Surah Luqman - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
الٓمٓ
Alif laam meeem
Surah Luqman, Verse 1
تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡحَكِيمِ
ye hikmath waali kitaab ki aayate hai
Surah Luqman, Verse 2
هُدٗى وَرَحۡمَةٗ لِّلۡمُحۡسِنِينَ
jo neko kaaro ke liye rehbar aur (saraasar) rehmath hai
Surah Luqman, Verse 3
ٱلَّذِينَ يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَيُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَهُم بِٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ يُوقِنُونَ
jo log namaaz qaayam karte hai aur zakaath ada karte hai aur aaqirath par kaamil yaqeen rakhte hai
Surah Luqman, Verse 4
أُوْلَـٰٓئِكَ عَلَىٰ هُدٗى مِّن رَّبِّهِمۡۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
yahi log hai jo apne rab ki taraf se hidaayath par hai aur yahi log najaath paane waale hai
Surah Luqman, Verse 5
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَشۡتَرِي لَهۡوَ ٱلۡحَدِيثِ لِيُضِلَّ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَيَتَّخِذَهَا هُزُوًاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ
aur baaz log aise bhi hai jo lagho baatho ko mol lete hai, ke be-ilmi ke saath logo ko Allah ki raah se beh kaaye aur ose hasi banaaye, yahi wo log hai jin ke liye ruswa karne waala azaab hai
Surah Luqman, Verse 6
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِ ءَايَٰتُنَا وَلَّىٰ مُسۡتَكۡبِرٗا كَأَن لَّمۡ يَسۡمَعۡهَا كَأَنَّ فِيٓ أُذُنَيۡهِ وَقۡرٗاۖ فَبَشِّرۡهُ بِعَذَابٍ أَلِيمٍ
jab us ke saamne hamaari aayate tilaawath ki jaati hai, to takabbur karta hoa, is tarah mu pher leta hai, goya us ne suna hee nahi, goya ke us ke duno kaano mein daat lage hoye hai, aap ose dardnaak azaab ki qabar suna di jiye
Surah Luqman, Verse 7
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُمۡ جَنَّـٰتُ ٱلنَّعِيمِ
beshak jin logo ne imaan qubool kiya aur kaam bhi nek (mutaabiq sunnath) kiye, un ke liye nemato waali jannate hai
Surah Luqman, Verse 8
خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٗاۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
jahaan wo hamesha rahenge, Allah ka saccha waada hai, wo bahuth badi izzath wa ghalbe wala aur kaamil hikmath waala hai
Surah Luqman, Verse 9
خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ بِغَيۡرِ عَمَدٖ تَرَوۡنَهَاۖ وَأَلۡقَىٰ فِي ٱلۡأَرۡضِ رَوَٰسِيَ أَن تَمِيدَ بِكُمۡ وَبَثَّ فِيهَا مِن كُلِّ دَآبَّةٖۚ وَأَنزَلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَنۢبَتۡنَا فِيهَا مِن كُلِّ زَوۡجٖ كَرِيمٍ
us ne asmaano ko baghair sutoon ke paida kiya hai, tum unhe dekh rahe ho aur us ne zameen mein pahaado ko daal diya, ta ke wo tumhe jumbish na de sa ke, aur har tarah ke jaandaar zameen mein phaila diye aur hum ne asmaan se paani barsa kar zameen mein har qism ke nafees jode uga diye
Surah Luqman, Verse 10
هَٰذَا خَلۡقُ ٱللَّهِ فَأَرُونِي مَاذَا خَلَقَ ٱلَّذِينَ مِن دُونِهِۦۚ بَلِ ٱلظَّـٰلِمُونَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
ye hai Allah ki maqlooq, ab tum mujhe us ke siva dosre kisi ki koyi maqlooq to dikhaao (kuch nahi) balke ye zaalim khuli gumraahi mein hai
Surah Luqman, Verse 11
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا لُقۡمَٰنَ ٱلۡحِكۡمَةَ أَنِ ٱشۡكُرۡ لِلَّهِۚ وَمَن يَشۡكُرۡ فَإِنَّمَا يَشۡكُرُ لِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن كَفَرَ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَنِيٌّ حَمِيدٞ
