Surah Al-Ankaboot Verse 8 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Ankabootوَوَصَّيۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ بِوَٰلِدَيۡهِ حُسۡنٗاۖ وَإِن جَٰهَدَاكَ لِتُشۡرِكَ بِي مَا لَيۡسَ لَكَ بِهِۦ عِلۡمٞ فَلَا تُطِعۡهُمَآۚ إِلَيَّ مَرۡجِعُكُمۡ فَأُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Humne Insaan ko hidayat ki hai ke apne waldain(parents) ke saath neik sulook karey lekin agar woh tujh par zoar dalein ke tu mere saath kisi aisey (mabood) ko shareek thehraye jisey tu ( mere shareek ki haisiyat se) nahin jaanta to unki itaat na kar. Meri hi taraf tum sabko palat kar aana hai. Phir main tumko bata dunga ke tum kya karte rahey ho