Surah Al-Mumenoon - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
قَدۡ أَفۡلَحَ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
Yaqeenan falaah payi hai iman laney walon ne jo
Surah Al-Mumenoon, Verse 1
ٱلَّذِينَ هُمۡ فِي صَلَاتِهِمۡ خَٰشِعُونَ
Apni namaz mein khushu ikhtiyar karte hain (Salat with humility)
Surah Al-Mumenoon, Verse 2
وَٱلَّذِينَ هُمۡ عَنِ ٱللَّغۡوِ مُعۡرِضُونَ
Laghviyat (vain things) se door rehte hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 3
وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِلزَّكَوٰةِ فَٰعِلُونَ
Zakaat ke tareeqe par aamil hotey hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 4
وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِفُرُوجِهِمۡ حَٰفِظُونَ
Apni sharmgaahon ki hifazat karte hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 5
إِلَّا عَلَىٰٓ أَزۡوَٰجِهِمۡ أَوۡ مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُهُمۡ فَإِنَّهُمۡ غَيۡرُ مَلُومِينَ
Siwaye apni biwiyon ke aur un auraton ke jo unki milk e yameen mein hon (right hand posseses) ke unpar (mehfooz na rakhne mein) woh qabil e malamat nahin hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 6
فَمَنِ ٱبۡتَغَىٰ وَرَآءَ ذَٰلِكَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡعَادُونَ
Albatta jo uske alawa kuch aur chahein wahi zyadati karne waley hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 7
وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِأَمَٰنَٰتِهِمۡ وَعَهۡدِهِمۡ رَٰعُونَ
Apni amanaton (trusts) aur apne ahad o paiman (promises) ka paas rakhte hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 8
وَٱلَّذِينَ هُمۡ عَلَىٰ صَلَوَٰتِهِمۡ يُحَافِظُونَ
Aur apni namazon ki muhafizat (hifazat) karte hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 9
أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡوَٰرِثُونَ
Yahi log woh waris hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 10
ٱلَّذِينَ يَرِثُونَ ٱلۡفِرۡدَوۡسَ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Jo miraas mein firdous payenge aur usmein hamesha rahenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 11
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ مِن سُلَٰلَةٖ مِّن طِينٖ
Humne Insaan ko mitti ke saatt (essence of clay) se banaya
Surah Al-Mumenoon, Verse 12
ثُمَّ جَعَلۡنَٰهُ نُطۡفَةٗ فِي قَرَارٖ مَّكِينٖ
Phir usey ek mehfooz jaga tapki hui boondh mein tabdeel kiya
Surah Al-Mumenoon, Verse 13
ثُمَّ خَلَقۡنَا ٱلنُّطۡفَةَ عَلَقَةٗ فَخَلَقۡنَا ٱلۡعَلَقَةَ مُضۡغَةٗ فَخَلَقۡنَا ٱلۡمُضۡغَةَ عِظَٰمٗا فَكَسَوۡنَا ٱلۡعِظَٰمَ لَحۡمٗا ثُمَّ أَنشَأۡنَٰهُ خَلۡقًا ءَاخَرَۚ فَتَبَارَكَ ٱللَّهُ أَحۡسَنُ ٱلۡخَٰلِقِينَ
Phir us boondh ko lothday ki shakal di, phir lothday ko boti bana diya, phir boti ki haddiyan (bones) banayin, phir haddiyon par gosht chadhaya. Phir usey ek dusri hi makhlooq bana khada kiya. Pas bada hi ba-barakat hai Allah, sab karigaron se accha kaarigar(creator)
Surah Al-Mumenoon, Verse 14
ثُمَّ إِنَّكُم بَعۡدَ ذَٰلِكَ لَمَيِّتُونَ
Phir iske baad tumko zaroor marna hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 15
ثُمَّ إِنَّكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ تُبۡعَثُونَ
Phir qayamat ke roz yaqeenan tum uthaye jaogey
Surah Al-Mumenoon, Verse 16
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا فَوۡقَكُمۡ سَبۡعَ طَرَآئِقَ وَمَا كُنَّا عَنِ ٱلۡخَلۡقِ غَٰفِلِينَ
Aur tumhare upar humne saat (seven) raastey banaye, takhleeq ke kaam se hum kuch na-balad na thay (We are never unmindful of (our) Creation
Surah Al-Mumenoon, Verse 17
وَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءَۢ بِقَدَرٖ فَأَسۡكَنَّـٰهُ فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَإِنَّا عَلَىٰ ذَهَابِۭ بِهِۦ لَقَٰدِرُونَ
Aur aasmaan se humne theek hisaab ke mutabiq ek khaas miqdar mein pani utara aur usko zameen mein thehara diya. Hum usey jis tarah chahein gayab kar sakte hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 18
