِٱللَّهِ إِنَّهُۥ لَمِنَ ٱلۡكَٰذِبِينَ
Aur aurat se saza is tarah tal sakti hai ke woh char martaba Allah ki kasam kha kar shahadat dey ke yeh shaks (apne ilzam mein) jhoota hai
Surah An-Noor, Verse 8
وَٱلۡخَٰمِسَةَ أَنَّ غَضَبَ ٱللَّهِ عَلَيۡهَآ إِن كَانَ مِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
Aur panchwi martaba kahey ke us bandi par Allah ka gazab totay agar woh (apne ilzam mein) saccha ho
Surah An-Noor, Verse 9
وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ وَأَنَّ ٱللَّهَ تَوَّابٌ حَكِيمٌ
Tum logon par Allah ka fazl aur uska reham na hota aur yeh baat na hoti ke Allah bada iltifaat (most forgiving) farmane wala aur hakeem hai, to (biwiyon par ilzam ka maamla tumhein badi pechidgi mein daal deta)
Surah An-Noor, Verse 10
إِنَّ ٱلَّذِينَ جَآءُو بِٱلۡإِفۡكِ عُصۡبَةٞ مِّنكُمۡۚ لَا تَحۡسَبُوهُ شَرّٗا لَّكُمۖ بَلۡ هُوَ خَيۡرٞ لَّكُمۡۚ لِكُلِّ ٱمۡرِيٕٖ مِّنۡهُم مَّا ٱكۡتَسَبَ مِنَ ٱلۡإِثۡمِۚ وَٱلَّذِي تَوَلَّىٰ كِبۡرَهُۥ مِنۡهُمۡ لَهُۥ عَذَابٌ عَظِيمٞ
Jo log yeh bohtan (slander) ghadh laye hain woh tumhare hi andar ka ek tola hain. Is waqiye ko apne haqq mein sharr na samajho balke yeh bhi tumhare liye khair hi hai. Jisne is mein jitna hissa liya usne utna hi gunaah sametha aur jis shaks ne iski zimmedari ka bada hissa apne sar liya uske liye to azaab e azeem hai
Surah An-Noor, Verse 11
لَّوۡلَآ إِذۡ سَمِعۡتُمُوهُ ظَنَّ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ بِأَنفُسِهِمۡ خَيۡرٗا وَقَالُواْ هَٰذَآ إِفۡكٞ مُّبِينٞ
Jis waqt tum logon ne isey suna tha usi waqt kyun na momin mardon aur momin auraton ne apne aap se neik gumaan kiya aur kyun na kehdiya ke yeh sareeh bohtan (slander) hai
Surah An-Noor, Verse 12
لَّوۡلَا جَآءُو عَلَيۡهِ بِأَرۡبَعَةِ شُهَدَآءَۚ فَإِذۡ لَمۡ يَأۡتُواْ بِٱلشُّهَدَآءِ فَأُوْلَـٰٓئِكَ عِندَ ٱللَّهِ هُمُ ٱلۡكَٰذِبُونَ
Woh log (apne ilzam ke saboot mein) char gawah kyun na laye? Ab ke woh gawah nahin laye hain, Allah ke nazdeek wahi jhootey hain
Surah An-Noor, Verse 13
وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ لَمَسَّكُمۡ فِي مَآ أَفَضۡتُمۡ فِيهِ عَذَابٌ عَظِيمٌ
Agar tum logon par duniya aur aakhirat mein Allah ka fazal aur reham o karam na hota to jin baaton mein tum padh gaye thay unki padash mein bada azaab tumhein aa leta
Surah An-Noor, Verse 14
إِذۡ تَلَقَّوۡنَهُۥ بِأَلۡسِنَتِكُمۡ وَتَقُولُونَ بِأَفۡوَاهِكُم مَّا لَيۡسَ لَكُم بِهِۦ عِلۡمٞ وَتَحۡسَبُونَهُۥ هَيِّنٗا وَهُوَ عِندَ ٱللَّهِ عَظِيمٞ
(Zara gaur to karo, us waqt tum kaisi sakht galati kar rahey thay) jabke tumhari ek zubaan se dusri zubaan is jhoot ko leti chali jaa rahi thi aur tum apne mooh se woh kuch kahey jaa rahey thay jiske mutaalik tumhein koi ilm na tha. Tum isey ek mamuli baat samajh rahey thay, halanke Allah ke nazdeek yeh badi baat thi
Surah An-Noor, Verse 15
وَلَوۡلَآ إِذۡ سَمِعۡتُمُوهُ قُلۡتُم مَّا يَكُونُ لَنَآ أَن نَّتَكَلَّمَ بِهَٰذَا سُبۡحَٰنَكَ هَٰذَا بُهۡتَٰنٌ عَظِيمٞ
Kyun na usey sunte hi tumne kehdiya “humein aisi baat zubaan se nikalna zeib nahin deta, Subhan Allah , yeh to ek bohtan e azeem hai”
Surah An-Noor, Verse 16
يَعِظُكُمُ ٱللَّهُ أَن تَعُودُواْ لِمِثۡلِهِۦٓ أَبَدًا إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Allah tumko naseehat karta hai ke aainda kabhi aisi harakat na karna agar tum momin ho
Surah An-Noor, Verse 17
وَيُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِۚ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ
Allah tumhein saaf saaf hidayaat deta hai aur woh aleem o hakeem hai
Surah An-Noor, Verse 18
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُحِبُّونَ أَن تَشِيعَ ٱلۡفَٰحِشَةُ فِي ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ وَأَنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ
Jo log chahte hain ke iman laney walon ke giroh mein fahash (indecency) phayle woh duniya aur aakhirat mein dardnaak saza ke musthaq hain. Allah jaanta hai aur tum nahin jaante
