Surah Al-Qasas - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
طسٓمٓ
Taa seen Meem
Surah Al-Qasas, Verse 1
تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُبِينِ
Yeh kitaab e mubeen(clear book) ki aayat hain
Surah Al-Qasas, Verse 2
نَتۡلُواْ عَلَيۡكَ مِن نَّبَإِ مُوسَىٰ وَفِرۡعَوۡنَ بِٱلۡحَقِّ لِقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Hum Moosa aur Firoun ka kuch haal theek theek tumhein sunate hain aisey logon ke faiyde ke liye jo iman layein
Surah Al-Qasas, Verse 3
إِنَّ فِرۡعَوۡنَ عَلَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَجَعَلَ أَهۡلَهَا شِيَعٗا يَسۡتَضۡعِفُ طَآئِفَةٗ مِّنۡهُمۡ يُذَبِّحُ أَبۡنَآءَهُمۡ وَيَسۡتَحۡيِۦ نِسَآءَهُمۡۚ إِنَّهُۥ كَانَ مِنَ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Waqia yeh hai ke Firoun ne zameen mein sarkashi ki aur uske bashindon ko girohon mein taseem kardiya, un mein se ek giroh ko woh zaleel karta tha, iske ladkon ko qatal karta aur uski ladkiyon ko jeeta (zinda) rehne deta tha. Fil waqai woh mufsid (mischief-makers) logon mein se tha
Surah Al-Qasas, Verse 4
وَنُرِيدُ أَن نَّمُنَّ عَلَى ٱلَّذِينَ ٱسۡتُضۡعِفُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَنَجۡعَلَهُمۡ أَئِمَّةٗ وَنَجۡعَلَهُمُ ٱلۡوَٰرِثِينَ
Aur hum yeh irada rakhte thay ke meharbani karein un logon par jo zameen mein zaleel karke rakkhey gaye thay, aur unhein peshwa(leaders) bana dein, aur unhi ko waris banayein
Surah Al-Qasas, Verse 5
وَنُمَكِّنَ لَهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَنُرِيَ فِرۡعَوۡنَ وَهَٰمَٰنَ وَجُنُودَهُمَا مِنۡهُم مَّا كَانُواْ يَحۡذَرُونَ
Aur zameen mein unko iqtedar(power) bakshein, aur unse Firoun o Hamaan aur unke lashkaron ko wahi kuch dikhla dein jiska unhein darr tha
Surah Al-Qasas, Verse 6
وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰٓ أُمِّ مُوسَىٰٓ أَنۡ أَرۡضِعِيهِۖ فَإِذَا خِفۡتِ عَلَيۡهِ فَأَلۡقِيهِ فِي ٱلۡيَمِّ وَلَا تَخَافِي وَلَا تَحۡزَنِيٓۖ إِنَّا رَآدُّوهُ إِلَيۡكِ وَجَاعِلُوهُ مِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
Humne Moosa ki Maa ko ishara kiya ke “Isko doodh pila, phir jab tujhey uski jaan ka khatra ho to isey dariya mein daal de aur kuch khauf aur gham na kar, hum isey terey hi paas wapas le aayenge, aur isko paighambaron mein shamil karenge”
Surah Al-Qasas, Verse 7
فَٱلۡتَقَطَهُۥٓ ءَالُ فِرۡعَوۡنَ لِيَكُونَ لَهُمۡ عَدُوّٗا وَحَزَنًاۗ إِنَّ فِرۡعَوۡنَ وَهَٰمَٰنَ وَجُنُودَهُمَا كَانُواْ خَٰطِـِٔينَ
Aakhir e kaar Firoun ke ghar walon ne usey (dariya se) nikal liya taa-ke woh unka dushman aur unke liye sabab e ranj baney. Waqayi Firoun aur Hamaan aur uske lashkar (apni tadbeer mein ) baday galat-kaar thay
Surah Al-Qasas, Verse 8
وَقَالَتِ ٱمۡرَأَتُ فِرۡعَوۡنَ قُرَّتُ عَيۡنٖ لِّي وَلَكَۖ لَا تَقۡتُلُوهُ عَسَىٰٓ أَن يَنفَعَنَآ أَوۡ نَتَّخِذَهُۥ وَلَدٗا وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ
Firoun ki biwi ne (ussey) kaha “yeh mere aur tere liye aankhon ki thandak hai, isey qatal na karo, kya ajab ke yeh hamare liye mufeed saabit ho, ya hum isey beta hi bana lein.” Aur woh (anjaam se) bekhabar thay
Surah Al-Qasas, Verse 9
وَأَصۡبَحَ فُؤَادُ أُمِّ مُوسَىٰ فَٰرِغًاۖ إِن كَادَتۡ لَتُبۡدِي بِهِۦ لَوۡلَآ أَن رَّبَطۡنَا عَلَىٰ قَلۡبِهَا لِتَكُونَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Udhar Moosa ki Maa ka dil uda jaa raha tha, woh is raaz ko faash kar baithti agar hum uski dharas(strengthened her heart ) na bandha detey taa-ke woh ( hamare wadey par) iman laney walon mein se ho
Surah Al-Qasas, Verse 10
وَقَالَتۡ لِأُخۡتِهِۦ قُصِّيهِۖ فَبَصُرَتۡ بِهِۦ عَن جُنُبٖ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ
Usne bachhey ki behan se kaha iske peechey peechey ja, chunanchey woh alag se usko is tarah dekhti rahi ke (dushmano ko) uska pata na chala
Surah Al-Qasas, Verse 11
۞وَحَرَّمۡنَا عَلَيۡهِ ٱلۡمَرَاضِعَ مِن قَبۡلُ فَقَالَتۡ هَلۡ أَدُلُّكُمۡ عَلَىٰٓ أَهۡلِ بَيۡتٖ يَكۡفُلُونَهُۥ لَكُمۡ وَهُمۡ لَهُۥ نَٰصِحُونَ
Aur humne bacchey par pehle hi doodh pilane waliyon ki chatiyan (breasts) haraam kar rakkhi thi. (Yeh halat dekh kar) us ladki ne unsey kaha “main tumhein aisey ghar ka pata bataon jiske log iski parwarish ka zimma lein aur khair khwahi ke saath isey rakkhein?”
