Surah Al-Mumenoon - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
قَدۡ أَفۡلَحَ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
yaqinan imaan waalo ne falaah haasil karli
Surah Al-Mumenoon, Verse 1
ٱلَّذِينَ هُمۡ فِي صَلَاتِهِمۡ خَٰشِعُونَ
jo apni namaaz mein khushu karte hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 2
وَٱلَّذِينَ هُمۡ عَنِ ٱللَّغۡوِ مُعۡرِضُونَ
jo laghwiyaath se mu mod lete hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 3
وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِلزَّكَوٰةِ فَٰعِلُونَ
jo zakaath adaa karne waale hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 4
وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِفُرُوجِهِمۡ حَٰفِظُونَ
jo apni sharamgaaho ki hifaazath karne waale hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 5
إِلَّا عَلَىٰٓ أَزۡوَٰجِهِمۡ أَوۡ مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُهُمۡ فَإِنَّهُمۡ غَيۡرُ مَلُومِينَ
bajuz apni biwiyo aur milkiyath ki laundiyo ke, yaqinan ye malaamato mein se nahi hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 6
فَمَنِ ٱبۡتَغَىٰ وَرَآءَ ذَٰلِكَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡعَادُونَ
jo us ke siva kuch aur chaahe, wahi hadh se tajaawuz kar jaane waale hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 7
وَٱلَّذِينَ هُمۡ لِأَمَٰنَٰتِهِمۡ وَعَهۡدِهِمۡ رَٰعُونَ
jo apni amaanto aur waade ki hifaazath karne waale hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 8
وَٱلَّذِينَ هُمۡ عَلَىٰ صَلَوَٰتِهِمۡ يُحَافِظُونَ
jo apni namaazo ki nigehbaani karte hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 9
أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡوَٰرِثُونَ
yahi waaris hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 10
ٱلَّذِينَ يَرِثُونَ ٱلۡفِرۡدَوۡسَ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
jo firdaus ke waaris honge, jahaa wo hamesha rahenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 11
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ مِن سُلَٰلَةٖ مِّن طِينٖ
yaqinan hum ne insaan ko mitthi ke jauhar se paida kiya
Surah Al-Mumenoon, Verse 12
ثُمَّ جَعَلۡنَٰهُ نُطۡفَةٗ فِي قَرَارٖ مَّكِينٖ
phir ose nutfa bana kar, mehfooz jageh mein qaraar de diya
Surah Al-Mumenoon, Verse 13
ثُمَّ خَلَقۡنَا ٱلنُّطۡفَةَ عَلَقَةٗ فَخَلَقۡنَا ٱلۡعَلَقَةَ مُضۡغَةٗ فَخَلَقۡنَا ٱلۡمُضۡغَةَ عِظَٰمٗا فَكَسَوۡنَا ٱلۡعِظَٰمَ لَحۡمٗا ثُمَّ أَنشَأۡنَٰهُ خَلۡقًا ءَاخَرَۚ فَتَبَارَكَ ٱللَّهُ أَحۡسَنُ ٱلۡخَٰلِقِينَ
phir nutfe ko hum ne jama hoa qoon bana diya, phir us qoon ke luthde ko gosh ka tukda kar diya, phir gosh ke tukde ko haddiyaa bana di, phir haddiyo ko hum ne gosh pehna diya, phir dosri banaawat mein us ko paida kar diya, barkato waala hai wo Allah, jo sab se behetreen paida karne waala hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 14
ثُمَّ إِنَّكُم بَعۡدَ ذَٰلِكَ لَمَيِّتُونَ
us ke baadh phir tum sab yaqinan mar jaane waale ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 15
ثُمَّ إِنَّكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ تُبۡعَثُونَ
phir qayaamath ke din bila shuba tum sab uthaaye jaoge
Surah Al-Mumenoon, Verse 16
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا فَوۡقَكُمۡ سَبۡعَ طَرَآئِقَ وَمَا كُنَّا عَنِ ٱلۡخَلۡقِ غَٰفِلِينَ
hum ne tumhaare upar saath asmaan banaaye hai aur hum maqluqaath se ghaafil nahi hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 17
وَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءَۢ بِقَدَرٖ فَأَسۡكَنَّـٰهُ فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَإِنَّا عَلَىٰ ذَهَابِۭ بِهِۦ لَقَٰدِرُونَ
