Surah Al-Ankaboot - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
الٓمٓ
Alif Laam Meem
Surah Al-Ankaboot, Verse 1
أَحَسِبَ ٱلنَّاسُ أَن يُتۡرَكُوٓاْ أَن يَقُولُوٓاْ ءَامَنَّا وَهُمۡ لَا يُفۡتَنُونَ
Kya logon ne yeh samajh rakkha hai ke woh bas itna kehne par chodh diye jayenge ke “hum iman laaye” aur unko aazmaya na jayega
Surah Al-Ankaboot, Verse 2
وَلَقَدۡ فَتَنَّا ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۖ فَلَيَعۡلَمَنَّ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ صَدَقُواْ وَلَيَعۡلَمَنَّ ٱلۡكَٰذِبِينَ
Halaanke hum un sab logon ki aazmaish kar chuke hain jo insey pehle guzre hain. Allah ko to zaroor yeh dekhna hai ke sacchey kaun hain aur jhootey kaun
Surah Al-Ankaboot, Verse 3
أَمۡ حَسِبَ ٱلَّذِينَ يَعۡمَلُونَ ٱلسَّيِّـَٔاتِ أَن يَسۡبِقُونَاۚ سَآءَ مَا يَحۡكُمُونَ
Aur kya woh log jo buri harkatein kar rahey hain yeh samajh baithey hain ke woh humse baazi le jayenge? Bada galat hukum hai jo woh laga rahey hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 4
مَن كَانَ يَرۡجُواْ لِقَآءَ ٱللَّهِ فَإِنَّ أَجَلَ ٱللَّهِ لَأٓتٖۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Jo koi Allah se milne ki tawakku (umeed) rakhta ho (usey maloom hona chahiye ke) Allah ka muqarrar kiya hua waqt aane hi wala hai. Aur Allah sab kuch sunta aur jaanta hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 5
وَمَن جَٰهَدَ فَإِنَّمَا يُجَٰهِدُ لِنَفۡسِهِۦٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَغَنِيٌّ عَنِ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Jo shaks bhi mujahida (struggle) karega apne hi bhale ke liye karega. Allah yaqeenan duniya jahan walon se be-niyaz(free of want) hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 6
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَنُكَفِّرَنَّ عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡ وَلَنَجۡزِيَنَّهُمۡ أَحۡسَنَ ٱلَّذِي كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Aur jo log iman layenge aur neik aamal karenge unki buraiyan hum unse door kardenge aur unhein unke behtareen aamal ki jaza denge
Surah Al-Ankaboot, Verse 7
وَوَصَّيۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ بِوَٰلِدَيۡهِ حُسۡنٗاۖ وَإِن جَٰهَدَاكَ لِتُشۡرِكَ بِي مَا لَيۡسَ لَكَ بِهِۦ عِلۡمٞ فَلَا تُطِعۡهُمَآۚ إِلَيَّ مَرۡجِعُكُمۡ فَأُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Humne Insaan ko hidayat ki hai ke apne waldain(parents) ke saath neik sulook karey lekin agar woh tujh par zoar dalein ke tu mere saath kisi aisey (mabood) ko shareek thehraye jisey tu ( mere shareek ki haisiyat se) nahin jaanta to unki itaat na kar. Meri hi taraf tum sabko palat kar aana hai. Phir main tumko bata dunga ke tum kya karte rahey ho
Surah Al-Ankaboot, Verse 8
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَنُدۡخِلَنَّهُمۡ فِي ٱلصَّـٰلِحِينَ
Aur jo log iman laye hongey aur jinhon ne neik aamal kiye hongey unko hum zaroor saliheen mein dakhil karenge
Surah Al-Ankaboot, Verse 9
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَقُولُ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ فَإِذَآ أُوذِيَ فِي ٱللَّهِ جَعَلَ فِتۡنَةَ ٱلنَّاسِ كَعَذَابِ ٱللَّهِۖ وَلَئِن جَآءَ نَصۡرٞ مِّن رَّبِّكَ لَيَقُولُنَّ إِنَّا كُنَّا مَعَكُمۡۚ أَوَلَيۡسَ ٱللَّهُ بِأَعۡلَمَ بِمَا فِي صُدُورِ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Logon mein se koi aisa hai jo kehta hai ke hum iman laye Allah par, magar jab woh Allah ke maamle mein sataya gaya to usne logon ki daali hui aazmaish ko Allah ke azaab ki tarah samajh liya. Ab agar tere Rubb ki taraf se fatah-o-nusrat aa gayi to yahi shaks kahega “hum to tumhare saath thay”. kya duniya walon ke dilon ka haal Allah ko ba-khoobi maloom nahin hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 10