Surah Al-Qasas, Verse 12
فَرَدَدۡنَٰهُ إِلَىٰٓ أُمِّهِۦ كَيۡ تَقَرَّ عَيۡنُهَا وَلَا تَحۡزَنَ وَلِتَعۡلَمَ أَنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Is tarah hum Moosa ko uski Maa ke paas palta laaye taa-ke uski aankhein thandi hon aur woh ghamgheen na ho. Aur jaan le ke Allah ka wada saccha tha, magar aksar log is baat ko nahin jaantey
Surah Al-Qasas, Verse 13
وَلَمَّا بَلَغَ أَشُدَّهُۥ وَٱسۡتَوَىٰٓ ءَاتَيۡنَٰهُ حُكۡمٗا وَعِلۡمٗاۚ وَكَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Phir jab Moosa apni poori jawani ko pahunch gaya aur uska nasho-numa mukammal ho gaya to humne usey hukum aur ilm ata kiya. Hum neik logon ko aisi hi jazaa detey hain
Surah Al-Qasas, Verse 14
وَدَخَلَ ٱلۡمَدِينَةَ عَلَىٰ حِينِ غَفۡلَةٖ مِّنۡ أَهۡلِهَا فَوَجَدَ فِيهَا رَجُلَيۡنِ يَقۡتَتِلَانِ هَٰذَا مِن شِيعَتِهِۦ وَهَٰذَا مِنۡ عَدُوِّهِۦۖ فَٱسۡتَغَٰثَهُ ٱلَّذِي مِن شِيعَتِهِۦ عَلَى ٱلَّذِي مِنۡ عَدُوِّهِۦ فَوَكَزَهُۥ مُوسَىٰ فَقَضَىٰ عَلَيۡهِۖ قَالَ هَٰذَا مِنۡ عَمَلِ ٱلشَّيۡطَٰنِۖ إِنَّهُۥ عَدُوّٞ مُّضِلّٞ مُّبِينٞ
(Ek roz) woh shehar mein aisey waqt mein dakhil hua jabke ehle shehar gaflat mein thay. Wahan usne dekha ke do aadmi laddh rahey hain, ek uski apni qaum ka tha aur dusra uski dushman qaum se taaluq rakhta tha.Uski qaum ke aadmi ne dushman qaum waley ke khilaf usey madad ke liye pukara. Moosa ne usko ek ghoosa (fist) maara aur uska kaam tamaam kardiya. (Yeh harakat sarzad hotey hi)Moosa ne kaha “yeh Shaytaan ki kaar farmayi hai, woh sakht dushman aur khula gumraah kun hai”
Surah Al-Qasas, Verse 15
قَالَ رَبِّ إِنِّي ظَلَمۡتُ نَفۡسِي فَٱغۡفِرۡ لِي فَغَفَرَ لَهُۥٓۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
Phir woh kehne laga “Aey mere Rubb, maine apne nafs par bada zulm kar daala, meri magfirat farma de.”Chunanchey Allah ne uski magfirat farma di, woh gafoor o raheem hai
Surah Al-Qasas, Verse 16
قَالَ رَبِّ بِمَآ أَنۡعَمۡتَ عَلَيَّ فَلَنۡ أَكُونَ ظَهِيرٗا لِّلۡمُجۡرِمِينَ
Mossa ne ahad kiya ke “Aey mere Rubb, yeh ehsan jo tu nay mujhpar kiya hai iske baad ab main kabhi mujrimon ka madadgaar na banunga”
Surah Al-Qasas, Verse 17
فَأَصۡبَحَ فِي ٱلۡمَدِينَةِ خَآئِفٗا يَتَرَقَّبُ فَإِذَا ٱلَّذِي ٱسۡتَنصَرَهُۥ بِٱلۡأَمۡسِ يَسۡتَصۡرِخُهُۥۚ قَالَ لَهُۥ مُوسَىٰٓ إِنَّكَ لَغَوِيّٞ مُّبِينٞ
Dusre roz woh subah saware darta aur har taraf se khatra bhampta hua shehar mein jaa raha tha ke yakayak kya dekhta hai ke wahi shaks jisne kal usey madad ke liye pukara tha aaj phir usey pukar raha hai. Mossa ne kaha “tu to bada hi behka hua aadmi hai”
Surah Al-Qasas, Verse 18
فَلَمَّآ أَنۡ أَرَادَ أَن يَبۡطِشَ بِٱلَّذِي هُوَ عَدُوّٞ لَّهُمَا قَالَ يَٰمُوسَىٰٓ أَتُرِيدُ أَن تَقۡتُلَنِي كَمَا قَتَلۡتَ نَفۡسَۢا بِٱلۡأَمۡسِۖ إِن تُرِيدُ إِلَّآ أَن تَكُونَ جَبَّارٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا تُرِيدُ أَن تَكُونَ مِنَ ٱلۡمُصۡلِحِينَ
Phir jab Moosa ne irada kiya ke dushman qaum ke aadmi par hamla karey to woh pukar uttha “Aey Moosa , kya aaj tu mujhey usi tarah qatal karne laga hai jis tarah kal ek shaks ko qatal kar chuka hai, tu is mulk mein jabbar ban kar rehna chahta hai, Islaah nahin karna chahta”
Surah Al-Qasas, Verse 19
وَجَآءَ رَجُلٞ مِّنۡ أَقۡصَا ٱلۡمَدِينَةِ يَسۡعَىٰ قَالَ يَٰمُوسَىٰٓ إِنَّ ٱلۡمَلَأَ يَأۡتَمِرُونَ بِكَ لِيَقۡتُلُوكَ فَٱخۡرُجۡ إِنِّي لَكَ مِنَ ٱلنَّـٰصِحِينَ
Iske baad ek aadmi shehar ke parle sirey (other end of the city) se daudta hua aaya aur bola “Moosa , sardaron mein tere qatal ke mashwarey ho rahey hain, yahan se nikal jaa, main tera khair khwa(wellwisher) hoon”
Surah Al-Qasas, Verse 20
فَخَرَجَ مِنۡهَا خَآئِفٗا يَتَرَقَّبُۖ قَالَ رَبِّ نَجِّنِي مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Yeh khabar sunte hi Moosa darta aur sehamta nikal khada hua aur usne dua ki ke “Aey mere Rubb, mujhey zaalimon se bacha”
Surah Al-Qasas, Verse 21
وَلَمَّا تَوَجَّهَ تِلۡقَآءَ مَدۡيَنَ قَالَ عَسَىٰ رَبِّيٓ أَن يَهۡدِيَنِي سَوَآءَ ٱلسَّبِيلِ
(Misr se nikal kar) jab Moosa ne Madiyan ka rukh kiya to usne kaha “ Umeed hai ke mera Rubb mujhey theek raaste par daal dega”
Surah Al-Qasas, Verse 22
وَلَمَّا وَرَدَ مَآءَ مَدۡيَنَ وَجَدَ عَلَيۡهِ أُمَّةٗ مِّنَ ٱلنَّاسِ يَسۡقُونَ وَوَجَدَ مِن دُونِهِمُ ٱمۡرَأَتَيۡنِ تَذُودَانِۖ قَالَ مَا خَطۡبُكُمَاۖ قَالَتَا لَا نَسۡقِي حَتَّىٰ يُصۡدِرَ ٱلرِّعَآءُۖ وَأَبُونَا شَيۡخٞ كَبِيرٞ
Aur jab woh Madiyan ke kunwein (well) par pahuncha to usne dekha ke bahut se log apne jaanwaron ko pani pila rahey hain, aur unsey alag ek taraf do auratein apne jaanwaron ko rok rahi hain. Moosa ne in auraton se pucha “tumhein kya pareshani hai?” unhon ne kaha “Hum apne jaanwaron ko pani nahin pila sakti jab tak yeh charwahe apne jaanwar nikal kar na le jayein, aur hamare waalid ek bahut boodey aadmi hain”
Surah Al-Qasas, Verse 23
فَسَقَىٰ لَهُمَا ثُمَّ تَوَلَّىٰٓ إِلَى ٱلظِّلِّ فَقَالَ رَبِّ إِنِّي لِمَآ أَنزَلۡتَ إِلَيَّ مِنۡ خَيۡرٖ فَقِيرٞ
Yeh sunkar Moosa ne unke jaanwaron ko pani pila diya, phir ek saaye ki jagah jaa baitha aur bola “parwardigar, jo khair bhi tu mujhpar nazil karde main uska mohtaj hoon.”
