Surah Al-Qasas Verse 4 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Qasasإِنَّ فِرۡعَوۡنَ عَلَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَجَعَلَ أَهۡلَهَا شِيَعٗا يَسۡتَضۡعِفُ طَآئِفَةٗ مِّنۡهُمۡ يُذَبِّحُ أَبۡنَآءَهُمۡ وَيَسۡتَحۡيِۦ نِسَآءَهُمۡۚ إِنَّهُۥ كَانَ مِنَ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Waqia yeh hai ke Firoun ne zameen mein sarkashi ki aur uske bashindon ko girohon mein taseem kardiya, un mein se ek giroh ko woh zaleel karta tha, iske ladkon ko qatal karta aur uski ladkiyon ko jeeta (zinda) rehne deta tha. Fil waqai woh mufsid (mischief-makers) logon mein se tha