Surah Al-Ahzab Verse 6 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Ahzabٱلنَّبِيُّ أَوۡلَىٰ بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ مِنۡ أَنفُسِهِمۡۖ وَأَزۡوَٰجُهُۥٓ أُمَّهَٰتُهُمۡۗ وَأُوْلُواْ ٱلۡأَرۡحَامِ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلَىٰ بِبَعۡضٖ فِي كِتَٰبِ ٱللَّهِ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُهَٰجِرِينَ إِلَّآ أَن تَفۡعَلُوٓاْ إِلَىٰٓ أَوۡلِيَآئِكُم مَّعۡرُوفٗاۚ كَانَ ذَٰلِكَ فِي ٱلۡكِتَٰبِ مَسۡطُورٗا
paighambar momino par khud un se bhi zyaada haq rakhne waale hai aur paighambar ki biwiya momino ki maaye hai, aur rishtedaar kitaabullah ki ro se ba-nisbath dosre momino aur muhaajiro ke aapas mein zyaada haqdaar hai (haan) magar ye ke tum apne dosto ke saath husn sulook karna chaaho, ye hukm kitaab (ilaahi) mein likha hoa hai