Surah As-Sajda - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
الٓمٓ
Alif Laam Meem
Surah As-Sajda, Verse 1
تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ لَا رَيۡبَ فِيهِ مِن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Is kitaab ki tanzil (nuzul/revelation) bila shubha Rubb ul aalameen ki taraf se hai
Surah As-Sajda, Verse 2
أَمۡ يَقُولُونَ ٱفۡتَرَىٰهُۚ بَلۡ هُوَ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّكَ لِتُنذِرَ قَوۡمٗا مَّآ أَتَىٰهُم مِّن نَّذِيرٖ مِّن قَبۡلِكَ لَعَلَّهُمۡ يَهۡتَدُونَ
Kya yeh log kehte hain ke is shaks ne isey khud ghadh liya hai? Nahin, balke yeh haqq hai tere Rubb ki taraf se taa-ke tu mutanabbeh (warn) karey ek aisi qaum ko jiske paas tujhse pehle koi mutanabbeh (warn) karne nahin aaya. Shayad ke woh hidayat paa jayein
Surah As-Sajda, Verse 3
ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ مَا لَكُم مِّن دُونِهِۦ مِن وَلِيّٖ وَلَا شَفِيعٍۚ أَفَلَا تَتَذَكَّرُونَ
Woh Allah hi hai jisne aasmaano aur zameen ko aur un saari cheezon ko jo inke darmiyan hain chey (six) dino mein paida kiya aur iske baad arsh par jalwa farma hua. Uske siwa na tumhara koi haami o madadgar hai aur na koi uske aagey sifarish karne wala. Phir kya tum hosh mein na aaogey
Surah As-Sajda, Verse 4
يُدَبِّرُ ٱلۡأَمۡرَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ إِلَى ٱلۡأَرۡضِ ثُمَّ يَعۡرُجُ إِلَيۡهِ فِي يَوۡمٖ كَانَ مِقۡدَارُهُۥٓ أَلۡفَ سَنَةٖ مِّمَّا تَعُدُّونَ
Woh aasmaan se zameen tak duniya ke maamlaat ki tadbeer (planning) karta hai aur is tadbeer ki rudad (record) upar uske huzur jaati hai ek aisey din mein jiski miqdaar tumhare shumar se ek hazar saal hai
Surah As-Sajda, Verse 5
ذَٰلِكَ عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ
Wahi hai har posheeda (chupi hui) aur zaahir ka janne wala. Zabardast, aur raheem
Surah As-Sajda, Verse 6
ٱلَّذِيٓ أَحۡسَنَ كُلَّ شَيۡءٍ خَلَقَهُۥۖ وَبَدَأَ خَلۡقَ ٱلۡإِنسَٰنِ مِن طِينٖ
Jo cheez bhi usney banayi khoob hi (acchi tarah) banayi. Usne Insaan ki takhleeq ki ibtida gaarey (mitti /clay) se ki
Surah As-Sajda, Verse 7
ثُمَّ جَعَلَ نَسۡلَهُۥ مِن سُلَٰلَةٖ مِّن مَّآءٖ مَّهِينٖ
Phir uski nasal ek aisi saat se chalayi jo hakeer pani (fluid despised) ki tarah ka hai
Surah As-Sajda, Verse 8
ثُمَّ سَوَّىٰهُ وَنَفَخَ فِيهِ مِن رُّوحِهِۦۖ وَجَعَلَ لَكُمُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَٰرَ وَٱلۡأَفۡـِٔدَةَۚ قَلِيلٗا مَّا تَشۡكُرُونَ
Phir usko nik-suk se durust kiya aur uske andar apni rooh phoonk di. Aur tumko kaan diye, aankhein di aur dil diye. Tum log kam hi shukar guazar hotey ho
Surah As-Sajda, Verse 9
وَقَالُوٓاْ أَءِذَا ضَلَلۡنَا فِي ٱلۡأَرۡضِ أَءِنَّا لَفِي خَلۡقٖ جَدِيدِۭۚ بَلۡ هُم بِلِقَآءِ رَبِّهِمۡ كَٰفِرُونَ
Aur yeh log kehte hain: “jab hum mitti mein ral-mil chuke honge to kya hum phir naye sirey se paida kiye jayenge?” Asal baat yeh hai ke yeh apne Rubb ki mulaqaat ke munkir hain
Surah As-Sajda, Verse 10
۞قُلۡ يَتَوَفَّىٰكُم مَّلَكُ ٱلۡمَوۡتِ ٱلَّذِي وُكِّلَ بِكُمۡ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُمۡ تُرۡجَعُونَ
Insey kaho “Maut ka woh farishta jo tumpar muqarrar kiya gaya hai tumko poora ka poora apne qabze mein le lega aur phir tum apne Rubb ki taraf palta laye jaoge”
Surah As-Sajda, Verse 11
وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذِ ٱلۡمُجۡرِمُونَ نَاكِسُواْ رُءُوسِهِمۡ عِندَ رَبِّهِمۡ رَبَّنَآ أَبۡصَرۡنَا وَسَمِعۡنَا فَٱرۡجِعۡنَا نَعۡمَلۡ صَٰلِحًا إِنَّا مُوقِنُونَ
Kaash tum dekho woh waqt jab yeh mujrim sar jhukaye apne Rubb ke huzur khade hongey. (Us waqt yeh keh rahe hongey) “ Aey hamare Rubb, humne khoob dekh liya aur sun liya , ab humein wapas bhej de taa-ke hum neik amal karein. Humein ab yaqeen aa gaya hai.”