Surah An-Noor, Verse 19
وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ وَأَنَّ ٱللَّهَ رَءُوفٞ رَّحِيمٞ
Agar Allah ka fazal aur uska reham o karam tumpar na hota aur yeh baat na hoti ke Allah bada shafeeq o raheem hai (to yeh cheez jo abhi tumhare andar phailayi gayi thi badtareen nataij dikha deti)
Surah An-Noor, Verse 20
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّبِعُواْ خُطُوَٰتِ ٱلشَّيۡطَٰنِۚ وَمَن يَتَّبِعۡ خُطُوَٰتِ ٱلشَّيۡطَٰنِ فَإِنَّهُۥ يَأۡمُرُ بِٱلۡفَحۡشَآءِ وَٱلۡمُنكَرِۚ وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ مَا زَكَىٰ مِنكُم مِّنۡ أَحَدٍ أَبَدٗا وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يُزَكِّي مَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
Aey logon jo iman laye ho, shaytan ke nakshe qadam par na chalo, uski pairwi (jo) koi karega to woh usey fahash (indecency) aur badi (wickedness) hi ka hukum dega.Agar Allah ka fazal aur uska reham o karam tumpar na hota to tum mein se koi shaks paak na ho sakta, magar Allah hi jisey chahta hai paak kardeta hai, aur Allah sunnay wala aur jaanney wala hai
Surah An-Noor, Verse 21
وَلَا يَأۡتَلِ أُوْلُواْ ٱلۡفَضۡلِ مِنكُمۡ وَٱلسَّعَةِ أَن يُؤۡتُوٓاْ أُوْلِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينَ وَٱلۡمُهَٰجِرِينَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۖ وَلۡيَعۡفُواْ وَلۡيَصۡفَحُوٓاْۗ أَلَا تُحِبُّونَ أَن يَغۡفِرَ ٱللَّهُ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
Tum mein se jo log saahib e fazal (bountiful) aur saahib e maqdarat (means) hain woh is baat ki kasam na kha baithein ke apne rishtedar, miskeen aur muhajir-fi-sabeelillah (who have left their homes for the cause of Allah) logon ki madad na karenge. Unhein maaf kardena chahiye aur darguazar karna chahiye. Kya tum nahin chahte ke Allah tumhein maaf karey? Aur Allah ki siffat yeh hai ke woh gafoor aur raheem hai
Surah An-Noor, Verse 22
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَرۡمُونَ ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ ٱلۡغَٰفِلَٰتِ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ لُعِنُواْ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ وَلَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٞ
Jo log paak daaman, be-khabar, momin auraton par tohmatein (slandering) lagate hain unpar duniya aur aakhirat mein laanat ki gayi aur unke liye bada azaab hai
Surah An-Noor, Verse 23
يَوۡمَ تَشۡهَدُ عَلَيۡهِمۡ أَلۡسِنَتُهُمۡ وَأَيۡدِيهِمۡ وَأَرۡجُلُهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Woh us din ko bhool na jayein jabke unki apni zubaanein aur unke apne haath paon unke kartooton ki gawahi dengey
Surah An-Noor, Verse 24
يَوۡمَئِذٖ يُوَفِّيهِمُ ٱللَّهُ دِينَهُمُ ٱلۡحَقَّ وَيَعۡلَمُونَ أَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡحَقُّ ٱلۡمُبِينُ
Us din Allah woh badla unhein bharpur de dega jiske woh mustahiq hain aur unhein maloom ho jayega ke Allah hi haqq hai. Sach ko sach kar dikhane wala
Surah An-Noor, Verse 25
ٱلۡخَبِيثَٰتُ لِلۡخَبِيثِينَ وَٱلۡخَبِيثُونَ لِلۡخَبِيثَٰتِۖ وَٱلطَّيِّبَٰتُ لِلطَّيِّبِينَ وَٱلطَّيِّبُونَ لِلطَّيِّبَٰتِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ مُبَرَّءُونَ مِمَّا يَقُولُونَۖ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ
Khabees (Impure) auratein khabees mardon ke liye hain aur khabees (Impure) mard khabees (Impure) auraton ke liye. Paakeeza auratein pakeeza mardon ke liya hain aur pakeeza mard pakeeza auraton ke liye. Unka daaman paak hai un baaton se jo banane waley banate hain. Unke liye magfirat hai aur rizq e kareem
Surah An-Noor, Verse 26
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَدۡخُلُواْ بُيُوتًا غَيۡرَ بُيُوتِكُمۡ حَتَّىٰ تَسۡتَأۡنِسُواْ وَتُسَلِّمُواْ عَلَىٰٓ أَهۡلِهَاۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ
