Surah An-Naml - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
طسٓۚ تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡقُرۡءَانِ وَكِتَابٖ مُّبِينٍ
Taa Seen. yeh aayat hain Quran aur kitaab e mubeen ki
Surah An-Naml, Verse 1
هُدٗى وَبُشۡرَىٰ لِلۡمُؤۡمِنِينَ
Hidayat aur basharat un iman laney walon ke liye
Surah An-Naml, Verse 2
ٱلَّذِينَ يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَيُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَهُم بِٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ يُوقِنُونَ
Jo namaz qayam karte aur zakat detey hain, aur phir woh aisey log hain jo aakhirat par poora yaqeen rakhte hain
Surah An-Naml, Verse 3
إِنَّ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ زَيَّنَّا لَهُمۡ أَعۡمَٰلَهُمۡ فَهُمۡ يَعۡمَهُونَ
Haqeeqat yeh hai ke jo log aakhirat ko nahin maante unke liye humne unke kartooton ko khushnuma bana diya hai, isliye woh bhatakte phir rahey hain
Surah An-Naml, Verse 4
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَهُمۡ سُوٓءُ ٱلۡعَذَابِ وَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ هُمُ ٱلۡأَخۡسَرُونَ
Yeh woh log hain jinke liye buri saza hai aur aakhirat mein yahi sabse zyada khasare (nuksaan) mein rehne waley hain
Surah An-Naml, Verse 5
وَإِنَّكَ لَتُلَقَّى ٱلۡقُرۡءَانَ مِن لَّدُنۡ حَكِيمٍ عَلِيمٍ
Aur (aey Muhammad) bila shubah tum yeh Quran ek hakeem o aleem (All-wise and All-knowing) hasti ki taraf se paa rahey ho
Surah An-Naml, Verse 6
إِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِأَهۡلِهِۦٓ إِنِّيٓ ءَانَسۡتُ نَارٗا سَـَٔاتِيكُم مِّنۡهَا بِخَبَرٍ أَوۡ ءَاتِيكُم بِشِهَابٖ قَبَسٖ لَّعَلَّكُمۡ تَصۡطَلُونَ
(Inhein us waqt ka qissa sunao) jab Moosa ne apne ghar walon se kaha ke “mujhey ek aag si nazar aayi hai, main abhi ya to wahan se koi khabar lekar aata hoon ya koi angara chun laata hoon taa-ke tum log garam ho sako”
Surah An-Naml, Verse 7
فَلَمَّا جَآءَهَا نُودِيَ أَنۢ بُورِكَ مَن فِي ٱلنَّارِ وَمَنۡ حَوۡلَهَا وَسُبۡحَٰنَ ٱللَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Wahan jo pahuncha to nidaa (awaaz/pukaar) aayi ke “mubarak hai woh jo is aag mein hai aur jo iske maahol mein hai, paak hai Allah sab jahanon ka parwardigar
Surah An-Naml, Verse 8
يَٰمُوسَىٰٓ إِنَّهُۥٓ أَنَا ٱللَّهُ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Aey Moosa, yeh main hoon Allah, zabardast aur daana(All-Wise)
Surah An-Naml, Verse 9
وَأَلۡقِ عَصَاكَۚ فَلَمَّا رَءَاهَا تَهۡتَزُّ كَأَنَّهَا جَآنّٞ وَلَّىٰ مُدۡبِرٗا وَلَمۡ يُعَقِّبۡۚ يَٰمُوسَىٰ لَا تَخَفۡ إِنِّي لَا يَخَافُ لَدَيَّ ٱلۡمُرۡسَلُونَ
Aur phenk tu zara apni laathi.” Junhi ke Moosa ne dekha laathi saanp(snake) ki tarah bal kha rahi hai to peeth phair kar bhaaga aur peechey mudh kar bhi na dekha. “Aey Moosa, daro nahin, mere huzur Rasool dara nahin karte
Surah An-Naml, Verse 10
إِلَّا مَن ظَلَمَ ثُمَّ بَدَّلَ حُسۡنَۢا بَعۡدَ سُوٓءٖ فَإِنِّي غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Illa yeh ke kisi ne kasoor kiya ho. Phir agar burayi ke baad usne bhalayi se apne fail (amal) ko badal liya to main maaf karne wala meharbaan hoon
Surah An-Naml, Verse 11
وَأَدۡخِلۡ يَدَكَ فِي جَيۡبِكَ تَخۡرُجۡ بَيۡضَآءَ مِنۡ غَيۡرِ سُوٓءٖۖ فِي تِسۡعِ ءَايَٰتٍ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَقَوۡمِهِۦٓۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمٗا فَٰسِقِينَ
Aur zara apna haath apne girebaan mein to daalo chamakta hua niklega bagair kisi takleef ke, yeh (dono nishaniyan) naw (nine) nishaniyon mein se hain Firoun aur uske qaum ki taraf (le janey ke liye), woh baday badh-kirdaar(wicked) log hain”
Surah An-Naml, Verse 12
فَلَمَّا جَآءَتۡهُمۡ ءَايَٰتُنَا مُبۡصِرَةٗ قَالُواْ هَٰذَا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
Magar jab hamari khuli khuli nihsaniyan un logon ke samney aayi to unhon ne kaha yeh to khula jaadu hai
Surah An-Naml, Verse 13
وَجَحَدُواْ بِهَا وَٱسۡتَيۡقَنَتۡهَآ أَنفُسُهُمۡ ظُلۡمٗا وَعُلُوّٗاۚ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Unhon ne sara-sar zulm aur guroor ki raah se in nishaniyon ka inkar kiya, halaanke dil unke qayel (convinced) ho chuke thay. Ab dekhlo ke un mufsidon ka anjaam kaisa hua
Surah An-Naml, Verse 14
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا دَاوُۥدَ وَسُلَيۡمَٰنَ عِلۡمٗاۖ وَقَالَا ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي فَضَّلَنَا عَلَىٰ كَثِيرٖ مِّنۡ عِبَادِهِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
(Dusri taraf) humne Dawood o Sulaiman ko ilm ata kiya aur unhon ne kaha ke shukar hai us khuda ka jisne humko apne bahut se momin bandon par fazilat ata ki
Surah An-Naml, Verse 15
وَوَرِثَ سُلَيۡمَٰنُ دَاوُۥدَۖ وَقَالَ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ عُلِّمۡنَا مَنطِقَ ٱلطَّيۡرِ وَأُوتِينَا مِن كُلِّ شَيۡءٍۖ إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ ٱلۡفَضۡلُ ٱلۡمُبِينُ
Aur Dawood ka waris sulaiman hua aur usne kaha “logon, humein parindon (birds) ki boliyan sikhayi gayi hain aur humein har tarah ki cheezein di gayi hain, beshak yeh (Allah ka) numaya fazl hai.”
