Surah Al-Hajj - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱتَّقُواْ رَبَّكُمۡۚ إِنَّ زَلۡزَلَةَ ٱلسَّاعَةِ شَيۡءٌ عَظِيمٞ
Logon, apne Rubb ke gazab se bacho, haqeeqat yeh hai ke qayamat ka zalzala badi (haulnaak) cheez hai
Surah Al-Hajj, Verse 1
يَوۡمَ تَرَوۡنَهَا تَذۡهَلُ كُلُّ مُرۡضِعَةٍ عَمَّآ أَرۡضَعَتۡ وَتَضَعُ كُلُّ ذَاتِ حَمۡلٍ حَمۡلَهَا وَتَرَى ٱلنَّاسَ سُكَٰرَىٰ وَمَا هُم بِسُكَٰرَىٰ وَلَٰكِنَّ عَذَابَ ٱللَّهِ شَدِيدٞ
Jis roz tum usey dekhoge, haal yeh hoga ke har doodh pilane wali apne doodh peetay bacchey se gaafil ho jayegi, har haamila (pregnant) ka hamal gir jayega, aur log tumko madhosh nazar aayenge, halanke woh nashey mein na hongey, balke Allah ka azaab hi kuch aisa sakht hoga
Surah Al-Hajj, Verse 2
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يُجَٰدِلُ فِي ٱللَّهِ بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَيَتَّبِعُ كُلَّ شَيۡطَٰنٖ مَّرِيدٖ
Baaz log aisey hain jo ilm ke bagair Allah ke barey mein bahas karte hain aur har shaytaan e sarkash ki pairwi karne lagte hain
Surah Al-Hajj, Verse 3
كُتِبَ عَلَيۡهِ أَنَّهُۥ مَن تَوَلَّاهُ فَأَنَّهُۥ يُضِلُّهُۥ وَيَهۡدِيهِ إِلَىٰ عَذَابِ ٱلسَّعِيرِ
Halanke uske to naseeb hi mein yeh likha hai ke jo usko dost banayega usey woh gumraah karke chodega aur azaab e jahannum ka raasta dikhayega
Surah Al-Hajj, Verse 4
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِن كُنتُمۡ فِي رَيۡبٖ مِّنَ ٱلۡبَعۡثِ فَإِنَّا خَلَقۡنَٰكُم مِّن تُرَابٖ ثُمَّ مِن نُّطۡفَةٖ ثُمَّ مِنۡ عَلَقَةٖ ثُمَّ مِن مُّضۡغَةٖ مُّخَلَّقَةٖ وَغَيۡرِ مُخَلَّقَةٖ لِّنُبَيِّنَ لَكُمۡۚ وَنُقِرُّ فِي ٱلۡأَرۡحَامِ مَا نَشَآءُ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗى ثُمَّ نُخۡرِجُكُمۡ طِفۡلٗا ثُمَّ لِتَبۡلُغُوٓاْ أَشُدَّكُمۡۖ وَمِنكُم مَّن يُتَوَفَّىٰ وَمِنكُم مَّن يُرَدُّ إِلَىٰٓ أَرۡذَلِ ٱلۡعُمُرِ لِكَيۡلَا يَعۡلَمَ مِنۢ بَعۡدِ عِلۡمٖ شَيۡـٔٗاۚ وَتَرَى ٱلۡأَرۡضَ هَامِدَةٗ فَإِذَآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡهَا ٱلۡمَآءَ ٱهۡتَزَّتۡ وَرَبَتۡ وَأَنۢبَتَتۡ مِن كُلِّ زَوۡجِۭ بَهِيجٖ
Logon, agar tumhein zindagi baad e maut ke barey mein kuch shakk hai to tumhein maloom ho ke humne tumko mitti se paida kiya hai, phir nutfe se,phir khoon ke lothdey se, phir gosht ki boti se jo shakal waali bhi hoti hai aur be shakal bhi ( yeh hum isliye bata rahey hain) taa-ke tumpar haqeeqat wazeh kardein, hum jis (nutfe) ko chahte hain ek khaas waqt tak rehemo (wombs) mein thehraye rakhte hain, phir tumko ek bacchey ki surat mein nikal latey hain, (phir tumhein parwarish karte hain) taa-ke tum apni poori jawani ko pahuncho aur tum mein se koi pehle hi wapas bula liya jata hai aur koi badhtareen umar ki taraf pher diya jata hai, taa-ke sab kuch jaanney ke baad phir kuch na janey. Aur tum dekhte ho ke zameen sukhi padi hai, phir jahan humne uspar meh barsaya ke yakayak woh phabak uthi aur phool gayi aur usne har qisam ki khush manzar nabataat(vegetation) ugalni shuri kardi
Surah Al-Hajj, Verse 5
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡحَقُّ وَأَنَّهُۥ يُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَأَنَّهُۥ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Ye sab kuch is wajah se hai ke Allah hi haqq hai, aur woh murdon ko zinda karta hai, aur woh har cheez par qadir hai
Surah Al-Hajj, Verse 6
وَأَنَّ ٱلسَّاعَةَ ءَاتِيَةٞ لَّا رَيۡبَ فِيهَا وَأَنَّ ٱللَّهَ يَبۡعَثُ مَن فِي ٱلۡقُبُورِ
Aur yeh (is baat ki daleel hai) ke qayamat ki ghadi aakar rahegi, is mein kisi shakk ki gunjaish nahin, aur Allah zaroor un logon ko uthayega jo qabaron mein jaa chuke hain
Surah Al-Hajj, Verse 7
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يُجَٰدِلُ فِي ٱللَّهِ بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَلَا هُدٗى وَلَا كِتَٰبٖ مُّنِيرٖ
Baaz log aisey hain jo kisi ilm aur hidayat aur roshni bakshne wali kitaab ke bagair, gardan akdaye huey
Surah Al-Hajj, Verse 8
ثَانِيَ عِطۡفِهِۦ لِيُضِلَّ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۖ لَهُۥ فِي ٱلدُّنۡيَا خِزۡيٞۖ وَنُذِيقُهُۥ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ عَذَابَ ٱلۡحَرِيقِ