Surah Al-Qasas, Verse 24
فَجَآءَتۡهُ إِحۡدَىٰهُمَا تَمۡشِي عَلَى ٱسۡتِحۡيَآءٖ قَالَتۡ إِنَّ أَبِي يَدۡعُوكَ لِيَجۡزِيَكَ أَجۡرَ مَا سَقَيۡتَ لَنَاۚ فَلَمَّا جَآءَهُۥ وَقَصَّ عَلَيۡهِ ٱلۡقَصَصَ قَالَ لَا تَخَفۡۖ نَجَوۡتَ مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
(Kuch dair na guzri thi ke) un dono auraton mein se ek sharam o haya se chalti hui uske paas aayi aur kehne lagi “Mere waalid aap ko bula rahey hain taa-ke aapne hamare jaanwaron ko pani jo pilaya hai uska ajar aapko dein.” Moosa jab uske paas pahuncha aur apna saara qissa usey sunaya to usne kaha “kuch khauf na karo, ab tum zaalimon se bach nikle ho.”
Surah Al-Qasas, Verse 25
قَالَتۡ إِحۡدَىٰهُمَا يَـٰٓأَبَتِ ٱسۡتَـٔۡجِرۡهُۖ إِنَّ خَيۡرَ مَنِ ٱسۡتَـٔۡجَرۡتَ ٱلۡقَوِيُّ ٱلۡأَمِينُ
In dono auraton mein se ek ne apne baap se kaha “abbajaan is shaks ko naukar rakh lijiye, behtareen aadmi jisey aap mulazim rakhein wahi ho sakta hai jo mazboot aur amaanat-daar ho”
Surah Al-Qasas, Verse 26
قَالَ إِنِّيٓ أُرِيدُ أَنۡ أُنكِحَكَ إِحۡدَى ٱبۡنَتَيَّ هَٰتَيۡنِ عَلَىٰٓ أَن تَأۡجُرَنِي ثَمَٰنِيَ حِجَجٖۖ فَإِنۡ أَتۡمَمۡتَ عَشۡرٗا فَمِنۡ عِندِكَۖ وَمَآ أُرِيدُ أَنۡ أَشُقَّ عَلَيۡكَۚ سَتَجِدُنِيٓ إِن شَآءَ ٱللَّهُ مِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Uske baap ne (Moosa se) kaha “main chahta hoon ke apni in do betiyon mein se ek ka nikah tumhare saath kardoon bashart yeh ke tum aath(eight) saal tak mere haan mulazimat karo, aur agar dus saal purey kardo to yeh tumhari marzi hai. Main tumpar sakhti nahin karna chahta, tum insha Allah mujhey neik aadmi paogey”
Surah Al-Qasas, Verse 27
قَالَ ذَٰلِكَ بَيۡنِي وَبَيۡنَكَۖ أَيَّمَا ٱلۡأَجَلَيۡنِ قَضَيۡتُ فَلَا عُدۡوَٰنَ عَلَيَّۖ وَٱللَّهُ عَلَىٰ مَا نَقُولُ وَكِيلٞ
Mossa ne jawab diya “yeh baat mere aur aapke darmiyan tai ho gayi.In dono muddaton mein se jo bhi main poori kardoon uske baad phir koi zyadati mujhpar na ho, aur jo kuch qaul o qaraar hum kar rahey hain Allah uspar nigehbaan hai.”
Surah Al-Qasas, Verse 28
۞فَلَمَّا قَضَىٰ مُوسَى ٱلۡأَجَلَ وَسَارَ بِأَهۡلِهِۦٓ ءَانَسَ مِن جَانِبِ ٱلطُّورِ نَارٗاۖ قَالَ لِأَهۡلِهِ ٱمۡكُثُوٓاْ إِنِّيٓ ءَانَسۡتُ نَارٗا لَّعَلِّيٓ ءَاتِيكُم مِّنۡهَا بِخَبَرٍ أَوۡ جَذۡوَةٖ مِّنَ ٱلنَّارِ لَعَلَّكُمۡ تَصۡطَلُونَ
Jab Moosa ne muddat poori kardi aur woh apne ehal-o-aayal(family) ko lekar chala to Toor ki jaanib usko ek aag nazar aayi.Usne apne ghar walon se kaha “thehro, maine ek aag dekhi hai, shayad main wahan se koi khabar le aaoon ya is aag se koi angara hi utha laaon jissey tum taap sako.”
Surah Al-Qasas, Verse 29
فَلَمَّآ أَتَىٰهَا نُودِيَ مِن شَٰطِيِٕ ٱلۡوَادِ ٱلۡأَيۡمَنِ فِي ٱلۡبُقۡعَةِ ٱلۡمُبَٰرَكَةِ مِنَ ٱلشَّجَرَةِ أَن يَٰمُوسَىٰٓ إِنِّيٓ أَنَا ٱللَّهُ رَبُّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Wahan pahuncha to wadi ke dahine kinarey par mubarak khittey mein ek darakht se pukara gaya ke “Aey Moosa, main hi Allah hoon, sarey jahaan walon ka maalik”
Surah Al-Qasas, Verse 30
وَأَنۡ أَلۡقِ عَصَاكَۚ فَلَمَّا رَءَاهَا تَهۡتَزُّ كَأَنَّهَا جَآنّٞ وَلَّىٰ مُدۡبِرٗا وَلَمۡ يُعَقِّبۡۚ يَٰمُوسَىٰٓ أَقۡبِلۡ وَلَا تَخَفۡۖ إِنَّكَ مِنَ ٱلۡأٓمِنِينَ
Aur (hukum diya gaya ke) “phenk de apni laathi.”Junhi ke Moosa ne dekha ke woh laathi saanp (snake) ki tarah bal kha rahi hai to woh peeth pher kar bhaaga aur unse mudh kar bhi na dekha. (Irshad hua) “Moosa, palat aa aur khauf na kar, tu bilkul mehfuz hai
Surah Al-Qasas, Verse 31
ٱسۡلُكۡ يَدَكَ فِي جَيۡبِكَ تَخۡرُجۡ بَيۡضَآءَ مِنۡ غَيۡرِ سُوٓءٖ وَٱضۡمُمۡ إِلَيۡكَ جَنَاحَكَ مِنَ ٱلرَّهۡبِۖ فَذَٰنِكَ بُرۡهَٰنَانِ مِن رَّبِّكَ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦٓۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمٗا فَٰسِقِينَ
Apna haath girehban mein daal, chamakta hua niklega bagair kisi takleef ke aur khauf se bachne ke liye apna baazu bhench le(fold back). Yeh do roshan nishaniyan hain tere Rubb ki taraf se Firoun aur uske darbariyon ke saamne pesh karne ke liye, woh badey hi nafarmaan log hain”
Surah Al-Qasas, Verse 32
قَالَ رَبِّ إِنِّي قَتَلۡتُ مِنۡهُمۡ نَفۡسٗا فَأَخَافُ أَن يَقۡتُلُونِ
Moosa ne arz kiya “Mere aaqa, main to unka ek aadmi qatal kar chuka hoon, darta hoon ke woh mujhey maar daalenge
Surah Al-Qasas, Verse 33
وَأَخِي هَٰرُونُ هُوَ أَفۡصَحُ مِنِّي لِسَانٗا فَأَرۡسِلۡهُ مَعِيَ رِدۡءٗا يُصَدِّقُنِيٓۖ إِنِّيٓ أَخَافُ أَن يُكَذِّبُونِ
Aur mera bhai Haroon mujhse zyada zubaan awar (eloquent of tongue) hai, usey mere saath madadgaar ke taur par bhej taa-ke woh meri taaeed (support) karey, mujhey andesha hai ke woh log mujhey jhutlayenge.”
