Surah Al-Furqan - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
تَبَارَكَ ٱلَّذِي نَزَّلَ ٱلۡفُرۡقَانَ عَلَىٰ عَبۡدِهِۦ لِيَكُونَ لِلۡعَٰلَمِينَ نَذِيرًا
Nihayat mutabarrak(ba-barakat) hai woh jisne yeh Furqan apne banday par nazil kiya taa-ke saarey jahan waalon ke liye nazeer(darr sunane wali/warner) ho
Surah Al-Furqan, Verse 1
ٱلَّذِي لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَلَمۡ يَتَّخِذۡ وَلَدٗا وَلَمۡ يَكُن لَّهُۥ شَرِيكٞ فِي ٱلۡمُلۡكِ وَخَلَقَ كُلَّ شَيۡءٖ فَقَدَّرَهُۥ تَقۡدِيرٗا
Woh jo zameen aur aasmaano ki baadshahi ka malik hai, jisne kisi ko beta nahin banaya hai, jiske saath baadshahi mein koi shareek nahin hai, jisne har cheez ko paida kiya phir uski ek taqdeer muqarrar ki
Surah Al-Furqan, Verse 2
وَٱتَّخَذُواْ مِن دُونِهِۦٓ ءَالِهَةٗ لَّا يَخۡلُقُونَ شَيۡـٔٗا وَهُمۡ يُخۡلَقُونَ وَلَا يَمۡلِكُونَ لِأَنفُسِهِمۡ ضَرّٗا وَلَا نَفۡعٗا وَلَا يَمۡلِكُونَ مَوۡتٗا وَلَا حَيَوٰةٗ وَلَا نُشُورٗا
Logon ne usey chodh kar aisey mabood bana liye jo kisi cheez ko paida nahin karte balke khud paida kiye jatey hain, jo khud apne liye bhi kisi nafey (faidey) ya nuqsaan ka ikhtiyar nahin rakhte, jo na maar sakte hain na jila sakte hain, na marey (dead) huey ko phir utha sakte hain
Surah Al-Furqan, Verse 3
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ إِفۡكٌ ٱفۡتَرَىٰهُ وَأَعَانَهُۥ عَلَيۡهِ قَوۡمٌ ءَاخَرُونَۖ فَقَدۡ جَآءُو ظُلۡمٗا وَزُورٗا
Jin logon ne Nabi ki baat maanne se inkaar kariya hai woh kehte hain ke yeh furqan ek mann ghadat cheez hai jisey is shaks ne aap hi ghadd liye hai aur kuch dusre logon ne is kaam mein iski madad ki hai.Bada zulm aur sakht jhoot hai jispar yeh log utar aaye hain
Surah Al-Furqan, Verse 4
وَقَالُوٓاْ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ ٱكۡتَتَبَهَا فَهِيَ تُمۡلَىٰ عَلَيۡهِ بُكۡرَةٗ وَأَصِيلٗا
Kehte hain yeh purane logon ki likhi hui cheezein hain jinhein yeh shaks naqal (copy) karta hai aur woh isey subah o shaam sunayi jaati hain
Surah Al-Furqan, Verse 5
قُلۡ أَنزَلَهُ ٱلَّذِي يَعۡلَمُ ٱلسِّرَّ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّهُۥ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
(Aey Muhammad) Insey kaho ke “isey nazil kiya hai usne jo zameen aur aasmano ka bhed (secrets) jaanta hai”. Haqeeqat yeh hai ke woh bada gafoor ur raheem(Forgiving and Merciful) hai
Surah Al-Furqan, Verse 6
وَقَالُواْ مَالِ هَٰذَا ٱلرَّسُولِ يَأۡكُلُ ٱلطَّعَامَ وَيَمۡشِي فِي ٱلۡأَسۡوَاقِ لَوۡلَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِ مَلَكٞ فَيَكُونَ مَعَهُۥ نَذِيرًا
Kehte hain “yeh kaisa Rasool hai jo khana khata hai aur bazaaron mein chalta phirta hai? Kyun na iske paas koi Farishata bheja gaya jo iske saath rehta aur (na maannay walon ko) dhamkata
Surah Al-Furqan, Verse 7
أَوۡ يُلۡقَىٰٓ إِلَيۡهِ كَنزٌ أَوۡ تَكُونُ لَهُۥ جَنَّةٞ يَأۡكُلُ مِنۡهَاۚ وَقَالَ ٱلظَّـٰلِمُونَ إِن تَتَّبِعُونَ إِلَّا رَجُلٗا مَّسۡحُورًا
