Surah Ghafir Verse 77 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Ghafirفَٱصۡبِرۡ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞۚ فَإِمَّا نُرِيَنَّكَ بَعۡضَ ٱلَّذِي نَعِدُهُمۡ أَوۡ نَتَوَفَّيَنَّكَ فَإِلَيۡنَا يُرۡجَعُونَ
Pas aey Nabi, sabr karo Allah ka wada barhaqq hai. Ab khwa hum tumhare saamne hi inko un buray nataij ka koi hissa dikha dein jinse hum inhein dara rahey hain, ya (ussey pehle) tumhein duniya se utha lein, palat kar aana to inhein hamari hi taraf hai