hum ek sahih andaaz se asmaan se paani barsaate hai, phir ose zameen mein tehra dete hai aur hum us ke le jaane par yaqinan qaadir hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 18
فَأَنشَأۡنَا لَكُم بِهِۦ جَنَّـٰتٖ مِّن نَّخِيلٖ وَأَعۡنَٰبٖ لَّكُمۡ فِيهَا فَوَٰكِهُ كَثِيرَةٞ وَمِنۡهَا تَأۡكُلُونَ
osi paani ke zariye se hum tumhaare liye khajuro aur anguro ke baghaath paida kar dete hai, ke tumhaare liye un mein bahuth se mewe hote hai, unhee mein se tum khaate bhi ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 19
وَشَجَرَةٗ تَخۡرُجُ مِن طُورِ سَيۡنَآءَ تَنۢبُتُ بِٱلدُّهۡنِ وَصِبۡغٖ لِّلۡأٓكِلِينَ
aur wo daraqth jo toor seena pahaad se nikalta hai, jo tel nikaalta hai aur khaane waale ke liye saalan hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 20
وَإِنَّ لَكُمۡ فِي ٱلۡأَنۡعَٰمِ لَعِبۡرَةٗۖ نُّسۡقِيكُم مِّمَّا فِي بُطُونِهَا وَلَكُمۡ فِيهَا مَنَٰفِعُ كَثِيرَةٞ وَمِنۡهَا تَأۡكُلُونَ
tumhaare liye chau paayo mein bhi badi bhaari ibrath hai, un ke peto mein se hum tumhe doodh pilaate hai, aur bhi bahuth se nafe tumhaare liye un mein hai, un mein se baaz baaz ko tum khaate bhi ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 21
وَعَلَيۡهَا وَعَلَى ٱلۡفُلۡكِ تُحۡمَلُونَ
aur un par aur kashtiyo par tum sawaar karaaye jaate ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 22
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ فَقَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥٓۚ أَفَلَا تَتَّقُونَ
yaqinan hum ne Nuh(alaihissalaam) ko us ki khaum ki taraf rasool bana kar bheja, us ne kaha ke aye meri khaum ke logo, Allah ki ibaadath karo aur us ke siva tumhaara koyi maboodh nahi, kya tum (us se) nahi darte
Surah Al-Mumenoon, Verse 23
فَقَالَ ٱلۡمَلَؤُاْ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦ مَا هَٰذَآ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُكُمۡ يُرِيدُ أَن يَتَفَضَّلَ عَلَيۡكُمۡ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَأَنزَلَ مَلَـٰٓئِكَةٗ مَّا سَمِعۡنَا بِهَٰذَا فِيٓ ءَابَآئِنَا ٱلۡأَوَّلِينَ
us ki khaum ke kaafir sardaaro ne saaf keh diya ke ye to tum jaisa hee insaan hai, ye tum par fazilath aur badaayi haasil karna chaahta hai, agar Allah hee ko manzoor hota, to kisi farishte ko utaar ta, hum ne to ise apne agle baap dadaao ke zamaane mein suna hee nahi
Surah Al-Mumenoon, Verse 24
إِنۡ هُوَ إِلَّا رَجُلُۢ بِهِۦ جِنَّةٞ فَتَرَبَّصُواْ بِهِۦ حَتَّىٰ حِينٖ
yaqinan us shaqs ko junoon hai, pas tum ose ek waqte muqarrar tak dheel do
Surah Al-Mumenoon, Verse 25
قَالَ رَبِّ ٱنصُرۡنِي بِمَا كَذَّبُونِ
Nuh (alaihissalaam) ne dua ki, aye mere rab! un ke jhutlaane par tu meri madad kar
Surah Al-Mumenoon, Verse 26
فَأَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡهِ أَنِ ٱصۡنَعِ ٱلۡفُلۡكَ بِأَعۡيُنِنَا وَوَحۡيِنَا فَإِذَا جَآءَ أَمۡرُنَا وَفَارَ ٱلتَّنُّورُ فَٱسۡلُكۡ فِيهَا مِن كُلّٖ زَوۡجَيۡنِ ٱثۡنَيۡنِ وَأَهۡلَكَ إِلَّا مَن سَبَقَ عَلَيۡهِ ٱلۡقَوۡلُ مِنۡهُمۡۖ وَلَا تُخَٰطِبۡنِي فِي ٱلَّذِينَ ظَلَمُوٓاْ إِنَّهُم مُّغۡرَقُونَ
to hum ne un ki taraf wahi bheji, ke tu hamaari aankho ke saamne hamaari wahi ke mutaabiq ek kashti bana, jab hamara hukm aa jaaye aur tanvvor ubal pade, to , tu har qism ka ek ek joda us mein rakh le aur apne ahal ko bhi, magar un mein se jin ki baabath hamaari baath pehle guzar chuki hai, qabardaar jin logo ne zulm kiya hai, un ke baare mein, mujh se kuch kalaam na karna, wo to sab duboye jayenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 27
فَإِذَا ٱسۡتَوَيۡتَ أَنتَ وَمَن مَّعَكَ عَلَى ٱلۡفُلۡكِ فَقُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي نَجَّىٰنَا مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
jab tu aur tere saathi kashti par ba itmenaan baith jaao, to kehna ke sab tareef Allah ke liye hee hai, jis ne hamein zaalim logo se najaath ataa farmaayi