Ya aur kuch nahin to iske liye koi khazana hi utaar diya jata, ya iske paas koi baagh (garden) hi hota jissey yeh (itminaan ki) rozi haasil karta”. Aur zaalim kehte hain “ tum log to ek sehar zadah (bewitched) aadmi ke peechey lag gaye ho”
Surah Al-Furqan, Verse 8
ٱنظُرۡ كَيۡفَ ضَرَبُواْ لَكَ ٱلۡأَمۡثَٰلَ فَضَلُّواْ فَلَا يَسۡتَطِيعُونَ سَبِيلٗا
Dekho, kaisi kaisi ajeeb hujjatein (arguments) yeh log tumhare aagey pesh kar rahey hain, aisey behke hain ke koi thikane ki baat inko nahin soojhti
Surah Al-Furqan, Verse 9
تَبَارَكَ ٱلَّذِيٓ إِن شَآءَ جَعَلَ لَكَ خَيۡرٗا مِّن ذَٰلِكَ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ وَيَجۡعَل لَّكَ قُصُورَۢا
Bada ba-barakat hai woh jo agar chahe to inki tajweej-karda cheezon se bhi zyada badh chadh kar tumko de sakta hai, (ek nahin) bahut sarey baagh (gardens) jinke nichey nehrein behti hon, aur baday baday mahal
Surah Al-Furqan, Verse 10
بَلۡ كَذَّبُواْ بِٱلسَّاعَةِۖ وَأَعۡتَدۡنَا لِمَن كَذَّبَ بِٱلسَّاعَةِ سَعِيرًا
Asal baat yeh hai ke yeh log “Us ghadi” ko jhutla chuke hain aur jo us ghadi ko jhutlaye uske liye humne bhadakti hui aag muhaiyya kar rakkhi hai
Surah Al-Furqan, Verse 11
إِذَا رَأَتۡهُم مِّن مَّكَانِۭ بَعِيدٖ سَمِعُواْ لَهَا تَغَيُّظٗا وَزَفِيرٗا
Woh jab dur se inko dekhegi to yeh uske gazab aur josh ki aawaazein sun lenge
Surah Al-Furqan, Verse 12
وَإِذَآ أُلۡقُواْ مِنۡهَا مَكَانٗا ضَيِّقٗا مُّقَرَّنِينَ دَعَوۡاْ هُنَالِكَ ثُبُورٗا
Aur jab yeh dast o pa-basta (zanjeeron mein jakde) usmein ek tangg jagah thoonse jayenge to apni maut ko pukarne lagenge
Surah Al-Furqan, Verse 13
لَّا تَدۡعُواْ ٱلۡيَوۡمَ ثُبُورٗا وَٰحِدٗا وَٱدۡعُواْ ثُبُورٗا كَثِيرٗا
(us waqt insey kaha jayega ke) aaj ek maut ko nahin bahut si mauton ko pukaro
Surah Al-Furqan, Verse 14
قُلۡ أَذَٰلِكَ خَيۡرٌ أَمۡ جَنَّةُ ٱلۡخُلۡدِ ٱلَّتِي وُعِدَ ٱلۡمُتَّقُونَۚ كَانَتۡ لَهُمۡ جَزَآءٗ وَمَصِيرٗا
Insey pucho, yeh anjaam accha hai ya woh abadi jannat jiska wada khuda-tars parhezgaaron se kiya gaya hai? Jo unke aamal ki jaza aur unke safar ki aakhri mazil hogi
Surah Al-Furqan, Verse 15
لَّهُمۡ فِيهَا مَا يَشَآءُونَ خَٰلِدِينَۚ كَانَ عَلَىٰ رَبِّكَ وَعۡدٗا مَّسۡـُٔولٗا
Jis mein unki har khwahish poori hogi, jismein woh hamesha hamesha rahenge, jiska ataa karna tumhare Rubb ke zimme ek wajib ul ada wada hai
Surah Al-Furqan, Verse 16
وَيَوۡمَ يَحۡشُرُهُمۡ وَمَا يَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ فَيَقُولُ ءَأَنتُمۡ أَضۡلَلۡتُمۡ عِبَادِي هَـٰٓؤُلَآءِ أَمۡ هُمۡ ضَلُّواْ ٱلسَّبِيلَ
Aur woh wahi din hoga jabke (tumhara Rubb) in logon ko bhi ghair layega aur inke un maboodon ko bhi bula lega jinhein aaj yeh Allah ko chodh kar poojh rahey hain. Phir woh unse puchega “kya tumne mere in bandon ko gumraah kiya tha? Ya yeh khud raah-e-raast se bhatak gaye thay?”