Khuda ke barey mein jhagadte hain, taa-ke logon ko raah e khuda se bhatka dein. Aisey shaks ke liye duniya mein ruswayi hai aur qayamat ke roz usko hum aag ke azaab ka maza chakkhayenge
Surah Al-Hajj, Verse 9
ذَٰلِكَ بِمَا قَدَّمَتۡ يَدَاكَ وَأَنَّ ٱللَّهَ لَيۡسَ بِظَلَّـٰمٖ لِّلۡعَبِيدِ
Yeh hai tera woh mustaqbil (future) jo tere apne haathon ne tere liye tayyar kiya hai, warna Allah apne bandon par zulm karne wala nahin hai
Surah Al-Hajj, Verse 10
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَعۡبُدُ ٱللَّهَ عَلَىٰ حَرۡفٖۖ فَإِنۡ أَصَابَهُۥ خَيۡرٌ ٱطۡمَأَنَّ بِهِۦۖ وَإِنۡ أَصَابَتۡهُ فِتۡنَةٌ ٱنقَلَبَ عَلَىٰ وَجۡهِهِۦ خَسِرَ ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةَۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡخُسۡرَانُ ٱلۡمُبِينُ
Aur logon mein koi aisa hai jo kinare par reh kar Allah ki bandagi karta hai, agar faiyda hua to mutmaeen hogaya aur jo koi museebat aa gayi to ulta phir gaya. Uski duniya bhi gayi aur aakhirat bhi, yeh hai sareeh khasara (loss/nuksaan)
Surah Al-Hajj, Verse 11
يَدۡعُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَضُرُّهُۥ وَمَا لَا يَنفَعُهُۥۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلضَّلَٰلُ ٱلۡبَعِيدُ
Phir woh Allah ko chodh kar unko pukarta hai jo na usko nuqsaan pahuncha sakte hain na faiyda, yeh hai gumrahi ki inteha
Surah Al-Hajj, Verse 12
يَدۡعُواْ لَمَن ضَرُّهُۥٓ أَقۡرَبُ مِن نَّفۡعِهِۦۚ لَبِئۡسَ ٱلۡمَوۡلَىٰ وَلَبِئۡسَ ٱلۡعَشِيرُ
Woh unko pukarta hai jinka nuqsaan unke nafey (faiyda) se qareeb tar hai, badhtareen hai us ka maula (guardian) aur badtareen hai uska rafeeq(companion)
Surah Al-Hajj, Verse 13
إِنَّ ٱللَّهَ يُدۡخِلُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۚ إِنَّ ٱللَّهَ يَفۡعَلُ مَا يُرِيدُ
(iske baraks) Allah un logon ko jo iman laye aur jinon ne neik amal kiye, yaqeenan aisi jannaton mein dakhil karega jinke nichey nehrein beh rahi hongi. Allah karta hai jo kuch chahta hai
Surah Al-Hajj, Verse 14
مَن كَانَ يَظُنُّ أَن لَّن يَنصُرَهُ ٱللَّهُ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ فَلۡيَمۡدُدۡ بِسَبَبٍ إِلَى ٱلسَّمَآءِ ثُمَّ لۡيَقۡطَعۡ فَلۡيَنظُرۡ هَلۡ يُذۡهِبَنَّ كَيۡدُهُۥ مَا يَغِيظُ
Jo shaks yeh gumaan rakhta ho ke Allah duniya aur aakhirat mein uski koi madad na karega usey chahiye ke ek rassi (rope) ke zariye aasmaan tak pahunch kar shigaf lagaye(cut a hole into it), phir dekh le ke aaya uski tadbeer kisi aisi cheez ko radd kar sakti hai jo usko nagawar hai
Surah Al-Hajj, Verse 15
وَكَذَٰلِكَ أَنزَلۡنَٰهُ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖ وَأَنَّ ٱللَّهَ يَهۡدِي مَن يُرِيدُ
Aisi hi khuli khuli baaton ke saath humne is Quran ko nazil kiya hai, aur hidayat Allah jisey chahta hai deta hai
Surah Al-Hajj, Verse 16
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَٱلَّذِينَ هَادُواْ وَٱلصَّـٰبِـِٔينَ وَٱلنَّصَٰرَىٰ وَٱلۡمَجُوسَ وَٱلَّذِينَ أَشۡرَكُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ يَفۡصِلُ بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
Jo log iman laye, aur jo yahudi huey, aur sabayi (Sabaeans), aur nasara ,aur majoos, aur jin logon ne shirk kiya, un sab ke darmiyan Allah qayamat ke roz faisla kardega. Har cheez Allah ki nazar mein hai
Surah Al-Hajj, Verse 17
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يَسۡجُدُۤ لَهُۥۤ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ وَٱلشَّمۡسُ وَٱلۡقَمَرُ وَٱلنُّجُومُ وَٱلۡجِبَالُ وَٱلشَّجَرُ وَٱلدَّوَآبُّ وَكَثِيرٞ مِّنَ ٱلنَّاسِۖ وَكَثِيرٌ حَقَّ عَلَيۡهِ ٱلۡعَذَابُۗ وَمَن يُهِنِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِن مُّكۡرِمٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ يَفۡعَلُ مَا يَشَآءُ۩
Kya tum dekhte nahin ho ke Allah ke aagey sar-ba-sujood hain woh sab jo aasmano mein hain aur jo zameen mein hain, Suraj aur chand aur taarey aur pahad aur darakht aur jaanwar aur bahut se Insaan aur bahut se woh log bhi jo azaab ke mustahiq ho chuke hain? aur jisey Allah zaleel-o-khwar karde usey phir koi izzat dene wala nahin hai. Allah karta hai jo kuch chahta hai