aur hum ne yaqinan luqmaan ko hikmath di thi, ke tu Allah ta’ala ka shukr kar, har shukr karne waala apne hee na’fe ke liye shukr karta hai, jo bhi na shukri kare wo jaan le ke Allah ta’ala be’niyaaz aur taarifo wala hai
Surah Luqman, Verse 12
وَإِذۡ قَالَ لُقۡمَٰنُ لِٱبۡنِهِۦ وَهُوَ يَعِظُهُۥ يَٰبُنَيَّ لَا تُشۡرِكۡ بِٱللَّهِۖ إِنَّ ٱلشِّرۡكَ لَظُلۡمٌ عَظِيمٞ
aur jab ke luqmaan ne waaz kehte hoye apne ladke se farmaya ke mere pyaare bacche Allah ke saath shareek na karna, beshak shirk bada bhaari zulm hai
Surah Luqman, Verse 13
وَوَصَّيۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ بِوَٰلِدَيۡهِ حَمَلَتۡهُ أُمُّهُۥ وَهۡنًا عَلَىٰ وَهۡنٖ وَفِصَٰلُهُۥ فِي عَامَيۡنِ أَنِ ٱشۡكُرۡ لِي وَلِوَٰلِدَيۡكَ إِلَيَّ ٱلۡمَصِيرُ
hum ne insaan ko us ke maa baap ke mutaalliq nasihath ki hai, us ki maa ne dukh par dukh utha kar, ose hamal mein rakha aur us ki doodh chudaayi do baras mein hai, ke tu meri aur apne maa baap ki shukr guzaari kar(tum sab ko) meri hee taraf laut kar aana hai
Surah Luqman, Verse 14
وَإِن جَٰهَدَاكَ عَلَىٰٓ أَن تُشۡرِكَ بِي مَا لَيۡسَ لَكَ بِهِۦ عِلۡمٞ فَلَا تُطِعۡهُمَاۖ وَصَاحِبۡهُمَا فِي ٱلدُّنۡيَا مَعۡرُوفٗاۖ وَٱتَّبِعۡ سَبِيلَ مَنۡ أَنَابَ إِلَيَّۚ ثُمَّ إِلَيَّ مَرۡجِعُكُمۡ فَأُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
aur agar wo duno tujh par is baath ka dabaau daale ke tu mere saath shareek kare jis ka tujhe ilm na ho, to tu un ka kehna na maanna, haan dunya mein un ke saath acchi tarah basar karna aur us ki raah chalna jo meri taraf jhuka hoa ho, tumhara sab ka lautna meri hee taraf hai, tum jo kuch karte ho, us se phir main tumhe qabardaar kar donga
Surah Luqman, Verse 15
يَٰبُنَيَّ إِنَّهَآ إِن تَكُ مِثۡقَالَ حَبَّةٖ مِّنۡ خَرۡدَلٖ فَتَكُن فِي صَخۡرَةٍ أَوۡ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ أَوۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ يَأۡتِ بِهَا ٱللَّهُۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَطِيفٌ خَبِيرٞ
pyaare bete! agar koyi cheez raayi ke daane ke baraabar ho, phir wo (bhi) qaah kisi chataan mein ho, ya asmaano mein ho, ya zameen mein ho, ose Allah ta’ala zaroor layega, Allah ta’ala bada baareek been aur qabardaar hai
Surah Luqman, Verse 16
يَٰبُنَيَّ أَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ وَأۡمُرۡ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَٱنۡهَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَٱصۡبِرۡ عَلَىٰ مَآ أَصَابَكَۖ إِنَّ ذَٰلِكَ مِنۡ عَزۡمِ ٱلۡأُمُورِ
aye mere pyaare bete! tu namaaz qaayam rakhna, acche kaamo ki nasihath karte rehna, bure kaamo se mana kiya karna, aur jo musibath tum par aa jaaye sabr karna (yaqeen maan) ke ye bade taakidi kaamo mein se hai
Surah Luqman, Verse 17
وَلَا تُصَعِّرۡ خَدَّكَ لِلنَّاسِ وَلَا تَمۡشِ فِي ٱلۡأَرۡضِ مَرَحًاۖ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ كُلَّ مُخۡتَالٖ فَخُورٖ
logo ke saamne apne gaal na phula aur zameen mein itra kar na chal, kisi takabbur karne waale sheqi qoore ko Allah ta’ala pasand nahi farmata
Surah Luqman, Verse 18
وَٱقۡصِدۡ فِي مَشۡيِكَ وَٱغۡضُضۡ مِن صَوۡتِكَۚ إِنَّ أَنكَرَ ٱلۡأَصۡوَٰتِ لَصَوۡتُ ٱلۡحَمِيرِ
apni raftaar mein miyaana rawi eqtiyaar kar aur apni awaaz pasth kar, yaqinan awaazo mein sab se badh-tar awaaz ghado ki awaaz hai