Surah Al-Qasas, Verse 34
قَالَ سَنَشُدُّ عَضُدَكَ بِأَخِيكَ وَنَجۡعَلُ لَكُمَا سُلۡطَٰنٗا فَلَا يَصِلُونَ إِلَيۡكُمَا بِـَٔايَٰتِنَآۚ أَنتُمَا وَمَنِ ٱتَّبَعَكُمَا ٱلۡغَٰلِبُونَ
Farmaya “hum tere bhai ke zariye se tera haath mazboot karenge aur tum dono ko aisi sitwat(authority) bakshenge ke woh tumhara kuch na bigaad sakenge.Hamari nishaniyon ke zoar se galaba (triumph) tumhare aur tumhare pairawon ka hi hoga”
Surah Al-Qasas, Verse 35
فَلَمَّا جَآءَهُم مُّوسَىٰ بِـَٔايَٰتِنَا بَيِّنَٰتٖ قَالُواْ مَا هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّفۡتَرٗى وَمَا سَمِعۡنَا بِهَٰذَا فِيٓ ءَابَآئِنَا ٱلۡأَوَّلِينَ
Phir jab Moosa un logon ke paas hamari khuli khuli nishaniyan lekar pahuncha to unhon ne kaha ke yeh kuch nahin hai magar banawati jaadu aur yeh baatein to humne apne baap dada ke zamane mein kabhi suni hi nahin
Surah Al-Qasas, Verse 36
وَقَالَ مُوسَىٰ رَبِّيٓ أَعۡلَمُ بِمَن جَآءَ بِٱلۡهُدَىٰ مِنۡ عِندِهِۦ وَمَن تَكُونُ لَهُۥ عَٰقِبَةُ ٱلدَّارِۚ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Moosa ne jawab diya “Mera Rubb us shaks ke haal se khoob waqif hai jo uski taraf se hidayat lekar aaya hai aur wahi behtar jaanta hai ke aakhri anjaam kiska accha hona hai, haqq yeh hai ke zaalim kabhi falah nahin paatey.”
Surah Al-Qasas, Verse 37
وَقَالَ فِرۡعَوۡنُ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلۡمَلَأُ مَا عَلِمۡتُ لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرِي فَأَوۡقِدۡ لِي يَٰهَٰمَٰنُ عَلَى ٱلطِّينِ فَٱجۡعَل لِّي صَرۡحٗا لَّعَلِّيٓ أَطَّلِعُ إِلَىٰٓ إِلَٰهِ مُوسَىٰ وَإِنِّي لَأَظُنُّهُۥ مِنَ ٱلۡكَٰذِبِينَ
Aur Firoun ne kaha “Aey ehle darbaar main to apne siwa tumhare kisi khuda ko nahin jaanta. Hamaan, zara eatain (bricks) pakwa kar mere liye ek unchi imarat to banwa, shayad ke uspar chadh kar main Moosa ke khuda ko dekh sakoon, main to isey jhoota hi samajhta hoon”
Surah Al-Qasas, Verse 38
وَٱسۡتَكۡبَرَ هُوَ وَجُنُودُهُۥ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَظَنُّوٓاْ أَنَّهُمۡ إِلَيۡنَا لَا يُرۡجَعُونَ
Usne aur uske lashkaron ne zameen mein bagair kisi haqq ke apni badayi ka ghamand kiya aur samjhe ke unhein kabhi hamari taraf palatna nahin hai
Surah Al-Qasas, Verse 39
فَأَخَذۡنَٰهُ وَجُنُودَهُۥ فَنَبَذۡنَٰهُمۡ فِي ٱلۡيَمِّۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aakhir-e-kaar humne usey aur uske lashkaron ko pakda aur samandar mein phenk diya, ab dekhlo ke un zaalimon ka kaisa anjaam hua
Surah Al-Qasas, Verse 40
وَجَعَلۡنَٰهُمۡ أَئِمَّةٗ يَدۡعُونَ إِلَى ٱلنَّارِۖ وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ لَا يُنصَرُونَ
Humne unhein jahannum ki taraf dawat dene waley pesh-ro bana diya aur qayamat ke roz woh kahin se koi madad na paa sakenge
Surah Al-Qasas, Verse 41
وَأَتۡبَعۡنَٰهُمۡ فِي هَٰذِهِ ٱلدُّنۡيَا لَعۡنَةٗۖ وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ هُم مِّنَ ٱلۡمَقۡبُوحِينَ
Humne is duniya mein unke pichey laanat laga di aur qayamat ke roz woh badi qabahat (awkward predicament) mein mubtila hongey
Surah Al-Qasas, Verse 42
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ مِنۢ بَعۡدِ مَآ أَهۡلَكۡنَا ٱلۡقُرُونَ ٱلۡأُولَىٰ بَصَآئِرَ لِلنَّاسِ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٗ لَّعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ
Pichli nasalon ko halaak karne ke baad humne Moosa ko kitaab ata ki, logon ke liye baseeraton ka samaan(means of enlightenment) bana kar, hidayat aur rehmat bana kar, taa-ke shayad log sabaq haasil karein
Surah Al-Qasas, Verse 43
وَمَا كُنتَ بِجَانِبِ ٱلۡغَرۡبِيِّ إِذۡ قَضَيۡنَآ إِلَىٰ مُوسَى ٱلۡأَمۡرَ وَمَا كُنتَ مِنَ ٱلشَّـٰهِدِينَ
(Aey Muhammad) tum us waqt magrabi goshey(western side) mein maujood na thay jab humne Moosa ko yeh farmaan e shariyat ata kiya aur na tum shahideen (witnesses) mein shamil thay
Surah Al-Qasas, Verse 44
وَلَٰكِنَّآ أَنشَأۡنَا قُرُونٗا فَتَطَاوَلَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡعُمُرُۚ وَمَا كُنتَ ثَاوِيٗا فِيٓ أَهۡلِ مَدۡيَنَ تَتۡلُواْ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتِنَا وَلَٰكِنَّا كُنَّا مُرۡسِلِينَ
Balke iske baad (tumhare zamane tak) hum bahut se nasalein (generations) utha chuke hain aur unpar bahut zamana guzar chuka hai. Tum ehle Madiyan ke darmiyaan bhi maujood na thay ke unko hamari aayat suna rahey hotey, Magar (us waqt ki yeh khabrein) bhejne waley hum hain
