Surah An-Noor Verse 55 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah An-Noorوَعَدَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنكُمۡ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَيَسۡتَخۡلِفَنَّهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ كَمَا ٱسۡتَخۡلَفَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ وَلَيُمَكِّنَنَّ لَهُمۡ دِينَهُمُ ٱلَّذِي ٱرۡتَضَىٰ لَهُمۡ وَلَيُبَدِّلَنَّهُم مِّنۢ بَعۡدِ خَوۡفِهِمۡ أَمۡنٗاۚ يَعۡبُدُونَنِي لَا يُشۡرِكُونَ بِي شَيۡـٔٗاۚ وَمَن كَفَرَ بَعۡدَ ذَٰلِكَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
Allah ne wada farmaya hai tum mein se un logon ke saath jo iman layein aur neik amal karein ke woh unko usi tarah zameen mein khalifa banayega jis tarah unse pehle guzre huey logon ko bana chuka hai , unke liye unke us deen (religion) ko mazboot buniyadon par qayam kardega jisey Allah taala ne unke haqq mein pasand kiya hai, aur unki (maujooda) halat e khauf ko aman se badal dega, bas woh meri bandagi karein aur mere saath kisi ko shareek na karein, aur jo iske baad kufr karey to aise hi log faasiq hain