Surah Luqman, Verse 19
أَلَمۡ تَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ سَخَّرَ لَكُم مَّا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَأَسۡبَغَ عَلَيۡكُمۡ نِعَمَهُۥ ظَٰهِرَةٗ وَبَاطِنَةٗۗ وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يُجَٰدِلُ فِي ٱللَّهِ بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَلَا هُدٗى وَلَا كِتَٰبٖ مُّنِيرٖ
kya tum nahi dekhte ke Allah ta’ala ne zameen wa asmaan ki har cheez ko tumhaare kaam mein laga rakha hai aur tumhe apni zaaheri wa baatini nemate bharpor de rakhi hai, baaz log Allah ke baare mein baghair ilm ke aur baghair hidaayath ke aur baghair roushan kitaab ke jhagda karte hai
Surah Luqman, Verse 20
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱتَّبِعُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ قَالُواْ بَلۡ نَتَّبِعُ مَا وَجَدۡنَا عَلَيۡهِ ءَابَآءَنَآۚ أَوَلَوۡ كَانَ ٱلشَّيۡطَٰنُ يَدۡعُوهُمۡ إِلَىٰ عَذَابِ ٱلسَّعِيرِ
aur jab un se kaha jaata hai ke Allah ki utaari hoyi wahi ki taabedaari karo, to kehte hai ke hum ne to jis tareeq par apne baap dadaao ko paaya hai, osi ki taabedaari karennge, agar che shaitaan un ke bado ko dozakh ke azaab ki taraf bulaata ho
Surah Luqman, Verse 21
۞وَمَن يُسۡلِمۡ وَجۡهَهُۥٓ إِلَى ٱللَّهِ وَهُوَ مُحۡسِنٞ فَقَدِ ٱسۡتَمۡسَكَ بِٱلۡعُرۡوَةِ ٱلۡوُثۡقَىٰۗ وَإِلَى ٱللَّهِ عَٰقِبَةُ ٱلۡأُمُورِ
aur jo (shaqs) apne aap ko Allah ke taabe karde aur ho bhi wo nekokaar, yaqian us ne mazbooth kada thaam liya, tamaam kaamo ka anjaam Allah ki taraf hai
Surah Luqman, Verse 22
وَمَن كَفَرَ فَلَا يَحۡزُنكَ كُفۡرُهُۥٓۚ إِلَيۡنَا مَرۡجِعُهُمۡ فَنُنَبِّئُهُم بِمَا عَمِلُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
kaafiro ke kufr se aap ranjida na ho, aaqir un sab ka lautna to hamaari jaanib hee hai, phir hum un ko batayenge jo unhone kiya hai, beshak Allah sino ke bhedho tak se waaqif hai
Surah Luqman, Verse 23
نُمَتِّعُهُمۡ قَلِيلٗا ثُمَّ نَضۡطَرُّهُمۡ إِلَىٰ عَذَابٍ غَلِيظٖ
hum unhe go kuch yo hee sa fayeda de de, lekin (bil aaqir) hum unhe nihaayath be chaargi ki haalath mein saqth azaab ki taraf hakaale jayenge
Surah Luqman, Verse 24
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۚ قُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
agar aap un se daryaaft kare ke asmaan wa zameen ka khaaliq kaun hai? to ye zaroor jawaab denge ke Allah, to keh dijiye ke sab taarifo ke laayeq Allah hee hai, lekin un mein ke aksar be ilm hai
Surah Luqman, Verse 25
لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
asmaano mein aur zameen mein jo kuch hai wo sab Allah hee ka hai, yaqinan Allah ta’ala bahuth bada be-niyaaz aur sazawaar hamdh wa sana hai
Surah Luqman, Verse 26
وَلَوۡ أَنَّمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ مِن شَجَرَةٍ أَقۡلَٰمٞ وَٱلۡبَحۡرُ يَمُدُّهُۥ مِنۢ بَعۡدِهِۦ سَبۡعَةُ أَبۡحُرٖ مَّا نَفِدَتۡ كَلِمَٰتُ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
roye zameen ke (tamaam) daraqth agar qalam ban jaaye aur samandar siyaahi aur us ki madath ko saath samandar aur ho, to bhi Allah ke kalimaath qatam nahi ho sakte, beshak Allah ta’ala ghaalib aur ba hikmath hai
Surah Luqman, Verse 27
مَّا خَلۡقُكُمۡ وَلَا بَعۡثُكُمۡ إِلَّا كَنَفۡسٖ وَٰحِدَةٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعُۢ بَصِيرٌ
tum sab ki paidayish aur marne ke baadh jilaana aisa hee hai, jaise ek jee1 ka, beshak Allah ta’ala sunne waala dekhne waala hai