فَأَنشَأۡنَا لَكُم بِهِۦ جَنَّـٰتٖ مِّن نَّخِيلٖ وَأَعۡنَٰبٖ لَّكُمۡ فِيهَا فَوَٰكِهُ كَثِيرَةٞ وَمِنۡهَا تَأۡكُلُونَ
Phir is pani ke zariye se humne tumhare liye khajoor aur angoor ke baagh paida kardiye, tumhare liye in baaghon mein bahut se lazeez phal hain aur unsey tum rozi haasil karte ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 19
وَشَجَرَةٗ تَخۡرُجُ مِن طُورِ سَيۡنَآءَ تَنۢبُتُ بِٱلدُّهۡنِ وَصِبۡغٖ لِّلۡأٓكِلِينَ
Aur woh darakht bhi humne paida kiya jo Tur-e-seena (mount sinai) se nikalta hai, teil (oil) bhi liye huey ugta hai aur khane walon ke liye saalan bhi
Surah Al-Mumenoon, Verse 20
وَإِنَّ لَكُمۡ فِي ٱلۡأَنۡعَٰمِ لَعِبۡرَةٗۖ نُّسۡقِيكُم مِّمَّا فِي بُطُونِهَا وَلَكُمۡ فِيهَا مَنَٰفِعُ كَثِيرَةٞ وَمِنۡهَا تَأۡكُلُونَ
Aur haqeeqat yeh hai ke tumhare liye maweshiyon mein bhi ek sabaq hai unke paithon (bellies) mein jo kuch hai usi mein se ek cheez hum tumhein pilatey hain, aur tumhare liye unmein bahut se dusre faiyde bhi hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 21
وَعَلَيۡهَا وَعَلَى ٱلۡفُلۡكِ تُحۡمَلُونَ
Unko tum khate ho aur unpar aur kashtiyon par sawaar bhi kiye jatey ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 22
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ فَقَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥٓۚ أَفَلَا تَتَّقُونَ
Humne Nooh ko uski qaum ki taraf bheja, usne kaha “ aey meri qaum ke logon, Allah ki bandagi karo, uske siwa tumhare liye koi aur mabood nahin hai, kya tum darte nahin ho?”
Surah Al-Mumenoon, Verse 23
فَقَالَ ٱلۡمَلَؤُاْ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦ مَا هَٰذَآ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُكُمۡ يُرِيدُ أَن يَتَفَضَّلَ عَلَيۡكُمۡ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَأَنزَلَ مَلَـٰٓئِكَةٗ مَّا سَمِعۡنَا بِهَٰذَا فِيٓ ءَابَآئِنَا ٱلۡأَوَّلِينَ
Uski qaum ke jin sardaaron ne maanne se inkar kiya woh kehne lagey ke “yeh shaks kuch nahin hai magar ek bashar(Insaan) tum hi jaisa. Iski garz yeh hai ke tumpar bartari (superiority) haasil karey. Allah ko agar bhejna hota to farishtey bhejta.Yeh baat to humne kabhi apne baap dada ke waqton mein suni hi nahin ( ke bashar Rasool bankar aaye)
Surah Al-Mumenoon, Verse 24
إِنۡ هُوَ إِلَّا رَجُلُۢ بِهِۦ جِنَّةٞ فَتَرَبَّصُواْ بِهِۦ حَتَّىٰ حِينٖ
Kuch nahin , bas is aadmi ko zara junoon lahaq(possessed) ho gaya hai, kuch muddat aur dekhlo [ ( shayad ifaqa ho jaaye)( may be he is cured)]”
Surah Al-Mumenoon, Verse 25
قَالَ رَبِّ ٱنصُرۡنِي بِمَا كَذَّبُونِ
Nooh ne kaha “parwardigar, in logon ne jo meri takzeeb ki hai ispar ab tu hi meri nusrat farma.”
Surah Al-Mumenoon, Verse 26
فَأَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡهِ أَنِ ٱصۡنَعِ ٱلۡفُلۡكَ بِأَعۡيُنِنَا وَوَحۡيِنَا فَإِذَا جَآءَ أَمۡرُنَا وَفَارَ ٱلتَّنُّورُ فَٱسۡلُكۡ فِيهَا مِن كُلّٖ زَوۡجَيۡنِ ٱثۡنَيۡنِ وَأَهۡلَكَ إِلَّا مَن سَبَقَ عَلَيۡهِ ٱلۡقَوۡلُ مِنۡهُمۡۖ وَلَا تُخَٰطِبۡنِي فِي ٱلَّذِينَ ظَلَمُوٓاْ إِنَّهُم مُّغۡرَقُونَ
Humne uspar wahee ki ke “hamari nigrani mein aur hamari wahee ke mutabiq kashti (ark) tayyar kar. Phir jab hamara hukum aa jaye aur tannur ubal paday to har qisam ke jaanwaron mein se ek ek joda lekar usmein sawaar ho ja, aur apne ehal o ayaal ko bhi saath le, siwai unke jinke khilaf pehle faisla ho chuka hai, aur zaalimon ke maamle mein mujhse kuch na kehna, yeh ab garq (doob/ drown) honay waley hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 27
فَإِذَا ٱسۡتَوَيۡتَ أَنتَ وَمَن مَّعَكَ عَلَى ٱلۡفُلۡكِ فَقُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي نَجَّىٰنَا مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Phir jab tu apne saathiyon sameth kashti par sawar ho jaye to keh, shukar hai us khuda ka jisne humein zaalim logon se nijaat di
Surah Al-Mumenoon, Verse 28
وَقُل رَّبِّ أَنزِلۡنِي مُنزَلٗا مُّبَارَكٗا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡمُنزِلِينَ
Aur keh, parwardigar, mujhko barakat wali jagah utaar aur tu behtareen jagah dene wala hai.”
