Surah As-Sajda - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
الٓمٓ
Alif laam meeem
Surah As-Sajda, Verse 1
تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ لَا رَيۡبَ فِيهِ مِن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
bila shuba is kitaab ka utaarna tamaam jahaano ke parvardigaar ki taraf se hai
Surah As-Sajda, Verse 2
أَمۡ يَقُولُونَ ٱفۡتَرَىٰهُۚ بَلۡ هُوَ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّكَ لِتُنذِرَ قَوۡمٗا مَّآ أَتَىٰهُم مِّن نَّذِيرٖ مِّن قَبۡلِكَ لَعَلَّهُمۡ يَهۡتَدُونَ
kya ye kehte hai ke is ne ose ghad liya hai (nahi nahi) balke ye tere rab ta’ala ki taraf se haq hai, ta ke aap unhe daraaye jin ke paas aap se pehle koyi daraane wala nahi ayaa, ta ke wo raahe raasth par aa jaaye
Surah As-Sajda, Verse 3
ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ مَا لَكُم مِّن دُونِهِۦ مِن وَلِيّٖ وَلَا شَفِيعٍۚ أَفَلَا تَتَذَكَّرُونَ
Allah ta’ala wo hai jis ne asmaan wa zameen ko aur jo kuch un ke darmiyaan hai, sab ko che din mein paida kar diya, phir arsh par qaayam hoa, tumhaare liye us ke siva koyi madadgaar aur sifaarishi nahi, kya phir bhi tum nasihath haasil nahi karte
Surah As-Sajda, Verse 4
يُدَبِّرُ ٱلۡأَمۡرَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ إِلَى ٱلۡأَرۡضِ ثُمَّ يَعۡرُجُ إِلَيۡهِ فِي يَوۡمٖ كَانَ مِقۡدَارُهُۥٓ أَلۡفَ سَنَةٖ مِّمَّا تَعُدُّونَ
wo asmaan se le kar zameen tak (har) kaam ki tadhbeer karta hai, phir (wo kaam) ek aise din mein us ki taraf chad jaata hai, jis ka andaaza tumhaari ginti ke ek hazaar saal ke baraabar hai
Surah As-Sajda, Verse 5
ذَٰلِكَ عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ
yahi hai chupe khule ka jaanne waala, zabardasth ghaalib, bahuth hee meherbaan
Surah As-Sajda, Verse 6
ٱلَّذِيٓ أَحۡسَنَ كُلَّ شَيۡءٍ خَلَقَهُۥۖ وَبَدَأَ خَلۡقَ ٱلۡإِنسَٰنِ مِن طِينٖ
jis ne nihaayath qoob banaayi jo cheez bhi banaayi aur insaan ki banaawat mitthi se shuro ki
Surah As-Sajda, Verse 7
ثُمَّ جَعَلَ نَسۡلَهُۥ مِن سُلَٰلَةٖ مِّن مَّآءٖ مَّهِينٖ
phir us ki nasl ek be waq-ath1 paani ke nichood se chalaayi
Surah As-Sajda, Verse 8
ثُمَّ سَوَّىٰهُ وَنَفَخَ فِيهِ مِن رُّوحِهِۦۖ وَجَعَلَ لَكُمُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَٰرَ وَٱلۡأَفۡـِٔدَةَۚ قَلِيلٗا مَّا تَشۡكُرُونَ
jise theek thaak kar ke us mein apni ruh phuki, osi ne tumhaare kaan, aankhe aur dil banaaye (us par bhi) tum bahuth hee thoda ehsaan maante ho
Surah As-Sajda, Verse 9
وَقَالُوٓاْ أَءِذَا ضَلَلۡنَا فِي ٱلۡأَرۡضِ أَءِنَّا لَفِي خَلۡقٖ جَدِيدِۭۚ بَلۡ هُم بِلِقَآءِ رَبِّهِمۡ كَٰفِرُونَ
aur unhone kaha kya jab hum zameen mein ral mil jaayenge, kya phir nayi paydayish mein aa jayenge? balke (baath ye hai) ke wo log apne parvardigaar ki mulaqaath ke munkir hai
Surah As-Sajda, Verse 10
۞قُلۡ يَتَوَفَّىٰكُم مَّلَكُ ٱلۡمَوۡتِ ٱلَّذِي وُكِّلَ بِكُمۡ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُمۡ تُرۡجَعُونَ
keh dijiye! ke tumhe mauth ka farishta fauth karega jo tum par muqarrar kiya gaya hai, phir tum sab apne parvardigaar ki taraf lautaaye jaoge
Surah As-Sajda, Verse 11
وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذِ ٱلۡمُجۡرِمُونَ نَاكِسُواْ رُءُوسِهِمۡ عِندَ رَبِّهِمۡ رَبَّنَآ أَبۡصَرۡنَا وَسَمِعۡنَا فَٱرۡجِعۡنَا نَعۡمَلۡ صَٰلِحًا إِنَّا مُوقِنُونَ
kaash ke aap dekhte jab ke gunehgaar log apne rab ta’ala ke saamne sar jhukaaye hoye honge, kahenge aye hamaare rab! hum ne dekh liya aur sun liya, ab tu hamein waapas lauta de, hum nek amaal karenge, hum yaqeen karne waale hai
Surah As-Sajda, Verse 12
وَلَوۡ شِئۡنَا لَأٓتَيۡنَا كُلَّ نَفۡسٍ هُدَىٰهَا وَلَٰكِنۡ حَقَّ ٱلۡقَوۡلُ مِنِّي لَأَمۡلَأَنَّ جَهَنَّمَ مِنَ ٱلۡجِنَّةِ وَٱلنَّاسِ أَجۡمَعِينَ
agar hum chahte to har shaqs ko hidaayath naseeb farma dete, lekin meri ye baath bil kul haq ho chuk hai, ke main zaroor zaroor jahannam ko insaano aur jino se pur kar donga
Surah As-Sajda, Verse 13
فَذُوقُواْ بِمَا نَسِيتُمۡ لِقَآءَ يَوۡمِكُمۡ هَٰذَآ إِنَّا نَسِينَٰكُمۡۖ وَذُوقُواْ عَذَابَ ٱلۡخُلۡدِ بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
ab tum apne us din ki mulaqaath ke faramosh kar dene ka maza chaku, hum ne bhi tumhe bhula diya aur apne kiye hoye amaal (ki shaamath) se abdi azaab ka maza chako
Surah As-Sajda, Verse 14
إِنَّمَا يُؤۡمِنُ بِـَٔايَٰتِنَا ٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِّرُواْ بِهَا خَرُّواْۤ سُجَّدٗاۤ وَسَبَّحُواْ بِحَمۡدِ رَبِّهِمۡ وَهُمۡ لَا يَسۡتَكۡبِرُونَ۩
hamaari aayato par wahi imaan laate hai, jinhe jab kabhi un se nasihath ki jaati hai to wo sajde mein gir padte hai aur apne rab ki hamd ke saath us ki tasbih padte hai aur takabbur nahi karte
Surah As-Sajda, Verse 15
تَتَجَافَىٰ جُنُوبُهُمۡ عَنِ ٱلۡمَضَاجِعِ يَدۡعُونَ رَبَّهُمۡ خَوۡفٗا وَطَمَعٗا وَمِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ يُنفِقُونَ
un ki karwate un ke bistaro se alag rehti hai, apne rab ko khauf aur ummid ke saath pukaarte hai aur jo kuch hum ne unhe de rakha hai, wo qarch karte hai
Surah As-Sajda, Verse 16
فَلَا تَعۡلَمُ نَفۡسٞ مَّآ أُخۡفِيَ لَهُم مِّن قُرَّةِ أَعۡيُنٖ جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
koyi nafs nahi jaanta, jo kuch hum ne un ki aankho ki thandak un ke liye pushida kar rakhi hai, jo kuch karte thein ye us ka badhla hai
Surah As-Sajda, Verse 17
أَفَمَن كَانَ مُؤۡمِنٗا كَمَن كَانَ فَاسِقٗاۚ لَّا يَسۡتَوُۥنَ
kya wo jo momin ho, misl us ke hai, jo faasiq ho? ye baraabar nahi ho sakte
Surah As-Sajda, Verse 18
أَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فَلَهُمۡ جَنَّـٰتُ ٱلۡمَأۡوَىٰ نُزُلَۢا بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
jin logo ne imaan qubool kiya aur nek amaal bhi kiye un ke liye hameshgi waali jannate hai, mehmaan daari hai, un ke amaal ke badhle jo wo karte thein
Surah As-Sajda, Verse 19
وَأَمَّا ٱلَّذِينَ فَسَقُواْ فَمَأۡوَىٰهُمُ ٱلنَّارُۖ كُلَّمَآ أَرَادُوٓاْ أَن يَخۡرُجُواْ مِنۡهَآ أُعِيدُواْ فِيهَا وَقِيلَ لَهُمۡ ذُوقُواْ عَذَابَ ٱلنَّارِ ٱلَّذِي كُنتُم بِهِۦ تُكَذِّبُونَ
lekin jin logo ne hukme adoli ki, un ka thikana dozakh hai, jab kabhi us se baaher nikalna chaahenge, osi mein lauta diye jayenge, aur keh diya jayega ke apne jhutlaane ke badhle aag ka azaab chaku
Surah As-Sajda, Verse 20