Surah Al-Furqan, Verse 17
قَالُواْ سُبۡحَٰنَكَ مَا كَانَ يَنۢبَغِي لَنَآ أَن نَّتَّخِذَ مِن دُونِكَ مِنۡ أَوۡلِيَآءَ وَلَٰكِن مَّتَّعۡتَهُمۡ وَءَابَآءَهُمۡ حَتَّىٰ نَسُواْ ٱلذِّكۡرَ وَكَانُواْ قَوۡمَۢا بُورٗا
Woh arz karenge ke “ paak hai aap ki zaat, hamari to yeh bhi majaal na thi ke aap ke siwa kisi ko apna maula banayein, magar aap ne inko aur inke baap dada ko khoob saaman e zindagi diya hatta ke yeh sabaq bhool gaye aur shamat zadah hokar rahey”
Surah Al-Furqan, Verse 18
فَقَدۡ كَذَّبُوكُم بِمَا تَقُولُونَ فَمَا تَسۡتَطِيعُونَ صَرۡفٗا وَلَا نَصۡرٗاۚ وَمَن يَظۡلِم مِّنكُمۡ نُذِقۡهُ عَذَابٗا كَبِيرٗا
Yun jhutla denge woh (tumhare mabood) tumhari un baaton ko jo aaj tum keh rahey ho, phir tum na apni shamat (punishment) taal sakoge na kahin se madad paa sakoge. Aur jo bhi tum mein se zulm karey usey hum sakht azaab ka maza chakhayenge
Surah Al-Furqan, Verse 19
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا قَبۡلَكَ مِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ إِلَّآ إِنَّهُمۡ لَيَأۡكُلُونَ ٱلطَّعَامَ وَيَمۡشُونَ فِي ٱلۡأَسۡوَاقِۗ وَجَعَلۡنَا بَعۡضَكُمۡ لِبَعۡضٖ فِتۡنَةً أَتَصۡبِرُونَۗ وَكَانَ رَبُّكَ بَصِيرٗا
(Aey Muhammad), tumse pehle jo Rasool bhi humne bheje thay woh sab bhi khana khane waley aur bazaaron mein chalne phirne waley log hi thay. Darasal humne tum logon ko ek dusre ke liye aazmaish ka zariya bana diya hai, kya tum sabar karte ho? Tumhara Rubb sab kuch dekhta hai
Surah Al-Furqan, Verse 20
۞وَقَالَ ٱلَّذِينَ لَا يَرۡجُونَ لِقَآءَنَا لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡنَا ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ أَوۡ نَرَىٰ رَبَّنَاۗ لَقَدِ ٱسۡتَكۡبَرُواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ وَعَتَوۡ عُتُوّٗا كَبِيرٗا
Jo log hamare huzoor pesh honay ka andesha nahin rakhte woh kehte hain “kyun na Farishte hamare paas bheje jayein? Ya phir hum apne Rubb ko dekhein? Bada ghamand le baithey yeh apne nafs mein aur hadd se guzar gaye yeh apni sarkashi mein
Surah Al-Furqan, Verse 21
يَوۡمَ يَرَوۡنَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةَ لَا بُشۡرَىٰ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُجۡرِمِينَ وَيَقُولُونَ حِجۡرٗا مَّحۡجُورٗا
Jis roz yeh Farishton ko dekhenge woh mujreemo ke liye kisi basharat (khush khabri) ka din na hoga, cheekh uthenge ke panaah-ba-khuda
Surah Al-Furqan, Verse 22
وَقَدِمۡنَآ إِلَىٰ مَا عَمِلُواْ مِنۡ عَمَلٖ فَجَعَلۡنَٰهُ هَبَآءٗ مَّنثُورًا
Aur jo kuch bhi inka kiya dhara hai usey lekar hum gubaar(dust) ki tarah uda dengey
Surah Al-Furqan, Verse 23
أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِ يَوۡمَئِذٍ خَيۡرٞ مُّسۡتَقَرّٗا وَأَحۡسَنُ مَقِيلٗا
Bas wahi log jo jannat ke mustahiq hain us din acchi jagaah thehrenge aur dopahar (mid-day) guzarne ko umdah muqaam payenge
Surah Al-Furqan, Verse 24
وَيَوۡمَ تَشَقَّقُ ٱلسَّمَآءُ بِٱلۡغَمَٰمِ وَنُزِّلَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ تَنزِيلًا
Aasmaan ko cheerta hua ek baadal us roz namudaar hoga aur Farishton ke parey ke parey (rank after rank) utaar diye jayenge