Surah Al-Mumenoon, Verse 29
إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ وَإِن كُنَّا لَمُبۡتَلِينَ
Is qissey mein badi nishaniyan hain aur aazmaish to hum karke hi rehte hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 30
ثُمَّ أَنشَأۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِمۡ قَرۡنًا ءَاخَرِينَ
Inke baad humne ek dusre daur ki qaum uthayi
Surah Al-Mumenoon, Verse 31
فَأَرۡسَلۡنَا فِيهِمۡ رَسُولٗا مِّنۡهُمۡ أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥٓۚ أَفَلَا تَتَّقُونَ
Phir un mein khud unhi ki qaum ka ek Rasool bheja ( jisne unhein dawat di) ke Allah ki bandagi karo, tumhare liye uske siwa koi aur maabood nahin hai, kya tum darte nahin ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 32
وَقَالَ ٱلۡمَلَأُ مِن قَوۡمِهِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِلِقَآءِ ٱلۡأٓخِرَةِ وَأَتۡرَفۡنَٰهُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا مَا هَٰذَآ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُكُمۡ يَأۡكُلُ مِمَّا تَأۡكُلُونَ مِنۡهُ وَيَشۡرَبُ مِمَّا تَشۡرَبُونَ
Uski qaum ke jin sardaron ne maanne se inkar kiya aur aakhirat ki peshi ko jhutlaya, jinko humne duniya ki zindagi mein aasuda kar rakkha tha, woh kehne lagey “ye shaks kuch nahin hai magar ek bashar tum hi jaisa, jo kuch tum khate ho wahi yeh khata hai aur jo kuch tum peete ho wahi yeh peeta hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 33
وَلَئِنۡ أَطَعۡتُم بَشَرٗا مِّثۡلَكُمۡ إِنَّكُمۡ إِذٗا لَّخَٰسِرُونَ
Ab agar tumne apne hi jaise ek bashar ki itaat qabool karli to tum ghatay hi mein rahey
Surah Al-Mumenoon, Verse 34
أَيَعِدُكُمۡ أَنَّكُمۡ إِذَا مِتُّمۡ وَكُنتُمۡ تُرَابٗا وَعِظَٰمًا أَنَّكُم مُّخۡرَجُونَ
Yeh tumhein ittila deta hai ke jab tum mar kar mitti ho jaogey aur haddiyon ka panjar reh jaogey us waqt tum (qabaron se) nikale jaogey
Surah Al-Mumenoon, Verse 35
۞هَيۡهَاتَ هَيۡهَاتَ لِمَا تُوعَدُونَ
Baeed (far/Impossible), bilkul baeed(Impossible) hai yeh wada jo tumse kiya jaa raha hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 36
إِنۡ هِيَ إِلَّا حَيَاتُنَا ٱلدُّنۡيَا نَمُوتُ وَنَحۡيَا وَمَا نَحۡنُ بِمَبۡعُوثِينَ
Zindagi kuch nahin hai magar bas yahi duniya ki zindagi. Yahin humko marna aur jeena hai aur hum hargiz uthaye janey waley nahin hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 37
إِنۡ هُوَ إِلَّا رَجُلٌ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبٗا وَمَا نَحۡنُ لَهُۥ بِمُؤۡمِنِينَ
Yeh shaks khuda ke naam par mehaz jhoot ghadh raha hai aur hum kabhi iske maanne waley nahin hain.”
Surah Al-Mumenoon, Verse 38
قَالَ رَبِّ ٱنصُرۡنِي بِمَا كَذَّبُونِ
Rasool ne kaha “parwardigar , in logon ne jo meri takzeeb ki hai, ispar ab tu hi meri nusrat farma”
Surah Al-Mumenoon, Verse 39
قَالَ عَمَّا قَلِيلٖ لَّيُصۡبِحُنَّ نَٰدِمِينَ
Jawab mein irshad hua “qareeb hai woh waqt jab yeh apne kiye par pachtayenge”
Surah Al-Mumenoon, Verse 40
فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّيۡحَةُ بِٱلۡحَقِّ فَجَعَلۡنَٰهُمۡ غُثَآءٗۚ فَبُعۡدٗا لِّلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aakhir e kaar theek theek haqq ke mutabiq ek hungama e azeem ne unko aa liya aur humne inko kachra bana kar phenk diya. Door ho zaalim qaum
Surah Al-Mumenoon, Verse 41
ثُمَّ أَنشَأۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِمۡ قُرُونًا ءَاخَرِينَ
Phir humne unke baad dusri qaumein uthayi
Surah Al-Mumenoon, Verse 42
مَا تَسۡبِقُ مِنۡ أُمَّةٍ أَجَلَهَا وَمَا يَسۡتَـٔۡخِرُونَ
Koi qaum na apne waqt se pehle khatam hui aur na uske baad thehar saki
Surah Al-Mumenoon, Verse 43
ثُمَّ أَرۡسَلۡنَا رُسُلَنَا تَتۡرَاۖ كُلَّ مَا جَآءَ أُمَّةٗ رَّسُولُهَا كَذَّبُوهُۖ فَأَتۡبَعۡنَا بَعۡضَهُم بَعۡضٗا وَجَعَلۡنَٰهُمۡ أَحَادِيثَۚ فَبُعۡدٗا لِّقَوۡمٖ لَّا يُؤۡمِنُونَ
