Surah Ar-Room - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
الٓمٓ
Alif Laam Meem
Surah Ar-Room, Verse 1
غُلِبَتِ ٱلرُّومُ
Rumi (romans) qareeb ki sar-zameen mein magloob (defeat/overcome) ho gaye hain
Surah Ar-Room, Verse 2
فِيٓ أَدۡنَى ٱلۡأَرۡضِ وَهُم مِّنۢ بَعۡدِ غَلَبِهِمۡ سَيَغۡلِبُونَ
Aur apni is magloobiyat (defeat) ke baad chandh saal ke andar woh gaalib (victorious/dominant) ho jayenge
Surah Ar-Room, Verse 3
فِي بِضۡعِ سِنِينَۗ لِلَّهِ ٱلۡأَمۡرُ مِن قَبۡلُ وَمِنۢ بَعۡدُۚ وَيَوۡمَئِذٖ يَفۡرَحُ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
Allah hi ka ikhtiyar hai pehle bhi aur baad mein bhi. Aur woh din woh hoga jabke Allah ki bakshi hui fatah par musalmaan khushiyan manayenge
Surah Ar-Room, Verse 4
بِنَصۡرِ ٱللَّهِۚ يَنصُرُ مَن يَشَآءُۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ
Allah nusrat (victory) ata farmata hai jisey chahta hai, Aur woh zabardast aur raheem hai
Surah Ar-Room, Verse 5
وَعۡدَ ٱللَّهِۖ لَا يُخۡلِفُ ٱللَّهُ وَعۡدَهُۥ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
Yeh wada Allah ne kiya hai, Allah kabhi apne wade ki khilaf warzi nahin karta. Magar aksar log nahin jaante hain
Surah Ar-Room, Verse 6
يَعۡلَمُونَ ظَٰهِرٗا مِّنَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَهُمۡ عَنِ ٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ غَٰفِلُونَ
Log duniya ki zindagi ka bas zaahiri pehlu (outward aspect) jaante hain aur aakhirat se woh khud hi gaafil hain
Surah Ar-Room, Verse 7
أَوَلَمۡ يَتَفَكَّرُواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۗ مَّا خَلَقَ ٱللَّهُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَآ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَأَجَلٖ مُّسَمّٗىۗ وَإِنَّ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلنَّاسِ بِلِقَآيِٕ رَبِّهِمۡ لَكَٰفِرُونَ
Kya unhon ne kabhi apne aap mein gaur-o-fikr nahin kiya? Allah ne zameen aur aasmaano ko aur un saari cheezon ko jo unke darmiyan hain barhaqq aur ek muqarrar muddat hi ke liye paida kiya hai. Magar bahut se log apne Rubb ki mulaqat ke munkir hain
Surah Ar-Room, Verse 8
أَوَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَانُوٓاْ أَشَدَّ مِنۡهُمۡ قُوَّةٗ وَأَثَارُواْ ٱلۡأَرۡضَ وَعَمَرُوهَآ أَكۡثَرَ مِمَّا عَمَرُوهَا وَجَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِۖ فَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيَظۡلِمَهُمۡ وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
Aur kya yeh log kabhi zameen mein chaley phirey nahin hain ke inhein un logon ka anjaam nazar aata jo insey pehle guzar chuke hain? Woh insey zyada taaqat rakhte thay. Unhon ne zameen ko khoob udheda(Tilled/prepare and cultivate (land) for crops) tha aur usey itna aabaad kiya tha jitna inhon ne nahin kiya hai. Unke paas unke Rasool roshan nishaniyan lekar aaye. Phir Allah unpar zulm karne wala na tha, magar woh khud hi apne upar zulm kar rahey thay
Surah Ar-Room, Verse 9
ثُمَّ كَانَ عَٰقِبَةَ ٱلَّذِينَ أَسَـٰٓـُٔواْ ٱلسُّوٓأَىٰٓ أَن كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَكَانُواْ بِهَا يَسۡتَهۡزِءُونَ
