Surah Al-Qasas Verse 46 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Qasasوَمَا كُنتَ بِجَانِبِ ٱلطُّورِ إِذۡ نَادَيۡنَا وَلَٰكِن رَّحۡمَةٗ مِّن رَّبِّكَ لِتُنذِرَ قَوۡمٗا مَّآ أَتَىٰهُم مِّن نَّذِيرٖ مِّن قَبۡلِكَ لَعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ
Aur tum Toor ke daaman mein bhi us waqt maujood na they jab humne (Moosa ko pehli martaba) pukara tha, magar yeh tumhare Rubb ki rehmat hai (ke tumko yeh malumaat di jaa rahi hain) taa-ke tum un logon ko mutanabbeh (warn) kardo jinke paas tumse pehle koi mutanabbeh (warn) karne wala nahin aaya, shayad ke woh hosh mein aayein