Surah As-Sajda Verse 4 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah As-Sajdaٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ مَا لَكُم مِّن دُونِهِۦ مِن وَلِيّٖ وَلَا شَفِيعٍۚ أَفَلَا تَتَذَكَّرُونَ
Woh Allah hi hai jisne aasmaano aur zameen ko aur un saari cheezon ko jo inke darmiyan hain chey (six) dino mein paida kiya aur iske baad arsh par jalwa farma hua. Uske siwa na tumhara koi haami o madadgar hai aur na koi uske aagey sifarish karne wala. Phir kya tum hosh mein na aaogey