Surah Al-Furqan, Verse 25
ٱلۡمُلۡكُ يَوۡمَئِذٍ ٱلۡحَقُّ لِلرَّحۡمَٰنِۚ وَكَانَ يَوۡمًا عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ عَسِيرٗا
Us roz haqeeqi baadshahi sirf rehman ki hogi aur woh munkireen ke liye bada sakht din hoga
Surah Al-Furqan, Verse 26
وَيَوۡمَ يَعَضُّ ٱلظَّالِمُ عَلَىٰ يَدَيۡهِ يَقُولُ يَٰلَيۡتَنِي ٱتَّخَذۡتُ مَعَ ٱلرَّسُولِ سَبِيلٗا
Zaalim Insaan apna haath chabayega aur kahega “kaash maine Rasool ka saath diya hota
Surah Al-Furqan, Verse 27
يَٰوَيۡلَتَىٰ لَيۡتَنِي لَمۡ أَتَّخِذۡ فُلَانًا خَلِيلٗا
Haaye meri kambakhti, kaash maine falaan shaks ko dost na banaya hota
Surah Al-Furqan, Verse 28
لَّقَدۡ أَضَلَّنِي عَنِ ٱلذِّكۡرِ بَعۡدَ إِذۡ جَآءَنِيۗ وَكَانَ ٱلشَّيۡطَٰنُ لِلۡإِنسَٰنِ خَذُولٗا
Uske behkaye mein aakar maine woh naseehat na maani jo mere paas aayi thi. Shaytaan insaan ke haqq mein bada hi bewafa nikla”
Surah Al-Furqan, Verse 29
وَقَالَ ٱلرَّسُولُ يَٰرَبِّ إِنَّ قَوۡمِي ٱتَّخَذُواْ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانَ مَهۡجُورٗا
Aur Rasool kahega ke “Aey mere Rubb, meri qaum ke logon ne is Quran ko nishana tadheek bana liya tha (the object of their ridicule)”
Surah Al-Furqan, Verse 30
وَكَذَٰلِكَ جَعَلۡنَا لِكُلِّ نَبِيٍّ عَدُوّٗا مِّنَ ٱلۡمُجۡرِمِينَۗ وَكَفَىٰ بِرَبِّكَ هَادِيٗا وَنَصِيرٗا
(Aey Muhammad), humne to isi taraah mujreemo ko har Nabi ka dushman banaya hai , aur tumhare liye tumhara Rubb hi rehnumayi aur madad ko kaafi hai
Surah Al-Furqan, Verse 31
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡلَا نُزِّلَ عَلَيۡهِ ٱلۡقُرۡءَانُ جُمۡلَةٗ وَٰحِدَةٗۚ كَذَٰلِكَ لِنُثَبِّتَ بِهِۦ فُؤَادَكَۖ وَرَتَّلۡنَٰهُ تَرۡتِيلٗا
Munkireen kehte hain “is shaks par saara Quran ek hi waqt mein kyun na utaar diya gaya? Haan, aisa is liye kiya gaya hai ke isko achhi tarah hum tumhare zehan nasheen karte rahein aur (isi garaz ke liye) humne isko ek khaas tarteeb ke saath alag alag ajzaa ki shakal di hai
Surah Al-Furqan, Verse 32
وَلَا يَأۡتُونَكَ بِمَثَلٍ إِلَّا جِئۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ وَأَحۡسَنَ تَفۡسِيرًا
Aur (ismein yeh maslihat bhi hai) ke jab kabhi woh tumhare samne koi nirali baat (ya ajeeb sawal) lekar aaye, uska theek jawaab bar waqt humne tumhein de diya aur behtareen tareeqe se baat khol di
Surah Al-Furqan, Verse 33
ٱلَّذِينَ يُحۡشَرُونَ عَلَىٰ وُجُوهِهِمۡ إِلَىٰ جَهَنَّمَ أُوْلَـٰٓئِكَ شَرّٞ مَّكَانٗا وَأَضَلُّ سَبِيلٗا
Jo log aundhey mooh jahannum ki taraf dhakele janey waley hain unka mauquf bahut bura (most erroneous) aur unki raah hadd darjah galat hai
Surah Al-Furqan, Verse 34
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ وَجَعَلۡنَا مَعَهُۥٓ أَخَاهُ هَٰرُونَ وَزِيرٗا
Humne Moosa ko kitaab di aur uske saath uske bhai Haroon ko madadgaar ke taur par lagaya
Surah Al-Furqan, Verse 35
فَقُلۡنَا ٱذۡهَبَآ إِلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا فَدَمَّرۡنَٰهُمۡ تَدۡمِيرٗا
Aur unse kaha ke jao us qaum ki taraf jisne hamari aayat ko jhutla diya hai. Aakhir e kaar un logon ko humne tabaah karke rakh diya