Phir humne pai dar pai apne Rasool bheje. Jis qaum ke paas bhi uska Rasool aaya, usne usey jhutlaya, aur hum ek ke baad ek qaum ko halaak karte chale gaye hatta ke unko bas afsana hi bana kar choda, phitkar un logon par jo iman nahin laatey
Surah Al-Mumenoon, Verse 44
ثُمَّ أَرۡسَلۡنَا مُوسَىٰ وَأَخَاهُ هَٰرُونَ بِـَٔايَٰتِنَا وَسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٍ
Phir humne Moosa aur uske bhai Haroon ko apni nishaniyon aur khuli sanad ke saath Firoun aur uske ayaan sultanat ki taraf bheja
Surah Al-Mumenoon, Verse 45
إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦ فَٱسۡتَكۡبَرُواْ وَكَانُواْ قَوۡمًا عَالِينَ
Magar unhon ne takabbur (arrogance) kiya aur badi dunki li
Surah Al-Mumenoon, Verse 46
فَقَالُوٓاْ أَنُؤۡمِنُ لِبَشَرَيۡنِ مِثۡلِنَا وَقَوۡمُهُمَا لَنَا عَٰبِدُونَ
Kehne lage “Kya hum apne hi jaise do aadmiyon par iman le aayein? Aur aadmi bhi woh jinki qaum hamari bandi (ghulam) hai”
Surah Al-Mumenoon, Verse 47
فَكَذَّبُوهُمَا فَكَانُواْ مِنَ ٱلۡمُهۡلَكِينَ
Pas unhon ne dono ko jhutla diya aur halaak honay walon mein jaa miley
Surah Al-Mumenoon, Verse 48
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ لَعَلَّهُمۡ يَهۡتَدُونَ
Aur Moosa ko humne kitaab ata farmayi taa-ke log ussey rehnumayi haasil karein
Surah Al-Mumenoon, Verse 49
وَجَعَلۡنَا ٱبۡنَ مَرۡيَمَ وَأُمَّهُۥٓ ءَايَةٗ وَءَاوَيۡنَٰهُمَآ إِلَىٰ رَبۡوَةٖ ذَاتِ قَرَارٖ وَمَعِينٖ
Aur Ibne Maryam aur uski maa ko humne ek nishani banaya aur unko ek sateh murtafa (shelter on a plateau) par rakkha jo itminaan ki jagah thi aur chashme usmein jaari thay
Surah Al-Mumenoon, Verse 50
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلرُّسُلُ كُلُواْ مِنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ وَٱعۡمَلُواْ صَٰلِحًاۖ إِنِّي بِمَا تَعۡمَلُونَ عَلِيمٞ
Aey paigambaron, khao paak cheezein aur amal karo saleh, tum jo kuch bhi karte ho, main usko khoob jaanta hoon
Surah Al-Mumenoon, Verse 51
وَإِنَّ هَٰذِهِۦٓ أُمَّتُكُمۡ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ وَأَنَا۠ رَبُّكُمۡ فَٱتَّقُونِ
Aur yeh tumhari yeh ummat ek hi ummat hai aur main tumhara Rubb hoon, pas mujhi se tum daro
Surah Al-Mumenoon, Verse 52
فَتَقَطَّعُوٓاْ أَمۡرَهُم بَيۡنَهُمۡ زُبُرٗاۖ كُلُّ حِزۡبِۭ بِمَا لَدَيۡهِمۡ فَرِحُونَ
Magar baad mein logon ne apne deen (religion) ko aapas mein tukde tukde karliya, har giroh ke paas jo kuch hai usi mein woh magan hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 53
فَذَرۡهُمۡ فِي غَمۡرَتِهِمۡ حَتَّىٰ حِينٍ
Accha, to chodo inhein, doobey rahein apni gaflat mein ek waqt e khaas tak
Surah Al-Mumenoon, Verse 54
أَيَحۡسَبُونَ أَنَّمَا نُمِدُّهُم بِهِۦ مِن مَّالٖ وَبَنِينَ
Kya yeh samajhte hain ke hum jo inhein maal o aulad se madad diye jaa rahey hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 55
نُسَارِعُ لَهُمۡ فِي ٱلۡخَيۡرَٰتِۚ بَل لَّا يَشۡعُرُونَ
To goya inhein bhalaiyan dene mein sargarm hain? Nahin, asal maamle ka inhein shaour nahin hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 56
إِنَّ ٱلَّذِينَ هُم مِّنۡ خَشۡيَةِ رَبِّهِم مُّشۡفِقُونَ
Jo apne Rubb ke khauf se darey rehte hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 57
وَٱلَّذِينَ هُم بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمۡ يُؤۡمِنُونَ
Jo Rubb ki aayat par iman latey hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 58
وَٱلَّذِينَ هُم بِرَبِّهِمۡ لَا يُشۡرِكُونَ
Jo apne Rubb ke saath kisi ko shareek nahin karte
Surah Al-Mumenoon, Verse 59
وَٱلَّذِينَ يُؤۡتُونَ مَآ ءَاتَواْ وَّقُلُوبُهُمۡ وَجِلَةٌ أَنَّهُمۡ إِلَىٰ رَبِّهِمۡ رَٰجِعُونَ
Aur jinka haal yeh hai ke detay hain jo kuch bhi detay hain aur dil unke is khayal se kaampte rehte hain ke humein apne Rubb ki taraf palatna hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 60
أُوْلَـٰٓئِكَ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡخَيۡرَٰتِ وَهُمۡ لَهَا سَٰبِقُونَ
Bhalaiyon ki taraf daudne waley aur sabaqat karke unhein paa lene waley to dar-haqeeqat woh log hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 61