Aey logon jo iman laye ho, apne gharon ke siwa dusre gharon mein daakhil na hua karo jab tak ke ghar walon ki raza (ijazat) na lelo aur ghar walon par salaam na bhej lo. Yeh tareeqa tumhare liye behtar hai, tawakku hai ke tum iska khayal rakkhoge
Surah An-Noor, Verse 27
فَإِن لَّمۡ تَجِدُواْ فِيهَآ أَحَدٗا فَلَا تَدۡخُلُوهَا حَتَّىٰ يُؤۡذَنَ لَكُمۡۖ وَإِن قِيلَ لَكُمُ ٱرۡجِعُواْ فَٱرۡجِعُواْۖ هُوَ أَزۡكَىٰ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ عَلِيمٞ
Phir agar wahan kisi ko na pao to daakhil na ho jabtak ke tumko ijazat na de di jaye, aur agar tumse kaha jaye ke wapas chale jao to wapas ho jao. Yeh tumhare liye zyada paakeeza tareeqa hai, aur jo kuch tum karte ho Allah usey khoob jaanta hai
Surah An-Noor, Verse 28
لَّيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ أَن تَدۡخُلُواْ بُيُوتًا غَيۡرَ مَسۡكُونَةٖ فِيهَا مَتَٰعٞ لَّكُمۡۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تُبۡدُونَ وَمَا تَكۡتُمُونَ
Albatta tumhare liye ismein koi muzahiqa (harm) nahin hai ke aisey gharon mein dakhil ho jao jo kisi ke rehne ki jagah na hon, aur jinmein tumhare faiyde (ya kaam) ki koi cheez ho, tum jo kuch zaahir karte ho aur jo kuch chupate ho sab ki Allah ko khabar hai
Surah An-Noor, Verse 29
قُل لِّلۡمُؤۡمِنِينَ يَغُضُّواْ مِنۡ أَبۡصَٰرِهِمۡ وَيَحۡفَظُواْ فُرُوجَهُمۡۚ ذَٰلِكَ أَزۡكَىٰ لَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ خَبِيرُۢ بِمَا يَصۡنَعُونَ
Aey Nabi, momin mardon se kaho ke apni nazarein bacha kar rakkhein aur apni sharm-gaahon ki hifazat karein, yeh unke liye zyada paakeeza tareeqa hai. Jo kuch woh karte hain Allah ussey bakhabar rehta hai
Surah An-Noor, Verse 30
وَقُل لِّلۡمُؤۡمِنَٰتِ يَغۡضُضۡنَ مِنۡ أَبۡصَٰرِهِنَّ وَيَحۡفَظۡنَ فُرُوجَهُنَّ وَلَا يُبۡدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا مَا ظَهَرَ مِنۡهَاۖ وَلۡيَضۡرِبۡنَ بِخُمُرِهِنَّ عَلَىٰ جُيُوبِهِنَّۖ وَلَا يُبۡدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا لِبُعُولَتِهِنَّ أَوۡ ءَابَآئِهِنَّ أَوۡ ءَابَآءِ بُعُولَتِهِنَّ أَوۡ أَبۡنَآئِهِنَّ أَوۡ أَبۡنَآءِ بُعُولَتِهِنَّ أَوۡ إِخۡوَٰنِهِنَّ أَوۡ بَنِيٓ إِخۡوَٰنِهِنَّ أَوۡ بَنِيٓ أَخَوَٰتِهِنَّ أَوۡ نِسَآئِهِنَّ أَوۡ مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُهُنَّ أَوِ ٱلتَّـٰبِعِينَ غَيۡرِ أُوْلِي ٱلۡإِرۡبَةِ مِنَ ٱلرِّجَالِ أَوِ ٱلطِّفۡلِ ٱلَّذِينَ لَمۡ يَظۡهَرُواْ عَلَىٰ عَوۡرَٰتِ ٱلنِّسَآءِۖ وَلَا يَضۡرِبۡنَ بِأَرۡجُلِهِنَّ لِيُعۡلَمَ مَا يُخۡفِينَ مِن زِينَتِهِنَّۚ وَتُوبُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ جَمِيعًا أَيُّهَ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Aur (aey Nabi),momin auraton se kehdo ke apni nazrein bacha kar rakkhein, aur apni sharmgaahon ki hifazat karein, aur apna banao singhaar na dikhayein bajuz uske jo khud zaahir ho jaaye, aur apne seeno par apni oadniyon ke aanchal daale rahein, woh apna banaao singhar na zaahir karein magar in logon ke saamne: shohar ,baap, shoharon ke baap , apne betay, shoharon ke betay, bhai,bhaiyon ke betay, behno ke betay,apne mail-jhol ki auratein, apne mamluk(those in their possession), woh zeir-dast mard jo kisi aur qisam ki garz na rakhte hon, aur woh bacchey jo auraton ki posheeda baaton se abhi waqif na huey hon. Woh apne paon zameen par maarti hui na chala karein ke apni jo zeenat unhon ne chupa rakkhi ho uska logon ko ilm ho jaye. Aey momino, tum sab milkar Allah se toubah karo, tawaqqu hai ke falaah paogey
Surah An-Noor, Verse 31
وَأَنكِحُواْ ٱلۡأَيَٰمَىٰ مِنكُمۡ وَٱلصَّـٰلِحِينَ مِنۡ عِبَادِكُمۡ وَإِمَآئِكُمۡۚ إِن يَكُونُواْ فُقَرَآءَ يُغۡنِهِمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦۗ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٞ
Tum mein se jo log mujarrad (single) hon aur tumhare laundi ghulamon mein se jo saaleh hon, unke nikah kardo. Agar woh gareeb hon to Allah apne fazal se unko gani kardega. Allah badi wusat (boundless resources) wala aur aleem hai
Surah An-Noor, Verse 32
