Surah Al-Ankaboot Verse 45 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Ankabootٱتۡلُ مَآ أُوحِيَ إِلَيۡكَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَأَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَۖ إِنَّ ٱلصَّلَوٰةَ تَنۡهَىٰ عَنِ ٱلۡفَحۡشَآءِ وَٱلۡمُنكَرِۗ وَلَذِكۡرُ ٱللَّهِ أَكۡبَرُۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تَصۡنَعُونَ
(Aey Nabi) Tilawat karo is kitaab ki jo tumhari taraf wahee ke zairye se bheji gayi hai. Aur namaz qayam karo, yaqeenan namaz fahash (behayayi) aur burey kaamon se rokti hai. Aur Allah ka zikr issey bhi zyada badi cheez hai. Allah jaanta hai jo kuch tumlog karte ho