Surah Al-Qasas, Verse 45
وَمَا كُنتَ بِجَانِبِ ٱلطُّورِ إِذۡ نَادَيۡنَا وَلَٰكِن رَّحۡمَةٗ مِّن رَّبِّكَ لِتُنذِرَ قَوۡمٗا مَّآ أَتَىٰهُم مِّن نَّذِيرٖ مِّن قَبۡلِكَ لَعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ
Aur tum Toor ke daaman mein bhi us waqt maujood na they jab humne (Moosa ko pehli martaba) pukara tha, magar yeh tumhare Rubb ki rehmat hai (ke tumko yeh malumaat di jaa rahi hain) taa-ke tum un logon ko mutanabbeh (warn) kardo jinke paas tumse pehle koi mutanabbeh (warn) karne wala nahin aaya, shayad ke woh hosh mein aayein
Surah Al-Qasas, Verse 46
وَلَوۡلَآ أَن تُصِيبَهُم مُّصِيبَةُۢ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيهِمۡ فَيَقُولُواْ رَبَّنَا لَوۡلَآ أَرۡسَلۡتَ إِلَيۡنَا رَسُولٗا فَنَتَّبِعَ ءَايَٰتِكَ وَنَكُونَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
(Aur yeh humne isliye kiya ke) kahin aisa na ho ke unke apne kiye kartooton ki badaulat koi museebat jab unpar aaye to woh kahein “aey parwardigar, tu-nay kyun na hamari taraf koi Rasool bheja ke hum teri aayaat ki pairawi karte aur ehle iman mein se hotey.”
Surah Al-Qasas, Verse 47
فَلَمَّا جَآءَهُمُ ٱلۡحَقُّ مِنۡ عِندِنَا قَالُواْ لَوۡلَآ أُوتِيَ مِثۡلَ مَآ أُوتِيَ مُوسَىٰٓۚ أَوَلَمۡ يَكۡفُرُواْ بِمَآ أُوتِيَ مُوسَىٰ مِن قَبۡلُۖ قَالُواْ سِحۡرَانِ تَظَٰهَرَا وَقَالُوٓاْ إِنَّا بِكُلّٖ كَٰفِرُونَ
Magar jab hamare haan se haqq unke paas aa gaya to woh kehne lagey ‘kyun na diya gaya isko wahi kuch jo Moosa ko diya gaya tha?” Kya yeh log uska inkar nahin kar chuke hain jo issey pehle Moosa ko diya gaya tha? Unhon ne kaha “dono jaadu hain jo ek dusre ki madad karte hain” aur kaha “hum kisi ko nahin maante.”
Surah Al-Qasas, Verse 48
قُلۡ فَأۡتُواْ بِكِتَٰبٖ مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِ هُوَ أَهۡدَىٰ مِنۡهُمَآ أَتَّبِعۡهُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
(Aey Nabi) insey kaho “accha to laao Allah ki taraf se koi kitaab jo in dono se zyada hidayat bakshne wali ho agar tum sacchey ho, main usi ki pairwi ikhtiyar karunga.”
Surah Al-Qasas, Verse 49
فَإِن لَّمۡ يَسۡتَجِيبُواْ لَكَ فَٱعۡلَمۡ أَنَّمَا يَتَّبِعُونَ أَهۡوَآءَهُمۡۚ وَمَنۡ أَضَلُّ مِمَّنِ ٱتَّبَعَ هَوَىٰهُ بِغَيۡرِ هُدٗى مِّنَ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Ab agar woh tumhara yeh mutalaba poora nahin karte to samajh lo ke dar asal yeh apni khwahishat ke pairo hain, aur us shaks se badh kar kaun gumraah hoga jo khudayi hidayat ke bagair bas apni khwahishat ki pairwi karey? Allah aise zaalimon ko hargiz hidayat nahin bakshta
Surah Al-Qasas, Verse 50
۞وَلَقَدۡ وَصَّلۡنَا لَهُمُ ٱلۡقَوۡلَ لَعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ
Aur (naseehat ki ) baat pai dar pai hum unhein pahuncha chuke hain taa-ke woh gaflat se bedaar hon
Surah Al-Qasas, Verse 51
ٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِهِۦ هُم بِهِۦ يُؤۡمِنُونَ
Jin logon ko issey pehle humne kitaab di thi woh is (Quran) par iman latey hain
Surah Al-Qasas, Verse 52
وَإِذَا يُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِهِۦٓ إِنَّهُ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّنَآ إِنَّا كُنَّا مِن قَبۡلِهِۦ مُسۡلِمِينَ
Aur jab yeh unko sunaya jata hai to woh kehte hain ke “ hum ispar iman laye, yeh waqayi haqq hai hamare Rubb ki taraf se, hum to pehle hi se Muslim hain”
Surah Al-Qasas, Verse 53
أُوْلَـٰٓئِكَ يُؤۡتَوۡنَ أَجۡرَهُم مَّرَّتَيۡنِ بِمَا صَبَرُواْ وَيَدۡرَءُونَ بِٱلۡحَسَنَةِ ٱلسَّيِّئَةَ وَمِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ يُنفِقُونَ
Yeh woh log hain jinhein unka ajar do baar diya jayega us saabit qadami ke badle jo unhon ne dikhayi. Woh burayi ko bhalayi se dafa karte hain aur jo kuch rizq humne unhein diya hai usmein se kharch karte hain
Surah Al-Qasas, Verse 54
وَإِذَا سَمِعُواْ ٱللَّغۡوَ أَعۡرَضُواْ عَنۡهُ وَقَالُواْ لَنَآ أَعۡمَٰلُنَا وَلَكُمۡ أَعۡمَٰلُكُمۡ سَلَٰمٌ عَلَيۡكُمۡ لَا نَبۡتَغِي ٱلۡجَٰهِلِينَ
Aur jab unhon ne behuda baat suni to yeh keh kar ussey kinara kash ho gaye ke “hamare aamal hamare liye aur tumhare aamal tumhare liye, tumko salaam hai, hum jaahilon ka sa tareeqa ikhtiyar karna nahin chahte.”