Surah An-Naml, Verse 16
وَحُشِرَ لِسُلَيۡمَٰنَ جُنُودُهُۥ مِنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ وَٱلطَّيۡرِ فَهُمۡ يُوزَعُونَ
Sulaiman ke liye Jinn aur Insano aur parindon ke lashkar jama kiye gaye thay aur woh puray zabt (strict discipline) mein rakkhey jatey thay
Surah An-Naml, Verse 17
حَتَّىٰٓ إِذَآ أَتَوۡاْ عَلَىٰ وَادِ ٱلنَّمۡلِ قَالَتۡ نَمۡلَةٞ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّمۡلُ ٱدۡخُلُواْ مَسَٰكِنَكُمۡ لَا يَحۡطِمَنَّكُمۡ سُلَيۡمَٰنُ وَجُنُودُهُۥ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ
Ek martaba woh unke saath kooch (marching) kar raha tha) yahan tak ke jab yeh sab chuntiyon (ants) ki waadi(valley) mein pahunchey to ek chunti (ant) ne kaha “ Aey chunityon , Apne bilon (holes) mein ghuss jao, kahin aisa na ho ke Sulaiman aur uske lashkar tumhein kuchal daalein aur unhein khabar bhi na ho”
Surah An-Naml, Verse 18
فَتَبَسَّمَ ضَاحِكٗا مِّن قَوۡلِهَا وَقَالَ رَبِّ أَوۡزِعۡنِيٓ أَنۡ أَشۡكُرَ نِعۡمَتَكَ ٱلَّتِيٓ أَنۡعَمۡتَ عَلَيَّ وَعَلَىٰ وَٰلِدَيَّ وَأَنۡ أَعۡمَلَ صَٰلِحٗا تَرۡضَىٰهُ وَأَدۡخِلۡنِي بِرَحۡمَتِكَ فِي عِبَادِكَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Sulaiman uski baat par muskurate huey hass pada aur bola “aey mere Rubb mujhey qaabu mein rakh ke main tere us ehsan ka shukar ada karta rahoon jo tu-nay mujhpar aur mere walidain par kiya hai aur aisa amal e saleh karoon jo tujhey pasand aaye, aur apni rehmat se mujhko apne saleh bandon mein daakhil kar.”
Surah An-Naml, Verse 19
وَتَفَقَّدَ ٱلطَّيۡرَ فَقَالَ مَالِيَ لَآ أَرَى ٱلۡهُدۡهُدَ أَمۡ كَانَ مِنَ ٱلۡغَآئِبِينَ
(Ek aur mauqe par) Sulaiman ne parindon ka jaiza liya aur kaha “ kya baat hai ke main falaan hud-hud (hoopoe bird) ko nahin dekh raha hoon. Kya woh kahin gayab ho gaya hai
Surah An-Naml, Verse 20
لَأُعَذِّبَنَّهُۥ عَذَابٗا شَدِيدًا أَوۡ لَأَاْذۡبَحَنَّهُۥٓ أَوۡ لَيَأۡتِيَنِّي بِسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٖ
Main usey sakht saza dunga, ya zubaa kardunga, warna usey mere saamne maaqool wajah pesh karni hogi
Surah An-Naml, Verse 21
فَمَكَثَ غَيۡرَ بَعِيدٖ فَقَالَ أَحَطتُ بِمَا لَمۡ تُحِطۡ بِهِۦ وَجِئۡتُكَ مِن سَبَإِۭ بِنَبَإٖ يَقِينٍ
Kuch zyada dair na guzri thi ke usne aakar kaha “maine woh maalumaat haasil ki hai jo aapke ilam mein nahin hain. Main Saba ke mutaalik yaqeeni ittila lekar aaya hoon
Surah An-Naml, Verse 22
إِنِّي وَجَدتُّ ٱمۡرَأَةٗ تَمۡلِكُهُمۡ وَأُوتِيَتۡ مِن كُلِّ شَيۡءٖ وَلَهَا عَرۡشٌ عَظِيمٞ
Maine wahan ek aurat dekhi jo us qaum ki hukmaran hai. Usko har tarah ka saaz o samaan baksha gaya hai aur uska takht (throne) bada azeem o shaan hai
Surah An-Naml, Verse 23
وَجَدتُّهَا وَقَوۡمَهَا يَسۡجُدُونَ لِلشَّمۡسِ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَزَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَعۡمَٰلَهُمۡ فَصَدَّهُمۡ عَنِ ٱلسَّبِيلِ فَهُمۡ لَا يَهۡتَدُونَ
Maine dekha hai ke woh aur uski qaum Allah ke bajaye Suraj ke aagey sajda karti hai” Shaytaan ne unke aamaal unke liye khushnuma bana diye aur unhein shahraah se rok diya, is waja se woh yeh seedha raasta nahin paatey
Surah An-Naml, Verse 24
أَلَّاۤ يَسۡجُدُواْۤ لِلَّهِ ٱلَّذِي يُخۡرِجُ ٱلۡخَبۡءَ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَيَعۡلَمُ مَا تُخۡفُونَ وَمَا تُعۡلِنُونَ
Ke us khuda ko sajda karein jo aasmano aur zameen ki posheeda(hidden) cheezein nikalta hai aur woh sab kuch jaanta hai jisey tum log chupate ho aur zaahir karte ho
Surah An-Naml, Verse 25
ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ رَبُّ ٱلۡعَرۡشِ ٱلۡعَظِيمِ۩
Allah, ke jiske siwa koi mustahiq e Ibadat(worthy of worship) nahin, jo arsh e azeem ka maalik hai
Surah An-Naml, Verse 26
۞قَالَ سَنَنظُرُ أَصَدَقۡتَ أَمۡ كُنتَ مِنَ ٱلۡكَٰذِبِينَ
Sulaiman ne kaha “abhi hum dekhe letay hain ke tu nay sach kaha hai ye tu jhoot bolne walon mein se hai
Surah An-Naml, Verse 27
ٱذۡهَب بِّكِتَٰبِي هَٰذَا فَأَلۡقِهۡ إِلَيۡهِمۡ ثُمَّ تَوَلَّ عَنۡهُمۡ فَٱنظُرۡ مَاذَا يَرۡجِعُونَ
Mera yeh khat (letter) le ja aur usey un logon ki taraf daal de, phir alag hatt kar dekh ke woh kya radd-e-amal zaahir karte hain”
Surah An-Naml, Verse 28
قَالَتۡ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلۡمَلَؤُاْ إِنِّيٓ أُلۡقِيَ إِلَيَّ كِتَٰبٞ كَرِيمٌ
Malika boli “aey ehle darbaar, meri taraf ek bada eham khat phenka gaya hai
Surah An-Naml, Verse 29
إِنَّهُۥ مِن سُلَيۡمَٰنَ وَإِنَّهُۥ بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Woh Sulaiman ki janib se hai aur Allah rehman o raheem ke naam se shuru kiya gaya hai
Surah An-Naml, Verse 30
أَلَّا تَعۡلُواْ عَلَيَّ وَأۡتُونِي مُسۡلِمِينَ
Mazmoon yeh hai ke “ mere muqable mein sarkashi na karo aur muslim ho kar mere paas haazir ho jao”
Surah An-Naml, Verse 31
قَالَتۡ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلۡمَلَؤُاْ أَفۡتُونِي فِيٓ أَمۡرِي مَا كُنتُ قَاطِعَةً أَمۡرًا حَتَّىٰ تَشۡهَدُونِ
(khat sunakar) Malika ne kaha “aey sardaran e qaum mere is maamle mein mujhey mashwara do. Main kisi maamle ka faisla tumhare bagair nahin karti hoon”
Surah An-Naml, Verse 32
قَالُواْ نَحۡنُ أُوْلُواْ قُوَّةٖ وَأُوْلُواْ بَأۡسٖ شَدِيدٖ وَٱلۡأَمۡرُ إِلَيۡكِ فَٱنظُرِي مَاذَا تَأۡمُرِينَ
Unhon ne jawab diya “hum taqatwar aur ladne waley log hain, aagey faisla aap ke haath mein hai, aap khud dekh lein ke aapko kya hukum dena hai”
Surah An-Naml, Verse 33
قَالَتۡ إِنَّ ٱلۡمُلُوكَ إِذَا دَخَلُواْ قَرۡيَةً أَفۡسَدُوهَا وَجَعَلُوٓاْ أَعِزَّةَ أَهۡلِهَآ أَذِلَّةٗۚ وَكَذَٰلِكَ يَفۡعَلُونَ
Malika ne kaha ke “Baadshah jab kisi mulk mein ghus aate hain to usey kharab aur uske izzat walon ko zaleel kar detay hain, yahi kuch woh kiya karte hain
Surah An-Naml, Verse 34
وَإِنِّي مُرۡسِلَةٌ إِلَيۡهِم بِهَدِيَّةٖ فَنَاظِرَةُۢ بِمَ يَرۡجِعُ ٱلۡمُرۡسَلُونَ
Main in logon ki taraf ek hadiya(gift) bhejti hoon, phir dekhti hoon ke mere elchi (envoy) kya jawaab lekar palat-te hain”
Surah An-Naml, Verse 35
فَلَمَّا جَآءَ سُلَيۡمَٰنَ قَالَ أَتُمِدُّونَنِ بِمَالٖ فَمَآ ءَاتَىٰنِۦَ ٱللَّهُ خَيۡرٞ مِّمَّآ ءَاتَىٰكُمۚ بَلۡ أَنتُم بِهَدِيَّتِكُمۡ تَفۡرَحُونَ
Jab woh [Malika ka safeer(envoy)] Sulaiman ke haan pahuncha to usne kaha, “ kya tum log maal se meri madad karna chahte ho? Jo kuch khuda ne mujhey de rakkha hai woh issey bahut zyada hai jo tumhein diya hai. Tumhara hadiya (gifts) tumhi ko mubarak rahey
Surah An-Naml, Verse 36
ٱرۡجِعۡ إِلَيۡهِمۡ فَلَنَأۡتِيَنَّهُم بِجُنُودٖ لَّا قِبَلَ لَهُم بِهَا وَلَنُخۡرِجَنَّهُم مِّنۡهَآ أَذِلَّةٗ وَهُمۡ صَٰغِرُونَ
aey safeer (envoy)]wapas jaa apne bhejne walon ki taraf, hum unpar aisey lashkar lekar aayenge jinka muqabla woh na kar sakenge, aur hum unhein aisi zillat ke saath wahan se nikalenge ke woh khwar hokar reh jayenge”
Surah An-Naml, Verse 37
قَالَ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلۡمَلَؤُاْ أَيُّكُمۡ يَأۡتِينِي بِعَرۡشِهَا قَبۡلَ أَن يَأۡتُونِي مُسۡلِمِينَ
Sulaiman ne kaha “aey ehle darbaar, tum mein se kaun uska takht (throne) mere paas laata hai qabl iske ke woh log mutii (farmabardaar) hokar mere paas haazir hoon?”