Surah Luqman, Verse 28
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَيُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِيٓ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗى وَأَنَّ ٱللَّهَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
kya aap nahi dekhte ke Allah ta’ala raath ko din mein aur din ko raath mein khapa deta hai, suraj, chaandh ko osi ne farma bardaar kar rakha hai, ke har ek muqarrara waqt tak chalta rahe, Allah ta’ala har us cheez se jo tum karte ho, qabardaar hai
Surah Luqman, Verse 29
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡحَقُّ وَأَنَّ مَا يَدۡعُونَ مِن دُونِهِ ٱلۡبَٰطِلُ وَأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡعَلِيُّ ٱلۡكَبِيرُ
ye sab (intezamaath) is wajeh se hai ke Allah ta’ala haq hai aur us ke siva jin jin ko log pukaarte hai, sab baatil hai aur yaqinan Allah ta’ala bahuth bulandiyo waala aur bade shaan waala hai
Surah Luqman, Verse 30
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱلۡفُلۡكَ تَجۡرِي فِي ٱلۡبَحۡرِ بِنِعۡمَتِ ٱللَّهِ لِيُرِيَكُم مِّنۡ ءَايَٰتِهِۦٓۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّكُلِّ صَبَّارٖ شَكُورٖ
kya tum us par ghaur nahi karte ke darya mein kashtiya Allah ke fazl se chal rahi hai, is liye ke wo tumhe apni nishaaniya dikhaaye, yaqinan us mein har ek sabr wa shukr karne waale ke liye, bahuth si nishaaniya hai
Surah Luqman, Verse 31
وَإِذَا غَشِيَهُم مَّوۡجٞ كَٱلظُّلَلِ دَعَوُاْ ٱللَّهَ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَ فَلَمَّا نَجَّىٰهُمۡ إِلَى ٱلۡبَرِّ فَمِنۡهُم مُّقۡتَصِدٞۚ وَمَا يَجۡحَدُ بِـَٔايَٰتِنَآ إِلَّا كُلُّ خَتَّارٖ كَفُورٖ
aur jab un par mauje saayebaano ki tarah cha jaati hai to wo (nihaayath) quloos ke saath eteqaadh kar ke Allah ta’ala hee ko pukaarte hai, phir jab wo baari ta’ala unhe najaath de kar khushki ki taraf pahonchata hai, to kuch un mein se etedaal par rehte hai aur hamaari aayato ka inkaar sirf wahi karte hai jo badh ehadh aur na shukre ho
Surah Luqman, Verse 32
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱتَّقُواْ رَبَّكُمۡ وَٱخۡشَوۡاْ يَوۡمٗا لَّا يَجۡزِي وَالِدٌ عَن وَلَدِهِۦ وَلَا مَوۡلُودٌ هُوَ جَازٍ عَن وَالِدِهِۦ شَيۡـًٔاۚ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞۖ فَلَا تَغُرَّنَّكُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا وَلَا يَغُرَّنَّكُم بِٱللَّهِ ٱلۡغَرُورُ
logo! apne rab se daro aur us din ka khauf karo, jis din baap apne bete ko koyi nafa na pahoncha sakega aur na beta apne baap ka zara sa bhi nafa karne waala hoga (yaad rakho) Allah ka waada saccha hai (dekho) tumhe dunya ki zindagi dhuke mein na daale aur na dhuke baaz (shaitaan) tumhe dhuke mein daal de
Surah Luqman, Verse 33
إِنَّ ٱللَّهَ عِندَهُۥ عِلۡمُ ٱلسَّاعَةِ وَيُنَزِّلُ ٱلۡغَيۡثَ وَيَعۡلَمُ مَا فِي ٱلۡأَرۡحَامِۖ وَمَا تَدۡرِي نَفۡسٞ مَّاذَا تَكۡسِبُ غَدٗاۖ وَمَا تَدۡرِي نَفۡسُۢ بِأَيِّ أَرۡضٖ تَمُوتُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرُۢ
beshak Allah ta’ala hee ke paas qayaamath ka ilm hai, wahi baarish naazil farmaata hai aur maa ke pet mein jo hai ose jaanta hai, koyi (bhi) nahi jaanta ke kal kya (kuch)karega? na kisi ko ye maloom hai ke kis zameen mein marega (yaad rakho) Allah ta’ala hee pure ilm waala aur sahih qabro waala hai
Surah Luqman, Verse 34