Surah Al-Mumenoon, Verse 28
وَقُل رَّبِّ أَنزِلۡنِي مُنزَلٗا مُّبَارَكٗا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡمُنزِلِينَ
aur kaha ke aye mere rab! mujhe ba barkath jageh utaar aur tu hee behetreen utaarne waala hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 29
إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ وَإِن كُنَّا لَمُبۡتَلِينَ
yaqinan us mein badi badi nishaaniya hai aur hum beshak azmaayesh karne waale hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 30
ثُمَّ أَنشَأۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِمۡ قَرۡنًا ءَاخَرِينَ
un ke baadh hum ne aur bhi ummath paida ki
Surah Al-Mumenoon, Verse 31
فَأَرۡسَلۡنَا فِيهِمۡ رَسُولٗا مِّنۡهُمۡ أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥٓۚ أَفَلَا تَتَّقُونَ
phir un mein, khud un mein se (hee) rasool bhi bheja ke tum sab Allah ki ibaadath karo, us ke siva tumhaara koyi maboodh nahi, tum kyo nahi darte
Surah Al-Mumenoon, Verse 32
وَقَالَ ٱلۡمَلَأُ مِن قَوۡمِهِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِلِقَآءِ ٱلۡأٓخِرَةِ وَأَتۡرَفۡنَٰهُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا مَا هَٰذَآ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُكُمۡ يَأۡكُلُ مِمَّا تَأۡكُلُونَ مِنۡهُ وَيَشۡرَبُ مِمَّا تَشۡرَبُونَ
aur sardaraane khaum ne jawaab diya, jo kufr karte thein aur aaqirath ki mualaqaath ko jhutlaate thein, aur hum ne unhe dunyawi zindagi mein khush haal kar rakha tha, ke ye to tum jaisa hee insaan hai, tumhaari hee quraak ye bhi khaata hai aur tumhaare peene ka paani hee ye bhi peeta hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 33
وَلَئِنۡ أَطَعۡتُم بَشَرٗا مِّثۡلَكُمۡ إِنَّكُمۡ إِذٗا لَّخَٰسِرُونَ
agar tum ne apne jaise hee insaan ki taabedaari karli, to beshak tum saqt qasaare waale ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 34
أَيَعِدُكُمۡ أَنَّكُمۡ إِذَا مِتُّمۡ وَكُنتُمۡ تُرَابٗا وَعِظَٰمًا أَنَّكُم مُّخۡرَجُونَ
kya ye tumhe is baath ka waada karta hai, ke jab tum mar kar sirf qaak aur haddi reh jaoge, to tum phir zinda kiye jaoge
Surah Al-Mumenoon, Verse 35
۞هَيۡهَاتَ هَيۡهَاتَ لِمَا تُوعَدُونَ
nahi nahi, door aur bahuth door hai wo jis ka tum waada diye jaate ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 36
إِنۡ هِيَ إِلَّا حَيَاتُنَا ٱلدُّنۡيَا نَمُوتُ وَنَحۡيَا وَمَا نَحۡنُ بِمَبۡعُوثِينَ
(zindagi) to sirf dunya ki zindagi hai, hum marte jeete rehte hai aur ye nahi ke hum phir uthaaye jayenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 37
إِنۡ هُوَ إِلَّا رَجُلٌ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبٗا وَمَا نَحۡنُ لَهُۥ بِمُؤۡمِنِينَ
ye to bas aisa shaqs hai jis ne Allah par jhoot (buhtaan) baandh liya hai, hum to us par imaan laane waale nahi hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 38
قَالَ رَبِّ ٱنصُرۡنِي بِمَا كَذَّبُونِ
nabi ne dua ki ke parvardigaar, un ke jhutlaane par tu meri madad kar
Surah Al-Mumenoon, Verse 39
قَالَ عَمَّا قَلِيلٖ لَّيُصۡبِحُنَّ نَٰدِمِينَ
jawaab mila ke ye to bahuth hee jald apne kiye par pachtaane lagenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 40
فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّيۡحَةُ بِٱلۡحَقِّ فَجَعَلۡنَٰهُمۡ غُثَآءٗۚ فَبُعۡدٗا لِّلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
bil aaqir adl ke taqaaze ke mutaabiq, cheeq ne pakad liya aur hum ne inhe kudaa kar-kat kar daala, pas zaalimo ke liye doori ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 41
ثُمَّ أَنشَأۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِمۡ قُرُونًا ءَاخَرِينَ
un ke baadh hum ne aur bhi bahuth si ummate paida ki
Surah Al-Mumenoon, Verse 42