وَلۡيَسۡتَعۡفِفِ ٱلَّذِينَ لَا يَجِدُونَ نِكَاحًا حَتَّىٰ يُغۡنِيَهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦۗ وَٱلَّذِينَ يَبۡتَغُونَ ٱلۡكِتَٰبَ مِمَّا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡ فَكَاتِبُوهُمۡ إِنۡ عَلِمۡتُمۡ فِيهِمۡ خَيۡرٗاۖ وَءَاتُوهُم مِّن مَّالِ ٱللَّهِ ٱلَّذِيٓ ءَاتَىٰكُمۡۚ وَلَا تُكۡرِهُواْ فَتَيَٰتِكُمۡ عَلَى ٱلۡبِغَآءِ إِنۡ أَرَدۡنَ تَحَصُّنٗا لِّتَبۡتَغُواْ عَرَضَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۚ وَمَن يُكۡرِههُّنَّ فَإِنَّ ٱللَّهَ مِنۢ بَعۡدِ إِكۡرَٰهِهِنَّ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aur jo nikah ka mauqa na paayein unhein chahiye ke iffat-maabi (continence/paak daamani) ikhtiyar karein, yahan tak ke Allah apne fazal se unko gani karde aur tumhare mamlukon mein (in your possession) se jo makatibat(emancipation) ki darkhwast karein unse makatibat karlo, agar tumhein maloom ho ke unke andar bhalayi hai, aur unko us maal mein se do jo Allah ne tumhein diya hai. Aur apni laundiyon (slave-girls ) ko apne duniyavi faiydon ki khatir qahba-gari (prostitution) par majboor na karo jabke woh khud paak daaman rehna chahti hon. Aur jo koi unko majboor karey to is jabr ke baad Allah unke liye gafoor o raheem hai
Surah An-Noor, Verse 33
وَلَقَدۡ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكُمۡ ءَايَٰتٖ مُّبَيِّنَٰتٖ وَمَثَلٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ خَلَوۡاْ مِن قَبۡلِكُمۡ وَمَوۡعِظَةٗ لِّلۡمُتَّقِينَ
Humne saaf saaf hidayat dene wali aayat tumhare paas bhej di hain, aur un qaumon ki ibratnaak misalein bhi hum tumhare saamne pesh kar chuke hain jo tumse pehle ho guzri hain. Aur woh naseehatein humne kardi hain jo darne walon ke liye hoti hain
Surah An-Noor, Verse 34
۞ٱللَّهُ نُورُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ مَثَلُ نُورِهِۦ كَمِشۡكَوٰةٖ فِيهَا مِصۡبَاحٌۖ ٱلۡمِصۡبَاحُ فِي زُجَاجَةٍۖ ٱلزُّجَاجَةُ كَأَنَّهَا كَوۡكَبٞ دُرِّيّٞ يُوقَدُ مِن شَجَرَةٖ مُّبَٰرَكَةٖ زَيۡتُونَةٖ لَّا شَرۡقِيَّةٖ وَلَا غَرۡبِيَّةٖ يَكَادُ زَيۡتُهَا يُضِيٓءُ وَلَوۡ لَمۡ تَمۡسَسۡهُ نَارٞۚ نُّورٌ عَلَىٰ نُورٖۚ يَهۡدِي ٱللَّهُ لِنُورِهِۦ مَن يَشَآءُۚ وَيَضۡرِبُ ٱللَّهُ ٱلۡأَمۡثَٰلَ لِلنَّاسِۗ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
Allah aasmano aur zameen ka noor hai ( kayinaat mein) uske noor ki misaal aisi hai jaise ek taaq mein chiraag rakha hua ho,chiraag ek fanoos mein ho(in a glass shade), fanoos (glass shade) ka haal yeh ho ke jaise moti ki tarah chamakta hua taara, aur woh chiraag zaitoon ke ek aise mubarak darakht ke tail(oil) se roshan kiya jata ho jo na sharqi (eastern) ho na garabi (western), jiska tail (oil) aap hi aap bhadka padta ho chahey aag usko na lagey, ( is taraah) roshni par roshni (badhne ke tamaam asbaab jamaa ho gaye hon). Allah apne noor ki taraf jiski chahta hai rehnumayi farmata hai. Woh logon ko misaalon se baat samjhata hai, woh har cheez se khoob waqif hai
Surah An-Noor, Verse 35
فِي بُيُوتٍ أَذِنَ ٱللَّهُ أَن تُرۡفَعَ وَيُذۡكَرَ فِيهَا ٱسۡمُهُۥ يُسَبِّحُ لَهُۥ فِيهَا بِٱلۡغُدُوِّ وَٱلۡأٓصَالِ
(Uske noor ki taraf hidayat paney waley) un gharon mein paye jatey hain jinhein buland karne ka aur jin mein apne naam ki yaad ka Allah ne izan (ijazat) diya hai
Surah An-Noor, Verse 36
رِجَالٞ لَّا تُلۡهِيهِمۡ تِجَٰرَةٞ وَلَا بَيۡعٌ عَن ذِكۡرِ ٱللَّهِ وَإِقَامِ ٱلصَّلَوٰةِ وَإِيتَآءِ ٱلزَّكَوٰةِ يَخَافُونَ يَوۡمٗا تَتَقَلَّبُ فِيهِ ٱلۡقُلُوبُ وَٱلۡأَبۡصَٰرُ
Un mein aisey log subah o shaam uski tasbeeh karte hain jinhein tijarat aur khareed o farokht Allah ki yaad se aur iqamat e namaaz o adaaye zakaat se gaafil nahin kardeti. Woh us din se darte rehte hain jismein dil ulatne aur deedhey pathra janey ki (eyes will become petrified) naubat aa jayegi
Surah An-Noor, Verse 37
لِيَجۡزِيَهُمُ ٱللَّهُ أَحۡسَنَ مَا عَمِلُواْ وَيَزِيدَهُم مِّن فَضۡلِهِۦۗ وَٱللَّهُ يَرۡزُقُ مَن يَشَآءُ بِغَيۡرِ حِسَابٖ