Surah Al-Furqan, Verse 36
وَقَوۡمَ نُوحٖ لَّمَّا كَذَّبُواْ ٱلرُّسُلَ أَغۡرَقۡنَٰهُمۡ وَجَعَلۡنَٰهُمۡ لِلنَّاسِ ءَايَةٗۖ وَأَعۡتَدۡنَا لِلظَّـٰلِمِينَ عَذَابًا أَلِيمٗا
Yahi haal qaum e Nooh ka hua jab unhon ne Rasoolon ki takzeeb ki, humne unko garq (drown/duba) kardiya aur duniya bhar ke logon ke liye ek nishaan e ibrat bana diya, aur in zaalimon ke liye ek dardnaak azaab humne muhaiyya kar rakkha hai
Surah Al-Furqan, Verse 37
وَعَادٗا وَثَمُودَاْ وَأَصۡحَٰبَ ٱلرَّسِّ وَقُرُونَۢا بَيۡنَ ذَٰلِكَ كَثِيرٗا
Isi tarah Aad aur Samood aur ashaab e Rass aur beech ki sadiyon ke bahut se log tabaah kiye gaye
Surah Al-Furqan, Verse 38
وَكُلّٗا ضَرَبۡنَا لَهُ ٱلۡأَمۡثَٰلَۖ وَكُلّٗا تَبَّرۡنَا تَتۡبِيرٗا
Aur un mein se har ek ko humne ( pehle tabaah honay walon ki) misalein dey dey kar samjhaya, aur aakhir e kaar har ek ko gaarat (destroy) kardiya
Surah Al-Furqan, Verse 39
وَلَقَدۡ أَتَوۡاْ عَلَى ٱلۡقَرۡيَةِ ٱلَّتِيٓ أُمۡطِرَتۡ مَطَرَ ٱلسَّوۡءِۚ أَفَلَمۡ يَكُونُواْ يَرَوۡنَهَاۚ بَلۡ كَانُواْ لَا يَرۡجُونَ نُشُورٗا
Aur us basti par to inka guzar ho chuka hai jispar badhtareen baarish barsayi gayi thi.Kya inhon ne uska haal dekha na hoga? Magar yeh maut ke baad dusri zindagi ki tawakku hi nahin rakhte
Surah Al-Furqan, Verse 40
وَإِذَا رَأَوۡكَ إِن يَتَّخِذُونَكَ إِلَّا هُزُوًا أَهَٰذَا ٱلَّذِي بَعَثَ ٱللَّهُ رَسُولًا
Yeh log jab tumhein dekhte hain to tumhara mazaaq bana lete hain, (Kehte hain) “kya yeh shaks hai jisey khuda ne Rasool bana kar bheja hai
Surah Al-Furqan, Verse 41
إِن كَادَ لَيُضِلُّنَا عَنۡ ءَالِهَتِنَا لَوۡلَآ أَن صَبَرۡنَا عَلَيۡهَاۚ وَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ حِينَ يَرَوۡنَ ٱلۡعَذَابَ مَنۡ أَضَلُّ سَبِيلًا
Isne to humein gumraah karke apne maboodon se bargashta(astray/behka/gumrah) hi kardiya hota agar hum unki aqeedat par jam na gaye hotey”. Accha, woh waqt door nahin hai jab azaab dekh kar inhein khud maloom ho jayega ke kaun gumraahi mein door nikal gaya tha
Surah Al-Furqan, Verse 42
أَرَءَيۡتَ مَنِ ٱتَّخَذَ إِلَٰهَهُۥ هَوَىٰهُ أَفَأَنتَ تَكُونُ عَلَيۡهِ وَكِيلًا
Kabhi tumne us shaks ke haal par gaur kiya hai jisne apni khwahish e nafs ko apna khuda bana liya ho? Kya tum aisey shaks ko raah e raast par laney ka zimma le sakte ho
Surah Al-Furqan, Verse 43
أَمۡ تَحۡسَبُ أَنَّ أَكۡثَرَهُمۡ يَسۡمَعُونَ أَوۡ يَعۡقِلُونَۚ إِنۡ هُمۡ إِلَّا كَٱلۡأَنۡعَٰمِ بَلۡ هُمۡ أَضَلُّ سَبِيلًا
Kya tum samajhte ho ke inmein se aksar log sunte aur samajhte hain? Yeh to jaanwaron ki tarah hain, balke unse bhi gaye guzre
Surah Al-Furqan, Verse 44
أَلَمۡ تَرَ إِلَىٰ رَبِّكَ كَيۡفَ مَدَّ ٱلظِّلَّ وَلَوۡ شَآءَ لَجَعَلَهُۥ سَاكِنٗا ثُمَّ جَعَلۡنَا ٱلشَّمۡسَ عَلَيۡهِ دَلِيلٗا
Tumne dekha nahin ke tumhara Rubb kis tarah saaya phayla deta hai? Agar woh chahta to usey daimi (constant) bana deta. Humne Suraj ko uspar daleel (sun its pilot) banaya
Surah Al-Furqan, Verse 45
ثُمَّ قَبَضۡنَٰهُ إِلَيۡنَا قَبۡضٗا يَسِيرٗا
Phir (jaisey jaisey Suraj utha jaata hai) hum is saaye ko rafta rafta apni taraf sameit-te chale jatey hain