Surah Al-Hajj, Verse 18
۞هَٰذَانِ خَصۡمَانِ ٱخۡتَصَمُواْ فِي رَبِّهِمۡۖ فَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ قُطِّعَتۡ لَهُمۡ ثِيَابٞ مِّن نَّارٖ يُصَبُّ مِن فَوۡقِ رُءُوسِهِمُ ٱلۡحَمِيمُ
Yeh do fareeq hain jinke darmiyan apne Rubb ke maamle ka jhagda hai. In mein se woh log jinhon ne kufr kiya hai unke liye aag ke libaas kaatey ja chuke hain, unke saron (heads) par khaulta (boiling) hua pani dala jayega
Surah Al-Hajj, Verse 19
يُصۡهَرُ بِهِۦ مَا فِي بُطُونِهِمۡ وَٱلۡجُلُودُ
Jissey unki khalein (skins) hi nahin pait ke andar ke hissey tak gal (melt) jayenge
Surah Al-Hajj, Verse 20
وَلَهُم مَّقَٰمِعُ مِنۡ حَدِيدٖ
Aur unki khabar lene ke liye lohey (iron) ke gurz (maces) honge
Surah Al-Hajj, Verse 21
كُلَّمَآ أَرَادُوٓاْ أَن يَخۡرُجُواْ مِنۡهَا مِنۡ غَمٍّ أُعِيدُواْ فِيهَا وَذُوقُواْ عَذَابَ ٱلۡحَرِيقِ
Jab kabhi woh ghabra kar jahannum se nikalne ki koshish karenge phir usi mein dhakeil diye jayenge ke chakkho ab jalne ki saza ka maza
Surah Al-Hajj, Verse 22
إِنَّ ٱللَّهَ يُدۡخِلُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ يُحَلَّوۡنَ فِيهَا مِنۡ أَسَاوِرَ مِن ذَهَبٖ وَلُؤۡلُؤٗاۖ وَلِبَاسُهُمۡ فِيهَا حَرِيرٞ
(Dusri taraf) jo log iman laaye aur jinhon ne neik amal kiye unko Allah aisi jannaton mein dakhil karega jinke nichey nehrein beh rahi hongi, wahan woh soonay ke kangano aur motiyon se aarasta kiye jayenge aur unke libas resham ke honge
Surah Al-Hajj, Verse 23
وَهُدُوٓاْ إِلَى ٱلطَّيِّبِ مِنَ ٱلۡقَوۡلِ وَهُدُوٓاْ إِلَىٰ صِرَٰطِ ٱلۡحَمِيدِ
Unko pakeeza baat kabool karne ki hidayat bakshi gayi aur unhein khudaye satuda siffat (All Praiseworthy) ka raasta dikhaya gaya
Surah Al-Hajj, Verse 24
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَيَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ ٱلَّذِي جَعَلۡنَٰهُ لِلنَّاسِ سَوَآءً ٱلۡعَٰكِفُ فِيهِ وَٱلۡبَادِۚ وَمَن يُرِدۡ فِيهِ بِإِلۡحَادِۭ بِظُلۡمٖ نُّذِقۡهُ مِنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
Jin logon ne kufr kiya aur jo (aaj) Allah ke raaste se rok rahey hain aur us masjid e haram ki ziyarat mein maney hain jisey humne sab logon ke liye banaya hai, jismein muqami bashindon aur bahar se aane walon ke huqooq barabar hain, (unki rawish yaqeenan saza ki mustahiq hai), is (masjid e haram) mein jo bhi raasti se hatkar (deviate from righteousness) zulm ka tareeqa ikhtiyar karega usey hum dardnaak azaab ka maza chakhayenge
Surah Al-Hajj, Verse 25
وَإِذۡ بَوَّأۡنَا لِإِبۡرَٰهِيمَ مَكَانَ ٱلۡبَيۡتِ أَن لَّا تُشۡرِكۡ بِي شَيۡـٔٗا وَطَهِّرۡ بَيۡتِيَ لِلطَّآئِفِينَ وَٱلۡقَآئِمِينَ وَٱلرُّكَّعِ ٱلسُّجُودِ
Yaad karo woh waqt jab humne Ibrahim ke liye is ghar (khane Kaaba) ki jagah tajweez ki thi (is hidayat ke saath) ke “mere saath kisi cheez ko shareek na karo, aur mere ghar ko tawaf karne walon aur qayam va ruku va sujood karne walon ke liye paak rakho
Surah Al-Hajj, Verse 26
وَأَذِّن فِي ٱلنَّاسِ بِٱلۡحَجِّ يَأۡتُوكَ رِجَالٗا وَعَلَىٰ كُلِّ ضَامِرٖ يَأۡتِينَ مِن كُلِّ فَجٍّ عَمِيقٖ
Aur logon ko hajj ke liye izan e aam (proclamation) de do ke woh tumhare paas har door daraz muqaam se paidal aur ounton(camels) par sawar aayein
Surah Al-Hajj, Verse 27
لِّيَشۡهَدُواْ مَنَٰفِعَ لَهُمۡ وَيَذۡكُرُواْ ٱسۡمَ ٱللَّهِ فِيٓ أَيَّامٖ مَّعۡلُومَٰتٍ عَلَىٰ مَا رَزَقَهُم مِّنۢ بَهِيمَةِ ٱلۡأَنۡعَٰمِۖ فَكُلُواْ مِنۡهَا وَأَطۡعِمُواْ ٱلۡبَآئِسَ ٱلۡفَقِيرَ
Taa-ke woh faiyde dekhein jo yahan unke liye rakkhe gaye hain, aur chandh muqarrar dino mein un jaanwaron par Allah ka naam lein jo usne unhein bakshe hain, khud bhi khayein aur tang-dast mohtaj ko bhi dein
Surah Al-Hajj, Verse 28
ثُمَّ لۡيَقۡضُواْ تَفَثَهُمۡ وَلۡيُوفُواْ نُذُورَهُمۡ وَلۡيَطَّوَّفُواْ بِٱلۡبَيۡتِ ٱلۡعَتِيقِ
Phir apna mail-kuchel (dirt) door karein aur apni nazrein (vows) poori karein, aur us qadeem (ancient) ghar ka tawaf karein
Surah Al-Hajj, Verse 29
ذَٰلِكَۖ وَمَن يُعَظِّمۡ حُرُمَٰتِ ٱللَّهِ فَهُوَ خَيۡرٞ لَّهُۥ عِندَ رَبِّهِۦۗ وَأُحِلَّتۡ لَكُمُ ٱلۡأَنۡعَٰمُ إِلَّا مَا يُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡۖ فَٱجۡتَنِبُواْ ٱلرِّجۡسَ مِنَ ٱلۡأَوۡثَٰنِ وَٱجۡتَنِبُواْ قَوۡلَ ٱلزُّورِ
