Surah Luqman - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
الٓمٓ
Alif Laam Meem
Surah Luqman, Verse 1
تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡحَكِيمِ
Yeh kitab-e-hakeem(book of wisdon) ki aayat hain
Surah Luqman, Verse 2
هُدٗى وَرَحۡمَةٗ لِّلۡمُحۡسِنِينَ
Hidayat aur rehmat neikukar logon ke liye
Surah Luqman, Verse 3
ٱلَّذِينَ يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَيُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَهُم بِٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ يُوقِنُونَ
Jo namaz qayam karte hai, zakaat detey hain aur aakhirat par yaqeen rakhte hain
Surah Luqman, Verse 4
أُوْلَـٰٓئِكَ عَلَىٰ هُدٗى مِّن رَّبِّهِمۡۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Yahi log apne Rubb ki taraf se raah-e-raast par hain aur yahi falaah paney waley hain
Surah Luqman, Verse 5
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَشۡتَرِي لَهۡوَ ٱلۡحَدِيثِ لِيُضِلَّ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَيَتَّخِذَهَا هُزُوًاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ
Aur Insano hi mein se koi aisa bhi hai jo kalaam-e-dil fareb [lagv baaton ko/idle talks (i.e.music, singing, etc)] khareed kar laata hai taa-ke logon ko Allah ke raaste se ilm ke bagair bhatka dey aur is raaste ki dawat ko mazaaq mein udaday. Aise logon ke liye sakht zaleel karne wala azaab hai
Surah Luqman, Verse 6
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِ ءَايَٰتُنَا وَلَّىٰ مُسۡتَكۡبِرٗا كَأَن لَّمۡ يَسۡمَعۡهَا كَأَنَّ فِيٓ أُذُنَيۡهِ وَقۡرٗاۖ فَبَشِّرۡهُ بِعَذَابٍ أَلِيمٍ
Usey jab hamari aayat sunayi jati hain to woh badey ghamand ke saath is tarah rukh pher leta hai goya ke usne unhein suna hi nahin, goya ke uske kaan behre hain.Accha mushda (tidings) suna do usey ek dardnaak azaab ka
Surah Luqman, Verse 7
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُمۡ جَنَّـٰتُ ٱلنَّعِيمِ
Albatta jo log iman le aayein aur neik amal karein, unke liye niyamat bhari jannatein hain
Surah Luqman, Verse 8
خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٗاۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Jinmein woh hamesha rahenge. Yeh Allah ka pukhta wada hai, aur woh zabardast aur hakeem hai
Surah Luqman, Verse 9
خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ بِغَيۡرِ عَمَدٖ تَرَوۡنَهَاۖ وَأَلۡقَىٰ فِي ٱلۡأَرۡضِ رَوَٰسِيَ أَن تَمِيدَ بِكُمۡ وَبَثَّ فِيهَا مِن كُلِّ دَآبَّةٖۚ وَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَنۢبَتۡنَا فِيهَا مِن كُلِّ زَوۡجٖ كَرِيمٍ
Usne aasmaano ko paida kiya bagair sutuno (pillars) ke jo tumko nazar aayein .Usne zameen mein pahadh jamaa diye taa-ke woh tumhein lekar dhulak (turn /shake) na jaye. Usne har tarah ke jaanwar zameen mein phayla diye aur aasmaan se pani barsaya aur zameen mein qisam qisam ke umda cheezein uga di
Surah Luqman, Verse 10
هَٰذَا خَلۡقُ ٱللَّهِ فَأَرُونِي مَاذَا خَلَقَ ٱلَّذِينَ مِن دُونِهِۦۚ بَلِ ٱلظَّـٰلِمُونَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
Yeh to hai Allah ki takhleeq, ab zara mujhey dikhao, in dusron ne kya paida kiya hai? Asal baat yeh hai ke yeh zaalim log sareeh gumraahi mein padey huey hain
Surah Luqman, Verse 11
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا لُقۡمَٰنَ ٱلۡحِكۡمَةَ أَنِ ٱشۡكُرۡ لِلَّهِۚ وَمَن يَشۡكُرۡ فَإِنَّمَا يَشۡكُرُ لِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن كَفَرَ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَنِيٌّ حَمِيدٞ