Surah An-Naml, Verse 38
قَالَ عِفۡرِيتٞ مِّنَ ٱلۡجِنِّ أَنَا۠ ءَاتِيكَ بِهِۦ قَبۡلَ أَن تَقُومَ مِن مَّقَامِكَۖ وَإِنِّي عَلَيۡهِ لَقَوِيٌّ أَمِينٞ
Jinno mein se ek qawi (mighty) haykal ne arz kiya “ main usey haazir kardunga qabl iske ke aap apni jagah se utthein. Main iski taaqat rakhta hoon aur amaanatdaar hoon”
Surah An-Naml, Verse 39
قَالَ ٱلَّذِي عِندَهُۥ عِلۡمٞ مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ أَنَا۠ ءَاتِيكَ بِهِۦ قَبۡلَ أَن يَرۡتَدَّ إِلَيۡكَ طَرۡفُكَۚ فَلَمَّا رَءَاهُ مُسۡتَقِرًّا عِندَهُۥ قَالَ هَٰذَا مِن فَضۡلِ رَبِّي لِيَبۡلُوَنِيٓ ءَأَشۡكُرُ أَمۡ أَكۡفُرُۖ وَمَن شَكَرَ فَإِنَّمَا يَشۡكُرُ لِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن كَفَرَ فَإِنَّ رَبِّي غَنِيّٞ كَرِيمٞ
Jis shaks ke paas kitaab ka ilam tha woh bola “main aapki palakh jhapakne se pehle usey laye deta hoon”. Junhi ke Sulaiman ne woh takht apne paas rakkha hua dekha, woh pukar uttha “Yeh mere Rub ka fazal hai taa-ke woh mujhey aazmaaye ke main shukar karta hoon ya kaafir e niyamat karta hoon. Aur jo koi shukar karta hai uska shukar uske apne hi liye mufeed hai, warna koi nashukari karey to mera Rubb be-niyaz aur apni zaat mein aap buzurg hai.”
Surah An-Naml, Verse 40
قَالَ نَكِّرُواْ لَهَا عَرۡشَهَا نَنظُرۡ أَتَهۡتَدِيٓ أَمۡ تَكُونُ مِنَ ٱلَّذِينَ لَا يَهۡتَدُونَ
Sulaiman ne kaha “anjaan tareeqe se uska takht uske saamne rakh do, dekhein woh saheeh baat tak pahunchti hai ya un logon mein se hai jo raah e raast nahin paatey.”
Surah An-Naml, Verse 41
فَلَمَّا جَآءَتۡ قِيلَ أَهَٰكَذَا عَرۡشُكِۖ قَالَتۡ كَأَنَّهُۥ هُوَۚ وَأُوتِينَا ٱلۡعِلۡمَ مِن قَبۡلِهَا وَكُنَّا مُسۡلِمِينَ
Malika jab haazir hui to ussey kaha gaya, kya tera takht (throne) aisa hi hai? Woh kehne lagi “yeh to goya wahi hai , hum to pehle hi jaan gaye thay aur humne sar-e-itaat jhuka diya tha (ya hum muslim ho chuke thay)”
Surah An-Naml, Verse 42
وَصَدَّهَا مَا كَانَت تَّعۡبُدُ مِن دُونِ ٱللَّهِۖ إِنَّهَا كَانَتۡ مِن قَوۡمٖ كَٰفِرِينَ
Usko (iman laney se) jis cheez ne rok rakkha tha woh un maboodon ki ibadat thi jinhein woh Allah ke siwa poojhti thi, kyunke woh ek kafir qaum se thi
Surah An-Naml, Verse 43
قِيلَ لَهَا ٱدۡخُلِي ٱلصَّرۡحَۖ فَلَمَّا رَأَتۡهُ حَسِبَتۡهُ لُجَّةٗ وَكَشَفَتۡ عَن سَاقَيۡهَاۚ قَالَ إِنَّهُۥ صَرۡحٞ مُّمَرَّدٞ مِّن قَوَارِيرَۗ قَالَتۡ رَبِّ إِنِّي ظَلَمۡتُ نَفۡسِي وَأَسۡلَمۡتُ مَعَ سُلَيۡمَٰنَ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Ussey kaha gaya ke mahal mein daakhil ho, usne jo dekha to samjhi ke pani ka hauz hai aur utarne ke liye usne apne painchey utha liye (tucked up her skirt) , Sulaiman ne kaha yeh sheeshey (glass) ka chikna farsh hai ispar woh pukar utthi “Aey mere Rubb, (aaj tak) main apne nafs par bada zulm karti rahi, aur ab maine Sulaiman ke saath Allah Rabbul aalameen ki itaat qabool karli”
Surah An-Naml, Verse 44
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَآ إِلَىٰ ثَمُودَ أَخَاهُمۡ صَٰلِحًا أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ فَإِذَا هُمۡ فَرِيقَانِ يَخۡتَصِمُونَ
Aur Samood ki taraf humne unke bhai Saleh ko (yeh paigaam de kar) bheja ke Allah ki bandagi karo, to yakayak woh do mutakhasim fareeq (two wrangling) ban gaye
Surah An-Naml, Verse 45
قَالَ يَٰقَوۡمِ لِمَ تَسۡتَعۡجِلُونَ بِٱلسَّيِّئَةِ قَبۡلَ ٱلۡحَسَنَةِۖ لَوۡلَا تَسۡتَغۡفِرُونَ ٱللَّهَ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
Saleh ne kaha “aey meri qaum ke logon, bhalayi se pehle burayi ke liye kyun jaldi machate ho? Kyun nahin Allah se magfirat talab karte? Shayad ke tumpar reham farmaya jaye?”