Surah Al-Qasas, Verse 55
إِنَّكَ لَا تَهۡدِي مَنۡ أَحۡبَبۡتَ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يَهۡدِي مَن يَشَآءُۚ وَهُوَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُهۡتَدِينَ
“Aey Nabi, tum jisey chaho usey hidayat nahin de sakte, magar Allah jisey chahta hai hidayat deta hai aur woh un logon ko khoob jaanta hai jo hidayat qabool karne waley hain.”
Surah Al-Qasas, Verse 56
وَقَالُوٓاْ إِن نَّتَّبِعِ ٱلۡهُدَىٰ مَعَكَ نُتَخَطَّفۡ مِنۡ أَرۡضِنَآۚ أَوَلَمۡ نُمَكِّن لَّهُمۡ حَرَمًا ءَامِنٗا يُجۡبَىٰٓ إِلَيۡهِ ثَمَرَٰتُ كُلِّ شَيۡءٖ رِّزۡقٗا مِّن لَّدُنَّا وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Woh kehte hain “agar hum tumhare saath is hidayat ki pairwi ikhtiyar karlein to apni zameen se uchak liye jaayenge.” Kya yeh waqia nahin hai ke humne ek pur-aman haram(makkah) ko inke liye jaaye qiyam bana diya jiski taraf har tarah ke samaraat(provision) khinchey chaley aate hain, hamari taraf se rizq ke taur par? Magar inmein se aksar log jaante nahin hain
Surah Al-Qasas, Verse 57
وَكَمۡ أَهۡلَكۡنَا مِن قَرۡيَةِۭ بَطِرَتۡ مَعِيشَتَهَاۖ فَتِلۡكَ مَسَٰكِنُهُمۡ لَمۡ تُسۡكَن مِّنۢ بَعۡدِهِمۡ إِلَّا قَلِيلٗاۖ وَكُنَّا نَحۡنُ ٱلۡوَٰرِثِينَ
Aur kitni hi aisi bastiyan hum tabaah kar chuke hain jinke log apni maishat (economy) par itra gaye thay so dekhlo, woh unke maskan padey huey hain jin mein unke baad kam hi koi basa hai. Aakhir e kaar hum hi waris ho kar rahey
Surah Al-Qasas, Verse 58
وَمَا كَانَ رَبُّكَ مُهۡلِكَ ٱلۡقُرَىٰ حَتَّىٰ يَبۡعَثَ فِيٓ أُمِّهَا رَسُولٗا يَتۡلُواْ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتِنَاۚ وَمَا كُنَّا مُهۡلِكِي ٱلۡقُرَىٰٓ إِلَّا وَأَهۡلُهَا ظَٰلِمُونَ
Aur tera Rubb bastiyon ko halaak karne wala na tha jab tak ke unke markaz mein ek Rasool na bhejh deta jo unko hamari aayat sunata, aur hum bastiyon ko halaak karne waley na they jab tak ke unke rehne waley zaalim na ho jatey
Surah Al-Qasas, Verse 59
وَمَآ أُوتِيتُم مِّن شَيۡءٖ فَمَتَٰعُ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَزِينَتُهَاۚ وَمَا عِندَ ٱللَّهِ خَيۡرٞ وَأَبۡقَىٰٓۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
Tum logon ko jo kuch bhi diya gaya hai woh mehaz duniya ki zindagi ka samaan aur uski zeenat(adornment) hai, aur jo kuch Allah ke paas hai woh issey behtar aur baaqi tar hai. Kya tum log aqal se kaam nahin letay
Surah Al-Qasas, Verse 60
أَفَمَن وَعَدۡنَٰهُ وَعۡدًا حَسَنٗا فَهُوَ لَٰقِيهِ كَمَن مَّتَّعۡنَٰهُ مَتَٰعَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا ثُمَّ هُوَ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ مِنَ ٱلۡمُحۡضَرِينَ
Bhala woh shaks jissey humne accha wada kiya ho, aur woh usey panay wala ho kabhi us shaks ki tarah ho sakta hai jisey humne sirf hayat-e-duniya ka sar-o-samaan de diya ho, aur phir woh qayamat ke roz saza ke liye pesh kiya janey wala ho
Surah Al-Qasas, Verse 61
وَيَوۡمَ يُنَادِيهِمۡ فَيَقُولُ أَيۡنَ شُرَكَآءِيَ ٱلَّذِينَ كُنتُمۡ تَزۡعُمُونَ
Aur (bhool na jayein yeh log) us din ko jabke woh inko pukarega aur puchega “kahan hai mere woh shareek jinka tum gumaan rakhte thay?”
Surah Al-Qasas, Verse 62
قَالَ ٱلَّذِينَ حَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقَوۡلُ رَبَّنَا هَـٰٓؤُلَآءِ ٱلَّذِينَ أَغۡوَيۡنَآ أَغۡوَيۡنَٰهُمۡ كَمَا غَوَيۡنَاۖ تَبَرَّأۡنَآ إِلَيۡكَۖ مَا كَانُوٓاْ إِيَّانَا يَعۡبُدُونَ
Yeh qaul jinpar chaspan hoga woh kahenge “Aey hamare Rubb, beshak yahi log hain jinko humne gumraah kiya tha, inhein humne usi tarah gumraah kiya jaise hum khud gumraah huey. Hum aap ke saamne baraat(disassociation) ka izhar karte hain. Yeh hamari to bandagi nahin karte thay”
Surah Al-Qasas, Verse 63
وَقِيلَ ٱدۡعُواْ شُرَكَآءَكُمۡ فَدَعَوۡهُمۡ فَلَمۡ يَسۡتَجِيبُواْ لَهُمۡ وَرَأَوُاْ ٱلۡعَذَابَۚ لَوۡ أَنَّهُمۡ كَانُواْ يَهۡتَدُونَ
Phir insey kaha jayega ke pukaro ab apne thehraye huey shareekon ko. Yeh unhein pukarenge magar woh inko koi jawab na dengey aur yeh log azaab dekh lenge. Kaash yeh hidayat ikhtiyar karne waley hotey
Surah Al-Qasas, Verse 64
وَيَوۡمَ يُنَادِيهِمۡ فَيَقُولُ مَاذَآ أَجَبۡتُمُ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
Aur (faramosh na karein yeh log) woh din jabke woh inko pukarega aur puchega ke “Jo Rasool bheje gaye thay unhein tumne kya jawab diya tha?”