وَلَيَعۡلَمَنَّ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَلَيَعۡلَمَنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ
Aur Allah ko to zaroor yeh dekhna hi hai ke iman laney waley kaun hain aur munafiq kaun
Surah Al-Ankaboot, Verse 11
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّبِعُواْ سَبِيلَنَا وَلۡنَحۡمِلۡ خَطَٰيَٰكُمۡ وَمَا هُم بِحَٰمِلِينَ مِنۡ خَطَٰيَٰهُم مِّن شَيۡءٍۖ إِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
Yeh kaafir log iman laney walon se kehte hain ke tum hamare tareeqe ki pairwi karo aur tumhari khataon (sins) ko hum apne upar le lenge. Halaanke unki khataon mein se kuch bhi woh apne upar lene waley nahin hai, woh qat-an jhoot kehte hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 12
وَلَيَحۡمِلُنَّ أَثۡقَالَهُمۡ وَأَثۡقَالٗا مَّعَ أَثۡقَالِهِمۡۖ وَلَيُسۡـَٔلُنَّ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ عَمَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Haan zaroor woh apne bojh bhi uthayenge aur apne bojhon ke saath bahut se dusre bojh bhi. Aur qayamat ke roz yaqeenan unsey in iftara pardaziyon (bohtaan/ fabrication) ki baaz-purs hogi jo woh karte rahey hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 13
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ فَلَبِثَ فِيهِمۡ أَلۡفَ سَنَةٍ إِلَّا خَمۡسِينَ عَامٗا فَأَخَذَهُمُ ٱلطُّوفَانُ وَهُمۡ ظَٰلِمُونَ
Humne Nooh ko uski qaum ki taraf bheja aur woh pachhas (fifty) kam ek hazaar baras (950 years) unke darmiyan raha. Aakhir e kaar un logon ko toofaan ne aa ghera is haal mein ke woh zaalim thay
Surah Al-Ankaboot, Verse 14
فَأَنجَيۡنَٰهُ وَأَصۡحَٰبَ ٱلسَّفِينَةِ وَجَعَلۡنَٰهَآ ءَايَةٗ لِّلۡعَٰلَمِينَ
Phir Nooh ko aur kashti walon ko humne bacha liya aur usey duniya walon ke liye ek nishaan e ibrat (lesson) banakar rakh diya
Surah Al-Ankaboot, Verse 15
وَإِبۡرَٰهِيمَ إِذۡ قَالَ لِقَوۡمِهِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَٱتَّقُوهُۖ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Aur Ibrahim ko bheja jabke usne apni qaum se kaha “Allah ki bandagi karo aur ussey daro, yeh tumhare liye behtar hai agar tum jano
Surah Al-Ankaboot, Verse 16
إِنَّمَا تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَوۡثَٰنٗا وَتَخۡلُقُونَ إِفۡكًاۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ لَا يَمۡلِكُونَ لَكُمۡ رِزۡقٗا فَٱبۡتَغُواْ عِندَ ٱللَّهِ ٱلرِّزۡقَ وَٱعۡبُدُوهُ وَٱشۡكُرُواْ لَهُۥٓۖ إِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Tum Allah ko chodh kar jinhein poojh rahey ho woh to mehaz buth (idols/statue/murtiyan) hain aur tum ek jhoot ghadh rahey ho. Dar haqeeqat Allah ke siwa jinki tum parastish karte ho woh tumhein koi rizq bhi dene ka ikhtiyar nahin rakhte. Allah se rizq maango aur usi ki bandagi karo aur uska shukar ada karo. Usi ki taraf tum paltaye janey waley ho
Surah Al-Ankaboot, Verse 17
وَإِن تُكَذِّبُواْ فَقَدۡ كَذَّبَ أُمَمٞ مِّن قَبۡلِكُمۡۖ وَمَا عَلَى ٱلرَّسُولِ إِلَّا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
Aur agar tum jhutlate ho to tumse pehle bahut si qaumein jhutla chuki hain. Aur Rasool par saaf saaf paighaam pahuncha dene ke siwa koi zimmedari nahin hai.”