وَلَا نُكَلِّفُ نَفۡسًا إِلَّا وُسۡعَهَاۚ وَلَدَيۡنَا كِتَٰبٞ يَنطِقُ بِٱلۡحَقِّ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Hum kisi shaks ko uski maqdart (taaqat) se zyada ki takleef nahin detay aur humare paas ek kitaab hai jo (har ek ka haal) theek theek bata dene wali hai, aur logon par zulm bahr-haal nahin kiya jayega
Surah Al-Mumenoon, Verse 62
بَلۡ قُلُوبُهُمۡ فِي غَمۡرَةٖ مِّنۡ هَٰذَا وَلَهُمۡ أَعۡمَٰلٞ مِّن دُونِ ذَٰلِكَ هُمۡ لَهَا عَٰمِلُونَ
Magar yeh log is maamle se be-khabar hain aur inke aamal bhi is tareeqe se ( jiska upar zikr kiya gaya hai) mukhtalif hain. Woh apne yeh karoot kiye chale jayenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 63
حَتَّىٰٓ إِذَآ أَخَذۡنَا مُتۡرَفِيهِم بِٱلۡعَذَابِ إِذَا هُمۡ يَجۡـَٔرُونَ
Yahan tak ke jab hum unke ayyashon (affluent ones /aasuda haal) ko azaab mein pakad lenge to phir woh dakrana shuru kar denge (begin to bellow /cry)
Surah Al-Mumenoon, Verse 64
لَا تَجۡـَٔرُواْ ٱلۡيَوۡمَۖ إِنَّكُم مِّنَّا لَا تُنصَرُونَ
Ab bandh karo apni fariyad o fugaan, hamari taraf se ab koi madad tumhein nahin milni
Surah Al-Mumenoon, Verse 65
قَدۡ كَانَتۡ ءَايَٰتِي تُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ فَكُنتُمۡ عَلَىٰٓ أَعۡقَٰبِكُمۡ تَنكِصُونَ
Meri aayat sunayi jati thi to tum (Rasool ki aawaz sunte hi) ultay paon bhaag nikalte thay
Surah Al-Mumenoon, Verse 66
مُسۡتَكۡبِرِينَ بِهِۦ سَٰمِرٗا تَهۡجُرُونَ
Apne ghamand mein usko khatir hi mein na latey thay,apne chaoupalon (meeting places) mein unpar baatein chaant-te (ridiculed him) aur bakwas kiya karte thay
Surah Al-Mumenoon, Verse 67
أَفَلَمۡ يَدَّبَّرُواْ ٱلۡقَوۡلَ أَمۡ جَآءَهُم مَّا لَمۡ يَأۡتِ ءَابَآءَهُمُ ٱلۡأَوَّلِينَ
To kya in logon ne kabhi is kalaam par gaur nahin kiya? Ya woh koi aisi baat laya hai jo kabhi inke aslaaf (forefathers) ke paas na aayi thi
Surah Al-Mumenoon, Verse 68
أَمۡ لَمۡ يَعۡرِفُواْ رَسُولَهُمۡ فَهُمۡ لَهُۥ مُنكِرُونَ
Ya yeh apne Rasool se kabhi ke waqif na thay ke (anjaana aadmi honay ke baais) ussey bidakte hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 69
أَمۡ يَقُولُونَ بِهِۦ جِنَّةُۢۚ بَلۡ جَآءَهُم بِٱلۡحَقِّ وَأَكۡثَرُهُمۡ لِلۡحَقِّ كَٰرِهُونَ
Ya ye is baat ke qayal hain ke woh majnoon [possessed (by a jinn)] hai? Nahin, balke woh haqq laya hai aur haqq hi inki aksariyat (most) ko nagawar hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 70
وَلَوِ ٱتَّبَعَ ٱلۡحَقُّ أَهۡوَآءَهُمۡ لَفَسَدَتِ ٱلسَّمَٰوَٰتُ وَٱلۡأَرۡضُ وَمَن فِيهِنَّۚ بَلۡ أَتَيۡنَٰهُم بِذِكۡرِهِمۡ فَهُمۡ عَن ذِكۡرِهِم مُّعۡرِضُونَ
Aur haqq agar kahin inki khwaishaat ke peechey chalta to zameen aur aasman aur inki saari aabaadi ka nizam darham barham ho jata. Nahin, balke hum unka apna hi zikar unke paas laaye hain aur woh apne zikr se mooh moad rahey hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 71
أَمۡ تَسۡـَٔلُهُمۡ خَرۡجٗا فَخَرَاجُ رَبِّكَ خَيۡرٞۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰزِقِينَ
Kya tu insey kuch maang raha hai? Tere liye tere Rubb ka diya hi behtar hai aur woh behtareen raziq hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 72
وَإِنَّكَ لَتَدۡعُوهُمۡ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Tu to unko seedhey raaste ki taraf bula raha hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 73
وَإِنَّ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ عَنِ ٱلصِّرَٰطِ لَنَٰكِبُونَ
Magar jo log aakhirat ko nahin maante woh raah e raast se hat kar chalna chahte hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 74
۞وَلَوۡ رَحِمۡنَٰهُمۡ وَكَشَفۡنَا مَا بِهِم مِّن ضُرّٖ لَّلَجُّواْ فِي طُغۡيَٰنِهِمۡ يَعۡمَهُونَ
Agar hum inpar reham karein aur woh takleef jis mein aaj kal yeh mubtila hain door kardein to yeh apni sarkashi mein bilkul hi behak jayenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 75