Surah Al-Qasas, Verse 65
فَعَمِيَتۡ عَلَيۡهِمُ ٱلۡأَنۢبَآءُ يَوۡمَئِذٖ فَهُمۡ لَا يَتَسَآءَلُونَ
Us waqt koi jawab inko na soojhega aur na yeh aapas mein ek dusre se puch hi sakenge
Surah Al-Qasas, Verse 66
فَأَمَّا مَن تَابَ وَءَامَنَ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا فَعَسَىٰٓ أَن يَكُونَ مِنَ ٱلۡمُفۡلِحِينَ
Albatta jisne aaj toubah karli aur iman le aaya aur neik amal kiye wahi yeh tawakko(expect) kar sakta hai ke wahan falaah paaney walon mein se hoga
Surah Al-Qasas, Verse 67
وَرَبُّكَ يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُ وَيَخۡتَارُۗ مَا كَانَ لَهُمُ ٱلۡخِيَرَةُۚ سُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
Tera Rubb paida karta hai jo kuch chahta hai. Aur (woh khud hi apne kaam ke liye jisey chahta hai) muntakhab(choose) kar leta hai. Yeh intekhab in logon ke karne ka kaam nahin hai, Allah paak hai aur bahut baala-tarr hai us shirk se jo yeh log karte hain
Surah Al-Qasas, Verse 68
وَرَبُّكَ يَعۡلَمُ مَا تُكِنُّ صُدُورُهُمۡ وَمَا يُعۡلِنُونَ
Tera Rubb jaanta hai jo kuch yeh dilon mein chupaye huey hain aur jo kuch yeh zaahir karte hain
Surah Al-Qasas, Verse 69
وَهُوَ ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ لَهُ ٱلۡحَمۡدُ فِي ٱلۡأُولَىٰ وَٱلۡأٓخِرَةِۖ وَلَهُ ٱلۡحُكۡمُ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Wahi ek Allah hai jiske siwa koi ibadat ka mustahiq nahin. Usi ke liye hamd hai duniya mein bhi aur aakhirat mein bhi, Farma rawayi usi ki hai aur usi ki taraf tum sab palataye janey waley ho
Surah Al-Qasas, Verse 70
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِن جَعَلَ ٱللَّهُ عَلَيۡكُمُ ٱلَّيۡلَ سَرۡمَدًا إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ مَنۡ إِلَٰهٌ غَيۡرُ ٱللَّهِ يَأۡتِيكُم بِضِيَآءٍۚ أَفَلَا تَسۡمَعُونَ
Aey Nabi, insey kaho kabhi tum logon ne gaur kiya ke agar Allah qayamat tak tumpar hamesha ke liye raat taari karde to Allah ke siwa woh kaunsa mabood hai jo tumhein roshni laa dey? Kya tum sunte nahin ho
Surah Al-Qasas, Verse 71
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِن جَعَلَ ٱللَّهُ عَلَيۡكُمُ ٱلنَّهَارَ سَرۡمَدًا إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ مَنۡ إِلَٰهٌ غَيۡرُ ٱللَّهِ يَأۡتِيكُم بِلَيۡلٖ تَسۡكُنُونَ فِيهِۚ أَفَلَا تُبۡصِرُونَ
Insey pucho, kabhi tumne socha ke agar Allah qayamat tak tumpar hamesha ke liye din taari karde to Allah ke siwa woh kaunsa maabood hai jo tumhein raat laa dey taa-ke tum usmein sukoon haasil kar sako? Kya tumko soojhta nahin
Surah Al-Qasas, Verse 72
وَمِن رَّحۡمَتِهِۦ جَعَلَ لَكُمُ ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَ لِتَسۡكُنُواْ فِيهِ وَلِتَبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِهِۦ وَلَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Yeh usi ki rehmat hai ke usne tumhare liye raat aur din banaye taa-ke tum (raat mein) sukoon haasil karo aur (din ko) apne Rubb ka fazal talash karo. Shayad ke tum shukar guzar bano
Surah Al-Qasas, Verse 73
وَيَوۡمَ يُنَادِيهِمۡ فَيَقُولُ أَيۡنَ شُرَكَآءِيَ ٱلَّذِينَ كُنتُمۡ تَزۡعُمُونَ
(Yaad rakhein yeh log) woh din jabke woh inhein pukarega phir puchega “kahan hai mere woh shareek jinka tum gumaan rakhte thay?”
Surah Al-Qasas, Verse 74
وَنَزَعۡنَا مِن كُلِّ أُمَّةٖ شَهِيدٗا فَقُلۡنَا هَاتُواْ بُرۡهَٰنَكُمۡ فَعَلِمُوٓاْ أَنَّ ٱلۡحَقَّ لِلَّهِ وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Aur hum har ummat mein se ek gawah nikal layenge phir kahenge ke “lao ab apni daleel”. Us waqt inhein maloom ho jayega ke haqq Allah ki taraf hai, aur gum (vanish) ho jayenge inke woh saarey jhoot jo inhon ne ghadh rakkhe thay
Surah Al-Qasas, Verse 75
۞إِنَّ قَٰرُونَ كَانَ مِن قَوۡمِ مُوسَىٰ فَبَغَىٰ عَلَيۡهِمۡۖ وَءَاتَيۡنَٰهُ مِنَ ٱلۡكُنُوزِ مَآ إِنَّ مَفَاتِحَهُۥ لَتَنُوٓأُ بِٱلۡعُصۡبَةِ أُوْلِي ٱلۡقُوَّةِ إِذۡ قَالَ لَهُۥ قَوۡمُهُۥ لَا تَفۡرَحۡۖ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلۡفَرِحِينَ
Yeh ek waqia hai ke Qaroon Moosa ki qaum ka ek shaks tha, phir woh apni qaum ke khilaf sarkash ho gaya aur humne usko itney khazane (treasures) de rakkhe thay ke unki kunjiyan (keys) taqatwar aadmiyon ki ek jamaat mushkil se utha sakti thi. Ek dafa jab uski qaum ke logon ne ussey kaha “ phoolna (itrana /exult) jaa, Allah phoolne(itrane) walon ko pasand nahin karta
Surah Al-Qasas, Verse 76
وَٱبۡتَغِ فِيمَآ ءَاتَىٰكَ ٱللَّهُ ٱلدَّارَ ٱلۡأٓخِرَةَۖ وَلَا تَنسَ نَصِيبَكَ مِنَ ٱلدُّنۡيَاۖ وَأَحۡسِن كَمَآ أَحۡسَنَ ٱللَّهُ إِلَيۡكَۖ وَلَا تَبۡغِ ٱلۡفَسَادَ فِي ٱلۡأَرۡضِۖ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Jo maal Allah ne tujhey diya hai ussey aakhirat ka ghar banane ki fikar kar, aur duniya mein se bhi apna hissa faramosh na kar. Ehsan kar jis tarah Allah ne tere saath ehsan kiya hai, aur zameen mein fasaad barpa karne ki koshish na kar, Allah mufsidon (fasaad karne waalon) ko pasand nahin karta.”