Surah Al-Ankaboot, Verse 18
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ كَيۡفَ يُبۡدِئُ ٱللَّهُ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥٓۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ
Kya in logon ne kabhi dekha hi nahin hai ke Allah kis tarah khalq ki ibtida karta hai, phir uska iaada (repeat) karta hai? Yaqeenan yeh [iaada to (to repeat the creation of a thing) ]Allah ke liye aasaan tarr hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 19
قُلۡ سِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱنظُرُواْ كَيۡفَ بَدَأَ ٱلۡخَلۡقَۚ ثُمَّ ٱللَّهُ يُنشِئُ ٱلنَّشۡأَةَ ٱلۡأٓخِرَةَۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Insey kaho ke zameen mein chalo phiro aur dekho ke usney kis tarah khalq ki ibtida ki hai. Phir Allah baar-e-digar bhi zindagi bakshega (recreate life). Yaqeenan Allah har cheez par qaadir hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 20
يُعَذِّبُ مَن يَشَآءُ وَيَرۡحَمُ مَن يَشَآءُۖ وَإِلَيۡهِ تُقۡلَبُونَ
Jisey chahe saza de aur jispar chahe reham farmaye. Usi ki taraf tum phere janey waley ho
Surah Al-Ankaboot, Verse 21
وَمَآ أَنتُم بِمُعۡجِزِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا فِي ٱلسَّمَآءِۖ وَمَا لَكُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ مِن وَلِيّٖ وَلَا نَصِيرٖ
Tum zameen mein aajiz (overpower) karne waley ho na aasmaan mein. Aur Allah se bachane waala koi sarparast aur madadgaar tumhare liye nahin hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 22
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَلِقَآئِهِۦٓ أُوْلَـٰٓئِكَ يَئِسُواْ مِن رَّحۡمَتِي وَأُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Jin logon ne Allah ki aayaat ka aur ussey mulaqaat ka inkar kiya hai woh meri rehmat se mayous ho chuke hain, aur unke liye dardnaak saza hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 23
فَمَا كَانَ جَوَابَ قَوۡمِهِۦٓ إِلَّآ أَن قَالُواْ ٱقۡتُلُوهُ أَوۡ حَرِّقُوهُ فَأَنجَىٰهُ ٱللَّهُ مِنَ ٱلنَّارِۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Phir uski qaum ka jawab iske siwa kuch na tha ke unhone kaha “qatal kardo isey ya jalaa daalo isko”. Aakhir e kar Allah ne usey aag se bacha liya. Yaqeenan is mein nishaniyan hain un logon ke liye jo iman laney waley hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 24
وَقَالَ إِنَّمَا ٱتَّخَذۡتُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ أَوۡثَٰنٗا مَّوَدَّةَ بَيۡنِكُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ ثُمَّ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَكۡفُرُ بَعۡضُكُم بِبَعۡضٖ وَيَلۡعَنُ بَعۡضُكُم بَعۡضٗا وَمَأۡوَىٰكُمُ ٱلنَّارُ وَمَا لَكُم مِّن نَّـٰصِرِينَ
Aur usne kaha “ tumne duniya ki zindagi mein to Allah ko chodh kar buthon (idols) ko apne darmiyan muhabbat ka zariya bana liya hai magar qayamat ke roz tum ek dusre ka inkar aur ek dusre par laanat karoge. Aur aag tumhara thikana hogi, aur koi tumhara madadgaar na hoga.”
