Surah Al-Ahzab Verse 4 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Ahzabمَّا جَعَلَ ٱللَّهُ لِرَجُلٖ مِّن قَلۡبَيۡنِ فِي جَوۡفِهِۦۚ وَمَا جَعَلَ أَزۡوَٰجَكُمُ ٱلَّـٰٓـِٔي تُظَٰهِرُونَ مِنۡهُنَّ أُمَّهَٰتِكُمۡۚ وَمَا جَعَلَ أَدۡعِيَآءَكُمۡ أَبۡنَآءَكُمۡۚ ذَٰلِكُمۡ قَوۡلُكُم بِأَفۡوَٰهِكُمۡۖ وَٱللَّهُ يَقُولُ ٱلۡحَقَّ وَهُوَ يَهۡدِي ٱلسَّبِيلَ
Allah ne kisi shaks (Mard) ke dhadh (jism/body) mein do dil nahin rakkhey hain, na usne tum logon ki un biwiyon ko jinse tum zihaar [whom you compare to your mothers’ backs (to divorce them)] karte ho tumhari Maa bana diya hai, aur na usne tumhare mooh bole beton ko tumhara haqiqi beta banaya hai. Yeh to woh baatein hain jo tumlog apne mooh se nikal dete ho, magar Allah woh baat kehta hai jo mabni bar haqeeqat hai. Aur wahi saheeh tareeqe ki taraf rehnumayi karta hai