(Aur woh yeh sabkuch isliye karte hain) taa-ke Allah unke behtareen aamaal ki jaza unko de aur mazeed apne fazal se nawaze. Allah jisey chahta hai be-hisaab deta hai
Surah An-Noor, Verse 38
وَٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَعۡمَٰلُهُمۡ كَسَرَابِۭ بِقِيعَةٖ يَحۡسَبُهُ ٱلظَّمۡـَٔانُ مَآءً حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَهُۥ لَمۡ يَجِدۡهُ شَيۡـٔٗا وَوَجَدَ ٱللَّهَ عِندَهُۥ فَوَفَّىٰهُ حِسَابَهُۥۗ وَٱللَّهُ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
(Iske baraks) jinhon ne kufr kiya unke aamal ki misaal aisi hai jaise dasht e bay-aab mein saraab ka pyasa (likened to a mirage in a waterless desert ) usko pani samajhe huey tha, magar jab wahan pahuncha to kuch na paya, balke wahan usne Allah ko maujood paya, jisne uska poora poora hisaab chuka diya. Aur Allah ko hisaab letay dair nahin lagti
Surah An-Noor, Verse 39
أَوۡ كَظُلُمَٰتٖ فِي بَحۡرٖ لُّجِّيّٖ يَغۡشَىٰهُ مَوۡجٞ مِّن فَوۡقِهِۦ مَوۡجٞ مِّن فَوۡقِهِۦ سَحَابٞۚ ظُلُمَٰتُۢ بَعۡضُهَا فَوۡقَ بَعۡضٍ إِذَآ أَخۡرَجَ يَدَهُۥ لَمۡ يَكَدۡ يَرَىٰهَاۗ وَمَن لَّمۡ يَجۡعَلِ ٱللَّهُ لَهُۥ نُورٗا فَمَا لَهُۥ مِن نُّورٍ
Ya phir uski misaal aisi hai jaise ek gehre samandar mein andhera , ke upar ek mauj chayi hui hai, uspar ek aur mauj, aur uske upar baadal,tareeki(andhera) par tareeki (darkness) musallat hai, aadmi apna haath nikale to usey bhi na dekhne paye. Jisey Allah noor na bakshay uske liye phir koi noor nahin
Surah An-Noor, Verse 40
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يُسَبِّحُ لَهُۥ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَٱلطَّيۡرُ صَـٰٓفَّـٰتٖۖ كُلّٞ قَدۡ عَلِمَ صَلَاتَهُۥ وَتَسۡبِيحَهُۥۗ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِمَا يَفۡعَلُونَ
Kya tum dekhte nahin ho ke Allah ki tasbeeh kar rahey hain woh sab jo aasmano aur zameen mein hain aur woh parinde jo parr phaylaye udd rahe hain? Har ek apni namaz aur tasbeeh ka tareeqa jaanta hai, aur ye sab jo kuch karte hain Allah ussey baa-khabar rehta hai
Surah An-Noor, Verse 41
وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ وَإِلَى ٱللَّهِ ٱلۡمَصِيرُ
Aasmaano aur zameen ki baadshahi Allah hi ke liye hai aur usi ki taraf sabko palatna hai
Surah An-Noor, Verse 42
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يُزۡجِي سَحَابٗا ثُمَّ يُؤَلِّفُ بَيۡنَهُۥ ثُمَّ يَجۡعَلُهُۥ رُكَامٗا فَتَرَى ٱلۡوَدۡقَ يَخۡرُجُ مِنۡ خِلَٰلِهِۦ وَيُنَزِّلُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مِن جِبَالٖ فِيهَا مِنۢ بَرَدٖ فَيُصِيبُ بِهِۦ مَن يَشَآءُ وَيَصۡرِفُهُۥ عَن مَّن يَشَآءُۖ يَكَادُ سَنَا بَرۡقِهِۦ يَذۡهَبُ بِٱلۡأَبۡصَٰرِ
Kya tum dekhte nahin ho ke Allah baadal ko aahista aahista chalata hai, phir uske tukdon ko baaham jodta hai, phir usey sameit kar ek kaseef abr (mass of thick cloud) bana deta hai. Phir tum dekhte ho ke uske khaul mein se baarish ke qatre tapakte chale jatey hain aur woh aasman se , un pahadon ki badaulat jo usmein buland hain, aulay (hail / ice) barsata hai, phir jisey chahta hai unka nuqsaan pahuchata hai aur jisey chahta hai unse bacha leta hai, uski bijli ki chamak nigaahon ko kheira (dazzles the eyes) kiye deti hai
Surah An-Noor, Verse 43
يُقَلِّبُ ٱللَّهُ ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَعِبۡرَةٗ لِّأُوْلِي ٱلۡأَبۡصَٰرِ
Raat aur din ka ulat pher wahi kar raha hai. Ismein ek sabaq hai aankhon walon ke liye
Surah An-Noor, Verse 44
وَٱللَّهُ خَلَقَ كُلَّ دَآبَّةٖ مِّن مَّآءٖۖ فَمِنۡهُم مَّن يَمۡشِي عَلَىٰ بَطۡنِهِۦ وَمِنۡهُم مَّن يَمۡشِي عَلَىٰ رِجۡلَيۡنِ وَمِنۡهُم مَّن يَمۡشِي عَلَىٰٓ أَرۡبَعٖۚ يَخۡلُقُ ٱللَّهُ مَا يَشَآءُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Aur Allah ne har jaandaar ek tarah ke pani se paida kiya, koi pait ke bal chal raha hai to koi do taangon (two legs) par aur koi chaar taangon par. Jo kuch woh chahta hai paida karta hai, woh har cheez par qadir hai
Surah An-Noor, Verse 45