Surah Al-Ankaboot, Verse 25
۞فَـَٔامَنَ لَهُۥ لُوطٞۘ وَقَالَ إِنِّي مُهَاجِرٌ إِلَىٰ رَبِّيٓۖ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Us waqt Lut ne usko maana(believed) aur Ibrahim ne kaha main apne Rubb ki taraf hijrat(migrate) karta hoon. Woh zabardast hai aur hakeem hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 26
وَوَهَبۡنَا لَهُۥٓ إِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ وَجَعَلۡنَا فِي ذُرِّيَّتِهِ ٱلنُّبُوَّةَ وَٱلۡكِتَٰبَ وَءَاتَيۡنَٰهُ أَجۡرَهُۥ فِي ٱلدُّنۡيَاۖ وَإِنَّهُۥ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ لَمِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Aur humne usey Ishaaq (Issac) aur yakub (Jacob) (jaisi aulad) inayat farmayi aur uski nasal mein nubuwat aur kitaab rakh di, aur usey duniya mein uska ajar ata kiya aur aakhirat mein woh yaqeenan saaliheen mein se hoga
Surah Al-Ankaboot, Verse 27
وَلُوطًا إِذۡ قَالَ لِقَوۡمِهِۦٓ إِنَّكُمۡ لَتَأۡتُونَ ٱلۡفَٰحِشَةَ مَا سَبَقَكُم بِهَا مِنۡ أَحَدٖ مِّنَ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aur humne Lut ko bheja jabke usne apni qaum se kaha “Tum to woh fahash kaam karte ho jo tumse pehle duniya walon mein se kisi ne nahin kiya hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 28
أَئِنَّكُمۡ لَتَأۡتُونَ ٱلرِّجَالَ وَتَقۡطَعُونَ ٱلسَّبِيلَ وَتَأۡتُونَ فِي نَادِيكُمُ ٱلۡمُنكَرَۖ فَمَا كَانَ جَوَابَ قَوۡمِهِۦٓ إِلَّآ أَن قَالُواْ ٱئۡتِنَا بِعَذَابِ ٱللَّهِ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
Kya tumhara haal yeh hai ke mardon ke paas jatey ho (to satisfy your lust) , aur raahzani (highway robbery) karte ho, aur apni majlison mein burey kaam karte ho?” Phir koi jawab uski qaum ke paas iske siwa na tha ke unhon ne kaha “ le aa Allah ka azaab agar tu saccha hai”
Surah Al-Ankaboot, Verse 29
قَالَ رَبِّ ٱنصُرۡنِي عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Lut ne kaha “Aey mere Rubb, in mufsid (mischievous) logon ke muqable mein meri madad farma”
Surah Al-Ankaboot, Verse 30
وَلَمَّا جَآءَتۡ رُسُلُنَآ إِبۡرَٰهِيمَ بِٱلۡبُشۡرَىٰ قَالُوٓاْ إِنَّا مُهۡلِكُوٓاْ أَهۡلِ هَٰذِهِ ٱلۡقَرۡيَةِۖ إِنَّ أَهۡلَهَا كَانُواْ ظَٰلِمِينَ
Aur jab hamare faristade (emissaries/messengers) Ibrahim ke paas basharat (khushkhabri) lekar pahunchey to unhon ne ussey kaha “hum is basti ke logon ko halaak karne waley hain, iske log sakht zaalim ho chuke hain.”
Surah Al-Ankaboot, Verse 31
قَالَ إِنَّ فِيهَا لُوطٗاۚ قَالُواْ نَحۡنُ أَعۡلَمُ بِمَن فِيهَاۖ لَنُنَجِّيَنَّهُۥ وَأَهۡلَهُۥٓ إِلَّا ٱمۡرَأَتَهُۥ كَانَتۡ مِنَ ٱلۡغَٰبِرِينَ
Ibrahim ne kaha “wahan to Lut maujood hai”. Unhon ne kaha: “Hum khoob jantey hain ke wahan kaun kaun hai. Hum usey aur uski biwi ke siwa uske baaqi ghar waalon ko bacha lenge”. Uski biwi peechey reh janey walon mein se thi
Surah Al-Ankaboot, Verse 32
وَلَمَّآ أَن جَآءَتۡ رُسُلُنَا لُوطٗا سِيٓءَ بِهِمۡ وَضَاقَ بِهِمۡ ذَرۡعٗاۖ وَقَالُواْ لَا تَخَفۡ وَلَا تَحۡزَنۡ إِنَّا مُنَجُّوكَ وَأَهۡلَكَ إِلَّا ٱمۡرَأَتَكَ كَانَتۡ مِنَ ٱلۡغَٰبِرِينَ
Phir jab hamare faristade (emissaries/messengers) Lut ke paas pahunchey to unki aamad par woh sakht pareshan aur dil tangg hua. Unhon ne kaha “ na daro aur na ranjh karo, hum tumhein aur tumhare ghar walon ko bacha lenge, siwaye tumhari biwi ke jo peechey reh janey walon mein se hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 33
إِنَّا مُنزِلُونَ عَلَىٰٓ أَهۡلِ هَٰذِهِ ٱلۡقَرۡيَةِ رِجۡزٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِ بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