Aakir e kaar jin logon ne buraiyan ki thi unka anjaam bahut bura hua. Isliye ke unhon ne Allah ki aayat ko jhutlaya tha aur woh unka mazaq udate thay
Surah Ar-Room, Verse 10
ٱللَّهُ يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥ ثُمَّ إِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Allah hi khalq ki ibtida(originates creation) karta hai, phir wahi iska iaada (phir paida/repeat) karega. Phir usi ki taraf tum paltaye jaogey
Surah Ar-Room, Verse 11
وَيَوۡمَ تَقُومُ ٱلسَّاعَةُ يُبۡلِسُ ٱلۡمُجۡرِمُونَ
Aur jab woh sa-aat (hour/ghadi) barpa hogi us din mujrim hak-dak (dumbfounded) reh jayenge
Surah Ar-Room, Verse 12
وَلَمۡ يَكُن لَّهُم مِّن شُرَكَآئِهِمۡ شُفَعَـٰٓؤُاْ وَكَانُواْ بِشُرَكَآئِهِمۡ كَٰفِرِينَ
Unke tehraye huey shareekon mein koi unka sifarishi (intercessor) na hoga, aur woh apne shareekon ke munkir ho jayenge
Surah Ar-Room, Verse 13
وَيَوۡمَ تَقُومُ ٱلسَّاعَةُ يَوۡمَئِذٖ يَتَفَرَّقُونَ
Jis roz woh sa-aat (hour/ghadi/qayamat) barpa hogi, us din (sab Insaan) alag girohon mein batt(split ) jayenge
Surah Ar-Room, Verse 14
فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فَهُمۡ فِي رَوۡضَةٖ يُحۡبَرُونَ
Jo log iman laye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain woh ek baagh mein shadaan-o-farhaan (khush haal) rakkhey jayenge
Surah Ar-Room, Verse 15
وَأَمَّا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَلِقَآيِٕ ٱلۡأٓخِرَةِ فَأُوْلَـٰٓئِكَ فِي ٱلۡعَذَابِ مُحۡضَرُونَ
Aur jinhon ne kufr kiya hai aur hamari aayat ko aur aakhirat ki mulaqaat ko jhutlaya woh azaab mein haazir rakkhey jayenge
Surah Ar-Room, Verse 16
فَسُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ حِينَ تُمۡسُونَ وَحِينَ تُصۡبِحُونَ
Pas tasbeeh karo Allah ki jabke tum shaam karte ho aur jab subah karte ho
Surah Ar-Room, Verse 17
وَلَهُ ٱلۡحَمۡدُ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَعَشِيّٗا وَحِينَ تُظۡهِرُونَ
Aasmaano aur zameen mein usi ke liye hamd(praise) hai aur (tasbeeh karo uski) teesre pehar aur jabke tumpar zohar ka waqt aata hai
Surah Ar-Room, Verse 18
يُخۡرِجُ ٱلۡحَيَّ مِنَ ٱلۡمَيِّتِ وَيُخۡرِجُ ٱلۡمَيِّتَ مِنَ ٱلۡحَيِّ وَيُحۡيِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَاۚ وَكَذَٰلِكَ تُخۡرَجُونَ
Woh zinda mein se murde ko nikalta hai aur murde mein se zinda ko nikal laata hai aur zameen ko uski maut ke baat zindagi bakashta hai.Isi tarah tumlog bhi (haalat e maut se) nikaal liye jaogey
Surah Ar-Room, Verse 19
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦٓ أَنۡ خَلَقَكُم مِّن تُرَابٖ ثُمَّ إِذَآ أَنتُم بَشَرٞ تَنتَشِرُونَ
Uski nishaniyon mein se yeh hai ke usne tumko mitti se paida kiya phir yakayak tum bashar (Insaan) ho ke (zameen mein) phaylte chaley ja rahey ho
Surah Ar-Room, Verse 20
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦٓ أَنۡ خَلَقَ لَكُم مِّنۡ أَنفُسِكُمۡ أَزۡوَٰجٗا لِّتَسۡكُنُوٓاْ إِلَيۡهَا وَجَعَلَ بَيۡنَكُم مَّوَدَّةٗ وَرَحۡمَةًۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ
Aur uski nishaniyon mein se yeh hai ke unse tumhare liye tumhari jins se biwiyan banayi taa-ke tum unke paas sukoon hasil karo aur tumhare darmiyan mohabbat aur rehmat paida kardi. Yaqeenan is mein bahut si nishaniyan hain un logon ke liye jo gaur o fikr karte hain
Surah Ar-Room, Verse 21
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦ خَلۡقُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَٱخۡتِلَٰفُ أَلۡسِنَتِكُمۡ وَأَلۡوَٰنِكُمۡۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّلۡعَٰلِمِينَ
Aur uski nishaniyon mein se aasmaano aur zameen ki paidaish, aur tumhari zubaano aur tumhare rangon (colors) ka ikhtilaf hai. Yaqeenan is mein bahut si nishaniyan hain daanishmand (wise) logon ke liye
Surah Ar-Room, Verse 22
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦ مَنَامُكُم بِٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ وَٱبۡتِغَآؤُكُم مِّن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَسۡمَعُونَ
Aur uski nishaniyon mein se tumhara raat aur din ko sona aur tumhara uske fazal ko talash karna hai. Yaqeenan is mein bahut si nishaniyan hain un logon ke liye jo (gaur se) suntay hain
Surah Ar-Room, Verse 23
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦ يُرِيكُمُ ٱلۡبَرۡقَ خَوۡفٗا وَطَمَعٗا وَيُنَزِّلُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَيُحۡيِۦ بِهِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَآۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
Aur uski nishaniyon mein se yeh hai ke woh tumhein bijli ki chamak dikhata hai khauf ke saath bhi aur tamah (umeed) ke saath bhi. Aur aasmaan se pani barsata hai, Phir iske zariye se zameen ko uski maut ke baad zindagi bakshta hai. Yaqeenan is mein bahut si nishaniyan hain un logon ke liye jo aqal se kaam letay hain
Surah Ar-Room, Verse 24
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦٓ أَن تَقُومَ ٱلسَّمَآءُ وَٱلۡأَرۡضُ بِأَمۡرِهِۦۚ ثُمَّ إِذَا دَعَاكُمۡ دَعۡوَةٗ مِّنَ ٱلۡأَرۡضِ إِذَآ أَنتُمۡ تَخۡرُجُونَ
Aur uski nishaniyon mein se yeh hai ke aasmaan aur zameen uske hukum se qayam hain, phir junhi ke usne tumhein zameen se pukara, bas ek hi pukar mein achanak tum nikal aaogey
Surah Ar-Room, Verse 25
وَلَهُۥ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ كُلّٞ لَّهُۥ قَٰنِتُونَ
Aasmaano aur zameen mein jo bhi hain uske bandey hain. Sab ke sab usi ke taabe-farmaan(obedient) hain
Surah Ar-Room, Verse 26
وَهُوَ ٱلَّذِي يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥ وَهُوَ أَهۡوَنُ عَلَيۡهِۚ وَلَهُ ٱلۡمَثَلُ ٱلۡأَعۡلَىٰ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Wahi hai jo takhleeq ki ibtida karta hai, phir wahi uska iaada (phir paida/repeat) karega aur yeh uske liye aasaan tarr hai.Aasmaano aur zameen mein uski sifat (attribute) sabse bartar hai aur woh zabardast aur hakeem hai
Surah Ar-Room, Verse 27
ضَرَبَ لَكُم مَّثَلٗا مِّنۡ أَنفُسِكُمۡۖ هَل لَّكُم مِّن مَّا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُم مِّن شُرَكَآءَ فِي مَا رَزَقۡنَٰكُمۡ فَأَنتُمۡ فِيهِ سَوَآءٞ تَخَافُونَهُمۡ كَخِيفَتِكُمۡ أَنفُسَكُمۡۚ كَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