لَّقَدۡ أَنزَلۡنَآ ءَايَٰتٖ مُّبَيِّنَٰتٖۚ وَٱللَّهُ يَهۡدِي مَن يَشَآءُ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Humne saaf saaf haqeeqat batane wali aayat nazil kardi hai, aagey siraate mustaqeem ki taraf hidayat Allah hi jisey chahta hai deta hai
Surah An-Noor, Verse 46
وَيَقُولُونَ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَبِٱلرَّسُولِ وَأَطَعۡنَا ثُمَّ يَتَوَلَّىٰ فَرِيقٞ مِّنۡهُم مِّنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَۚ وَمَآ أُوْلَـٰٓئِكَ بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Yeh log kehte hain ke hum iman laye Allah aur Rasool par aur humne itaat qabool ki, magar iske baad inmein se ek giroh (itaat se) mooh moad jaata hai, aisey log hargiz momin nahin hain
Surah An-Noor, Verse 47
وَإِذَا دُعُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ لِيَحۡكُمَ بَيۡنَهُمۡ إِذَا فَرِيقٞ مِّنۡهُم مُّعۡرِضُونَ
Jab inko bulaya jata hai Allah aur Rasool ki taraf, taa-ke Rasool inke aapas ke muqaddame ka faisla karey to inmein se ek fareeq katra jata (turns away) hai
Surah An-Noor, Verse 48
وَإِن يَكُن لَّهُمُ ٱلۡحَقُّ يَأۡتُوٓاْ إِلَيۡهِ مُذۡعِنِينَ
Albatta agar haqq unki muafiqat (on their side) mein ho to Rasool ke paas baday itaat-kish (obedience) ban kar aa jatey hain
Surah An-Noor, Verse 49
أَفِي قُلُوبِهِم مَّرَضٌ أَمِ ٱرۡتَابُوٓاْ أَمۡ يَخَافُونَ أَن يَحِيفَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ وَرَسُولُهُۥۚ بَلۡ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Kya unke dilon ko (munafiqat ka) rog laga hua hai? Ya yeh shakk mein padey huey hain? Ya inko yeh khauf hai ke Allah aur uska Rasool inpar zulm karega? Asal baat yeh hai ke zaalim to yeh log khud hain
Surah An-Noor, Verse 50
إِنَّمَا كَانَ قَوۡلَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ إِذَا دُعُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ لِيَحۡكُمَ بَيۡنَهُمۡ أَن يَقُولُواْ سَمِعۡنَا وَأَطَعۡنَاۚ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Iman laney walon ka kaam to yeh hai ke jab woh Allah aur Rasool ki taraf bulaye jayein taa-ke Rasool unke muqaddame ka faisla karey to woh kahein ke humne suna aur itaat ki, aisey hi log falaah paaney waley hain
Surah An-Noor, Verse 51
وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَيَخۡشَ ٱللَّهَ وَيَتَّقۡهِ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَآئِزُونَ
Aur kamiyab wahi hain jo Allah aur Rasool ki farma bardari karein aur Allah se darein aur uski nafarmani se bachein
Surah An-Noor, Verse 52
۞وَأَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ لَئِنۡ أَمَرۡتَهُمۡ لَيَخۡرُجُنَّۖ قُل لَّا تُقۡسِمُواْۖ طَاعَةٞ مَّعۡرُوفَةٌۚ إِنَّ ٱللَّهَ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
Yeh (munafiq) Allah ke naam se kadi kadi kasmein kha kar kehte hain ke “ aap hukum dein to hum gharon se nikal khade hon” . Insey kaho “kasamein na khao , tumhari itaat ka haal maloom hai, tumhare kartooton se Allah be-khabar nahin hai”
Surah An-Noor, Verse 53
قُلۡ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَۖ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَإِنَّمَا عَلَيۡهِ مَا حُمِّلَ وَعَلَيۡكُم مَّا حُمِّلۡتُمۡۖ وَإِن تُطِيعُوهُ تَهۡتَدُواْۚ وَمَا عَلَى ٱلرَّسُولِ إِلَّا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
Kaho, “Allah ke mutii bano (obey Allah) aur Rasool ke tabey farmaan bankar raho , lekin agar tum mooh pherte ho to khoob samajh lo ke Rasool par jis farz ka baar rakkha gaya hai uska zimmedar woh hai aur tumpar jis farz ka baar dala gaya hai uske zimmedar tum ho. Uski itaat karoge to khud hi hidayat paogey warna Rasool ki zimmedari issey zyada kuch nahin hai ke saaf saaf hukum pahuncha de”
Surah An-Noor, Verse 54
وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنكُمۡ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَيَسۡتَخۡلِفَنَّهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ كَمَا ٱسۡتَخۡلَفَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ وَلَيُمَكِّنَنَّ لَهُمۡ دِينَهُمُ ٱلَّذِي ٱرۡتَضَىٰ لَهُمۡ وَلَيُبَدِّلَنَّهُم مِّنۢ بَعۡدِ خَوۡفِهِمۡ أَمۡنٗاۚ يَعۡبُدُونَنِي لَا يُشۡرِكُونَ بِي شَيۡـٔٗاۚ وَمَن كَفَرَ بَعۡدَ ذَٰلِكَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
Allah ne wada farmaya hai tum mein se un logon ke saath jo iman layein aur neik amal karein ke woh unko usi tarah zameen mein khalifa banayega jis tarah unse pehle guzre huey logon ko bana chuka hai , unke liye unke us deen (religion) ko mazboot buniyadon par qayam kardega jisey Allah taala ne unke haqq mein pasand kiya hai, aur unki (maujooda) halat e khauf ko aman se badal dega, bas woh meri bandagi karein aur mere saath kisi ko shareek na karein, aur jo iske baad kufr karey to aise hi log faasiq hain
Surah An-Noor, Verse 55
وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
Namaz qayam karo, zakat do, aur Rasool ki itaat karo, umeed hai ke tumpar reham kiya jayega
Surah An-Noor, Verse 56
لَا تَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مُعۡجِزِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَمَأۡوَىٰهُمُ ٱلنَّارُۖ وَلَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Jo log kufr kar rahey hain unke mautaaliq is galat fahmi mein na raho ke woh zameen mein Allah ko aajiz(frustrate) kardenge, unka thikana dozakh hai aur woh bada hi bura thikana hai
Surah An-Noor, Verse 57
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِيَسۡتَـٔۡذِنكُمُ ٱلَّذِينَ مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡ وَٱلَّذِينَ لَمۡ يَبۡلُغُواْ ٱلۡحُلُمَ مِنكُمۡ ثَلَٰثَ مَرَّـٰتٖۚ مِّن قَبۡلِ صَلَوٰةِ ٱلۡفَجۡرِ وَحِينَ تَضَعُونَ ثِيَابَكُم مِّنَ ٱلظَّهِيرَةِ وَمِنۢ بَعۡدِ صَلَوٰةِ ٱلۡعِشَآءِۚ ثَلَٰثُ عَوۡرَٰتٖ لَّكُمۡۚ لَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ وَلَا عَلَيۡهِمۡ جُنَاحُۢ بَعۡدَهُنَّۚ طَوَّـٰفُونَ عَلَيۡكُم بَعۡضُكُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Aey logon jo iman laaye ho, lazim hai ke tumhare mamluk (your slaves) aur tumhare woh bacchey jo abhi aqal ki hadd ko (sex conscious /puberty) nahin pahunchey hain, teen auqat mein ijazat lekar tumhare paas aaya karein: subah ki namaz se pehle, aur dopahar ko jabke tum kapde utar kar rakh detey ho, aur ishaa ki namaz ke baad. Yeh teen waqt tumhare liye purdey ke waqt hain. Inke baad woh bila ijazat aayein to na tumpar koi gunaah hai na unpar, tumhein ek dusre ke paas baar baar aana hi hota hai. Is tarah Allah tumhare liye apne irshadaat ki tawzeeh (wazeh) karta hai, aur woh aleem o hakeem hai
Surah An-Noor, Verse 58
وَإِذَا بَلَغَ ٱلۡأَطۡفَٰلُ مِنكُمُ ٱلۡحُلُمَ فَلۡيَسۡتَـٔۡذِنُواْ كَمَا ٱسۡتَـٔۡذَنَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَٰتِهِۦۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Aur jab tumhare bacchey aqal ki hadd (sex conscious /puberty) ko pahunch jayein to chahiye ke usi tarah ijazat lekar aaya karein jis tarah unke baday (elders) ijazat lete rahey hain. Is tarah Allah apni aayat tumhare saamne kholta hai, aur woh aleem o hakeem hai
Surah An-Noor, Verse 59
وَٱلۡقَوَٰعِدُ مِنَ ٱلنِّسَآءِ ٱلَّـٰتِي لَا يَرۡجُونَ نِكَاحٗا فَلَيۡسَ عَلَيۡهِنَّ جُنَاحٌ أَن يَضَعۡنَ ثِيَابَهُنَّ غَيۡرَ مُتَبَرِّجَٰتِۭ بِزِينَةٖۖ وَأَن يَسۡتَعۡفِفۡنَ خَيۡرٞ لَّهُنَّۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
Aur jo auratein jawani se guzri baithi hon, nikah ki umeedwaar na hon, woh agar apni chadarein (outer graments) utaar kar rakh dein to unpar koi gunaah nahin, bashart ke zeenat ki numaish karne wali na hon. Taham (nevertheless) woh bhi haya-daari hi baratein (behave modestly) to unke haqq mein accha hai, aur Allah sab kuch sunta aur jaanta hai
Surah An-Noor, Verse 60