Yeh tha (taamir e kaaba ka maqsad) aur jo koi Allah ki qayam karda hurmaton (sanctity) ka ehtamam karey to yeh uske Rubb ke nazdeek khud usi keliye behtar hai. Aur tumhare liye maweshi (cattle) jaanwar halal kiye gaye , ma siwa un cheezon ke jo tumhein batayi jaa chuki hain. Pas buthon(Idols) ki gandagi se bacho, jhooti baaton se parheiz karo
Surah Al-Hajj, Verse 30
حُنَفَآءَ لِلَّهِ غَيۡرَ مُشۡرِكِينَ بِهِۦۚ وَمَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَكَأَنَّمَا خَرَّ مِنَ ٱلسَّمَآءِ فَتَخۡطَفُهُ ٱلطَّيۡرُ أَوۡ تَهۡوِي بِهِ ٱلرِّيحُ فِي مَكَانٖ سَحِيقٖ
Yaksu hokar Allah ke banday bano, uske saath kisi ko shareek na karo aur jo koi Allah ke saath shirk karey to goya woh aasmaan se gir gaya, ab ya to usey parinday uchak le jayenge ya hawa usko aisi jagah le jaa kar phenk degi jahan uske cheethdey udh (shattered into pieces) jayenge
Surah Al-Hajj, Verse 31
ذَٰلِكَۖ وَمَن يُعَظِّمۡ شَعَـٰٓئِرَ ٱللَّهِ فَإِنَّهَا مِن تَقۡوَى ٱلۡقُلُوبِ
Yeh hai asal maamla (isey samajh lo), aur jo Allah ke muqarrar karda shaair (sanctity) ka ehtaram karey to yeh dilon ke taqwa se hai
Surah Al-Hajj, Verse 32
لَكُمۡ فِيهَا مَنَٰفِعُ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗى ثُمَّ مَحِلُّهَآ إِلَى ٱلۡبَيۡتِ ٱلۡعَتِيقِ
Tumhein ek waqt e muqarrar tak un (hadi ke jaanwaron) se faiyda uthane ka haqq hai phir un (ke qurbaan karne) ki jagah usi qadeem ghar ke paas hai
Surah Al-Hajj, Verse 33
وَلِكُلِّ أُمَّةٖ جَعَلۡنَا مَنسَكٗا لِّيَذۡكُرُواْ ٱسۡمَ ٱللَّهِ عَلَىٰ مَا رَزَقَهُم مِّنۢ بَهِيمَةِ ٱلۡأَنۡعَٰمِۗ فَإِلَٰهُكُمۡ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞ فَلَهُۥٓ أَسۡلِمُواْۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُخۡبِتِينَ
Har ummat ke liye humne qurbani ka ek qaida muqarrar kardiya hai taa-ke (us ummat ke log) un jaanwaron par Allah ka naam lein jo usne unko bakshey hain (in mukhtalif tareeqon ke andar maqsad ek hi hai). Pas tumhara khuda ek hi khuda hi aur usi ke tum mutii e farmaan bano. Aur aey Nabi, basharat de de aajizana (humble ) rawish ikhtiyar karne walon ko
Surah Al-Hajj, Verse 34
ٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِرَ ٱللَّهُ وَجِلَتۡ قُلُوبُهُمۡ وَٱلصَّـٰبِرِينَ عَلَىٰ مَآ أَصَابَهُمۡ وَٱلۡمُقِيمِي ٱلصَّلَوٰةِ وَمِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ يُنفِقُونَ
Jinka haal yeh hai ke Allah ka zikr sunte hain to unke dil kaanp uthte hain, jo museebat bhi unpar aati hai uspar sabr karte hain, namaz qayam karte hai, aur jo kuch rizq humne unko diya hai us mein se kharch karte hain
Surah Al-Hajj, Verse 35
وَٱلۡبُدۡنَ جَعَلۡنَٰهَا لَكُم مِّن شَعَـٰٓئِرِ ٱللَّهِ لَكُمۡ فِيهَا خَيۡرٞۖ فَٱذۡكُرُواْ ٱسۡمَ ٱللَّهِ عَلَيۡهَا صَوَآفَّۖ فَإِذَا وَجَبَتۡ جُنُوبُهَا فَكُلُواْ مِنۡهَا وَأَطۡعِمُواْ ٱلۡقَانِعَ وَٱلۡمُعۡتَرَّۚ كَذَٰلِكَ سَخَّرۡنَٰهَا لَكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Aur (qurbani ke) ounton (camels) ko humne tumhare liye shaaer-Allah (symbols of Allah) mein shamil kiya hai, tumhare liye un mein bhalayi hai. Pas unhein khada karke unpar Allah ka naam lo, aur jab (qurbani ke baad) unki peethein zameen par tik jayein to unmein se khud bhi khao aur unko bhi khilao jo qanaat kiye baithe hain (contented ones) aur unko bhi jo apni haajat pesh karein. In jaanwaron ko humne is tarah tumhare liye musakkhar kiya hai taa-ke tum shukriya ada karo
Surah Al-Hajj, Verse 36
لَن يَنَالَ ٱللَّهَ لُحُومُهَا وَلَا دِمَآؤُهَا وَلَٰكِن يَنَالُهُ ٱلتَّقۡوَىٰ مِنكُمۡۚ كَذَٰلِكَ سَخَّرَهَا لَكُمۡ لِتُكَبِّرُواْ ٱللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَىٰكُمۡۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Na unke gosht Allah ko pahunchte hain na khoon, magar usey tumhara taqwa pahunchta hai. Usne unko tumhare liye is tarah musakkhar kiya hai taa-ke uski bakshi hui hidayat par tum uski takbeer karo. Aur (aey Nabi), basharat dedo neikukar logon ko
Surah Al-Hajj, Verse 37
۞إِنَّ ٱللَّهَ يُدَٰفِعُ عَنِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ كُلَّ خَوَّانٖ كَفُورٍ