Humne Luqman ko hikmat ata ki thi ke Allah ka shukar guzar ho. Jo koi shukar karey uska shukar uske apne hi liye mufeed(faiydamand) hai aur jo koi kufr karey to haqeeqat mein Allah be-niyaz aur aap se aap mehmood (Immensely Praiseworthy) hai
Surah Luqman, Verse 12
وَإِذۡ قَالَ لُقۡمَٰنُ لِٱبۡنِهِۦ وَهُوَ يَعِظُهُۥ يَٰبُنَيَّ لَا تُشۡرِكۡ بِٱللَّهِۖ إِنَّ ٱلشِّرۡكَ لَظُلۡمٌ عَظِيمٞ
Yaad karo jab Luqman apne bete ko naseehat kar raha tha to usne kaha “beta! Khuda ke saath kisi ko shareek na karna, haqq yeh hai ke shirk bahut bada zulm hai”
Surah Luqman, Verse 13
وَوَصَّيۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ بِوَٰلِدَيۡهِ حَمَلَتۡهُ أُمُّهُۥ وَهۡنًا عَلَىٰ وَهۡنٖ وَفِصَٰلُهُۥ فِي عَامَيۡنِ أَنِ ٱشۡكُرۡ لِي وَلِوَٰلِدَيۡكَ إِلَيَّ ٱلۡمَصِيرُ
Aur yeh haqeeqat yeh hai ke humne Insaan ko apne walidain (parents) ka haqq pehchanne ki khud taakeed ki hai. Uski Maa ne zoaf par zoaf(weakness upon weakness) utha kar usey apne pait mein rakkha aur do saal uska doodh chootne mein lagey. (Isi liye humne usko naseehat ki ke) mera shukar kar aur apne walidain ka shukar baja la. Meri hi taraf tujhey palatna hai
Surah Luqman, Verse 14
وَإِن جَٰهَدَاكَ عَلَىٰٓ أَن تُشۡرِكَ بِي مَا لَيۡسَ لَكَ بِهِۦ عِلۡمٞ فَلَا تُطِعۡهُمَاۖ وَصَاحِبۡهُمَا فِي ٱلدُّنۡيَا مَعۡرُوفٗاۖ وَٱتَّبِعۡ سَبِيلَ مَنۡ أَنَابَ إِلَيَّۚ ثُمَّ إِلَيَّ مَرۡجِعُكُمۡ فَأُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Lekin agar woh tujhpar dabao dalein ke mere saath tu kisi aisey ko shareek karey jisey tu nahin jaanta to unki baat hargiz na maan. Duniya mein unke saath neik bartao karta reh, magar pairvi(follow) us shaks ke raaste ki kar jisne meri taraf rujoo kiya hai. Phir tum sabko palatna meri hi taraf hai, us waqt main tumhein bata dunga ke tum kaise amal karte rahey ho
Surah Luqman, Verse 15
يَٰبُنَيَّ إِنَّهَآ إِن تَكُ مِثۡقَالَ حَبَّةٖ مِّنۡ خَرۡدَلٖ فَتَكُن فِي صَخۡرَةٍ أَوۡ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ أَوۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ يَأۡتِ بِهَا ٱللَّهُۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَطِيفٌ خَبِيرٞ
(Aur Luqman ne kaha tha ke) “Beta, koi cheez rai ke dana (mustard seed) barabar bhi ho aur kisi chattan (rock) mein ya aasmaano ya zameen mein kahin chupi hui ho, Allah usey nikal layega. Woh bareek been aur bakhabar hai
Surah Luqman, Verse 16
يَٰبُنَيَّ أَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ وَأۡمُرۡ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَٱنۡهَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَٱصۡبِرۡ عَلَىٰ مَآ أَصَابَكَۖ إِنَّ ذَٰلِكَ مِنۡ عَزۡمِ ٱلۡأُمُورِ
Beta, namaz qayam kar, neki ka hukum de, badee (burai) se manah kar, aur jo museebat bhi padey uspar sabr kar, yeh woh baatein hain jinki badi takeed ki gayi hai
Surah Luqman, Verse 17
وَلَا تُصَعِّرۡ خَدَّكَ لِلنَّاسِ وَلَا تَمۡشِ فِي ٱلۡأَرۡضِ مَرَحًاۖ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ كُلَّ مُخۡتَالٖ فَخُورٖ
Aur logon se mooh pher kar baat na kar, na zameen mein akad kar chal. Allah kisi khud-pasand aur faqar jataney waley shaks ko pasand nahin karta
Surah Luqman, Verse 18
وَٱقۡصِدۡ فِي مَشۡيِكَ وَٱغۡضُضۡ مِن صَوۡتِكَۚ إِنَّ أَنكَرَ ٱلۡأَصۡوَٰتِ لَصَوۡتُ ٱلۡحَمِيرِ
Apni chaal mein aitadal (moderate) ikhtiyar kar, aur apni aawaz zara past rakh, sab aawazon se zyada buri aawaz gadhon ki aawaz hoti hai
Surah Luqman, Verse 19