Woh tumhein khud tumhari apni hi zaat se ek misal deta hai. Kya tumhare un ghulaamo mein se jo tumhari milkiyat mein hain kuch ghulam aisey bhi hain jo hamare diye huey maal o daulat mein tumhare saath barabar ke shareek hon aur tum unsey us tarah darte ho jis tarah aapas mein apne humsaron (each other)se darte ho? Is tarah hum aayaat khol kar pesh karte hain un logon ke liye jo aqal se kaam letay hain
Surah Ar-Room, Verse 28
بَلِ ٱتَّبَعَ ٱلَّذِينَ ظَلَمُوٓاْ أَهۡوَآءَهُم بِغَيۡرِ عِلۡمٖۖ فَمَن يَهۡدِي مَنۡ أَضَلَّ ٱللَّهُۖ وَمَا لَهُم مِّن نَّـٰصِرِينَ
Magar yeh zaalim bay-samjhey boojhey apne takhailaat (desires) ke peechey chal padey hain. Ab kaun us shaks ko raasta dikha sakta hai jisey Allah ne bhatka diya ho. Aisey logon ka to koi madadgaar nahin ho sakta
Surah Ar-Room, Verse 29
فَأَقِمۡ وَجۡهَكَ لِلدِّينِ حَنِيفٗاۚ فِطۡرَتَ ٱللَّهِ ٱلَّتِي فَطَرَ ٱلنَّاسَ عَلَيۡهَاۚ لَا تَبۡدِيلَ لِخَلۡقِ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ ٱلدِّينُ ٱلۡقَيِّمُ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
Pas (Aey Nabi, aur Nabi ke pairawon) yaksu hokar apna rukh is deen ki simth mein jamaa do. Qayam ho jao us fitrat par jispar Allah taala ne Insano ko paida kiya hai. Allah ki banayi hui saakht badli nahin jaa sakti. Yahi bilkul raast aur durust deen hai, magar aksar log jaante nahin hain
Surah Ar-Room, Verse 30
۞مُنِيبِينَ إِلَيۡهِ وَٱتَّقُوهُ وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَلَا تَكُونُواْ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
(Qayam ho jao is baat par)Allah ki taraf rujoo karte huey, aur daro ussey, aur namaz qayam karo , aur na ho jao un mushrikeen mein se
Surah Ar-Room, Verse 31
مِنَ ٱلَّذِينَ فَرَّقُواْ دِينَهُمۡ وَكَانُواْ شِيَعٗاۖ كُلُّ حِزۡبِۭ بِمَا لَدَيۡهِمۡ فَرِحُونَ
Jinhon ne apna apna deen alag bana liya hai aur girohon (firkon) mein batt gaye hain. Har ek giroh ke paas jo kuch hai usi mein woh magan hai
Surah Ar-Room, Verse 32
وَإِذَا مَسَّ ٱلنَّاسَ ضُرّٞ دَعَوۡاْ رَبَّهُم مُّنِيبِينَ إِلَيۡهِ ثُمَّ إِذَآ أَذَاقَهُم مِّنۡهُ رَحۡمَةً إِذَا فَرِيقٞ مِّنۡهُم بِرَبِّهِمۡ يُشۡرِكُونَ
Logon ka haal yeh hai ke jab unhein koi takleef pahunchi hai to apne Rubb ki taraf rujoo karke usey pukarte hain, phir jab woh kuch apne rehmat ka zaika (taste) unhein chakha deta hai to yakayak un mein se kuch log shirk karne lagte hain
Surah Ar-Room, Verse 33
لِيَكۡفُرُواْ بِمَآ ءَاتَيۡنَٰهُمۡۚ فَتَمَتَّعُواْ فَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ
Taa-ke hamare kiye huey ehsan ki nashukri karein. Accha, mazey karlo, anqareeb tumhein maaloom ho jayega
Surah Ar-Room, Verse 34
أَمۡ أَنزَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ سُلۡطَٰنٗا فَهُوَ يَتَكَلَّمُ بِمَا كَانُواْ بِهِۦ يُشۡرِكُونَ
Kya humne koi sanad aur daleel unpar nazil ki hai jo shahadat deti ho us shirk ki sadaqat par jo yeh kar rahey hain
Surah Ar-Room, Verse 35
وَإِذَآ أَذَقۡنَا ٱلنَّاسَ رَحۡمَةٗ فَرِحُواْ بِهَاۖ وَإِن تُصِبۡهُمۡ سَيِّئَةُۢ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيهِمۡ إِذَا هُمۡ يَقۡنَطُونَ