Surah An-Naml, Verse 46
قَالُواْ ٱطَّيَّرۡنَا بِكَ وَبِمَن مَّعَكَۚ قَالَ طَـٰٓئِرُكُمۡ عِندَ ٱللَّهِۖ بَلۡ أَنتُمۡ قَوۡمٞ تُفۡتَنُونَ
Unhon ne kaha “humne to tumko aur tumhare sathiyon ko badd-shaguni ka nishaan paya hai”. Saleh ne jawab diya “tumhare neik o badd shagun ka sar rishta (good and bad omens issue) Allah ke paas hai. Asal baat yeh hai ke tum logon ki aazmaish ho rahi hai”
Surah An-Naml, Verse 47
وَكَانَ فِي ٱلۡمَدِينَةِ تِسۡعَةُ رَهۡطٖ يُفۡسِدُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا يُصۡلِحُونَ
Us shehar mein naw (nine) jatthey-daar (ring-leaders) thay jo mulk mein fasaad phaylatey aur koi islaah ka kaam na karte thay
Surah An-Naml, Verse 48
قَالُواْ تَقَاسَمُواْ بِٱللَّهِ لَنُبَيِّتَنَّهُۥ وَأَهۡلَهُۥ ثُمَّ لَنَقُولَنَّ لِوَلِيِّهِۦ مَا شَهِدۡنَا مَهۡلِكَ أَهۡلِهِۦ وَإِنَّا لَصَٰدِقُونَ
Unhon ne aapas mein kaha “ khuda ki kasam kha kar ahad karlo ke hum Saleh aur uske ghar walon par shabkhun (secret night attack) marenge aur phir uske wali(guardian) se keh denge ke hum us khandaan ki halakat ke mauqe par maujood na thay, hum bilkul sach kehte hain
Surah An-Naml, Verse 49
وَمَكَرُواْ مَكۡرٗا وَمَكَرۡنَا مَكۡرٗا وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ
Yeh chaal to woh chale aur phir ek chaal humne chali jiski unhein khabar na thi
Surah An-Naml, Verse 50
فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ مَكۡرِهِمۡ أَنَّا دَمَّرۡنَٰهُمۡ وَقَوۡمَهُمۡ أَجۡمَعِينَ
Ab dekhlo ke unki chaal ka anjaam kya hua. Humne tabaah karke rakh diya unko aur unki poori qaum ko
Surah An-Naml, Verse 51
فَتِلۡكَ بُيُوتُهُمۡ خَاوِيَةَۢ بِمَا ظَلَمُوٓاْۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
Woh unke ghar khali padey hain us zulm ki padash mein jo woh karte thay, Is mein ek nishaan e ibrat hai un logon ke liye jo ilm rakhte hain
Surah An-Naml, Verse 52
وَأَنجَيۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَكَانُواْ يَتَّقُونَ
Aur bacha liya humne un logon ko jo iman laye thay aur nafarmani se parheiz karte thay
Surah An-Naml, Verse 53
وَلُوطًا إِذۡ قَالَ لِقَوۡمِهِۦٓ أَتَأۡتُونَ ٱلۡفَٰحِشَةَ وَأَنتُمۡ تُبۡصِرُونَ
Aur Lut ko humne bheja. Yaad karo woh waqt jab usne apni qaum se kaha “kya tum aankhon dekhte badhkari karte ho
Surah An-Naml, Verse 54
أَئِنَّكُمۡ لَتَأۡتُونَ ٱلرِّجَالَ شَهۡوَةٗ مِّن دُونِ ٱلنِّسَآءِۚ بَلۡ أَنتُمۡ قَوۡمٞ تَجۡهَلُونَ
Kya tumhara yahi chalan hai ke auraton ko chodh kar mardon ke paas shehwat-rani (sexual desire) ke liye jatey ho? Haqeeqat yeh hai ke tumlog sakht jahalat(ignorance) ka kaam karte ho.”