Surah As-Sajda, Verse 12
وَلَوۡ شِئۡنَا لَأٓتَيۡنَا كُلَّ نَفۡسٍ هُدَىٰهَا وَلَٰكِنۡ حَقَّ ٱلۡقَوۡلُ مِنِّي لَأَمۡلَأَنَّ جَهَنَّمَ مِنَ ٱلۡجِنَّةِ وَٱلنَّاسِ أَجۡمَعِينَ
(Jawab mein irshad hoga) “Agar hum chahte to pehle hi har nafs ko iski hidayat de detay, magar meri woh baat poori ho gayi jo maine kahi thi ke main jahannum ko Jinno aur Insano sab se bhar dunga
Surah As-Sajda, Verse 13
فَذُوقُواْ بِمَا نَسِيتُمۡ لِقَآءَ يَوۡمِكُمۡ هَٰذَآ إِنَّا نَسِينَٰكُمۡۖ وَذُوقُواْ عَذَابَ ٱلۡخُلۡدِ بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Pas ab chakkho maza apni is harakat ka ke tumne is din ki mulaqat ko faramosh kardiya. Humne bhi ab tumhein faramosh kardiya hai. Chakkho hameshgi ke azaab ka maza apne kartooton ki padash mein”
Surah As-Sajda, Verse 14
إِنَّمَا يُؤۡمِنُ بِـَٔايَٰتِنَا ٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِّرُواْ بِهَا خَرُّواْۤ سُجَّدٗاۤ وَسَبَّحُواْ بِحَمۡدِ رَبِّهِمۡ وَهُمۡ لَا يَسۡتَكۡبِرُونَ۩
Hamari aayat par to woh log iman laatey hain jinhein yeh aayat suna kar jab naseehat ki jaati hai to sajde mein gir padte hain aur apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh karte hain aur takabbur nahin karte
Surah As-Sajda, Verse 15
تَتَجَافَىٰ جُنُوبُهُمۡ عَنِ ٱلۡمَضَاجِعِ يَدۡعُونَ رَبَّهُمۡ خَوۡفٗا وَطَمَعٗا وَمِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ يُنفِقُونَ
Unki peethein (backs) bistaron se alag rehti hain, apne Rubb ko khauf aur tamaa (umeed) ke saath pukarte hain. Aur jo kuch rizq humne unhein diya hai usmein se kharch karte hain
Surah As-Sajda, Verse 16
فَلَا تَعۡلَمُ نَفۡسٞ مَّآ أُخۡفِيَ لَهُم مِّن قُرَّةِ أَعۡيُنٖ جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Phir jaisa kuch aankhon ki thandak ka saamaan unke aamaal ki jaza mein unke liye chupa kar rakkha gaya hai uski kisi mutanaffis (person/soul) ko khabar nahin hai
Surah As-Sajda, Verse 17
أَفَمَن كَانَ مُؤۡمِنٗا كَمَن كَانَ فَاسِقٗاۚ لَّا يَسۡتَوُۥنَ
Bhala kahin yeh ho sakta hai ke jo shaks momin ho woh us shaks ki tarah ho jaye jo faasiq (nafarman/evil doer) ho? Yeh dono barabar nahin ho saktey
Surah As-Sajda, Verse 18
أَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فَلَهُمۡ جَنَّـٰتُ ٱلۡمَأۡوَىٰ نُزُلَۢا بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Jo log iman laye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain unke liye to jannaton ki qayam-gahein (hospitable homes) hain. Ziyafat ke taur par unke aamal ke badle mein
Surah As-Sajda, Verse 19
وَأَمَّا ٱلَّذِينَ فَسَقُواْ فَمَأۡوَىٰهُمُ ٱلنَّارُۖ كُلَّمَآ أَرَادُوٓاْ أَن يَخۡرُجُواْ مِنۡهَآ أُعِيدُواْ فِيهَا وَقِيلَ لَهُمۡ ذُوقُواْ عَذَابَ ٱلنَّارِ ٱلَّذِي كُنتُم بِهِۦ تُكَذِّبُونَ
Aur jinhon ne fisq (na-farmani) ikhtiyar kiya hai unka thikana dozakh hai.Jab kabhi woh ussey nikalna chahenge usi mein dhakail diye jayenge aur unsey kaha jayega ke chakkho ab usi aag ke azaab ka maza jisko tum jhutlaya karte thay
Surah As-Sajda, Verse 20
وَلَنُذِيقَنَّهُم مِّنَ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡأَدۡنَىٰ دُونَ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡأَكۡبَرِ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