Surah Al-Furqan, Verse 46
وَهُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلَّيۡلَ لِبَاسٗا وَٱلنَّوۡمَ سُبَاتٗا وَجَعَلَ ٱلنَّهَارَ نُشُورٗا
Aur woh Allah hi hai jisne raat ko tumhare liye libaas, aur neend ko sukoon e maut, aur din ko jee uthne ka waqt banaya
Surah Al-Furqan, Verse 47
وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ ٱلرِّيَٰحَ بُشۡرَۢا بَيۡنَ يَدَيۡ رَحۡمَتِهِۦۚ وَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ طَهُورٗا
Aur wahi hai jo apni rehmat ke aagey aagey hawaon ko basharat bana kar bhejta hai phir aasmaan se paak pani nazil karta hai
Surah Al-Furqan, Verse 48
لِّنُحۡـِۧيَ بِهِۦ بَلۡدَةٗ مَّيۡتٗا وَنُسۡقِيَهُۥ مِمَّا خَلَقۡنَآ أَنۡعَٰمٗا وَأَنَاسِيَّ كَثِيرٗا
Taa-ke ek murda ilake ko iske zariye zindagi bakshe aur apni makhlooq mein se bahut se jaanwaron aur Insano ko sairaab (quench thirst) karey
Surah Al-Furqan, Verse 49
وَلَقَدۡ صَرَّفۡنَٰهُ بَيۡنَهُمۡ لِيَذَّكَّرُواْ فَأَبَىٰٓ أَكۡثَرُ ٱلنَّاسِ إِلَّا كُفُورٗا
Is karishme ko hum baar baar inke saamne latey hain taa-ke woh kuch sabaq lein. Magar aksar log kufr aur nashukri ke siwa koi dusra rawaiyya ikhtiyar karne se inkar kardete hain
Surah Al-Furqan, Verse 50
وَلَوۡ شِئۡنَا لَبَعَثۡنَا فِي كُلِّ قَرۡيَةٖ نَّذِيرٗا
Agar hum chahte to ek ek basti mein ek ek nazeer (darr sunane waala) utha khada karte
Surah Al-Furqan, Verse 51
فَلَا تُطِعِ ٱلۡكَٰفِرِينَ وَجَٰهِدۡهُم بِهِۦ جِهَادٗا كَبِيرٗا
Pas (aey Nabi) , ka firon ki baat hargiz na maano aur is Quran ko lekar inke saath jihad-e-kabeer karo
Surah Al-Furqan, Verse 52
۞وَهُوَ ٱلَّذِي مَرَجَ ٱلۡبَحۡرَيۡنِ هَٰذَا عَذۡبٞ فُرَاتٞ وَهَٰذَا مِلۡحٌ أُجَاجٞ وَجَعَلَ بَيۡنَهُمَا بَرۡزَخٗا وَحِجۡرٗا مَّحۡجُورٗا
Aur wahi hai jisne do samandaron ko mila rakkha hai, ek lazeez o shereen(sweet) , dusra talkh o shur (bitter and saltish), aur dono ke darmiyan ek purda hayal hai, ek rukawat hai(insurmountable barrier) jo unhein gud-mud honay se roakey huey hai
Surah Al-Furqan, Verse 53
وَهُوَ ٱلَّذِي خَلَقَ مِنَ ٱلۡمَآءِ بَشَرٗا فَجَعَلَهُۥ نَسَبٗا وَصِهۡرٗاۗ وَكَانَ رَبُّكَ قَدِيرٗا
Aur wahi hai jisne pani se ek bashar (Insaan) paida kiya, phir ussey nasab aur susraal (by blood and by marriage) ke do alag silsile chalaye .Tera Rubb bada hi qudrat wala hai
Surah Al-Furqan, Verse 54
وَيَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَنفَعُهُمۡ وَلَا يَضُرُّهُمۡۗ وَكَانَ ٱلۡكَافِرُ عَلَىٰ رَبِّهِۦ ظَهِيرٗا
Is khuda ko chodh kar log unko poojh rahey hain jo na inko nafaa pahuncha sakte hain na nuqsaan, aur upar se mazeed yeh ke kafir apne Rubb ke muqablay mein har baagi ka madadgaar bana hua hai
Surah Al-Furqan, Verse 55
وَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ إِلَّا مُبَشِّرٗا وَنَذِيرٗا
(Aey Muhammad), tumko to humne bas ek mubashir (khush khabri dene waala) aur nazeer (darr sunane wala) bana kar bheja hai
Surah Al-Furqan, Verse 56
قُلۡ مَآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ مِنۡ أَجۡرٍ إِلَّا مَن شَآءَ أَن يَتَّخِذَ إِلَىٰ رَبِّهِۦ سَبِيلٗا