Surah Al-Qasas, Verse 77
قَالَ إِنَّمَآ أُوتِيتُهُۥ عَلَىٰ عِلۡمٍ عِندِيٓۚ أَوَلَمۡ يَعۡلَمۡ أَنَّ ٱللَّهَ قَدۡ أَهۡلَكَ مِن قَبۡلِهِۦ مِنَ ٱلۡقُرُونِ مَنۡ هُوَ أَشَدُّ مِنۡهُ قُوَّةٗ وَأَكۡثَرُ جَمۡعٗاۚ وَلَا يُسۡـَٔلُ عَن ذُنُوبِهِمُ ٱلۡمُجۡرِمُونَ
To usne kaha “Yeh sab kuch to mujhey us ilm ki bina par diya gaya hai jo mujhko haasil hai”. Kya usko yeh ilm na tha ke Allah ussey pehle bahut se aisey logon ko halaak kar chuka hai jo ussey zyada quwwat aur jamiyat rakhte thay? Mujrim se to unke gunaah nahin puchey jatey
Surah Al-Qasas, Verse 78
فَخَرَجَ عَلَىٰ قَوۡمِهِۦ فِي زِينَتِهِۦۖ قَالَ ٱلَّذِينَ يُرِيدُونَ ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَا يَٰلَيۡتَ لَنَا مِثۡلَ مَآ أُوتِيَ قَٰرُونُ إِنَّهُۥ لَذُو حَظٍّ عَظِيمٖ
Ek roz woh apni qaum ke saamne apne puray thaat mein nikla. Jo log hayat e duniya ke taalib thay woh usey dekh kar kehne lagey “kaash humein bhi wahi kuch milta jo Qaroon ko diya gaya hai, yeh to bada naseebe wala hai.”
Surah Al-Qasas, Verse 79
وَقَالَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ وَيۡلَكُمۡ ثَوَابُ ٱللَّهِ خَيۡرٞ لِّمَنۡ ءَامَنَ وَعَمِلَ صَٰلِحٗاۚ وَلَا يُلَقَّىٰهَآ إِلَّا ٱلصَّـٰبِرُونَ
Magar jo log ilm rakhne waley thay woh kehne lagey “Afsos tumhare haal par, Allah ka sawaab behtar hai us shaks ke liye jo iman laye aur neik amal karey, aur yeh daulat nahin milti magar sabr karne waalon ko.”
Surah Al-Qasas, Verse 80
فَخَسَفۡنَا بِهِۦ وَبِدَارِهِ ٱلۡأَرۡضَ فَمَا كَانَ لَهُۥ مِن فِئَةٖ يَنصُرُونَهُۥ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَمَا كَانَ مِنَ ٱلۡمُنتَصِرِينَ
Aakhir-e-kaar humne usey aur uske ghar ko zameen mein dhansa diya, phir koi uske haamiyon(supporters) ka giroh na tha jo Allah ke muqabley mein uski madad ko aata, aur na woh khud apni madad aap kar saka
Surah Al-Qasas, Verse 81
وَأَصۡبَحَ ٱلَّذِينَ تَمَنَّوۡاْ مَكَانَهُۥ بِٱلۡأَمۡسِ يَقُولُونَ وَيۡكَأَنَّ ٱللَّهَ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦ وَيَقۡدِرُۖ لَوۡلَآ أَن مَّنَّ ٱللَّهُ عَلَيۡنَا لَخَسَفَ بِنَاۖ وَيۡكَأَنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلۡكَٰفِرُونَ
Ab wahi log jo kal uski manzilat ki tamanna kar rahey thay kehne lagey “afsos, hum bhool gaye thay ke Allah apne bandon mein se jiska rizq chahta hai kushada karta hai aur jisey chahta hai napa-tula deta hai.Agar Allah ne humpar ehsan na kiya hota to humein bhi zameen mein dhansa deta. Afsos humko yaad na raha ke kafir falaah nahin paya karte.”
Surah Al-Qasas, Verse 82
تِلۡكَ ٱلدَّارُ ٱلۡأٓخِرَةُ نَجۡعَلُهَا لِلَّذِينَ لَا يُرِيدُونَ عُلُوّٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا فَسَادٗاۚ وَٱلۡعَٰقِبَةُ لِلۡمُتَّقِينَ
Woh aakhirat ka ghar to hum un logon ke liye makhsoos kar dengey jo zameen mein apni badayi nahin chahte aur na fasaad karna chahte hain. Aur anjaam ki bhalayi muttaqin hi ke liye hai
Surah Al-Qasas, Verse 83
مَن جَآءَ بِٱلۡحَسَنَةِ فَلَهُۥ خَيۡرٞ مِّنۡهَاۖ وَمَن جَآءَ بِٱلسَّيِّئَةِ فَلَا يُجۡزَى ٱلَّذِينَ عَمِلُواْ ٱلسَّيِّـَٔاتِ إِلَّا مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Jo koi bhalayi lekar aayega uske liye ussey behtar bhalayi hai, aur jo burayi lekar aaye to buraiyan karne walon ko waisa hi badla milega jaise amal woh karte thay
Surah Al-Qasas, Verse 84
إِنَّ ٱلَّذِي فَرَضَ عَلَيۡكَ ٱلۡقُرۡءَانَ لَرَآدُّكَ إِلَىٰ مَعَادٖۚ قُل رَّبِّيٓ أَعۡلَمُ مَن جَآءَ بِٱلۡهُدَىٰ وَمَنۡ هُوَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
Aey Nabi, yaqeen jaano ke jisne yeh Quran tumpar farz kiya hai woh tumhein ek behtareen anjaam ko pahunchane wala hai. In logon se kehdo ke “Mera Rubb khoob jaanta hai ke hidayat lekar kaun aaya aur khuli gumraahi mein kaun mubtala hai.”
Surah Al-Qasas, Verse 85
وَمَا كُنتَ تَرۡجُوٓاْ أَن يُلۡقَىٰٓ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبُ إِلَّا رَحۡمَةٗ مِّن رَّبِّكَۖ فَلَا تَكُونَنَّ ظَهِيرٗا لِّلۡكَٰفِرِينَ
Tum is baat ke hargiz umeedwar na thay ke tumpar kitaab nazil ki jayegi. Yeh to mehaz tumhare Rubb ki meharbani se (tumpar nazil hui hai), pas tum kafiron ke madadgaar na bano
Surah Al-Qasas, Verse 86
وَلَا يَصُدُّنَّكَ عَنۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ بَعۡدَ إِذۡ أُنزِلَتۡ إِلَيۡكَۖ وَٱدۡعُ إِلَىٰ رَبِّكَۖ وَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Aur aisa kabhi na honay paye ke Allah ki aayat jab tumpar nazil hoon to kuffar tumhein unsey baaz rakhein. Apne Rubb ki taraf dawat do aur hargiz mushrikon mein shamil na ho
Surah Al-Qasas, Verse 87
وَلَا تَدۡعُ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَۘ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۚ كُلُّ شَيۡءٍ هَالِكٌ إِلَّا وَجۡهَهُۥۚ لَهُ ٱلۡحُكۡمُ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Aur Allah ke saath kisi dusre mabood ko na pukaro. Uske siwa koi mabood nahin hai. Har cheez halaak honay wali hai siwaye uski zaat ke. Farman rawayi usi ki hai aur usi ki taraf tum sab paltaye janey waley ho
Surah Al-Qasas, Verse 88