Yaqeenan Allah mudafiyat (defends) karta hai un logon ki taraf se jo iman laye hain. Yaqeenan Allah kisi khain (treacherous) kafir e niyamat ko pasand nahin karta
Surah Al-Hajj, Verse 38
أُذِنَ لِلَّذِينَ يُقَٰتَلُونَ بِأَنَّهُمۡ ظُلِمُواْۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ نَصۡرِهِمۡ لَقَدِيرٌ
Ijazat de di gayi un logon ko jinke khilaf jung ki jaa rahi hai, kyunke woh mazloom hain, aur Allah yaqeenan unki madad par qadir hai
Surah Al-Hajj, Verse 39
ٱلَّذِينَ أُخۡرِجُواْ مِن دِيَٰرِهِم بِغَيۡرِ حَقٍّ إِلَّآ أَن يَقُولُواْ رَبُّنَا ٱللَّهُۗ وَلَوۡلَا دَفۡعُ ٱللَّهِ ٱلنَّاسَ بَعۡضَهُم بِبَعۡضٖ لَّهُدِّمَتۡ صَوَٰمِعُ وَبِيَعٞ وَصَلَوَٰتٞ وَمَسَٰجِدُ يُذۡكَرُ فِيهَا ٱسۡمُ ٱللَّهِ كَثِيرٗاۗ وَلَيَنصُرَنَّ ٱللَّهُ مَن يَنصُرُهُۥٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ
Yeh woh log hain jo apne gharon se na-haqq nikal diye gaye sirf is kasoor par ke woh kehte thay “hamara Rubb Allah hai”. Agar Allah logon ko ek dusre ke zariye dafa na karta rahey to khanqahein (monasteries), aur girja (churches) aur mabad (synagogues) aur masjidein, jin mein Allah ka kasrat se naam liye jata hai, sab mismaar (demolished) kar daali jayein. Allah zaroor un logon ki madad karega jo uski madad karenge. Allah bada taaqatwar aur zabardast hai
Surah Al-Hajj, Verse 40
ٱلَّذِينَ إِن مَّكَّنَّـٰهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ أَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَوُاْ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَمَرُواْ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَنَهَوۡاْ عَنِ ٱلۡمُنكَرِۗ وَلِلَّهِ عَٰقِبَةُ ٱلۡأُمُورِ
Yeh woh log hain jinhein agar hum zameen mein iqtedar bakshein to woh namaz qayam karenge, zakat denge, maroof (bhalayi) ka hukum denge aur munkar (burayi) se mana karenge aur tamaam maamlaat ka anjaam kaar Allah ke haath mein hai
Surah Al-Hajj, Verse 41
وَإِن يُكَذِّبُوكَ فَقَدۡ كَذَّبَتۡ قَبۡلَهُمۡ قَوۡمُ نُوحٖ وَعَادٞ وَثَمُودُ
(Aey Nabi), agar woh tumhein jhutlate hain to unse pehle qaum e Nooh aur Aad aur Samood
Surah Al-Hajj, Verse 42
وَقَوۡمُ إِبۡرَٰهِيمَ وَقَوۡمُ لُوطٖ
Aur qaum e Ibrahim aur qaum e Lut
Surah Al-Hajj, Verse 43
وَأَصۡحَٰبُ مَدۡيَنَۖ وَكُذِّبَ مُوسَىٰۖ فَأَمۡلَيۡتُ لِلۡكَٰفِرِينَ ثُمَّ أَخَذۡتُهُمۡۖ فَكَيۡفَ كَانَ نَكِيرِ
Aur ehle madyan bhi jhutla chuke hain aur Moosa bhi jhutlaye jaa chuke hain. Un sab munkireen ko maine pehle mohlat di , phir pakad liya. Ab dekhlo ke meri uqubat(chastisement) kaisi thi
Surah Al-Hajj, Verse 44
فَكَأَيِّن مِّن قَرۡيَةٍ أَهۡلَكۡنَٰهَا وَهِيَ ظَالِمَةٞ فَهِيَ خَاوِيَةٌ عَلَىٰ عُرُوشِهَا وَبِئۡرٖ مُّعَطَّلَةٖ وَقَصۡرٖ مَّشِيدٍ
Kitni hi khatakar bastiyan hain jinko humne tabaah kiya hai aur aaj woh apni chathon (roofs) par ulti padi hain, kitne hi kuwein (wells) bekar aur kitne hi qasr (castle) khandar bani huey hain
Surah Al-Hajj, Verse 45
أَفَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَتَكُونَ لَهُمۡ قُلُوبٞ يَعۡقِلُونَ بِهَآ أَوۡ ءَاذَانٞ يَسۡمَعُونَ بِهَاۖ فَإِنَّهَا لَا تَعۡمَى ٱلۡأَبۡصَٰرُ وَلَٰكِن تَعۡمَى ٱلۡقُلُوبُ ٱلَّتِي فِي ٱلصُّدُورِ
Kya yeh log zameen mein chale phire nahin hain ke inke dil samajhne waley aur inke kaan sunney waley hotey? Haqeeqat yeh hai ke aankhein andhi nahin hoti magar woh dil andhey ho jatey hain jo seeno mein hain
Surah Al-Hajj, Verse 46
وَيَسۡتَعۡجِلُونَكَ بِٱلۡعَذَابِ وَلَن يُخۡلِفَ ٱللَّهُ وَعۡدَهُۥۚ وَإِنَّ يَوۡمًا عِندَ رَبِّكَ كَأَلۡفِ سَنَةٖ مِّمَّا تَعُدُّونَ
Yeh log azaab ke liye jaldi macha rahey hain. Allah hargiz apne wadey ke khilaf na karega, magar tere Rubb ke haan ka ek din tumhare shumar ke hazaar baras ke barabar hua karta hai
Surah Al-Hajj, Verse 47
وَكَأَيِّن مِّن قَرۡيَةٍ أَمۡلَيۡتُ لَهَا وَهِيَ ظَالِمَةٞ ثُمَّ أَخَذۡتُهَا وَإِلَيَّ ٱلۡمَصِيرُ
Kitni hi bastiyan hain jo zalim thi, maine uno pehle mohlat di, phir pakad liya aur sab ko wapas to mere paas hi aana hai
Surah Al-Hajj, Verse 48
قُلۡ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِنَّمَآ أَنَا۠ لَكُمۡ نَذِيرٞ مُّبِينٞ
(Aey Muhammad), kehdo ke “ logon, main to tumhare liye sirf woh shaks hoon jo (bura waqt aane se pehle) saaf saaf khabardar karne wala ho
