Surah Al-Ahzab Verse 19 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Ahzabأَشِحَّةً عَلَيۡكُمۡۖ فَإِذَا جَآءَ ٱلۡخَوۡفُ رَأَيۡتَهُمۡ يَنظُرُونَ إِلَيۡكَ تَدُورُ أَعۡيُنُهُمۡ كَٱلَّذِي يُغۡشَىٰ عَلَيۡهِ مِنَ ٱلۡمَوۡتِۖ فَإِذَا ذَهَبَ ٱلۡخَوۡفُ سَلَقُوكُم بِأَلۡسِنَةٍ حِدَادٍ أَشِحَّةً عَلَى ٱلۡخَيۡرِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ لَمۡ يُؤۡمِنُواْ فَأَحۡبَطَ ٱللَّهُ أَعۡمَٰلَهُمۡۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٗا
Jo tumhara saath dene mein sakht bakheel hain. Khatre ka waqt aa jaye to is tarah deedhey phira phira kar tumhari taraf dekhte hain jaise kisi marne wale par gashi taari ho rahi ho. Magar jab khatra guzar jata hai to yahi log faiydon ke harees bankar kainchi ki tarah (scissor-like) chalti hui zubaane liye tumhare isteqbal ko aa jatey hain. Yeh log hargiz iman nahin laye, isi liye Allah ne inke sarey aamal zaya kardiye. Aur aisa karna Allah ke liye bahut asaan hai