وَلَنُذِيقَنَّهُم مِّنَ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡأَدۡنَىٰ دُونَ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡأَكۡبَرِ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
bil yaqeen hum unhe qareeb ke chote se baaz azaab, is bade azaab ke siva chakayenge, ta ke wo laut aaye
Surah As-Sajda, Verse 21
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن ذُكِّرَ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِۦ ثُمَّ أَعۡرَضَ عَنۡهَآۚ إِنَّا مِنَ ٱلۡمُجۡرِمِينَ مُنتَقِمُونَ
us se bad kar zaalim kaun hai, jise Allah ta’ala ki aayato se waaz kiya gaya, phir bhi us ne un se mu pher liya(yaqeen maano) ke hum bhi gunehgaaro se inteqaam lene waale hai
Surah As-Sajda, Verse 22
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ فَلَا تَكُن فِي مِرۡيَةٖ مِّن لِّقَآئِهِۦۖ وَجَعَلۡنَٰهُ هُدٗى لِّبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ
beshak hum ne Mosa(alaihissalaam) ko kitaab di, pas aap ko har giz us ki mulaqaath mein shak na karna chahiye aur hum ne ose bani israel ki hidaayath ka zariya banaya
Surah As-Sajda, Verse 23
وَجَعَلۡنَا مِنۡهُمۡ أَئِمَّةٗ يَهۡدُونَ بِأَمۡرِنَا لَمَّا صَبَرُواْۖ وَكَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يُوقِنُونَ
aur jab un logo ne sabr kiya to hum ne un mein se aise peshwa banaaye, jo hamaare hukm se logo ko hidaayath karte thein aur wo hamaari aayato par yaqeen rakhte thein
Surah As-Sajda, Verse 24
إِنَّ رَبَّكَ هُوَ يَفۡصِلُ بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فِيمَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ
aap ka rab un (sab) ke darmiyaan un (tamaam) baatho ka faisla qayaamath ke din karega, jin mein wo eqtelaaf kar rahe hai
Surah As-Sajda, Verse 25
أَوَلَمۡ يَهۡدِ لَهُمۡ كَمۡ أَهۡلَكۡنَا مِن قَبۡلِهِم مِّنَ ٱلۡقُرُونِ يَمۡشُونَ فِي مَسَٰكِنِهِمۡۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٍۚ أَفَلَا يَسۡمَعُونَ
kya us baath ne bhi unhe hidaayath nahi di, ke hum ne un se pehle bahuth si ummato ko halaak kar diya, jin ke makaano mein ye chal phir rahe hai, us mein to (badi) badi nishaaniya hai, kya phir bhi ye nahi sunte
Surah As-Sajda, Verse 26
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا نَسُوقُ ٱلۡمَآءَ إِلَى ٱلۡأَرۡضِ ٱلۡجُرُزِ فَنُخۡرِجُ بِهِۦ زَرۡعٗا تَأۡكُلُ مِنۡهُ أَنۡعَٰمُهُمۡ وَأَنفُسُهُمۡۚ أَفَلَا يُبۡصِرُونَ
kya ye nahi dekhte ke hum paani ko banjar (ghair abaadh) zameen ki taraf baha kar le jaate hai, phir us se hum khetiya nikaalte hai, jise un ke chau paaye aur ye khud khaate hai, kya phir bhi ye nahi dekhte
Surah As-Sajda, Verse 27
وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡفَتۡحُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
aur kehte hai ke ye faisla kab hoga? agar tum sacche ho (to bath laao)
Surah As-Sajda, Verse 28
قُلۡ يَوۡمَ ٱلۡفَتۡحِ لَا يَنفَعُ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِيمَٰنُهُمۡ وَلَا هُمۡ يُنظَرُونَ
jawaab de do ke faisle waale din imaan laana, be imaano ko kuch kaam na ayega aur na unhe dheel di jayegi
Surah As-Sajda, Verse 29
فَأَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ وَٱنتَظِرۡ إِنَّهُم مُّنتَظِرُونَ
ab aap un ka qayaal chohd de aur muntazir rahe, ye bhi muntazir hai
Surah As-Sajda, Verse 30