مَا تَسۡبِقُ مِنۡ أُمَّةٍ أَجَلَهَا وَمَا يَسۡتَـٔۡخِرُونَ
na to koyi ummath apne waqte muqarrara se aage badi aur na piche rahi
Surah Al-Mumenoon, Verse 43
ثُمَّ أَرۡسَلۡنَا رُسُلَنَا تَتۡرَاۖ كُلَّ مَا جَآءَ أُمَّةٗ رَّسُولُهَا كَذَّبُوهُۖ فَأَتۡبَعۡنَا بَعۡضَهُم بَعۡضٗا وَجَعَلۡنَٰهُمۡ أَحَادِيثَۚ فَبُعۡدٗا لِّقَوۡمٖ لَّا يُؤۡمِنُونَ
phir hum ne lagataar rasool bheje, jab jab jis ummath ke paas us ka rasool ayaa, us ne jhutlaaya, pas hum ne ek ko dosre ke piche laga diya aur unhe afsaana bana diya, un ke logo ko doori hai jo imaan qubool nahi karte
Surah Al-Mumenoon, Verse 44
ثُمَّ أَرۡسَلۡنَا مُوسَىٰ وَأَخَاهُ هَٰرُونَ بِـَٔايَٰتِنَا وَسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٍ
phir hum ne Mosa(alaihissalaam) ko aur us ke bhai Haroon(alaihissalaam) ko apni aayato aur khuli daleel ke saath bheja
Surah Al-Mumenoon, Verse 45
إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦ فَٱسۡتَكۡبَرُواْ وَكَانُواْ قَوۡمًا عَالِينَ
feraun aur us ke lashkaro ki taraf, pas unhone takabbur kiya aur thein hee wo sarkash log
Surah Al-Mumenoon, Verse 46
فَقَالُوٓاْ أَنُؤۡمِنُ لِبَشَرَيۡنِ مِثۡلِنَا وَقَوۡمُهُمَا لَنَا عَٰبِدُونَ
kehne lage ke kya hum apne jaise do shaqso par imaan laaye? halaan ke khud un ki khaum (bhi) hamaare ma taheth hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 47
فَكَذَّبُوهُمَا فَكَانُواْ مِنَ ٱلۡمُهۡلَكِينَ
pas unhone un duno ko jhutlaaya, aaqir wo bhi halaak shuda logo mein mil gaye
Surah Al-Mumenoon, Verse 48
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ لَعَلَّهُمۡ يَهۡتَدُونَ
hum ne to mMsa(alaihissalaam) ko kitaab (bhi) di, ke log raahe raasth par aa jaaye
Surah Al-Mumenoon, Verse 49
وَجَعَلۡنَا ٱبۡنَ مَرۡيَمَ وَأُمَّهُۥٓ ءَايَةٗ وَءَاوَيۡنَٰهُمَآ إِلَىٰ رَبۡوَةٖ ذَاتِ قَرَارٖ وَمَعِينٖ
hum ne ibn Maryam aur us ke waaleda ko, ek nishaani banaya aur un duno ko bulandh saaf qaraar waali aur jaari paani waali jageh mein panaah di
Surah Al-Mumenoon, Verse 50
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلرُّسُلُ كُلُواْ مِنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ وَٱعۡمَلُواْ صَٰلِحًاۖ إِنِّي بِمَا تَعۡمَلُونَ عَلِيمٞ
aye paighambaro! halaal chize khao aur nek amal karo, tum jo kuch kar rahe ho us se main ba-qoobi waaqif hoon
Surah Al-Mumenoon, Verse 51
وَإِنَّ هَٰذِهِۦٓ أُمَّتُكُمۡ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ وَأَنَا۠ رَبُّكُمۡ فَٱتَّقُونِ
yaqinan tumhara ye deen ek hee deen hai aur mein hee tum sab ka rab hoon, pas tum mujh se darte raho
Surah Al-Mumenoon, Verse 52
فَتَقَطَّعُوٓاْ أَمۡرَهُم بَيۡنَهُمۡ زُبُرٗاۖ كُلُّ حِزۡبِۭ بِمَا لَدَيۡهِمۡ فَرِحُونَ
phir unhone khud (hee) apne amr (deen) ke aapas mein tukde tukde kar liye, har gruh jo kuch us ke paas hai, osi par itra raha hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 53
فَذَرۡهُمۡ فِي غَمۡرَتِهِمۡ حَتَّىٰ حِينٍ
pas aap (bhi) inhe un ki ghaflath mein hee kuch muddath pada rehne de
Surah Al-Mumenoon, Verse 54
أَيَحۡسَبُونَ أَنَّمَا نُمِدُّهُم بِهِۦ مِن مَّالٖ وَبَنِينَ
kya ye (yo) samajh baithe hai? ke hum jo bhi un ke maal wa aulaad bada rahe hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 55
نُسَارِعُ لَهُمۡ فِي ٱلۡخَيۡرَٰتِۚ بَل لَّا يَشۡعُرُونَ
wo un ke liye bhalaiyyo mein jaldi kar rahe hai (nahi nahi) balke ye samajhte hee nahi
Surah Al-Mumenoon, Verse 56
إِنَّ ٱلَّذِينَ هُم مِّنۡ خَشۡيَةِ رَبِّهِم مُّشۡفِقُونَ
yaqinan jo log apne rab ki haybath se darte hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 57
وَٱلَّذِينَ هُم بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمۡ يُؤۡمِنُونَ
aur jo apne rab ki aayato par imaan rakhte hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 58