وَلَقَدۡ أَخَذۡنَٰهُم بِٱلۡعَذَابِ فَمَا ٱسۡتَكَانُواْ لِرَبِّهِمۡ وَمَا يَتَضَرَّعُونَ
Inka haal to yeh hai ke humne unhein takleef mein mubtila kiya, phir bhi yeh apne Rubb ke aagey na jhuke aur na aajizi (humble)ikhtiyar karte hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 76
حَتَّىٰٓ إِذَا فَتَحۡنَا عَلَيۡهِم بَابٗا ذَا عَذَابٖ شَدِيدٍ إِذَا هُمۡ فِيهِ مُبۡلِسُونَ
Albatta jab naubat yahan tak pahunch jayegi ke hum inpar sakht azaab ka darwaza khol denge to yakayak tum dekhoge ke us halat mein ye har khair se mayous hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 77
وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَ لَكُمُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَٰرَ وَٱلۡأَفۡـِٔدَةَۚ قَلِيلٗا مَّا تَشۡكُرُونَ
Woh Allah hi to hai jisne tumhein sunney aur dekhne ki quwwatein di aur sochne ko dil diye , magar tum log kam hi shukarguzar hotey ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 78
وَهُوَ ٱلَّذِي ذَرَأَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَإِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
Wahi hai jisne tumhein zameen mein phaylaya, aur usi ki taraf tum sametay jaogey
Surah Al-Mumenoon, Verse 79
وَهُوَ ٱلَّذِي يُحۡيِۦ وَيُمِيتُ وَلَهُ ٱخۡتِلَٰفُ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
Wahi zindagi bakashta hai aur wahi maut deta hai, gardish e layl (raat) o nahar (din) usi ke qabze qudrat mein hai. Kya tumhari samajh mein yeh baat nahin aati
Surah Al-Mumenoon, Verse 80
بَلۡ قَالُواْ مِثۡلَ مَا قَالَ ٱلۡأَوَّلُونَ
Magar yeh log wahi kuch kehte hain jo unke peshraw (forefathers) keh chuke hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 81
قَالُوٓاْ أَءِذَا مِتۡنَا وَكُنَّا تُرَابٗا وَعِظَٰمًا أَءِنَّا لَمَبۡعُوثُونَ
Yeh kehte hain “kya jab hum marr kar mitti ho jayenge aur haddiyon ka panjar ban kar reh jayenge to humko phir zinda karke uthaya jayega
Surah Al-Mumenoon, Verse 82
لَقَدۡ وُعِدۡنَا نَحۡنُ وَءَابَآؤُنَا هَٰذَا مِن قَبۡلُ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Humne bhi yeh wadey bahut sunay hain aur humse pehle hamare baap dada bhi suntey rahey hain. Yeh mehaz afasana haye pareena hain(ancient tales)”
Surah Al-Mumenoon, Verse 83
قُل لِّمَنِ ٱلۡأَرۡضُ وَمَن فِيهَآ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Insey kaho, batao agar tum jaante ho, ke yeh zameen aur iski saari aabaadi kiski hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 84
سَيَقُولُونَ لِلَّهِۚ قُلۡ أَفَلَا تَذَكَّرُونَ
Yeh zaroor kahenge ke Allah ki, kaho phir tum hosh mein kyun nahin aatey
Surah Al-Mumenoon, Verse 85
قُلۡ مَن رَّبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ ٱلسَّبۡعِ وَرَبُّ ٱلۡعَرۡشِ ٱلۡعَظِيمِ
Insey pucho, saato (seven) aasmaano aur arsh-e-azeem ka maalik kaun hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 86
سَيَقُولُونَ لِلَّهِۚ قُلۡ أَفَلَا تَتَّقُونَ
Yeh zaroor kahenge Allah, kaho phir tum darte kyun nahin
Surah Al-Mumenoon, Verse 87
قُلۡ مَنۢ بِيَدِهِۦ مَلَكُوتُ كُلِّ شَيۡءٖ وَهُوَ يُجِيرُ وَلَا يُجَارُ عَلَيۡهِ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Insey kaho, batao agar tum jaante ho ke har cheez par iqtedaar kiska hai? Aur kaun hai woh jo panaah deta hai aur uske muqable mein koi panaah nahin de sakta
Surah Al-Mumenoon, Verse 88
سَيَقُولُونَ لِلَّهِۚ قُلۡ فَأَنَّىٰ تُسۡحَرُونَ
Yeh zaroor kahenge ke yeh baat to Allah hi keliye hai. Kaho, phir kahan se tumko dhoka lagta hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 89
بَلۡ أَتَيۡنَٰهُم بِٱلۡحَقِّ وَإِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
Jo amr e haqq hai woh hum inke saamne le aaye hain, aur koi shakk nahin ke yeh log jhotey hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 90