Jab hum logon ko rehmat ka zaika chakhate hain to woh uspar phool jatey hain, aur jab unke apne kiya kartooton se unpar koi museebat aati hai to yakayak woh mayous honay lagte hain
Surah Ar-Room, Verse 36
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Kya yeh log dekhte nahin hain ke Allah hi rizq kushada karta hai jiska chahta hai aur tangg karta hai (jiska chahta hai)? Yaqeenan is mein bahut si nishaniyan hain un logon ke liye jo iman latey hain
Surah Ar-Room, Verse 37
فَـَٔاتِ ذَا ٱلۡقُرۡبَىٰ حَقَّهُۥ وَٱلۡمِسۡكِينَ وَٱبۡنَ ٱلسَّبِيلِۚ ذَٰلِكَ خَيۡرٞ لِّلَّذِينَ يُرِيدُونَ وَجۡهَ ٱللَّهِۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Pas (aey momin) rishtedar ko uska haqq de aur miskeen o musafir ko (uska haqq). Yeh tareeqa behtar hai un logon ke liye jo Allah ki khushnudi chahte hon, aur wahi falaah paney waley hain
Surah Ar-Room, Verse 38
وَمَآ ءَاتَيۡتُم مِّن رِّبٗا لِّيَرۡبُوَاْ فِيٓ أَمۡوَٰلِ ٱلنَّاسِ فَلَا يَرۡبُواْ عِندَ ٱللَّهِۖ وَمَآ ءَاتَيۡتُم مِّن زَكَوٰةٖ تُرِيدُونَ وَجۡهَ ٱللَّهِ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُضۡعِفُونَ
Jo sood (riba /usury /interest) tum detay ho taa-ke logon ke amwal mein shamil hokar woh badh (increase) jaye, Allah ke nazdeek woh nahin badhta (increase), aur jo zakaat tum Allah ki khushnudi haasil karne ke iradey se detey ho, usi ke dene waley dar haqeeqat apne maal badhate hain
Surah Ar-Room, Verse 39
ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَكُمۡ ثُمَّ رَزَقَكُمۡ ثُمَّ يُمِيتُكُمۡ ثُمَّ يُحۡيِيكُمۡۖ هَلۡ مِن شُرَكَآئِكُم مَّن يَفۡعَلُ مِن ذَٰلِكُم مِّن شَيۡءٖۚ سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
Allah hi hai jisne tumko paida kiya, phir tumhein rizq diya, phir woh tumhein maut deta hai, phir woh tumhein zinda karega. Kya tumhare thehraye huey shareekon mein koi aisa hai jo in mein se koi kaam bhi karta ho? Paak hai woh aur bahut baala-o-bartar hai us shirk se jo yeh log karte hain
Surah Ar-Room, Verse 40
ظَهَرَ ٱلۡفَسَادُ فِي ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِ بِمَا كَسَبَتۡ أَيۡدِي ٱلنَّاسِ لِيُذِيقَهُم بَعۡضَ ٱلَّذِي عَمِلُواْ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
Khushki (land) aur tarii (sea) mein fasaad barpa ho gaya hai logon ke apne haathon ki kamayi se, taa-ke maza chakkhaye unko unke baaz aamal ka, shayad ke woh baaz aayein
Surah Ar-Room, Verse 41
قُلۡ سِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلُۚ كَانَ أَكۡثَرُهُم مُّشۡرِكِينَ
(Aey Nabi) insey kaho ke zameen mein chal phir kar dekho pehle guzre huey logon ka kya anjaam ho chuka hai. Un mein se aksar mushrik hi thay
Surah Ar-Room, Verse 42
فَأَقِمۡ وَجۡهَكَ لِلدِّينِ ٱلۡقَيِّمِ مِن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَ يَوۡمٞ لَّا مَرَدَّ لَهُۥ مِنَ ٱللَّهِۖ يَوۡمَئِذٖ يَصَّدَّعُونَ
Pas (Aey Nabi) apna rukh mazbooti ke saath jamaa do is deen-e-raast ki simth mein qabl iske ke woh din aaye jiske tal janey ki koi surat Allah ki taraf se nahin hai.Us din log phatt kar ek dusre se alag ho jayenge
Surah Ar-Room, Verse 43
مَن كَفَرَ فَعَلَيۡهِ كُفۡرُهُۥۖ وَمَنۡ عَمِلَ صَٰلِحٗا فَلِأَنفُسِهِمۡ يَمۡهَدُونَ