Surah Al-Hajj, Verse 49
فَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ
Phir jo iman layenge aur neik amal karenge unke liye magfirat hai aur izzat ki rozi
Surah Al-Hajj, Verse 50
وَٱلَّذِينَ سَعَوۡاْ فِيٓ ءَايَٰتِنَا مُعَٰجِزِينَ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَحِيمِ
Aur jo hamari aayat ko neecha dikhane ki koshish karenge woh dozakh ke yaar hain
Surah Al-Hajj, Verse 51
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ مِن رَّسُولٖ وَلَا نَبِيٍّ إِلَّآ إِذَا تَمَنَّىٰٓ أَلۡقَى ٱلشَّيۡطَٰنُ فِيٓ أُمۡنِيَّتِهِۦ فَيَنسَخُ ٱللَّهُ مَا يُلۡقِي ٱلشَّيۡطَٰنُ ثُمَّ يُحۡكِمُ ٱللَّهُ ءَايَٰتِهِۦۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Aur (aey Muhammad) tumse pehle humne na koi Rasool aisa bheja hai na Nabi (jiske saath yeh maamla na pesh aaya ho ke) jab usne tamanna ki, shaytan uski tamanna mein khalal andaz ho gaya. Is tarah jo kuch bhi shaytan khalal andaziyan karta hai Allah unko mita deta hai aur apni aayat ko pukhta (confirm) kardeta hai. Allah aleem hai aur hakeem
Surah Al-Hajj, Verse 52
لِّيَجۡعَلَ مَا يُلۡقِي ٱلشَّيۡطَٰنُ فِتۡنَةٗ لِّلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ وَٱلۡقَاسِيَةِ قُلُوبُهُمۡۗ وَإِنَّ ٱلظَّـٰلِمِينَ لَفِي شِقَاقِۭ بَعِيدٖ
(Woh is liye aisa honay deta hai) taa-ke shaytan ki daali hui kharabi ko fitna bana de un logon ke liye jinke dilon ko [nifaq ka (hypocrisy)] rog laga hua hai aur jinke dil khotay hain. Haqeeqat yeh hai ke yeh zalim log inaad (enmity) mein bahut door nikal gaye hain
Surah Al-Hajj, Verse 53
وَلِيَعۡلَمَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ أَنَّهُ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّكَ فَيُؤۡمِنُواْ بِهِۦ فَتُخۡبِتَ لَهُۥ قُلُوبُهُمۡۗ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَهَادِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Aur ilam se behramand log jaan lein ke yeh haqq hai tere Rubb ki taraf se aur woh ispar iman le aayein aur unke dil iske aagey jhuk jaayein. Yaqeenan Allah iman laney walon ko hamesha seedha raasta dikha deta hai
Surah Al-Hajj, Verse 54
وَلَا يَزَالُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي مِرۡيَةٖ مِّنۡهُ حَتَّىٰ تَأۡتِيَهُمُ ٱلسَّاعَةُ بَغۡتَةً أَوۡ يَأۡتِيَهُمۡ عَذَابُ يَوۡمٍ عَقِيمٍ
Inkar karne waley to iski taraf se shakk hi mein padey rahenge yaha tak ke ya to unpar qayamat ki ghadi achanak aa jaye, ya ek manhoos din ka azaab nazil ho jaye
Surah Al-Hajj, Verse 55
ٱلۡمُلۡكُ يَوۡمَئِذٖ لِّلَّهِ يَحۡكُمُ بَيۡنَهُمۡۚ فَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فِي جَنَّـٰتِ ٱلنَّعِيمِ
Us roz baadshahi Allah ki hogi aur woh unke darmiyan faisla kardega. Jo iman rakhne waley aur amal e saleh karne waley hongey woh niyamat bhari jannaton mein jayenge
Surah Al-Hajj, Verse 56
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا فَأُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ
Aur jinhon ne kufr kiya hoga aur hamari aayat ko jhutlaya hoga unke liye ruswakun azaab hoga
Surah Al-Hajj, Verse 57
وَٱلَّذِينَ هَاجَرُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ ثُمَّ قُتِلُوٓاْ أَوۡ مَاتُواْ لَيَرۡزُقَنَّهُمُ ٱللَّهُ رِزۡقًا حَسَنٗاۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَهُوَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰزِقِينَ
Aur jin logon ne Allah ki raah mein hijrat ki, phir qatal kardiye gaye ya marr gaye, Allah unko accha rizq dega aur yaqeenan Allah hi behtareen raaziq hai
Surah Al-Hajj, Verse 58
لَيُدۡخِلَنَّهُم مُّدۡخَلٗا يَرۡضَوۡنَهُۥۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَعَلِيمٌ حَلِيمٞ
Woh unhein aisi jagah pahunchayega jissey woh khush ho jayenge. Beshak Allah aleem (all knowing) aur haleem (Most Forbearing) hai
Surah Al-Hajj, Verse 59
۞ذَٰلِكَۖ وَمَنۡ عَاقَبَ بِمِثۡلِ مَا عُوقِبَ بِهِۦ ثُمَّ بُغِيَ عَلَيۡهِ لَيَنصُرَنَّهُ ٱللَّهُۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَعَفُوٌّ غَفُورٞ
Yeh to hai unka haal, aur jo koi badla le, waisa hi jaisa uske saath kiya gaya, aur phir uspar zyadati bhi ki gayi ho, to Allah uski madad zaroor karega. Allah maaf karne wala aur darguzar karne wala hai