Hum is basti ke logon par aasmaan se azaab nazil karne waley hain us fisq (evildoing) ke badaulat jo yeh karte rahey hain”
Surah Al-Ankaboot, Verse 34
وَلَقَد تَّرَكۡنَا مِنۡهَآ ءَايَةَۢ بَيِّنَةٗ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
Aur humne us basti ki ek khuli nishani chodh di hai un logon ke liye jo aqal se kaam letey hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 35
وَإِلَىٰ مَدۡيَنَ أَخَاهُمۡ شُعَيۡبٗا فَقَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَٱرۡجُواْ ٱلۡيَوۡمَ ٱلۡأٓخِرَ وَلَا تَعۡثَوۡاْ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُفۡسِدِينَ
Aur Madyan ki taraf humne unke bhai Shoaib ko bheja.Usne kaha “Aey meri qaum ke logon, Allah ki bandagi karo aur roz e aakhir ke umeed-waar raho aur zameen mein mufsid ban kar zyadatiyan (mischief) na karte phiro”
Surah Al-Ankaboot, Verse 36
فَكَذَّبُوهُ فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلرَّجۡفَةُ فَأَصۡبَحُواْ فِي دَارِهِمۡ جَٰثِمِينَ
Magar unhon ne usey jhutla diya. Aakhir e kaar ek sakht zalzaley ne unhein aa liya aur woh apne gharon mein padey ke padey reh gaye
Surah Al-Ankaboot, Verse 37
وَعَادٗا وَثَمُودَاْ وَقَد تَّبَيَّنَ لَكُم مِّن مَّسَٰكِنِهِمۡۖ وَزَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَعۡمَٰلَهُمۡ فَصَدَّهُمۡ عَنِ ٱلسَّبِيلِ وَكَانُواْ مُسۡتَبۡصِرِينَ
Aur Aad o Samood ko humne halaak kiya, tum woh maqamaat dekh chuke ho jahan woh rehte thay. Unke aamal ko shaytaan ne unke liye khushnuma bana diya aur unhein raah e raast se bargashta kardiya, halanke woh hosh-gosh rakhte thay
Surah Al-Ankaboot, Verse 38
وَقَٰرُونَ وَفِرۡعَوۡنَ وَهَٰمَٰنَۖ وَلَقَدۡ جَآءَهُم مُّوسَىٰ بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَٱسۡتَكۡبَرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا كَانُواْ سَٰبِقِينَ
Aur Qaroon o Firoun o Hamaan ko humne halaak kiya. Moosa unke paas bayyinaat (khuli nishaniyan) lekar aaya magar unhon ne zameen mein apni badayi ka zaam kiya halanke woh sabaqat le janey (qaabu se nikal janey) waley na thay
Surah Al-Ankaboot, Verse 39
فَكُلًّا أَخَذۡنَا بِذَنۢبِهِۦۖ فَمِنۡهُم مَّنۡ أَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِ حَاصِبٗا وَمِنۡهُم مَّنۡ أَخَذَتۡهُ ٱلصَّيۡحَةُ وَمِنۡهُم مَّنۡ خَسَفۡنَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ وَمِنۡهُم مَّنۡ أَغۡرَقۡنَاۚ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيَظۡلِمَهُمۡ وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
Aakhir e kaar har ek ko humne unke gunaah mein pakda. Phir unmein se kisi par humne pathrao (showers of stones) karne wali hawa bheji, aur kisi ko ek zabardast dhamake ne aa liya, aur kisi ko humne zameen mein dhasa diya, aur kisi ko garq (drown) kardiya. Allah unpar zulm karne wala na tha, magar woh khud hi apne upar zulm kar rahey thay
Surah Al-Ankaboot, Verse 40
مَثَلُ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَوۡلِيَآءَ كَمَثَلِ ٱلۡعَنكَبُوتِ ٱتَّخَذَتۡ بَيۡتٗاۖ وَإِنَّ أَوۡهَنَ ٱلۡبُيُوتِ لَبَيۡتُ ٱلۡعَنكَبُوتِۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ
Jin logon ne Allah ko chodh kar dusre sarparast (protectors) bana liye hain unki misaal makhdi (spider) jaisi hai jo apna ek ghar banati hai, aur sab gharon se zyada kamzoor ghar makhdi (spider) ka ghar hi hota hai, Kaash yeh log ilam rakhte
Surah Al-Ankaboot, Verse 41
إِنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ مِن شَيۡءٖۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Yeh log Allah ko chodh kar jis cheez ko bhi pukarte hain Allah usey khoob jaanta hai aur wahi zabardast aur hakeem hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 42