وَٱلَّذِينَ هُم بِرَبِّهِمۡ لَا يُشۡرِكُونَ
aur jo apne rab ke saath kisi ko shareek nahi karte
Surah Al-Mumenoon, Verse 59
وَٱلَّذِينَ يُؤۡتُونَ مَآ ءَاتَواْ وَّقُلُوبُهُمۡ وَجِلَةٌ أَنَّهُمۡ إِلَىٰ رَبِّهِمۡ رَٰجِعُونَ
aur jo log dete hai, jo kuch dete hai aur un ke dil kap kapaate hai ke wo apne rab ki taraf lautne waale hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 60
أُوْلَـٰٓئِكَ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡخَيۡرَٰتِ وَهُمۡ لَهَا سَٰبِقُونَ
yahi hai jo jaldi jaldi bhalaiyya haasil kar rahe hai aur yahi hai, jo un ki taraf daud jaane waale hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 61
وَلَا نُكَلِّفُ نَفۡسًا إِلَّا وُسۡعَهَاۚ وَلَدَيۡنَا كِتَٰبٞ يَنطِقُ بِٱلۡحَقِّ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
hum kisi nafs ko us ki taaqath se zyaada takleef nahi dete aur hamaare paas aisi kitaab hai jo haq ke saath bolti hai, un ke upar kuch bhi zulm na kiya jayega
Surah Al-Mumenoon, Verse 62
بَلۡ قُلُوبُهُمۡ فِي غَمۡرَةٖ مِّنۡ هَٰذَا وَلَهُمۡ أَعۡمَٰلٞ مِّن دُونِ ذَٰلِكَ هُمۡ لَهَا عَٰمِلُونَ
balke un ke dil us taraf se ghaflath mein hai, aur un ke liye us ke siva bhi bahuth se amaal hai jinhe wo karne waale hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 63
حَتَّىٰٓ إِذَآ أَخَذۡنَا مُتۡرَفِيهِم بِٱلۡعَذَابِ إِذَا هُمۡ يَجۡـَٔرُونَ
yahaan tak ke jab hum ne un ke aasuda haal logo ko azaab mein pakad liya, to wo bil-bilaane lage
Surah Al-Mumenoon, Verse 64
لَا تَجۡـَٔرُواْ ٱلۡيَوۡمَۖ إِنَّكُم مِّنَّا لَا تُنصَرُونَ
aaj math bil-bilaao, yaqinan tum hamaare muqaable par madad na kiye jaoge
Surah Al-Mumenoon, Verse 65
قَدۡ كَانَتۡ ءَايَٰتِي تُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ فَكُنتُمۡ عَلَىٰٓ أَعۡقَٰبِكُمۡ تَنكِصُونَ
meri aayate to tumhaare saamne padi jaati thi, phir bhi tum apni ediyo ke bal ulte bhaagte thein
Surah Al-Mumenoon, Verse 66
مُسۡتَكۡبِرِينَ بِهِۦ سَٰمِرٗا تَهۡجُرُونَ
akadte aint’te, afsaana goyi karte ose chohd dete thein
Surah Al-Mumenoon, Verse 67
أَفَلَمۡ يَدَّبَّرُواْ ٱلۡقَوۡلَ أَمۡ جَآءَهُم مَّا لَمۡ يَأۡتِ ءَابَآءَهُمُ ٱلۡأَوَّلِينَ
kya unhone is baath mein ghaur wa fikr hee nahi kiya? balke un ke paas wo ayaath jo unke agle baap dadaao ke paas nahi aya tha
Surah Al-Mumenoon, Verse 68
أَمۡ لَمۡ يَعۡرِفُواْ رَسُولَهُمۡ فَهُمۡ لَهُۥ مُنكِرُونَ
ya unhone apne paighambar ko pehchana nahi, ke us ke munkir ho rahe hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 69
أَمۡ يَقُولُونَ بِهِۦ جِنَّةُۢۚ بَلۡ جَآءَهُم بِٱلۡحَقِّ وَأَكۡثَرُهُمۡ لِلۡحَقِّ كَٰرِهُونَ
ya, ye kehte hai ke, ose junoon hai? balke wo to un ke paas haq laaya hai, haan un mein aksar haq se chidne waale hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 70
وَلَوِ ٱتَّبَعَ ٱلۡحَقُّ أَهۡوَآءَهُمۡ لَفَسَدَتِ ٱلسَّمَٰوَٰتُ وَٱلۡأَرۡضُ وَمَن فِيهِنَّۚ بَلۡ أَتَيۡنَٰهُم بِذِكۡرِهِمۡ فَهُمۡ عَن ذِكۡرِهِم مُّعۡرِضُونَ
agar haq hee un ki qaahisho ka pairao ho jaaye to, zameen wa asamaan aur un ke darmiyaan ki har cheez darham barham ho jaaye, haq to ye hai ke hum ne inhe un ki nasihath pahonchadi hai, lekin wo apni nasihath se mu modne waale hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 71
أَمۡ تَسۡـَٔلُهُمۡ خَرۡجٗا فَخَرَاجُ رَبِّكَ خَيۡرٞۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰزِقِينَ
kya aap un se koyi ujrath chahte hai? yaad rakhiye ke aap ke rab ki ujrath bahuth hee behtar hai aur wo sab se behtar rozi rasa hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 72
وَإِنَّكَ لَتَدۡعُوهُمۡ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
yaqinan aap to unhe raahe raasth ki taraf bula rahe hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 73
