Surah An-Noor Verse 41 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah An-Noorأَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يُسَبِّحُ لَهُۥ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَٱلطَّيۡرُ صَـٰٓفَّـٰتٖۖ كُلّٞ قَدۡ عَلِمَ صَلَاتَهُۥ وَتَسۡبِيحَهُۥۗ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِمَا يَفۡعَلُونَ
Kya tum dekhte nahin ho ke Allah ki tasbeeh kar rahey hain woh sab jo aasmano aur zameen mein hain aur woh parinde jo parr phaylaye udd rahe hain? Har ek apni namaz aur tasbeeh ka tareeqa jaanta hai, aur ye sab jo kuch karte hain Allah ussey baa-khabar rehta hai