Surah Al-Hajj, Verse 60
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ يُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَيُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِ وَأَنَّ ٱللَّهَ سَمِيعُۢ بَصِيرٞ
Yeh is liye ke raat se din aur din se raat nikalne wala Allah hi hai aur woh sami (sunney waala/ hears everything) o baseer (dekhne wala /sees everything) hai
Surah Al-Hajj, Verse 61
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡحَقُّ وَأَنَّ مَا يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ هُوَ ٱلۡبَٰطِلُ وَأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡعَلِيُّ ٱلۡكَبِيرُ
Yeh isliye ke Allah hi haqq hai aur woh sab baatil hain jinhein Allah ko chodh kar yeh log pukarte hain. Aur Allah hi baaladast (Supreme) aur buzurg (Exalted One) hai
Surah Al-Hajj, Verse 62
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَتُصۡبِحُ ٱلۡأَرۡضُ مُخۡضَرَّةًۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَطِيفٌ خَبِيرٞ
Kya tum dekhte nahin ho ke Allah aasman se pani barsata hai aur uski badaulat zameen sar-sabz ho jaati hai? Haqeeqat yeh hai ke woh lateef o khabeer hai (fully aware of everything)
Surah Al-Hajj, Verse 63
لَّهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَهُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
Usi ka hai jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zameen mein hai. Beshak wahi gani (All-Sufficient/ free of all wants) o hameed (praiseworthy) hai
Surah Al-Hajj, Verse 64
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ سَخَّرَ لَكُم مَّا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَٱلۡفُلۡكَ تَجۡرِي فِي ٱلۡبَحۡرِ بِأَمۡرِهِۦ وَيُمۡسِكُ ٱلسَّمَآءَ أَن تَقَعَ عَلَى ٱلۡأَرۡضِ إِلَّا بِإِذۡنِهِۦٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِٱلنَّاسِ لَرَءُوفٞ رَّحِيمٞ
Kya tum dekhte nahin ho ke usne woh sab kuch tumhare liye musakkhar kar rakkha hai jo zameen mein hai, aur usi ne kashti ko qaide ka paband banaya hai ke woh uske hukum se samandar mein chalti hai, aur wahi aasmaan ko is tarah thamey huey ke uske izan ke bagair woh zameen par nahin gir sakta? Waqia yeh hai ke Allah logon ke haqq mein bada shafeeq (very Kind) aur raheem (merciful) hai
Surah Al-Hajj, Verse 65
وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَحۡيَاكُمۡ ثُمَّ يُمِيتُكُمۡ ثُمَّ يُحۡيِيكُمۡۗ إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لَكَفُورٞ
Wahi hai jisne tumhein zindagi bakshi hai, wahi tumko maut deta hai aur whai phir tumko zinda karega, sach yeh hai ke Insaan bada hi munkir e haqq hai
Surah Al-Hajj, Verse 66
لِّكُلِّ أُمَّةٖ جَعَلۡنَا مَنسَكًا هُمۡ نَاسِكُوهُۖ فَلَا يُنَٰزِعُنَّكَ فِي ٱلۡأَمۡرِۚ وَٱدۡعُ إِلَىٰ رَبِّكَۖ إِنَّكَ لَعَلَىٰ هُدٗى مُّسۡتَقِيمٖ
Har ummat ke liye humne ek tareeq-e-ibadat muqarrar kiya hai jiski woh pairwi karti hai, pas (aey Muhammad), woh is maamle mein tumse jhagda na karein, tum apne Rubb ki taraf dawat do, yaqeenan tum seedhey raaste par ho
Surah Al-Hajj, Verse 67
وَإِن جَٰدَلُوكَ فَقُلِ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا تَعۡمَلُونَ
Aur agar woh tumse jhagdein to kehdo ke “jo kuch tum kar rahey ho Allah ko khoob maloom hai
Surah Al-Hajj, Verse 68
ٱللَّهُ يَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فِيمَا كُنتُمۡ فِيهِ تَخۡتَلِفُونَ
Allah qayamat ke roz tumhare darmiyan un sab baaton ka faisla kardega jin mein tum ikhtilaf karte rahey ho”
Surah Al-Hajj, Verse 69
أَلَمۡ تَعۡلَمۡ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّ ذَٰلِكَ فِي كِتَٰبٍۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ
Kya tum nahin jaante ke aasman o zameen ki har cheez Allah ke ilam mein hai? Sab kuch ek kitaab mein darj hai. Allah keliye yeh kuch bhi mushkil nahin hai
Surah Al-Hajj, Verse 70
وَيَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَمۡ يُنَزِّلۡ بِهِۦ سُلۡطَٰنٗا وَمَا لَيۡسَ لَهُم بِهِۦ عِلۡمٞۗ وَمَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِن نَّصِيرٖ