Us baday azaab se pehle hum isi duniya mein (kisi na kisi chote) azaab ka maza inhein chakhate rahenge. Shayad ke yeh (apne baagiyana [transgression] rawish se) baaz aa jayein
Surah As-Sajda, Verse 21
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن ذُكِّرَ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِۦ ثُمَّ أَعۡرَضَ عَنۡهَآۚ إِنَّا مِنَ ٱلۡمُجۡرِمِينَ مُنتَقِمُونَ
Aur ussey bada zaalim kaun hoga jisey uske Rubb ki aayat ke zariye se naseehat ki jaye aur phir woh inse mooh pher ley.Aisey mujreemo se to hum inteqam lekar rahenge
Surah As-Sajda, Verse 22
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ فَلَا تَكُن فِي مِرۡيَةٖ مِّن لِّقَآئِهِۦۖ وَجَعَلۡنَٰهُ هُدٗى لِّبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ
Issey pehle hum Moosa ko kitaab de chuke hain. Lihaza usi cheez ke milne par tumhein koi shakk na hona chahiye. Us kitab ko humne bani Israel ke liye hidayat banaya tha
Surah As-Sajda, Verse 23
وَجَعَلۡنَا مِنۡهُمۡ أَئِمَّةٗ يَهۡدُونَ بِأَمۡرِنَا لَمَّا صَبَرُواْۖ وَكَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يُوقِنُونَ
Aur jab unhon ne sabr kiya aur hamari aayaat par yaqeen latey rahey to unke andar humne aise peshwa paida kiye jo hamare hukum se rehnumayi (hidayat/guidance) karte thay
Surah As-Sajda, Verse 24
إِنَّ رَبَّكَ هُوَ يَفۡصِلُ بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فِيمَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ
Yaqeenan tera Rubb hi qayamat ke roz un baaton ka faisla karega jinmein (bani Israel) baaham(aapas mein) ikhtilaf karte rahey hain
Surah As-Sajda, Verse 25
أَوَلَمۡ يَهۡدِ لَهُمۡ كَمۡ أَهۡلَكۡنَا مِن قَبۡلِهِم مِّنَ ٱلۡقُرُونِ يَمۡشُونَ فِي مَسَٰكِنِهِمۡۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٍۚ أَفَلَا يَسۡمَعُونَ
Aur kya in logon ko (in tareekhi (historical) waqiyat mein) koi hidayat nahin mili ke unse pehle kitni qaumon ko hum halaak kar chuke hain jinke rehne ki jaghon mein aaj yeh chalte phirte hain? Ismein badi nishaniyan hain. Kya yeh sunte nahin hain
Surah As-Sajda, Verse 26
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا نَسُوقُ ٱلۡمَآءَ إِلَى ٱلۡأَرۡضِ ٱلۡجُرُزِ فَنُخۡرِجُ بِهِۦ زَرۡعٗا تَأۡكُلُ مِنۡهُ أَنۡعَٰمُهُمۡ وَأَنفُسُهُمۡۚ أَفَلَا يُبۡصِرُونَ
Aur kya in logon ne yeh manzar kabhi nahin dekha ke hum ek bay-aab o gayah (banjar) zameen ki taraf pani baha latey hain, aur phir usi zameen se woh fasal ugati hai jissey unke jaanwaron ko bhi chara milta hai aur yeh khud bhi khate hain? To kya inhein kuch nahin soojhta
Surah As-Sajda, Verse 27
وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡفَتۡحُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Yeh log kehte hain ke “yeh faisla kab hoga agar tum sachhey ho?”
Surah As-Sajda, Verse 28
قُلۡ يَوۡمَ ٱلۡفَتۡحِ لَا يَنفَعُ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِيمَٰنُهُمۡ وَلَا هُمۡ يُنظَرُونَ
Insey kaho “faisle ke din iman laana un logon ke liye kuch bhi nafeh (faidemand) na hoga jinhon ne kufr kiya hai aur phir unko koi mohlat na milegi.”
Surah As-Sajda, Verse 29
فَأَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ وَٱنتَظِرۡ إِنَّهُم مُّنتَظِرُونَ
Accha, inhein inke haal par chodh do aur intezar karo, yeh bhi muntazir (intezar kar rahe) hain
Surah As-Sajda, Verse 30