Insey kehdo ke “ main is kaam par tumse koi ujrat (recompense) nahin maangta, meri ujrat bas yahi hai ke jiska jee chahe woh apne Rubb ka raasta ikhtiyar karle”
Surah Al-Furqan, Verse 57
وَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱلۡحَيِّ ٱلَّذِي لَا يَمُوتُ وَسَبِّحۡ بِحَمۡدِهِۦۚ وَكَفَىٰ بِهِۦ بِذُنُوبِ عِبَادِهِۦ خَبِيرًا
Aur (aey Muhammad) us khuda par bharosa rakkho jo zinda hai aur kabhi marne waala nahin, uski hamd ke saath uski tasbeeh karo,apne bandon ke gunaahon se bas usi ka ba-khabar hona kaafi hai
Surah Al-Furqan, Verse 58
ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ ٱلرَّحۡمَٰنُ فَسۡـَٔلۡ بِهِۦ خَبِيرٗا
Woh jisne chey (six) dino mein zameen aur aasmaano ko aur un saari cheezon ko bana kar rakh diya jo aasmaan o zameen ke darmiyaan hain, phir aap hi (qayinaat ke takht e sultanat) ‘Arsh’ par jalwa farma hua. Rehman, uski shaan bas kisi jaanne waley se pucho
Surah Al-Furqan, Verse 59
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱسۡجُدُواْۤ لِلرَّحۡمَٰنِ قَالُواْ وَمَا ٱلرَّحۡمَٰنُ أَنَسۡجُدُ لِمَا تَأۡمُرُنَا وَزَادَهُمۡ نُفُورٗا۩
In logon se jab kaha jata hai ke is Rehman ko sajda karo to kehte hain “Rehman kya hota hai? Kya bas jisey tu kehde usi ko hum sajda karte phirein?” yeh dawat inki nafrat mein ulta aur izafa kardeti hai
Surah Al-Furqan, Verse 60
تَبَارَكَ ٱلَّذِي جَعَلَ فِي ٱلسَّمَآءِ بُرُوجٗا وَجَعَلَ فِيهَا سِرَٰجٗا وَقَمَرٗا مُّنِيرٗا
Bada mutabarrak(ba-barakat) hai woh jisne aasmaan mein burj (fortified spheres) banaye aur us mein ek chiraag aur ek chamakta Chand roshan kiya
Surah Al-Furqan, Verse 61
وَهُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَ خِلۡفَةٗ لِّمَنۡ أَرَادَ أَن يَذَّكَّرَ أَوۡ أَرَادَ شُكُورٗا
Wahi hai jisne raat aur din ko ek dusre ka jaanasheen banaya, har us shaks ke liye jo sabaq lena chahe, ya shukar guzaar hona chahe
Surah Al-Furqan, Verse 62
وَعِبَادُ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلَّذِينَ يَمۡشُونَ عَلَى ٱلۡأَرۡضِ هَوۡنٗا وَإِذَا خَاطَبَهُمُ ٱلۡجَٰهِلُونَ قَالُواْ سَلَٰمٗا
Rehman ke (asli) banday woh hai jo zameen par narm chaal chalte hain aur jaahil unke mooh ko aayein to keh detay hain ke tumko salaam
Surah Al-Furqan, Verse 63
وَٱلَّذِينَ يَبِيتُونَ لِرَبِّهِمۡ سُجَّدٗا وَقِيَٰمٗا
Jo apne Rubb ke huzur sajde aur qayaam mein raatein guzarte hain
Surah Al-Furqan, Verse 64
وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا ٱصۡرِفۡ عَنَّا عَذَابَ جَهَنَّمَۖ إِنَّ عَذَابَهَا كَانَ غَرَامًا
Jo duaein karte hain ke “Aey hamare Rubb, jahannum ke azaab se humko bacha le, uska azaab to jaan ka laagu hai
Surah Al-Furqan, Verse 65
إِنَّهَا سَآءَتۡ مُسۡتَقَرّٗا وَمُقَامٗا
Woh to bada hi mustaqar(evil abode) aur muqaam hai”
Surah Al-Furqan, Verse 66
وَٱلَّذِينَ إِذَآ أَنفَقُواْ لَمۡ يُسۡرِفُواْ وَلَمۡ يَقۡتُرُواْ وَكَانَ بَيۡنَ ذَٰلِكَ قَوَامٗا
Jo kharch karte hain to na fizool kharchi karte hain na bukhl, balke unka kharch dono intehaaon (extremes) ke darmiyan aitadaal par qayam rehta hai
Surah Al-Furqan, Verse 67