أَلَمۡ تَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ سَخَّرَ لَكُم مَّا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَأَسۡبَغَ عَلَيۡكُمۡ نِعَمَهُۥ ظَٰهِرَةٗ وَبَاطِنَةٗۗ وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يُجَٰدِلُ فِي ٱللَّهِ بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَلَا هُدٗى وَلَا كِتَٰبٖ مُّنِيرٖ
Kya tumlog nahin dekhte ke Allah ne zameen aur aasmaano ki saari cheezein tumhare liye musakkhar kar rakkhi hai aur apni khuli aur chupi niyamatein tumpar tamaam kardi hain? Ispar haal yeh hai ke Insano mein se kuch log hain jo Allah ke barey mein jhagadte hain bagair iske ke unke paas koi ilm ho, ya hidayat, ya koi roshni dikhane wali kitaab
Surah Luqman, Verse 20
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱتَّبِعُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ قَالُواْ بَلۡ نَتَّبِعُ مَا وَجَدۡنَا عَلَيۡهِ ءَابَآءَنَآۚ أَوَلَوۡ كَانَ ٱلشَّيۡطَٰنُ يَدۡعُوهُمۡ إِلَىٰ عَذَابِ ٱلسَّعِيرِ
Aur jab unsey kaha jaata hai ke pairwi karo us cheez ki jo Allah ne nazil ki hai to kehte hain ke hum to us cheez ki pairwi karenge jispar humne apne baap dada ko paya hai. Kya yeh unhi ki pairvi karenge khwah shaytan unko bhadakti hui aag hi ki taraf kyun na bulata raha ho
Surah Luqman, Verse 21
۞وَمَن يُسۡلِمۡ وَجۡهَهُۥٓ إِلَى ٱللَّهِ وَهُوَ مُحۡسِنٞ فَقَدِ ٱسۡتَمۡسَكَ بِٱلۡعُرۡوَةِ ٱلۡوُثۡقَىٰۗ وَإِلَى ٱللَّهِ عَٰقِبَةُ ٱلۡأُمُورِ
Jo shaks apne aap ko Allah ke hawale karde aur amalan woh neik ho, usne fil-waqayi ek bharose ke qabil sahara thaam liya, aur saarey maamlaat ka aakhri faisla Allah hi ke haath hai
Surah Luqman, Verse 22
وَمَن كَفَرَ فَلَا يَحۡزُنكَ كُفۡرُهُۥٓۚ إِلَيۡنَا مَرۡجِعُهُمۡ فَنُنَبِّئُهُم بِمَا عَمِلُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Ab jo kufr karta hai uska kufr tumhein gham mein mubtala na karey. Unhein palat kar aana to hamari hi taraf hai, phir hum unhein bata denge ke woh kya kuch karke aaye hain. Yaqeenan Allah seeno(chest) ke chupe huey raaz tak jaanta hai
Surah Luqman, Verse 23
نُمَتِّعُهُمۡ قَلِيلٗا ثُمَّ نَضۡطَرُّهُمۡ إِلَىٰ عَذَابٍ غَلِيظٖ
Hum thodi muddat unhein duniya mein mazey karne ka mauqa de rahey hain, phir unko bebas karke ek sakht azaab ki taraf kheench le jayenge
Surah Luqman, Verse 24
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۚ قُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Agar tum insey pucho ke zameen aur aasmaano ko kisne paida kya hai, to yeh zaroor kahenge ke Allah ne. Kaho alhamdulillah, magar inmein se aksar log jaante nahin hain
Surah Luqman, Verse 25
لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
Aasmaano aur zameen mein jo kuch hai Allah hi ka hai. Beshak Allah be-niyaz (free of need) aur aap se aap mehmood (praiseworthy) hai
Surah Luqman, Verse 26
وَلَوۡ أَنَّمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ مِن شَجَرَةٍ أَقۡلَٰمٞ وَٱلۡبَحۡرُ يَمُدُّهُۥ مِنۢ بَعۡدِهِۦ سَبۡعَةُ أَبۡحُرٖ مَّا نَفِدَتۡ كَلِمَٰتُ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Zameen mein jitne darakht hain agar woh sab ke sab qalam ban jayein aur samandar (dwaat (ink) ban jaaye) jisey saat (seven) mazeed samandar roshnayi(ink) muhayya karein tab bhi Allah ki baatein (likhne se) khatam na hongi. Beshak Allah zabardast aur hakeem hai
Surah Luqman, Verse 27
مَّا خَلۡقُكُمۡ وَلَا بَعۡثُكُمۡ إِلَّا كَنَفۡسٖ وَٰحِدَةٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعُۢ بَصِيرٌ
Tum sarey Insano ko paida karna aur phir dobara jila uthana (zinda karna) to (uske liye) bas aisa hai jaise ek mutanaffis (single person) ko (paida karna aur jila uthana). Haqeeqat yeh hai ke Allah sabkuch sunne aur dekhne wala hai