Surah An-Naml, Verse 55
۞فَمَا كَانَ جَوَابَ قَوۡمِهِۦٓ إِلَّآ أَن قَالُوٓاْ أَخۡرِجُوٓاْ ءَالَ لُوطٖ مِّن قَرۡيَتِكُمۡۖ إِنَّهُمۡ أُنَاسٞ يَتَطَهَّرُونَ
Magar uski qaum ka jawab iske siwa kuch na tha ke unhon ne kaha “ nikaal do Lut ke ghar walon ko apni basti se, yeh baday paakbaaz bante hain”
Surah An-Naml, Verse 56
فَأَنجَيۡنَٰهُ وَأَهۡلَهُۥٓ إِلَّا ٱمۡرَأَتَهُۥ قَدَّرۡنَٰهَا مِنَ ٱلۡغَٰبِرِينَ
Aakhir e kaar humne bacha liya usko aur uske ghar walon ko, bajuz uski biwi ke jiska peechey reh jana humne tai kardiya tha
Surah An-Naml, Verse 57
وَأَمۡطَرۡنَا عَلَيۡهِم مَّطَرٗاۖ فَسَآءَ مَطَرُ ٱلۡمُنذَرِينَ
Aur barsayi un logon par ek barsaat, bahut hi buri barsaat thi wo un logon ke haqq mein jo mutanabbeh kiye jaa chuke thay
Surah An-Naml, Verse 58
قُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ وَسَلَٰمٌ عَلَىٰ عِبَادِهِ ٱلَّذِينَ ٱصۡطَفَىٰٓۗ ءَآللَّهُ خَيۡرٌ أَمَّا يُشۡرِكُونَ
(Aey Nabi) kaho, hamd hai Allah ke liye aur salaam uske un bandon par jinhein usne barguzida kiya. (Insey pucho) Allah behtar hai ya woh mabood jinhein yeh log iska shareek bana rahey hain
Surah An-Naml, Verse 59
أَمَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَأَنزَلَ لَكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَنۢبَتۡنَا بِهِۦ حَدَآئِقَ ذَاتَ بَهۡجَةٖ مَّا كَانَ لَكُمۡ أَن تُنۢبِتُواْ شَجَرَهَآۗ أَءِلَٰهٞ مَّعَ ٱللَّهِۚ بَلۡ هُمۡ قَوۡمٞ يَعۡدِلُونَ
Bhala woh kaun hai jisne aasmano aur zameen ko paida kiya, aur tumhare liye aasmaan se pani barsaya, phir uske zariye se woh khusnuma baagh ugaye jinke darakhton ka ugana tumhare bas mein na tha? Kya Allah ke saath koi dusra khuda bhi (in kaamon mein shareek) hai? (Nahin), balke yahi log raah e raast se hatkar chale jaa rahe hain
Surah An-Naml, Verse 60
أَمَّن جَعَلَ ٱلۡأَرۡضَ قَرَارٗا وَجَعَلَ خِلَٰلَهَآ أَنۡهَٰرٗا وَجَعَلَ لَهَا رَوَٰسِيَ وَجَعَلَ بَيۡنَ ٱلۡبَحۡرَيۡنِ حَاجِزًاۗ أَءِلَٰهٞ مَّعَ ٱللَّهِۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Aur woh kaun hai jisne zameen ko jaye qaraar banaya aur uske andar dariya rawan kiye, aur usmein (pahadon ki) mekhein gaadh di aur pani ke do zakhiron(two bodies) ke darmiyan purda hayal kardiye? Kya Allah ke saath koi aur khuda bhi (in kaamon mein shareek) hai? Nahin, balke in mein se aksar log nadaan hain
Surah An-Naml, Verse 61
أَمَّن يُجِيبُ ٱلۡمُضۡطَرَّ إِذَا دَعَاهُ وَيَكۡشِفُ ٱلسُّوٓءَ وَيَجۡعَلُكُمۡ خُلَفَآءَ ٱلۡأَرۡضِۗ أَءِلَٰهٞ مَّعَ ٱللَّهِۚ قَلِيلٗا مَّا تَذَكَّرُونَ
Kaun hai jo bekarar ki dua sunta hai jabke woh usey pukare aur kaun uski takleef rafaa karta hai? Aur (kaun hai jo) tumhein zameen ka khalifa banata hai? Kya Allah ke saath koi aur khuda bhi (yeh kaam karne wala) hai? Tum log kam hi sochte ho
Surah An-Naml, Verse 62
أَمَّن يَهۡدِيكُمۡ فِي ظُلُمَٰتِ ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِ وَمَن يُرۡسِلُ ٱلرِّيَٰحَ بُشۡرَۢا بَيۡنَ يَدَيۡ رَحۡمَتِهِۦٓۗ أَءِلَٰهٞ مَّعَ ٱللَّهِۚ تَعَٰلَى ٱللَّهُ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
Aur woh kaun hai jo khushki aur samandar ki tareekiyon (darkness) mein tumko raasta dikhata hai aur kaun apni rehmat ke aagey hawaon ko khush khabri lekar bhejhta hai? Kya Allah ke saath koi dusra khuda bhi (yeh kaam karta) hai? Bahut baala o bartar hai Allah us shirk se jo yeh log karte hain
Surah An-Naml, Verse 63
أَمَّن يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥ وَمَن يَرۡزُقُكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِۗ أَءِلَٰهٞ مَّعَ ٱللَّهِۚ قُلۡ هَاتُواْ بُرۡهَٰنَكُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Aur woh kaun hai jo khalq (creation) ki ibtida (orignate) karta aur phir uska iaada (reproduce) karta hai. Aur kaun tumko aasmaan aur zameen se rizq deta hai? Kya Allah ke saath koi aur khuda bhi (in kaamon mein hissedar) hai? Kaho ke laao apni daleel agar tum sachhey ho
Surah An-Naml, Verse 64
قُل لَّا يَعۡلَمُ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ ٱلۡغَيۡبَ إِلَّا ٱللَّهُۚ وَمَا يَشۡعُرُونَ أَيَّانَ يُبۡعَثُونَ
Inse kaho, Allah ke siwa aasmano aur zameen mein koi gaib ka ilam nahin rakhta, aur woh nahin jaante ke kab woh uthaye jayenge
Surah An-Naml, Verse 65
بَلِ ٱدَّـٰرَكَ عِلۡمُهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِۚ بَلۡ هُمۡ فِي شَكّٖ مِّنۡهَاۖ بَلۡ هُم مِّنۡهَا عَمُونَ
Balke aakhirat ka to ilam hi in logon se ghum ho gaya hai, balke yeh uski taraf se shakk mein hain, balke yeh ussey andhey hain
Surah An-Naml, Verse 66
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَءِذَا كُنَّا تُرَٰبٗا وَءَابَآؤُنَآ أَئِنَّا لَمُخۡرَجُونَ
Yeh munkireen kehte hain “kya jab hum aur hamare baap dada mitti ho chuke honge to humein waqayi qabaron se nikala jayega?”