مَا ٱتَّخَذَ ٱللَّهُ مِن وَلَدٖ وَمَا كَانَ مَعَهُۥ مِنۡ إِلَٰهٍۚ إِذٗا لَّذَهَبَ كُلُّ إِلَٰهِۭ بِمَا خَلَقَ وَلَعَلَا بَعۡضُهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۚ سُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ عَمَّا يَصِفُونَ
Allah ne kisi ko apni aulaad nahin banaya hai aur koi dusra khuda uske saath nahin hai. Agar aisa hota to har khuda apni khalq ko lekar alag ho jaata, aur phir woh ek dusre par chadh daudte.Paak hai Allah un baaton se jo yeh log banate hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 91
عَٰلِمِ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ فَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
Khule aur chupe ka jaanne wala, woh baalatar hai us shirk se jo yeh log tajweez kar rahey hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 92
قُل رَّبِّ إِمَّا تُرِيَنِّي مَا يُوعَدُونَ
(Aey Muhammad) dua karo ke “parwardigar, jis azaab ki inko dhamki di jaa rahi hai woh agar meri maujoodgi mein tu laye
Surah Al-Mumenoon, Verse 93
رَبِّ فَلَا تَجۡعَلۡنِي فِي ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
To aey mere Rubb, mujhey in zaalim logon mein shamil na kijiyo”
Surah Al-Mumenoon, Verse 94
وَإِنَّا عَلَىٰٓ أَن نُّرِيَكَ مَا نَعِدُهُمۡ لَقَٰدِرُونَ
Aur haqeeqat yeh hai ke hum tumhari aankhon ke saamne hi woh cheez le aane ki poori qudrat rakhte hain jiski dhamki hum unhein de rahey hain
Surah Al-Mumenoon, Verse 95
ٱدۡفَعۡ بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ ٱلسَّيِّئَةَۚ نَحۡنُ أَعۡلَمُ بِمَا يَصِفُونَ
(Aey Nabi), burayi ko is tareeqe se dafa karo jo behtareen ho jo kuch baatein woh tumpar banate hain woh humein khoob maloom hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 96
وَقُل رَّبِّ أَعُوذُ بِكَ مِنۡ هَمَزَٰتِ ٱلشَّيَٰطِينِ
Aur dua karo ke “parwardigar, main shayateen ki uksahaton(waswason) se teri panaah maangta hoon
Surah Al-Mumenoon, Verse 97
وَأَعُوذُ بِكَ رَبِّ أَن يَحۡضُرُونِ
Balke aey mere Rubb, main to issey bhi teri panaah maanga hoon ke woh mere paas aayein”
Surah Al-Mumenoon, Verse 98
حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَ أَحَدَهُمُ ٱلۡمَوۡتُ قَالَ رَبِّ ٱرۡجِعُونِ
(yeh log apni karni se baaz na aayenge) yahan tak ke jab in mein se kisi ko maut aa jayegi to kehna shuru kardega ke “Aey mere Rubb, mujhey usi duniya mein wapas bhej dijiye jisey main chodh aaya hoon
Surah Al-Mumenoon, Verse 99
لَعَلِّيٓ أَعۡمَلُ صَٰلِحٗا فِيمَا تَرَكۡتُۚ كَلَّآۚ إِنَّهَا كَلِمَةٌ هُوَ قَآئِلُهَاۖ وَمِن وَرَآئِهِم بَرۡزَخٌ إِلَىٰ يَوۡمِ يُبۡعَثُونَ
Umeed hai ke ab main neik amal karunga”. Hargiz nahin, yeh to bas ek baat hai jo woh bakk raha hai. Ab in sab (marne waalon) ke peechey ek barzakh (barrier) hayal hai dusri zindagi ke din tak
Surah Al-Mumenoon, Verse 100
فَإِذَا نُفِخَ فِي ٱلصُّورِ فَلَآ أَنسَابَ بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَئِذٖ وَلَا يَتَسَآءَلُونَ
Phir junhi ke Sur (trumphet) phoonk diya gaya, unke darmiyan phir koi rishta na rahega aur na woh ek dusre ko puchenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 101
فَمَن ثَقُلَتۡ مَوَٰزِينُهُۥ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Us waqt jinke padle (scales) bhari hongey wahi falaah payenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 102
وَمَنۡ خَفَّتۡ مَوَٰزِينُهُۥ فَأُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فِي جَهَنَّمَ خَٰلِدُونَ
Aur jinke padle (scales) halke honge wahi log hongey jinhon ne apne aap ko ghatay mein daal liya. Woh jahannum mein hamesha rahenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 103
تَلۡفَحُ وُجُوهَهُمُ ٱلنَّارُ وَهُمۡ فِيهَا كَٰلِحُونَ
Aag unke chehron ki khaal chaat jayegi aur unke jabde (jaws) bahar nikal aayenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 104
أَلَمۡ تَكُنۡ ءَايَٰتِي تُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ فَكُنتُم بِهَا تُكَذِّبُونَ
“kya tum wahi log nahin ho ke meri aayat tumhein sunayi jati thi to tum unhein jhutlate thay?”