وَتِلۡكَ ٱلۡأَمۡثَٰلُ نَضۡرِبُهَا لِلنَّاسِۖ وَمَا يَعۡقِلُهَآ إِلَّا ٱلۡعَٰلِمُونَ
Yeh misalein (examples) hum logon ki fehmaish (understanding) ke liye dete hain, magar unko wahi log samajhte hain jo ilam rakhte waley hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 43
خَلَقَ ٱللَّهُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ
Allah ne aasmaano aur zameen ko barhaqq paida kiya hai, dar haqeeqat is mein ek nishani hai ehle iman ke liye
Surah Al-Ankaboot, Verse 44
ٱتۡلُ مَآ أُوحِيَ إِلَيۡكَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَأَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَۖ إِنَّ ٱلصَّلَوٰةَ تَنۡهَىٰ عَنِ ٱلۡفَحۡشَآءِ وَٱلۡمُنكَرِۗ وَلَذِكۡرُ ٱللَّهِ أَكۡبَرُۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تَصۡنَعُونَ
(Aey Nabi) Tilawat karo is kitaab ki jo tumhari taraf wahee ke zairye se bheji gayi hai. Aur namaz qayam karo, yaqeenan namaz fahash (behayayi) aur burey kaamon se rokti hai. Aur Allah ka zikr issey bhi zyada badi cheez hai. Allah jaanta hai jo kuch tumlog karte ho
Surah Al-Ankaboot, Verse 45
۞وَلَا تُجَٰدِلُوٓاْ أَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ إِلَّا بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ إِلَّا ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡهُمۡۖ وَقُولُوٓاْ ءَامَنَّا بِٱلَّذِيٓ أُنزِلَ إِلَيۡنَا وَأُنزِلَ إِلَيۡكُمۡ وَإِلَٰهُنَا وَإِلَٰهُكُمۡ وَٰحِدٞ وَنَحۡنُ لَهُۥ مُسۡلِمُونَ
Aur ehle kitaab se behas na karo magar umdah tareeqe se, siwaye un logon ke jo un mein se zaalim hon. Aur unsey kaho ke “hum iman laye hain us cheez par bhi jo hamari taraf bheji gayi hai aur us cheez par bhi jo tumhari taraf bheji gayi thi. Hamara khuda aur tumhara khuda ek hi hai aur hum usi ke muslim (farma bardaar) hain”
Surah Al-Ankaboot, Verse 46
وَكَذَٰلِكَ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَۚ فَٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ يُؤۡمِنُونَ بِهِۦۖ وَمِنۡ هَـٰٓؤُلَآءِ مَن يُؤۡمِنُ بِهِۦۚ وَمَا يَجۡحَدُ بِـَٔايَٰتِنَآ إِلَّا ٱلۡكَٰفِرُونَ
(Aey Nabi) humne isi tarah tumhari taraf kitaab nazil ki hai. Is liye woh log jinko humne pehle kitaab di thi woh ispar iman latey hain, aur in logon mein se bhi bahut se ispar iman laa rahey hain. Aur hamari aayat ka inkar sirf kaafir hi karte hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 47
وَمَا كُنتَ تَتۡلُواْ مِن قَبۡلِهِۦ مِن كِتَٰبٖ وَلَا تَخُطُّهُۥ بِيَمِينِكَۖ إِذٗا لَّٱرۡتَابَ ٱلۡمُبۡطِلُونَ
(Aey Nabi) tum issey pehle koi kitaab nahin padte thay aur na apne haath se likhte thay, agar aisa hota to baatil parast log (votaries of falsehood ) shakk mein padh sakte thay
Surah Al-Ankaboot, Verse 48
بَلۡ هُوَ ءَايَٰتُۢ بَيِّنَٰتٞ فِي صُدُورِ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَۚ وَمَا يَجۡحَدُ بِـَٔايَٰتِنَآ إِلَّا ٱلظَّـٰلِمُونَ
Dar-asal yeh roshan nishaniyan hain un logon ke dilon mein jinhein ilm baksha gaya hai. Aur hamari aayaat ka inkar nahin karte magar woh jo zaalim hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 49
وَقَالُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ ءَايَٰتٞ مِّن رَّبِّهِۦۚ قُلۡ إِنَّمَا ٱلۡأٓيَٰتُ عِندَ ٱللَّهِ وَإِنَّمَآ أَنَا۠ نَذِيرٞ مُّبِينٌ
Yeh log kehte hain ke “kyun na utari gayi is shaks par nishaniyan iske Rubb ki taraf se?” kaho “Nishaniyan to Allah ke paas hain aur main sirf khabardar karne wala hoon khol khol kar”
Surah Al-Ankaboot, Verse 50