Jisne kufr kiya hai uske kufr ka wabal usi par hai, aur jin logon ne neik amal kiya hai woh apne hi liye falaah ka raasta saaf kar rahey hain
Surah Ar-Room, Verse 44
لِيَجۡزِيَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ مِن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Taa-ke Allah imaan laney walon aur amal-e-saleh karne walon ko apne fazal se jaza de. Yaqeenan woh kaafiron ko pasand nahin karta
Surah Ar-Room, Verse 45
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦٓ أَن يُرۡسِلَ ٱلرِّيَاحَ مُبَشِّرَٰتٖ وَلِيُذِيقَكُم مِّن رَّحۡمَتِهِۦ وَلِتَجۡرِيَ ٱلۡفُلۡكُ بِأَمۡرِهِۦ وَلِتَبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِهِۦ وَلَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Uski nishaniyon mein se yeh hai ke woh hawaein bhejhta hai basharat ke liye aur tumhein apni rehmat se behramand karne ke liye. Aur is garz ke liye ke kashtiyan uske hukum se chalein aur tum uska fazal talash karo aur uske shukar guzar banoo
Surah Ar-Room, Verse 46
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ رُسُلًا إِلَىٰ قَوۡمِهِمۡ فَجَآءُوهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَٱنتَقَمۡنَا مِنَ ٱلَّذِينَ أَجۡرَمُواْۖ وَكَانَ حَقًّا عَلَيۡنَا نَصۡرُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Aur humne tumse pehle Rasoolon ko unki qaum ki taraf bheja aur woh unke paas roshan nishaniyan lekar aaye. Phir jinhon ne jurm kiya unsey humne inteqaam liya aur humpar yeh haqq tha ke hum momino ki madad karein
Surah Ar-Room, Verse 47
ٱللَّهُ ٱلَّذِي يُرۡسِلُ ٱلرِّيَٰحَ فَتُثِيرُ سَحَابٗا فَيَبۡسُطُهُۥ فِي ٱلسَّمَآءِ كَيۡفَ يَشَآءُ وَيَجۡعَلُهُۥ كِسَفٗا فَتَرَى ٱلۡوَدۡقَ يَخۡرُجُ مِنۡ خِلَٰلِهِۦۖ فَإِذَآ أَصَابَ بِهِۦ مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦٓ إِذَا هُمۡ يَسۡتَبۡشِرُونَ
Allah hi hai jo hawaon ko bhejta hai aur woh baadal uthati hain. Phir woh in baadalon ko aasmaan mein phaila deta hai jis tarah chahta hai, aur unhein tukdiyon mein takseem karta hai, phir tu dekhta hai ke baarish ke qatray baadal se tapke chale aate hain. Yeh baarish jab woh apne bandon mein se jinpar chahta hai barsata hai
Surah Ar-Room, Verse 48
وَإِن كَانُواْ مِن قَبۡلِ أَن يُنَزَّلَ عَلَيۡهِم مِّن قَبۡلِهِۦ لَمُبۡلِسِينَ
To yakayak woh khush o khurram ho jatey hain , halaanke iske nuzul se pehle woh mayous ho rahey thay
Surah Ar-Room, Verse 49
فَٱنظُرۡ إِلَىٰٓ ءَاثَٰرِ رَحۡمَتِ ٱللَّهِ كَيۡفَ يُحۡيِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَآۚ إِنَّ ذَٰلِكَ لَمُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Dekho Allah ki rehmat ke asraat , ke murda padi hui zameen ko woh kis taraah jila uthata hai, yaqeenan woh murdon ko zindagi bakshne wala hai aur woh har cheez par qadir hai
Surah Ar-Room, Verse 50
وَلَئِنۡ أَرۡسَلۡنَا رِيحٗا فَرَأَوۡهُ مُصۡفَرّٗا لَّظَلُّواْ مِنۢ بَعۡدِهِۦ يَكۡفُرُونَ
Aur agar hum ek aisi hawa bhej dein jiske asar se woh apni kheti ko zard paayein to woh kufr karte reh jaate hain
Surah Ar-Room, Verse 51
فَإِنَّكَ لَا تُسۡمِعُ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَلَا تُسۡمِعُ ٱلصُّمَّ ٱلدُّعَآءَ إِذَا وَلَّوۡاْ مُدۡبِرِينَ