وَٱلَّذِينَ لَا يَدۡعُونَ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ وَلَا يَقۡتُلُونَ ٱلنَّفۡسَ ٱلَّتِي حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَلَا يَزۡنُونَۚ وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ يَلۡقَ أَثَامٗا
Jo Allah ke siwa kisi aur mabood ko nahin pukarte, Allah ki haraam ki hui kisi jaan ko na-haqq halaak nahin karte, aur na zina (adultery) ke murtakib hotay hain. Yeh kaam jo koi karey woh apne gunaah ka badla payega
Surah Al-Furqan, Verse 68
يُضَٰعَفۡ لَهُ ٱلۡعَذَابُ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَيَخۡلُدۡ فِيهِۦ مُهَانًا
Qayamat ke roz usko mukarrar azaab diya jayega aur isi mein woh hamesha zillat ke saath pada rahega
Surah Al-Furqan, Verse 69
إِلَّا مَن تَابَ وَءَامَنَ وَعَمِلَ عَمَلٗا صَٰلِحٗا فَأُوْلَـٰٓئِكَ يُبَدِّلُ ٱللَّهُ سَيِّـَٔاتِهِمۡ حَسَنَٰتٖۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Illa yeh ke koi (in gunaahon ke baad) toubah kar chuka ho aur iman laa kar amal e saleeh karne laga ho, aisey logon ki buraiyon ko Allah bhalaiyon se badal dega aur woh bada gafoor o raheem hai
Surah Al-Furqan, Verse 70
وَمَن تَابَ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا فَإِنَّهُۥ يَتُوبُ إِلَى ٱللَّهِ مَتَابٗا
Jo shaks toubah karke neik amali ikhtiyar karta hai woh to Allah ki taraf palat aata hai jaisa ke palatne ka haqq hai
Surah Al-Furqan, Verse 71
وَٱلَّذِينَ لَا يَشۡهَدُونَ ٱلزُّورَ وَإِذَا مَرُّواْ بِٱللَّغۡوِ مَرُّواْ كِرَامٗا
(Aur Rehman ke bandey woh hain) jo jhoot ke gawaah nahin bante aur kisi lagv (fizul/vain) cheez par unka guzar ho jaye to shareef aadmiyon ki tarah guzar jatey hain
Surah Al-Furqan, Verse 72
وَٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِّرُواْ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمۡ لَمۡ يَخِرُّواْ عَلَيۡهَا صُمّٗا وَعُمۡيَانٗا
Jinhein agar unke Rubb ki aayat suna kar naseehat ki jati hai to woh uspar andhey aur behre bankar nahin reh jatey
Surah Al-Furqan, Verse 73
وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا هَبۡ لَنَا مِنۡ أَزۡوَٰجِنَا وَذُرِّيَّـٰتِنَا قُرَّةَ أَعۡيُنٖ وَٱجۡعَلۡنَا لِلۡمُتَّقِينَ إِمَامًا
Jo duaein maanga karte hain ke, “Aey hamare Rubb, humein apni biwiyon aur apni aulaad se aankhon ki thandak de, aur humko parheizgaaron ka imam bana.”
Surah Al-Furqan, Verse 74
أُوْلَـٰٓئِكَ يُجۡزَوۡنَ ٱلۡغُرۡفَةَ بِمَا صَبَرُواْ وَيُلَقَّوۡنَ فِيهَا تَحِيَّةٗ وَسَلَٰمًا
Yeh hain woh log jo apne sabr ka phal manzil-e-buland ki shakal mein payenge, aadaab o tasleemaat se unka istaqbaal hoga
Surah Al-Furqan, Verse 75
خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ حَسُنَتۡ مُسۡتَقَرّٗا وَمُقَامٗا
Woh hamesha hamesha wahan rahenge. Kya hi accha hai woh mustaqar (excellent abode) aur woh muqaam
Surah Al-Furqan, Verse 76
قُلۡ مَا يَعۡبَؤُاْ بِكُمۡ رَبِّي لَوۡلَا دُعَآؤُكُمۡۖ فَقَدۡ كَذَّبۡتُمۡ فَسَوۡفَ يَكُونُ لِزَامَۢا
(Aey Muhammad), logon se kaho, “mere Rubb ko tumhari kya haajat padi hai agar tum usko na pukaro. Ab ke tumne jhutla diya hai, anqareeb woh saza paogey ke jaan chudhani muhaal (never be able to avoid) hogi”
Surah Al-Furqan, Verse 77