وَإِنَّ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ عَنِ ٱلصِّرَٰطِ لَنَٰكِبُونَ
beshak jo log aaqirath par yaqeen nahi rakhte, wo sidhe raaste se mud jaane waale hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 74
۞وَلَوۡ رَحِمۡنَٰهُمۡ وَكَشَفۡنَا مَا بِهِم مِّن ضُرّٖ لَّلَجُّواْ فِي طُغۡيَٰنِهِمۡ يَعۡمَهُونَ
aur agar hum un par rahem farmaaye aur un ki taklife door karde, to ye to apni apni sarkashi mein jam kar aur behekne lage
Surah Al-Mumenoon, Verse 75
وَلَقَدۡ أَخَذۡنَٰهُم بِٱلۡعَذَابِ فَمَا ٱسۡتَكَانُواْ لِرَبِّهِمۡ وَمَا يَتَضَرَّعُونَ
aur hum ne unhe azaab mein bhi pakda, ta-hum ye log na to apne parvardigaar ke saamne jhuke aur na hee aajizi eqtiyaar ki
Surah Al-Mumenoon, Verse 76
حَتَّىٰٓ إِذَا فَتَحۡنَا عَلَيۡهِم بَابٗا ذَا عَذَابٖ شَدِيدٍ إِذَا هُمۡ فِيهِ مُبۡلِسُونَ
yahaan tak ke jab hum ne, un par saqt azaab ka, darwaaza qol diya, to osi waqt fauran mayoos ho gaye
Surah Al-Mumenoon, Verse 77
وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَ لَكُمُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَٰرَ وَٱلۡأَفۡـِٔدَةَۚ قَلِيلٗا مَّا تَشۡكُرُونَ
wo Allah hai jis ne tumhaare liye, kaan aur aankhe aur dil paida kiye, magar tum bahuth hee kam shukr karte ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 78
وَهُوَ ٱلَّذِي ذَرَأَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَإِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
aur wahi hai jis ne tumhe paida kar ke zameen mein phaila diya aur osi ki taraf tum jama kiye jaoge
Surah Al-Mumenoon, Verse 79
وَهُوَ ٱلَّذِي يُحۡيِۦ وَيُمِيتُ وَلَهُ ٱخۡتِلَٰفُ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
aur ye wahi hai jo jilaata aur maarta hai aur raath din ke raddo badal ka muqtaar bhi wahi hai, kya tum ko samajh boojh nahi
Surah Al-Mumenoon, Verse 80
بَلۡ قَالُواْ مِثۡلَ مَا قَالَ ٱلۡأَوَّلُونَ
balke un logo ne bhi waisi hee baath kahi, jo agle kehte chale aaye
Surah Al-Mumenoon, Verse 81
قَالُوٓاْ أَءِذَا مِتۡنَا وَكُنَّا تُرَابٗا وَعِظَٰمًا أَءِنَّا لَمَبۡعُوثُونَ
ke kya jab hum mar kar mitthi aur haddi ho jayenge, kya phir bhi hum zaroor uthaaye jayenge
Surah Al-Mumenoon, Verse 82
لَقَدۡ وُعِدۡنَا نَحۡنُ وَءَابَآؤُنَا هَٰذَا مِن قَبۡلُ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
hum se aur hamaare baap dadaao se, pehle hee se ye waada hota chala ayaa hai, kuch nahi, ye to sirf agle logo ke afsaane hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 83
قُل لِّمَنِ ٱلۡأَرۡضُ وَمَن فِيهَآ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
pochiye to sahih, ke zameen aur us ki kul cheeze kis ki hai? batlaao agar jaante ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 84
سَيَقُولُونَ لِلَّهِۚ قُلۡ أَفَلَا تَذَكَّرُونَ
fauran jawaab denge ke Allah ki, keh dijiye ke phir tum nasihath kyo nahi haasil karte
Surah Al-Mumenoon, Verse 85
قُلۡ مَن رَّبُّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ ٱلسَّبۡعِ وَرَبُّ ٱلۡعَرۡشِ ٱلۡعَظِيمِ
daryaaft ki jiye ke saatho asmaano ka aur bahuth ba azmath arsh ka rab kaun hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 86
سَيَقُولُونَ لِلَّهِۚ قُلۡ أَفَلَا تَتَّقُونَ
wo log jawaab denge ke Allah hee hai, keh dijiye ke phir tum kyo nahi darte
Surah Al-Mumenoon, Verse 87
قُلۡ مَنۢ بِيَدِهِۦ مَلَكُوتُ كُلِّ شَيۡءٖ وَهُوَ يُجِيرُ وَلَا يُجَارُ عَلَيۡهِ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
pochiye ke tamaam cheezo ka eqtiyaar kis ke haath mein hai? ao panaah deta hai aur jis ke muqaable mein koyi panaah nahi diya jaata, agar tum jaante ho, to batla do
Surah Al-Mumenoon, Verse 88
سَيَقُولُونَ لِلَّهِۚ قُلۡ فَأَنَّىٰ تُسۡحَرُونَ
yahi jawaab denge ke Allah hee hai, keh dijiye, phir tum kidhar se jaadu kar diye jaate ho