Surah An-Naml, Verse 67
لَقَدۡ وُعِدۡنَا هَٰذَا نَحۡنُ وَءَابَآؤُنَا مِن قَبۡلُ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Yeh khabrein humko bhi bahut di gayi hain aur pehle hamare aabaa o ajdaad ko bhi di jaati rahi hain, magar yeh bas afsane hi afsane hain jo agle waqton se sunte chale aa rahey hain”
Surah An-Naml, Verse 68
قُلۡ سِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
Kaho, zara zameen mein chal phir kar dekho ke mujreemo ka kya anjaam ho chuka hai
Surah An-Naml, Verse 69
وَلَا تَحۡزَنۡ عَلَيۡهِمۡ وَلَا تَكُن فِي ضَيۡقٖ مِّمَّا يَمۡكُرُونَ
(Aey Nabi), inke haal par ranjh na karo aur na inki chaalon par dil tangg ho
Surah An-Naml, Verse 70
وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Woh kehte hain ke “yeh dhamki kab poori hogi agar tum sacchey ho?”
Surah An-Naml, Verse 71
قُلۡ عَسَىٰٓ أَن يَكُونَ رَدِفَ لَكُم بَعۡضُ ٱلَّذِي تَسۡتَعۡجِلُونَ
Kaho, kya ajab ke jis azaab ke liye tum jaldi macha rahey ho uska ek hissa tumhare qareeb hi aa laga ho
Surah An-Naml, Verse 72
وَإِنَّ رَبَّكَ لَذُو فَضۡلٍ عَلَى ٱلنَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَشۡكُرُونَ
Haqeeqat yeh hai ke tera Rubb to logon par bada fazal farmane wala hai, magar aksar log shukar nahin karte
Surah An-Naml, Verse 73
وَإِنَّ رَبَّكَ لَيَعۡلَمُ مَا تُكِنُّ صُدُورُهُمۡ وَمَا يُعۡلِنُونَ
Bila shubha tera Rubb khoob jaanta hai jo kuch unke seenay apne andar chupaye huey hain aur jo kuch woh zaahir karte hain
Surah An-Naml, Verse 74
وَمَا مِنۡ غَآئِبَةٖ فِي ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِ إِلَّا فِي كِتَٰبٖ مُّبِينٍ
Aasmaan o zameen ki koi posheeda cheez aisi nahin hai jo ek wazeh kitaab mein likhi hui maujood na ho
Surah An-Naml, Verse 75
إِنَّ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانَ يَقُصُّ عَلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ أَكۡثَرَ ٱلَّذِي هُمۡ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ
Yeh waqia hai ke yeh Quraan bani Israel ko aksar un baaton ki haqeeqat batata hai jin mein woh ikhtilaf rakhte hain
Surah An-Naml, Verse 76
وَإِنَّهُۥ لَهُدٗى وَرَحۡمَةٞ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ
Aur yeh hidayat aur rehmat hai iman laney walon ke liye
Surah An-Naml, Verse 77
إِنَّ رَبَّكَ يَقۡضِي بَيۡنَهُم بِحُكۡمِهِۦۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡعَلِيمُ
Yaqeenan (isi tarah) tera Rubb in logon ke darmiyan bhi apne hukum se faisla kardega. Aur woh zabardast aur sab kuch jaan-nay wala hai
Surah An-Naml, Verse 78
فَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۖ إِنَّكَ عَلَى ٱلۡحَقِّ ٱلۡمُبِينِ
Pas aey Nabi, Allah par bharosa rakkho, yaqeenan tum sareeh haqq par ho
Surah An-Naml, Verse 79
إِنَّكَ لَا تُسۡمِعُ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَلَا تُسۡمِعُ ٱلصُّمَّ ٱلدُّعَآءَ إِذَا وَلَّوۡاْ مُدۡبِرِينَ
Tum murdon ko nahin suna sakte, na un behron tak apni pukar pahuncha sakte ho jo peeth phair kar bhaagey ja rahey hon
Surah An-Naml, Verse 80
وَمَآ أَنتَ بِهَٰدِي ٱلۡعُمۡيِ عَن ضَلَٰلَتِهِمۡۖ إِن تُسۡمِعُ إِلَّا مَن يُؤۡمِنُ بِـَٔايَٰتِنَا فَهُم مُّسۡلِمُونَ
Aur na andhon ko raasta bata kar bhatakne se bacha sakte ho. Tum to apni baat unhi logon ko suna sakte ho jo hamari aayat par iman latey hain aur phir farmabardaar ban jatey hain
Surah An-Naml, Verse 81
۞وَإِذَا وَقَعَ ٱلۡقَوۡلُ عَلَيۡهِمۡ أَخۡرَجۡنَا لَهُمۡ دَآبَّةٗ مِّنَ ٱلۡأَرۡضِ تُكَلِّمُهُمۡ أَنَّ ٱلنَّاسَ كَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا لَا يُوقِنُونَ
Aur jab hamari baat poori hone ka waqt unpar aa pahunchega to hum unke liye ek jaanwar zameen se nikalenge jo unse kalaam karega ke log hamari aayat par yaqeen nahin karte thay
Surah An-Naml, Verse 82
وَيَوۡمَ نَحۡشُرُ مِن كُلِّ أُمَّةٖ فَوۡجٗا مِّمَّن يُكَذِّبُ بِـَٔايَٰتِنَا فَهُمۡ يُوزَعُونَ
Aur zara tasavvur karo us din ka jab hum har ummat mein se ek fauj ki fauj un logon ki gher layenge jo hamari aayat ko jhutlaya karte thay, phir unko (unki aqsaam (classification and merit) ke lihaz se darja ba darja) murattab (arrange) kiya jayega
Surah An-Naml, Verse 83
حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُو قَالَ أَكَذَّبۡتُم بِـَٔايَٰتِي وَلَمۡ تُحِيطُواْ بِهَا عِلۡمًا أَمَّاذَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Yahan tak ke jab sab aa jayenge to (unka Rubb unse) puchega ke “tumne meri aayat ko jhutla diya halaanke tumne unka ilmi ihata (comprehend) na kiya tha? Agar yeh nahin to aur tum kya kar rahey thay?”