(Aey Nabi) Tum murdon ko nahin suna sakte, na unn behron ko apni pukar suna sakte ho jo peeth pherey bhaagay chaley jaa rahe hon
Surah Ar-Room, Verse 52
وَمَآ أَنتَ بِهَٰدِ ٱلۡعُمۡيِ عَن ضَلَٰلَتِهِمۡۖ إِن تُسۡمِعُ إِلَّا مَن يُؤۡمِنُ بِـَٔايَٰتِنَا فَهُم مُّسۡلِمُونَ
Aur na tum andhon ko unki gumrahi se nikaal kar raah e raast dikha sakte ho, tum to sirf unhi ko suna sakte ho jo hamari aayat par iman latey aur sar-e-tasleem kham kar detey hain
Surah Ar-Room, Verse 53
۞ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَكُم مِّن ضَعۡفٖ ثُمَّ جَعَلَ مِنۢ بَعۡدِ ضَعۡفٖ قُوَّةٗ ثُمَّ جَعَلَ مِنۢ بَعۡدِ قُوَّةٖ ضَعۡفٗا وَشَيۡبَةٗۚ يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ وَهُوَ ٱلۡعَلِيمُ ٱلۡقَدِيرُ
Allah hi to hai jisne zoaf (kamzori) ki haalat mein tumhari paidaish ki ibtida ki, phir is zoaf (kamzori) ke baad tumhein quwwat bakshi, phir is quwwat ke baad tumhein zaeef aur buda (old) kardiya. Woh jo kuch chahta hai paida karta hai, aur woh sabkuch janne wala, har cheez par qudrat rakhta hai
Surah Ar-Room, Verse 54
وَيَوۡمَ تَقُومُ ٱلسَّاعَةُ يُقۡسِمُ ٱلۡمُجۡرِمُونَ مَا لَبِثُواْ غَيۡرَ سَاعَةٖۚ كَذَٰلِكَ كَانُواْ يُؤۡفَكُونَ
Aur jab woh sa-aat (hour) barpa hogi to mujrim kasmein kha kha kar kahenge ke hum ek ghadi bhar se zyada nahin thehre hain.Isi taraah woh duniya ki zindagi mein dhoka khaya karte thay
Surah Ar-Room, Verse 55
وَقَالَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ وَٱلۡإِيمَٰنَ لَقَدۡ لَبِثۡتُمۡ فِي كِتَٰبِ ٱللَّهِ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡبَعۡثِۖ فَهَٰذَا يَوۡمُ ٱلۡبَعۡثِ وَلَٰكِنَّكُمۡ كُنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ
Magar jo ilm aur iman se behramand (endowed) kiye gaye thay woh kahenge ke khuda ke nawishte (record) mein to tum roz-e-hashar tak paday rahey ho. So yeh wahi roz-e-hashar hai, lekin tum jante na thay
Surah Ar-Room, Verse 56
فَيَوۡمَئِذٖ لَّا يَنفَعُ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مَعۡذِرَتُهُمۡ وَلَا هُمۡ يُسۡتَعۡتَبُونَ
Pas woh din hoga jismein zaalimon ko unki maazrat koi nafa (faida) na degi aur na unsey maafi maangne ke liye kaha jayega
Surah Ar-Room, Verse 57
وَلَقَدۡ ضَرَبۡنَا لِلنَّاسِ فِي هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ مِن كُلِّ مَثَلٖۚ وَلَئِن جِئۡتَهُم بِـَٔايَةٖ لَّيَقُولَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا مُبۡطِلُونَ
Humne is Quran mein logon ko tarah tarah se samjhaya hai, tum khwah koi nishani le aao, jin logon ne maanne se inkar kardiya hai wo yahi kahenge ke tum baatil(falsehood) par ho
Surah Ar-Room, Verse 58
كَذَٰلِكَ يَطۡبَعُ ٱللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِ ٱلَّذِينَ لَا يَعۡلَمُونَ
Is tarah thappa (seal) laga deta hai Allah un logon ke dilon par jo be-ilm hain
Surah Ar-Room, Verse 59
فَٱصۡبِرۡ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞۖ وَلَا يَسۡتَخِفَّنَّكَ ٱلَّذِينَ لَا يُوقِنُونَ
Pas (Aey Nabi) sabr karo, yaqeenan Allah ka wada sachha hai. Aur hargiz halka na payein tumko woh log jo yaqeen nahin laatey
Surah Ar-Room, Verse 60