Surah Al-Mumenoon, Verse 105
قَالُواْ رَبَّنَا غَلَبَتۡ عَلَيۡنَا شِقۡوَتُنَا وَكُنَّا قَوۡمٗا ضَآلِّينَ
Woh kahenge “aey hamare Rubb, hamari badbakhti hum par chaa gayi thi, hum waqayi gumraah log thay
Surah Al-Mumenoon, Verse 106
رَبَّنَآ أَخۡرِجۡنَا مِنۡهَا فَإِنۡ عُدۡنَا فَإِنَّا ظَٰلِمُونَ
Aey parwardigar, ab humein yahan se nikaal de phir hum aisa kasoor karein to zaalim hongey”
Surah Al-Mumenoon, Verse 107
قَالَ ٱخۡسَـُٔواْ فِيهَا وَلَا تُكَلِّمُونِ
Allah taala jawab dega “ door ho mere saamne se, padey raho isi mein aur mujhse baat na karo
Surah Al-Mumenoon, Verse 108
إِنَّهُۥ كَانَ فَرِيقٞ مِّنۡ عِبَادِي يَقُولُونَ رَبَّنَآ ءَامَنَّا فَٱغۡفِرۡ لَنَا وَٱرۡحَمۡنَا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰحِمِينَ
Tum wahi log to ho ke mere kuch banday jab kehte thay ke aye hamare parwardigar, hum iman laye, humein maaf karde, humpar reham kar, tu sab raheemon se accha raheem hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 109
فَٱتَّخَذۡتُمُوهُمۡ سِخۡرِيًّا حَتَّىٰٓ أَنسَوۡكُمۡ ذِكۡرِي وَكُنتُم مِّنۡهُمۡ تَضۡحَكُونَ
To tumne unka mazaaq bana liye, yahan tak ke unki zidd ne tumhein yeh bhi bhula diya ke main bhi koi hoon, aur tum unpar haste rahey
Surah Al-Mumenoon, Verse 110
إِنِّي جَزَيۡتُهُمُ ٱلۡيَوۡمَ بِمَا صَبَرُوٓاْ أَنَّهُمۡ هُمُ ٱلۡفَآئِزُونَ
Aaj unke us sabr ka maine yeh phal diya hai ke wahi kamiyaab hain”
Surah Al-Mumenoon, Verse 111
قَٰلَ كَمۡ لَبِثۡتُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ عَدَدَ سِنِينَ
Phir Allah taala unse puchega “batao,zameen mein tum kitne saal rahey?”
Surah Al-Mumenoon, Verse 112
قَالُواْ لَبِثۡنَا يَوۡمًا أَوۡ بَعۡضَ يَوۡمٖ فَسۡـَٔلِ ٱلۡعَآدِّينَ
Woh kahenge “ ek din ya din ka bhi kuch hissa hum wahan thehre hain, shumaar karne walon se pooch lijiye”
Surah Al-Mumenoon, Verse 113
قَٰلَ إِن لَّبِثۡتُمۡ إِلَّا قَلِيلٗاۖ لَّوۡ أَنَّكُمۡ كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Irshad hoga “ thodi hi dair thehre ho na, kaash tumne yeh us waqt jana hota
Surah Al-Mumenoon, Verse 114
أَفَحَسِبۡتُمۡ أَنَّمَا خَلَقۡنَٰكُمۡ عَبَثٗا وَأَنَّكُمۡ إِلَيۡنَا لَا تُرۡجَعُونَ
Kya tumne yeh samajh rakkha tha ke humne tumhein fizul(bekar) hi paida kiya hai aur tumhein hamari taraf kabhi palatna hi nahin hai?”
Surah Al-Mumenoon, Verse 115
فَتَعَٰلَى ٱللَّهُ ٱلۡمَلِكُ ٱلۡحَقُّۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ رَبُّ ٱلۡعَرۡشِ ٱلۡكَرِيمِ
Pas baala o bartar hai Allah , baadshah e haqiqi, koi khuda uske siwa nahin, maalik hai arsh e buzurg ka
Surah Al-Mumenoon, Verse 116
وَمَن يَدۡعُ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ لَا بُرۡهَٰنَ لَهُۥ بِهِۦ فَإِنَّمَا حِسَابُهُۥ عِندَ رَبِّهِۦٓۚ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلۡكَٰفِرُونَ
Aur jo koi Allah ke saath kisi aur maabood ko pukare, jiske liye uske paas koi daleel nahin, to uska hisaab uske Rubb ke paas hai. Aisey kafir kabhi falaah nahin paa sakte
Surah Al-Mumenoon, Verse 117
وَقُل رَّبِّ ٱغۡفِرۡ وَٱرۡحَمۡ وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰحِمِينَ
(Aey Muhammad) kaho, “Mere Rubb darguzar farma, aur reham kar, aur tu sab raheemon se accha raheem hai”
Surah Al-Mumenoon, Verse 118