Surah Al-Mumenoon, Verse 89
بَلۡ أَتَيۡنَٰهُم بِٱلۡحَقِّ وَإِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
haq ye hai ke hum ne unhe haq pahoncha diya hai aur ye beshak jhute hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 90
مَا ٱتَّخَذَ ٱللَّهُ مِن وَلَدٖ وَمَا كَانَ مَعَهُۥ مِنۡ إِلَٰهٍۚ إِذٗا لَّذَهَبَ كُلُّ إِلَٰهِۭ بِمَا خَلَقَ وَلَعَلَا بَعۡضُهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۚ سُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ عَمَّا يَصِفُونَ
na to Allah ne kisi ko bete banaya aur na us ke saath aur koyi maboodh hai, warna har maboodh apni maqlooq ko liye liye phirta aur har ek dosre par chad daudta, jo ausaaf ye batlaate hai, un se Allah paak(aur be niyaaz) hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 91
عَٰلِمِ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ فَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
wo ghaayeb haazir jaanne waala hai aur jo shirk ye karte hai, us se baalaatar hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 92
قُل رَّبِّ إِمَّا تُرِيَنِّي مَا يُوعَدُونَ
aap dua kare ke aye mere parvardigaar! agar tu mujhe wo dikhaaye jis ka waada unhe diya ja raha hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 93
رَبِّ فَلَا تَجۡعَلۡنِي فِي ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
to aye rab! tu mujhe un zaalimo ke gruh mein na karna
Surah Al-Mumenoon, Verse 94
وَإِنَّا عَلَىٰٓ أَن نُّرِيَكَ مَا نَعِدُهُمۡ لَقَٰدِرُونَ
hum jo kch waade unhe de rahe hai, sab aap ko dikha dene par yaqinan qaadir hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 95
ٱدۡفَعۡ بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ ٱلسَّيِّئَةَۚ نَحۡنُ أَعۡلَمُ بِمَا يَصِفُونَ
buraayi ko us tariqe se door kare, jo saraasar bhalaayi waala ho, jo kuch ye bayaan karte hai, hum ba-qoobi waaqif hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 96
وَقُل رَّبِّ أَعُوذُ بِكَ مِنۡ هَمَزَٰتِ ٱلشَّيَٰطِينِ
aur dua kare ke aye mere parvardigaar! main shaitaano ke was-waso se teri panaah chaahta hoon
Surah Al-Mumenoon, Verse 97
وَأَعُوذُ بِكَ رَبِّ أَن يَحۡضُرُونِ
aur aye rab main teri panaah chahta hoon ke wo mere paas aa jaaye
Surah Al-Mumenoon, Verse 98
حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَ أَحَدَهُمُ ٱلۡمَوۡتُ قَالَ رَبِّ ٱرۡجِعُونِ
yahaan tak ke jab un mein se kisi ko mauth aane lagti hai, to kehta hai, aye mere parvardigaar! mujhe waapas lauta de
Surah Al-Mumenoon, Verse 99
لَعَلِّيٓ أَعۡمَلُ صَٰلِحٗا فِيمَا تَرَكۡتُۚ كَلَّآۚ إِنَّهَا كَلِمَةٌ هُوَ قَآئِلُهَاۖ وَمِن وَرَآئِهِم بَرۡزَخٌ إِلَىٰ يَوۡمِ يُبۡعَثُونَ
ke apni chohdi hoyi dunya mein ja kar nek amaal karlo, har giz aisa nahi hoga, ye to sirf ek qaul hai, jis ka ye qaayal hai, un ke pusht to ek hijaab hai, un ke dubaara ji uthne ke din tak
Surah Al-Mumenoon, Verse 100
فَإِذَا نُفِخَ فِي ٱلصُّورِ فَلَآ أَنسَابَ بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَئِذٖ وَلَا يَتَسَآءَلُونَ
pas jab ke soor phoonk diya jayega, us din na to aapas ke rishtedaar hee rahenge aur na aapas ki poch gaj
Surah Al-Mumenoon, Verse 101
فَمَن ثَقُلَتۡ مَوَٰزِينُهُۥ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
jin ki taraazu ka palla bhaari ho gaya, wo to najaath waale ho gaye
Surah Al-Mumenoon, Verse 102
وَمَنۡ خَفَّتۡ مَوَٰزِينُهُۥ فَأُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فِي جَهَنَّمَ خَٰلِدُونَ
aur jin ke taraazu ka palla halka ho gaya, ye hai wo jinhone apna nuqsaan aap kar liya, jo hamesha ke liye jahannam waasil hoye
Surah Al-Mumenoon, Verse 103
تَلۡفَحُ وُجُوهَهُمُ ٱلنَّارُ وَهُمۡ فِيهَا كَٰلِحُونَ
un ke chehro ko aag jhulasti rahegi aur wo wahaan badh shakal bane hoye honge