Surah An-Naml, Verse 84
وَوَقَعَ ٱلۡقَوۡلُ عَلَيۡهِم بِمَا ظَلَمُواْ فَهُمۡ لَا يَنطِقُونَ
Aur unke zulm ki wajah se azaab ka wada unpar poora ho jayega, tab woh kuch bhi na bol sakenge
Surah An-Naml, Verse 85
أَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا جَعَلۡنَا ٱلَّيۡلَ لِيَسۡكُنُواْ فِيهِ وَٱلنَّهَارَ مُبۡصِرًاۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Kya unko soojhayi na deta tha ke humne raat unke liye sukoon haasil karne ko banayi thi aur din ko roshan kiya tha? Isi mein bahut nishaniyan thi un logon ke liye jo iman latey thay
Surah An-Naml, Verse 86
وَيَوۡمَ يُنفَخُ فِي ٱلصُّورِ فَفَزِعَ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ إِلَّا مَن شَآءَ ٱللَّهُۚ وَكُلٌّ أَتَوۡهُ دَٰخِرِينَ
Aur kya guzregi us roz jabke sur/soor (trumphet) phunka jaayega aur haul(terror) kha jayenge woh sab jo aasmaano aur zameen mein hain, siwaye un logon ke jinhein Allah is haul(terror) se bachana chahega. Aur sab kaan dabaye uske huzoor hazir ho jayenge
Surah An-Naml, Verse 87
وَتَرَى ٱلۡجِبَالَ تَحۡسَبُهَا جَامِدَةٗ وَهِيَ تَمُرُّ مَرَّ ٱلسَّحَابِۚ صُنۡعَ ٱللَّهِ ٱلَّذِيٓ أَتۡقَنَ كُلَّ شَيۡءٍۚ إِنَّهُۥ خَبِيرُۢ بِمَا تَفۡعَلُونَ
Aaj tu pahadon ko dekhta hai aur samajhta hai ke khoob jamey huey hain, magar us waqt yeh baadalon ki tarah udh rahey honge, yeh Allah ki qudrat ka karishma hoga jisne har cheez ko hikmat ke saath ustwar (ordered with wisdom) kiya hai. Woh khoob jaanta hai ke tumlog kya karte ho
Surah An-Naml, Verse 88
مَن جَآءَ بِٱلۡحَسَنَةِ فَلَهُۥ خَيۡرٞ مِّنۡهَا وَهُم مِّن فَزَعٖ يَوۡمَئِذٍ ءَامِنُونَ
Jo shaks bhalayi lekar aayega usey ussey zyada behtar sila milega aur aisey log us din ke haul (terror/dehshat) se mehfooz hongey
Surah An-Naml, Verse 89
وَمَن جَآءَ بِٱلسَّيِّئَةِ فَكُبَّتۡ وُجُوهُهُمۡ فِي ٱلنَّارِ هَلۡ تُجۡزَوۡنَ إِلَّا مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Aur jo burayi liye huey aayega, aisey sab log aundhey mooh aag mein phenke jayenge. Kya tumlog iske siwa koi aur jaza paa sakte ho ke jaisa karo waisa bharo
Surah An-Naml, Verse 90
إِنَّمَآ أُمِرۡتُ أَنۡ أَعۡبُدَ رَبَّ هَٰذِهِ ٱلۡبَلۡدَةِ ٱلَّذِي حَرَّمَهَا وَلَهُۥ كُلُّ شَيۡءٖۖ وَأُمِرۡتُ أَنۡ أَكُونَ مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
(Aey Muhammad, Insey kaho) “Mujhey to yahi hukum diya gaya hai ke is shehar ke Rubb ki bandagi karoon jisne isey haram (sacred) banaya hai, aur jo har cheez ka maalik hai. Mujhey hukum diya gaya hai ke main Muslim ban kar rahoon
Surah An-Naml, Verse 91
وَأَنۡ أَتۡلُوَاْ ٱلۡقُرۡءَانَۖ فَمَنِ ٱهۡتَدَىٰ فَإِنَّمَا يَهۡتَدِي لِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن ضَلَّ فَقُلۡ إِنَّمَآ أَنَا۠ مِنَ ٱلۡمُنذِرِينَ
Aur yeh Quran padh kar sunaoon” ab jo hidayat ikhtiyar karega woh apne hi bhale ke liye hidayat ikhtiyar karega, aur jo gumraah ho ussey kehdo main to bas khabardaar kardene wala hoon
Surah An-Naml, Verse 92
وَقُلِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ سَيُرِيكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ فَتَعۡرِفُونَهَاۚ وَمَا رَبُّكَ بِغَٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
Insey kaho, tareef Allah hi ke liye hai, ankareeb woh tumhein apni nishaniyan dikha dega aur tum unhein pehchan logey, aur tera Rubb bay-khabar nahin hai un aamal se jo tum log karte ho
Surah An-Naml, Verse 93