Yeh log Allah ko chodh kar unki ibadat kar rahey hain jinke liye na to usne koi sanad(authority) nazil ki hai aur na yeh khud unke barey mein koi ilam rakhte hain. In zalimon ke liye koi madadgaar nahin hai
Surah Al-Hajj, Verse 71
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا بَيِّنَٰتٖ تَعۡرِفُ فِي وُجُوهِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلۡمُنكَرَۖ يَكَادُونَ يَسۡطُونَ بِٱلَّذِينَ يَتۡلُونَ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتِنَاۗ قُلۡ أَفَأُنَبِّئُكُم بِشَرّٖ مِّن ذَٰلِكُمُۚ ٱلنَّارُ وَعَدَهَا ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Aur jab inko hamari saaf saaf aayat sunayi jati hain to tum dekhte ho ke munkireen e haqq ke chehre bigadne lagte hain aur aisa mehsoos hota hai ke abhi woh un logon par toot padenge jo unhein hamari aayat sunate hain. Inse kaho “ main bataoon tumhein ke issey badhtar cheez kya hai? Aag, Allah ne usi ka wada un logon ke haqq mein kar rakkha hai jo qabool e haqq se inkar karein, aur woh bahut hi bura thikana hai”
Surah Al-Hajj, Verse 72
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ضُرِبَ مَثَلٞ فَٱسۡتَمِعُواْ لَهُۥٓۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ لَن يَخۡلُقُواْ ذُبَابٗا وَلَوِ ٱجۡتَمَعُواْ لَهُۥۖ وَإِن يَسۡلُبۡهُمُ ٱلذُّبَابُ شَيۡـٔٗا لَّا يَسۡتَنقِذُوهُ مِنۡهُۚ ضَعُفَ ٱلطَّالِبُ وَٱلۡمَطۡلُوبُ
Logon, ek misaal di jaati hai, gaur se suno, jin maboodon ko tum khuda ko chodh kar pukarte ho woh sab milkar ek makkhi (fly) bhi paida karna chahein to nahin kar sakte, balke agar makkhi unse koi cheez cheen le jaaye to woh usey chuda bhi nahin sakte. Madad chahne waley bhi kamzoar aur jinse madad chahi jati hai woh bhi kamzoar
Surah Al-Hajj, Verse 73
مَا قَدَرُواْ ٱللَّهَ حَقَّ قَدۡرِهِۦٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ
In logon ne Allah ki qadar hi na pehchani jaisa ke uske pehchanne ka haqq hai , waqia yeh hai ke quwwat aur izzat wala to Allah hi hai
Surah Al-Hajj, Verse 74
ٱللَّهُ يَصۡطَفِي مِنَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ رُسُلٗا وَمِنَ ٱلنَّاسِۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعُۢ بَصِيرٞ
Haqeeqat yeh hai ke Allah [apne faramin ki tarsil ke liye(to convey His decrees)] malaika (Farishtey) mein se bhi paigham rasaan muntakhab (choose) karta hai aur Insaano mein se bhi. Woh Sami (sunney waala) aur baseer (dekhne waala) hai
Surah Al-Hajj, Verse 75
يَعۡلَمُ مَا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُمۡۚ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ
Jo kuch unke saamne hai usey bhi woh jaanta hai aur jo kuch unse ojhal (hidden/behind) hai ussey bhi woh waqif hai, aur saarey maamlaat usi ki taraf rujoo hotey hain
Surah Al-Hajj, Verse 76
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱرۡكَعُواْ وَٱسۡجُدُواْۤ وَٱعۡبُدُواْ رَبَّكُمۡ وَٱفۡعَلُواْ ٱلۡخَيۡرَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ۩
Aey logon jo iman laye ho, ruku aur sajda karo, apne Rubb ki bandagi karo, aur neik kaam karo, shayad ke tumko falaah naseeb ho
Surah Al-Hajj, Verse 77
وَجَٰهِدُواْ فِي ٱللَّهِ حَقَّ جِهَادِهِۦۚ هُوَ ٱجۡتَبَىٰكُمۡ وَمَا جَعَلَ عَلَيۡكُمۡ فِي ٱلدِّينِ مِنۡ حَرَجٖۚ مِّلَّةَ أَبِيكُمۡ إِبۡرَٰهِيمَۚ هُوَ سَمَّىٰكُمُ ٱلۡمُسۡلِمِينَ مِن قَبۡلُ وَفِي هَٰذَا لِيَكُونَ ٱلرَّسُولُ شَهِيدًا عَلَيۡكُمۡ وَتَكُونُواْ شُهَدَآءَ عَلَى ٱلنَّاسِۚ فَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ وَٱعۡتَصِمُواْ بِٱللَّهِ هُوَ مَوۡلَىٰكُمۡۖ فَنِعۡمَ ٱلۡمَوۡلَىٰ وَنِعۡمَ ٱلنَّصِيرُ
Allah ki raah mein jihad karo jaisa ke jihad karne ka haqq hai, usne tumhein apne kaam ke liye chun liya hai aur deen mein tumpar koi tanggi nahin rakkhi. Qayam ho jao apne baap Ibrahim ki millat par. Allah ne pehle bhi tumhara naam “Muslim” rakkha tha aur is (Quran) mein bhi (tumhara yahi naam hai) taa-ke Rasool tumpar gawah ho aur tum logon par gawah. Pas namaz qayam karo, zakaat do aur Allah se wabista ho jao (hold fast to Allah), woh hai tumhara maula (guardian), bahut hi accha hai woh maula aur bahut hi accha hai woh madadgaar
Surah Al-Hajj, Verse 78