Surah Luqman, Verse 28
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَيُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِيٓ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗى وَأَنَّ ٱللَّهَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
Kya tum dekhte nahin ho ke Allah raat ko din mein pirota hua le aata hai aur din ko raat mein? Usne Suraj aur chand ko musakkhar (subjected) kar rakkha hai. Sab ek waqt e muqarrar tak chale jaa rahey hain. Aur (kya tum nahin jantey) ke jo kuch bhi tum karte ho Allah ussey ba-kharbar hai
Surah Luqman, Verse 29
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡحَقُّ وَأَنَّ مَا يَدۡعُونَ مِن دُونِهِ ٱلۡبَٰطِلُ وَأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡعَلِيُّ ٱلۡكَبِيرُ
Yeh sabkuch is wajah se hai ke Allah hi haqq hai aur usey chodh kar jin dusri cheezon ko yeh log pukarte hain woh sab baatil hain.Aur (is wajah se ke) Allah hi buzurg o bartar hai
Surah Luqman, Verse 30
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱلۡفُلۡكَ تَجۡرِي فِي ٱلۡبَحۡرِ بِنِعۡمَتِ ٱللَّهِ لِيُرِيَكُم مِّنۡ ءَايَٰتِهِۦٓۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّكُلِّ صَبَّارٖ شَكُورٖ
Kya tum dekhte nahin ho ke kashti samandar mein Allah ke fazal se chalti hai taa-ke woh tumhein apni kuch nishaniyan dikhaye? Dar haqeeqat is mein bahut si nishaniyan hain har us shaks ke liye jo sabr aur shukar karne wala ho
Surah Luqman, Verse 31
وَإِذَا غَشِيَهُم مَّوۡجٞ كَٱلظُّلَلِ دَعَوُاْ ٱللَّهَ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَ فَلَمَّا نَجَّىٰهُمۡ إِلَى ٱلۡبَرِّ فَمِنۡهُم مُّقۡتَصِدٞۚ وَمَا يَجۡحَدُ بِـَٔايَٰتِنَآ إِلَّا كُلُّ خَتَّارٖ كَفُورٖ
Aur jab (samandar mein ) in logon par ek mauj saayebaano(like canopies) ki tarah chaaa jaati hai to yeh Allah ko pukarte hain apne deen ko bilkul usi ke liye khaalis karke. Phir jab woh bacha kar inhein khushki (land) tak pahuncha deta hai to inmein se koi iqtesad baratta (lukewarm) hai.Aur hamari nishaniyon ka inkar nahin karta magar har woh shaks jo gaddaar aur nashukra hai
Surah Luqman, Verse 32
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱتَّقُواْ رَبَّكُمۡ وَٱخۡشَوۡاْ يَوۡمٗا لَّا يَجۡزِي وَالِدٌ عَن وَلَدِهِۦ وَلَا مَوۡلُودٌ هُوَ جَازٍ عَن وَالِدِهِۦ شَيۡـًٔاۚ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞۖ فَلَا تَغُرَّنَّكُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا وَلَا يَغُرَّنَّكُم بِٱللَّهِ ٱلۡغَرُورُ
Logon, bacho apne Rubb ke gazab se aur daro us din se jabke koi baap apne bete ki taraf se badla na dega aur na koi beta hi apne baap ki taraf se kuch badla dene wala hoga. Filwaqeh Allah ka wada sachha hai. Pas yeh duniya ki zindagi tumhein dhoke mein na daale, aur na dhoke-baaz tumko Allah ke maamle mein dhoka dene paye
Surah Luqman, Verse 33
إِنَّ ٱللَّهَ عِندَهُۥ عِلۡمُ ٱلسَّاعَةِ وَيُنَزِّلُ ٱلۡغَيۡثَ وَيَعۡلَمُ مَا فِي ٱلۡأَرۡحَامِۖ وَمَا تَدۡرِي نَفۡسٞ مَّاذَا تَكۡسِبُ غَدٗاۖ وَمَا تَدۡرِي نَفۡسُۢ بِأَيِّ أَرۡضٖ تَمُوتُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرُۢ
Us ghadi ka ilm Allah hi ke paas hai, wahi baarish barsata hai, wahi jaanta hai ke maaon ke paithon mein kya parwarish paa raha hai, koi mutanaffis nahin jaanta ke kal woh kya kamayi karne wala hai aur na kisi shaks ko yeh khabar hai ke kis sar-zameen mein usko maut aani hai. Allah hi sabkuch jaanney wala aur bakhabar hai
Surah Luqman, Verse 34