أَوَلَمۡ يَكۡفِهِمۡ أَنَّآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ يُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَرَحۡمَةٗ وَذِكۡرَىٰ لِقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Aur kya in logon ke liye yeh (nishani) kaafi nahin hai ke humne tumpar kitaab nazil ki jo inhein padh kar sunayi jaati hai? Dar haqeeqat is mein rehmat hai aur naseehat hai un logon ke liye jo iman latey hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 51
قُلۡ كَفَىٰ بِٱللَّهِ بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡ شَهِيدٗاۖ يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱلۡبَٰطِلِ وَكَفَرُواْ بِٱللَّهِ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
(Aey Nabi) kaho ke “mere aur tumhare darmiyan Allah gawaahi ke liye kaafi hai. Woh aasmaano aur zameen mein sab kuch jaanta hai. Jo log baatil ko maante hain aur Allah se kufr karte hain wahi khasare(nuksan) mein rehne waley hain.”
Surah Al-Ankaboot, Verse 52
وَيَسۡتَعۡجِلُونَكَ بِٱلۡعَذَابِ وَلَوۡلَآ أَجَلٞ مُّسَمّٗى لَّجَآءَهُمُ ٱلۡعَذَابُۚ وَلَيَأۡتِيَنَّهُم بَغۡتَةٗ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ
Yeh log tumse azaab jaldi laney ka mutalaba karte hain. Agar ek waqt e muqarrar na kardiya gaya hota to inpar azaab aa chuka hota, aur yaqeenan (apne waqt par) woh aa kar rahega achanak, is haal mein ke inhein khabar bhi na hogi
Surah Al-Ankaboot, Verse 53
يَسۡتَعۡجِلُونَكَ بِٱلۡعَذَابِ وَإِنَّ جَهَنَّمَ لَمُحِيطَةُۢ بِٱلۡكَٰفِرِينَ
Yeh tumse azaab jaldi laney ka mutalaba karte hain, halaanke jahannum in kafiron ko ghere mein le chuki hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 54
يَوۡمَ يَغۡشَىٰهُمُ ٱلۡعَذَابُ مِن فَوۡقِهِمۡ وَمِن تَحۡتِ أَرۡجُلِهِمۡ وَيَقُولُ ذُوقُواْ مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
(Aur inhein pata chalega) us roz jabke azaab inhein upar se bhi dhank lega aur paon ke nichey se bhi aur kahega ke ab chakkho mazaa un kartooton ka jo tum karte thay
Surah Al-Ankaboot, Verse 55
يَٰعِبَادِيَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِنَّ أَرۡضِي وَٰسِعَةٞ فَإِيَّـٰيَ فَٱعۡبُدُونِ
Aey mere bandon jo iman laye ho, meri zameen waseeh hai, pas tum meri hi bandagi baja lao
Surah Al-Ankaboot, Verse 56
كُلُّ نَفۡسٖ ذَآئِقَةُ ٱلۡمَوۡتِۖ ثُمَّ إِلَيۡنَا تُرۡجَعُونَ
Har mutanaffis ko maut ka maza chakhna hai, phir tum sab hamari hi taraf palta kar laye jaogey
Surah Al-Ankaboot, Verse 57
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَنُبَوِّئَنَّهُم مِّنَ ٱلۡجَنَّةِ غُرَفٗا تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ نِعۡمَ أَجۡرُ ٱلۡعَٰمِلِينَ
Jo log iman laye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain unko hum jannat ki buland o baala imaraton (buildings/palaces) mein rakhenge jinke nichey nehrein behti hongi, wahan woh hamesha rahenge. Kya hi umdah ajar hai amal karne walon ke liye
Surah Al-Ankaboot, Verse 58
ٱلَّذِينَ صَبَرُواْ وَعَلَىٰ رَبِّهِمۡ يَتَوَكَّلُونَ
Un logon ke liye jinhon ne sabr kiya hai aur jo apne Rubb par bharosa karte hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 59
وَكَأَيِّن مِّن دَآبَّةٖ لَّا تَحۡمِلُ رِزۡقَهَا ٱللَّهُ يَرۡزُقُهَا وَإِيَّاكُمۡۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Kitne hi jaanwar hain jo apna rizq uthaye nahin phirte, Allah unko rizq deta hai aur tumhara raaziq bhi wahi hai. Woh sab kuch sunnta aur jaanta hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 60
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۖ فَأَنَّىٰ يُؤۡفَكُونَ
