Surah Ar-Room Verse 39 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Ar-Roomوَمَآ ءَاتَيۡتُم مِّن رِّبٗا لِّيَرۡبُوَاْ فِيٓ أَمۡوَٰلِ ٱلنَّاسِ فَلَا يَرۡبُواْ عِندَ ٱللَّهِۖ وَمَآ ءَاتَيۡتُم مِّن زَكَوٰةٖ تُرِيدُونَ وَجۡهَ ٱللَّهِ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُضۡعِفُونَ
Jo sood (riba /usury /interest) tum detay ho taa-ke logon ke amwal mein shamil hokar woh badh (increase) jaye, Allah ke nazdeek woh nahin badhta (increase), aur jo zakaat tum Allah ki khushnudi haasil karne ke iradey se detey ho, usi ke dene waley dar haqeeqat apne maal badhate hain