Surah Al-Mumenoon, Verse 104
أَلَمۡ تَكُنۡ ءَايَٰتِي تُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ فَكُنتُم بِهَا تُكَذِّبُونَ
kya meri aayate tumhaare saamne tilaawath nahi ki jaati thi? phir bhi tum unhe jhutlaate thein
Surah Al-Mumenoon, Verse 105
قَالُواْ رَبَّنَا غَلَبَتۡ عَلَيۡنَا شِقۡوَتُنَا وَكُنَّا قَوۡمٗا ضَآلِّينَ
kahenge ke aye parvardigaar! hamaari badh-baqti hum par ghaalib aa gayi (waaqeyi) hum thein hee gumraah
Surah Al-Mumenoon, Verse 106
رَبَّنَآ أَخۡرِجۡنَا مِنۡهَا فَإِنۡ عُدۡنَا فَإِنَّا ظَٰلِمُونَ
aye hamaare parvardigaar hamein yahaan se najaath de, agar ab bhi hum aisa hee kare, to beshak hum zaalim hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 107
قَالَ ٱخۡسَـُٔواْ فِيهَا وَلَا تُكَلِّمُونِ
Allah ta’ala farmaayega, phit kaare hoye yaheen pade raho aur mujh se kalaam na karo
Surah Al-Mumenoon, Verse 108
إِنَّهُۥ كَانَ فَرِيقٞ مِّنۡ عِبَادِي يَقُولُونَ رَبَّنَآ ءَامَنَّا فَٱغۡفِرۡ لَنَا وَٱرۡحَمۡنَا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰحِمِينَ
mere bandho ki ek jamaath thi jo baraabar yahi kehti rahi ke aye hamaare parvardigaar! hum imaan la chuke hai, tu hamein baqsh aur hum par rahem farma, tu sab meherbaano se zyaada meherbaan hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 109
فَٱتَّخَذۡتُمُوهُمۡ سِخۡرِيًّا حَتَّىٰٓ أَنسَوۡكُمۡ ذِكۡرِي وَكُنتُم مِّنۡهُمۡ تَضۡحَكُونَ
(lekin) tum unhe mazaaq mein hee udaate rahe yahaan tak ke (is mashghale ne) tum ko meri yaad (bhi) bhula di aur tum un se mazaaq hee karte rahe
Surah Al-Mumenoon, Verse 110
إِنِّي جَزَيۡتُهُمُ ٱلۡيَوۡمَ بِمَا صَبَرُوٓاْ أَنَّهُمۡ هُمُ ٱلۡفَآئِزُونَ
main ne aaj unhe un ke us sabr ka badhla de diya hai, ke wo qaatir qaah apni muraad ko pahonch chuke hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 111
قَٰلَ كَمۡ لَبِثۡتُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ عَدَدَ سِنِينَ
Allah ta’ala daryaafth farmayega ke tum zameen mein ba-etebaar barso ki ginti ke, kis qadar rahe
Surah Al-Mumenoon, Verse 112
قَالُواْ لَبِثۡنَا يَوۡمًا أَوۡ بَعۡضَ يَوۡمٖ فَسۡـَٔلِ ٱلۡعَآدِّينَ
wo kahenge ek din ya ek din se bhi kam, ginti ginne waalo se bhi poch li jiye
Surah Al-Mumenoon, Verse 113
قَٰلَ إِن لَّبِثۡتُمۡ إِلَّا قَلِيلٗاۖ لَّوۡ أَنَّكُمۡ كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Allah ta’ala farmayega fi l waaqe tum wahaa bahuth hee kam rahe ho, aye kaash ke tum ose pehle hee se jaan lete
Surah Al-Mumenoon, Verse 114
أَفَحَسِبۡتُمۡ أَنَّمَا خَلَقۡنَٰكُمۡ عَبَثٗا وَأَنَّكُمۡ إِلَيۡنَا لَا تُرۡجَعُونَ
kya tum ye gumaan kiye hoye ho ke hum ne tumhe yo hee bekaar paida kiya hai aur ye ke tum hamaari taraf lautaaye hee na jaoge
Surah Al-Mumenoon, Verse 115
فَتَعَٰلَى ٱللَّهُ ٱلۡمَلِكُ ٱلۡحَقُّۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ رَبُّ ٱلۡعَرۡشِ ٱلۡكَرِيمِ
Allah ta’ala saccha baadshah hai, wo badi bulandi waala hai, us ke siva koyi maboodh nahi, wahi buzrug arsh ka maalik hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 116
وَمَن يَدۡعُ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ لَا بُرۡهَٰنَ لَهُۥ بِهِۦ فَإِنَّمَا حِسَابُهُۥ عِندَ رَبِّهِۦٓۚ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلۡكَٰفِرُونَ
jo shaqs Allah ke saath kisi dosre maboodh ko pukaare jis ki koyi daleel us ke paas nahi, pas us ka hisaab to us ke rab ke upar hee hai, beshak kaafir log najaath se mehroom hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 117
وَقُل رَّبِّ ٱغۡفِرۡ وَٱرۡحَمۡ وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰحِمِينَ
aur kaho ke aye mere rab! tu baqsh aur rahem kar aur tu sab meherbaano se behtar meherbaani karne waala hai
Surah Al-Mumenoon, Verse 118