Agar tum in logon se pucho ke zameen aur aasmaano ko kisne paida kiya hai aur Chand aur Suraj ko kisne musakkhar kar rakkha hai, to zaroor kahenge ke Allah ne, phir yeh kidhar se dhoka kha rahey hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 61
ٱللَّهُ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦ وَيَقۡدِرُ لَهُۥٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
Allah hi hai jo apne bandon mein se jiska chahta hai rizq kushada (enlarge) karta hai aur jiska chahta hai tangg karta hai. Yaqeenan Allah har cheez ka jaanne wala hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 62
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّن نَّزَّلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَحۡيَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ مِنۢ بَعۡدِ مَوۡتِهَا لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۚ قُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡقِلُونَ
Aur agar tum insey pucho, kisne aasmaan se pani barsaya aur iske zariye se murda padi hui zameen ko jila uthaya to woh zaroor kahenge Allah ne. Kaho, Alhamdulillah, magar aksar log samajhte nahin hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 63
وَمَا هَٰذِهِ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَآ إِلَّا لَهۡوٞ وَلَعِبٞۚ وَإِنَّ ٱلدَّارَ ٱلۡأٓخِرَةَ لَهِيَ ٱلۡحَيَوَانُۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ
Aur yeh duniya ki zindagi kuch nahin hai magar ek khel aur dil ka behlawa. Asal zindagi ka ghar to daar e aakhirat(hereafter) hai, kaash yeh log jaantey
Surah Al-Ankaboot, Verse 64
فَإِذَا رَكِبُواْ فِي ٱلۡفُلۡكِ دَعَوُاْ ٱللَّهَ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَ فَلَمَّا نَجَّىٰهُمۡ إِلَى ٱلۡبَرِّ إِذَا هُمۡ يُشۡرِكُونَ
Jab yeh log kashti par sawaar hotay hain to apne deen ko Allah ke liye khaalis karke ussey dua maangte hain. Phir jab woh unhein bacha kar khushki par le aata hai to yakayak yeh shirk karne lagtey hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 65
لِيَكۡفُرُواْ بِمَآ ءَاتَيۡنَٰهُمۡ وَلِيَتَمَتَّعُواْۚ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ
Taa-ke Allah ki di hui nijaat par uska kufraan e niyamat karein aur (hayat e duniya ke) mazey lootein. Accha, anqareeb inhein maloom ho jayega
Surah Al-Ankaboot, Verse 66
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا جَعَلۡنَا حَرَمًا ءَامِنٗا وَيُتَخَطَّفُ ٱلنَّاسُ مِنۡ حَوۡلِهِمۡۚ أَفَبِٱلۡبَٰطِلِ يُؤۡمِنُونَ وَبِنِعۡمَةِ ٱللَّهِ يَكۡفُرُونَ
Kya yeh dekhte nahin hain ke humne ek pur-aman haram (sanctuary of safety) bana diya hai, halaanke inke gird-o-pesh log uchak liye jatey hain? Kya phir bhi yeh log baatil ko maante hain aur Allah ki niyamat ka kufraan karte hain
Surah Al-Ankaboot, Verse 67
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ كَذَّبَ بِٱلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَهُۥٓۚ أَلَيۡسَ فِي جَهَنَّمَ مَثۡوٗى لِّلۡكَٰفِرِينَ
Us shaks se bada zaalim kaun hoga jo Allah par jhoot baandhey ya haqq ko jhutlaye jabke woh uske saamne aa chuka ho? Kya aisey kaafiron ka thikana jahannum hi nahin hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 68
وَٱلَّذِينَ جَٰهَدُواْ فِينَا لَنَهۡدِيَنَّهُمۡ سُبُلَنَاۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَمَعَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Jo log hamari khatir mujahida(strive) karenge unhein hum apne raaste dikhayenge, aur yaqeenan Allah neikukaron(who do good) hi ke saath hai
Surah Al-Ankaboot, Verse 69