لَّيۡسَ عَلَى ٱلۡأَعۡمَىٰ حَرَجٞ وَلَا عَلَى ٱلۡأَعۡرَجِ حَرَجٞ وَلَا عَلَى ٱلۡمَرِيضِ حَرَجٞ وَلَا عَلَىٰٓ أَنفُسِكُمۡ أَن تَأۡكُلُواْ مِنۢ بُيُوتِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ ءَابَآئِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ أُمَّهَٰتِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ إِخۡوَٰنِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ أَخَوَٰتِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ أَعۡمَٰمِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ عَمَّـٰتِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ أَخۡوَٰلِكُمۡ أَوۡ بُيُوتِ خَٰلَٰتِكُمۡ أَوۡ مَا مَلَكۡتُم مَّفَاتِحَهُۥٓ أَوۡ صَدِيقِكُمۡۚ لَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ أَن تَأۡكُلُواْ جَمِيعًا أَوۡ أَشۡتَاتٗاۚ فَإِذَا دَخَلۡتُم بُيُوتٗا فَسَلِّمُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِكُمۡ تَحِيَّةٗ مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِ مُبَٰرَكَةٗ طَيِّبَةٗۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
Koi haraj nahin agar koi andha, ya langda, ya mareez (kisi ke ghar se kha le) aur na tumhare upar is mein koi muzahiqa (harm/jarj) hai ke apne gharon se khao ya apne baap dada ke gharon se, ya apni maa, nani ke gharon se , ya apne bhaiyon ke gharon se, ya apni behno ke gharon se, ya apne chachaon ke gharon se , ya apni phoopiyon ke gharon se, ya apne mamuon ke gharon se, ya apni khalaon ke gharon se, ya un gharon se jinki kunjiyan (keys) tumhari supurdagi (possession) mein hon, ya apne doston ke gharon se. Is mein bhi koi haraj nahin ke tumlog milkar khao ya alag alag, albatta jab gharon mein dakhil hua karo to apne logon ko salaam kiya karo, dua e khair, Allah ki taraf se muqarrar farmayi hui, badi babarakat aur pakeeza. Is tarah Allah taala tumhare saamne aayat bayaan karta hai, tawaqqu hai ke tum samajh bujh se kaam logey
Surah An-Noor, Verse 61
إِنَّمَا ٱلۡمُؤۡمِنُونَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَإِذَا كَانُواْ مَعَهُۥ عَلَىٰٓ أَمۡرٖ جَامِعٖ لَّمۡ يَذۡهَبُواْ حَتَّىٰ يَسۡتَـٔۡذِنُوهُۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَسۡتَـٔۡذِنُونَكَ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦۚ فَإِذَا ٱسۡتَـٔۡذَنُوكَ لِبَعۡضِ شَأۡنِهِمۡ فَأۡذَن لِّمَن شِئۡتَ مِنۡهُمۡ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لَهُمُ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Momin to asal mein wahi hain jo Allah aur uske Rasool ko dilse maane aur jab kisi ijtimaii kaam ke mauqe par Rasool ke saath hon to ussey ijazat liye bagair na jayein, Jo log tumse ijazat maangte hain wahi Allah aur Rasool ke maannay walay hain. Pas jab woh apne kisi kaam se ijazat maangein to jisey tum chaho ijazat de diya karo aur aise logon ke haqq mein Allah se dua e magfirat kiya karo. Allah yaqeenan gafoor o raheem hai
Surah An-Noor, Verse 62
لَّا تَجۡعَلُواْ دُعَآءَ ٱلرَّسُولِ بَيۡنَكُمۡ كَدُعَآءِ بَعۡضِكُم بَعۡضٗاۚ قَدۡ يَعۡلَمُ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ يَتَسَلَّلُونَ مِنكُمۡ لِوَاذٗاۚ فَلۡيَحۡذَرِ ٱلَّذِينَ يُخَالِفُونَ عَنۡ أَمۡرِهِۦٓ أَن تُصِيبَهُمۡ فِتۡنَةٌ أَوۡ يُصِيبَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٌ
Musalmano, apne darmiyan Rasool ke bulane ko aapas mein ek dusre ka sa bulana na samajh baitho. Allah un logon ko khoob jaanta hai jo tum mein aisey hain ke ek dusre ki aadd letay huey chupke se satak jatey hain. Rasool ke hukum ki khilaf warzi karne walon ko darna chahiye ke woh kisi fitne mein giraftar na ho jayein, ya unpar dardnaak azaab na aa jaaye
Surah An-Noor, Verse 63
أَلَآ إِنَّ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ قَدۡ يَعۡلَمُ مَآ أَنتُمۡ عَلَيۡهِ وَيَوۡمَ يُرۡجَعُونَ إِلَيۡهِ فَيُنَبِّئُهُم بِمَا عَمِلُواْۗ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمُۢ
Khabardaar raho, aasmaan o zameen mein jo kuch hai Allah ka hai. Tum jis rawish par bhi ho Allah usko jaanta hai. Jis roz log uski taraf paltenge woh unhein bata dega ke woh kya kuch karke aaye hain. Woh har cheez ka ilam rakhta hai
Surah An-Noor, Verse 64