Surah Ghafir - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
حمٓ
Haa Meem
Surah Ghafir, Verse 1
تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ مِنَ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡعَلِيمِ
Is kitaab ka nuzul Allah ki taraf se hai jo zabardast hai, sab kuch jaanne wala hai
Surah Ghafir, Verse 2
غَافِرِ ٱلذَّنۢبِ وَقَابِلِ ٱلتَّوۡبِ شَدِيدِ ٱلۡعِقَابِ ذِي ٱلطَّوۡلِۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ إِلَيۡهِ ٱلۡمَصِيرُ
Gunaah maaf karne wala aur tauba qabool karne wala hai, sakht saza dene wala aur bada sahib e fazal hai. Koi mabood uske siwa nahin, usi ki taraf sabko palatna hai
Surah Ghafir, Verse 3
مَا يُجَٰدِلُ فِيٓ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ إِلَّا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَلَا يَغۡرُرۡكَ تَقَلُّبُهُمۡ فِي ٱلۡبِلَٰدِ
Allah ki aayat mein jhagde nahin karte magar sirf woh log jinhon ne kufr kiya hai. Iske baad duniya ke mulkon mein unki chalat phirat tumhein kisi dhoke mein na daale
Surah Ghafir, Verse 4
كَذَّبَتۡ قَبۡلَهُمۡ قَوۡمُ نُوحٖ وَٱلۡأَحۡزَابُ مِنۢ بَعۡدِهِمۡۖ وَهَمَّتۡ كُلُّ أُمَّةِۭ بِرَسُولِهِمۡ لِيَأۡخُذُوهُۖ وَجَٰدَلُواْ بِٱلۡبَٰطِلِ لِيُدۡحِضُواْ بِهِ ٱلۡحَقَّ فَأَخَذۡتُهُمۡۖ فَكَيۡفَ كَانَ عِقَابِ
Insey pehle Nooh ki qaum bhi jhutla chuki hai, aur uske baad bahut se dusre jatthon (groups) ne bhi yeh kaam kiya hai. Har qaum apne Rasool par jhapti taa-ke usey giraftar karey, un sab ne baatil ke hatyaaron se haqq ko neecha dikhane ki koshish ki. Magar aakhir e kaar maine unko pakad liya, phir dekhlo ke meri saza kaisi sakht thi
Surah Ghafir, Verse 5
وَكَذَٰلِكَ حَقَّتۡ كَلِمَتُ رَبِّكَ عَلَى ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَنَّهُمۡ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِ
Isi tarah tere Rubb ka yeh faisla bhi un sab logon par chaspan ho chukka hai jo kufr ke murtakib huey hain ke woh wasil-ba-jahannum honay waley hain
Surah Ghafir, Verse 6
ٱلَّذِينَ يَحۡمِلُونَ ٱلۡعَرۡشَ وَمَنۡ حَوۡلَهُۥ يُسَبِّحُونَ بِحَمۡدِ رَبِّهِمۡ وَيُؤۡمِنُونَ بِهِۦ وَيَسۡتَغۡفِرُونَ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْۖ رَبَّنَا وَسِعۡتَ كُلَّ شَيۡءٖ رَّحۡمَةٗ وَعِلۡمٗا فَٱغۡفِرۡ لِلَّذِينَ تَابُواْ وَٱتَّبَعُواْ سَبِيلَكَ وَقِهِمۡ عَذَابَ ٱلۡجَحِيمِ
Arsh e ilahi ke haamil farishtey aur woh jo arsh ke gird o pesh haazir rehte hain, sab apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh kar rahey hain, woh uspar imaan rakhte hain aur imaan laney walon ke haqq mein dua e magfirat karte hain, woh kehte hain : “Aey hamare Rubb, tu apni rehmat aur apne ilm ke saath har cheez par chaya hua hai, pas maaf karde aur azaab e dozakh se bacha ley un logon ko jinhon ne tauba ki hai aur tera raasta ikhtiyar karliya hai
Surah Ghafir, Verse 7
رَبَّنَا وَأَدۡخِلۡهُمۡ جَنَّـٰتِ عَدۡنٍ ٱلَّتِي وَعَدتَّهُمۡ وَمَن صَلَحَ مِنۡ ءَابَآئِهِمۡ وَأَزۡوَٰجِهِمۡ وَذُرِّيَّـٰتِهِمۡۚ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Aey hamare Rubb, aur daakhil kar unko hamesha rehne wali un jannaton mein jinka tu ne unsey waada kiya hai, aur unke waldain aur biwiyon aur aulad mein se jo saleh (righteous) hon (unko bhi wahan unke saath pahuncha de). Tu bila shubah qadir e multaq (Most Mighty) aur hakeem(most wise) hai
Surah Ghafir, Verse 8
وَقِهِمُ ٱلسَّيِّـَٔاتِۚ وَمَن تَقِ ٱلسَّيِّـَٔاتِ يَوۡمَئِذٖ فَقَدۡ رَحِمۡتَهُۥۚ وَذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Aur bacha de unko buraiyon se. Jisko tu nay qayamat ke din buraiyon se bacha diya uspar tu nay bada reham kiya. Yahi badi kamiyabi hai
Surah Ghafir, Verse 9
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يُنَادَوۡنَ لَمَقۡتُ ٱللَّهِ أَكۡبَرُ مِن مَّقۡتِكُمۡ أَنفُسَكُمۡ إِذۡ تُدۡعَوۡنَ إِلَى ٱلۡإِيمَٰنِ فَتَكۡفُرُونَ
Jin logon ne kufr kiya hai, qayamat ke roz unko pukaar kar kaha jayega “Aaj tumhein jitna shadeed gussa apne upar aa raha hai , Allah tumpar ussey zyada gazabnaak us waqt hota tha jab tumhein imaan ki taraf bulaya jata tha aur tum kufr karte thay”
Surah Ghafir, Verse 10
قَالُواْ رَبَّنَآ أَمَتَّنَا ٱثۡنَتَيۡنِ وَأَحۡيَيۡتَنَا ٱثۡنَتَيۡنِ فَٱعۡتَرَفۡنَا بِذُنُوبِنَا فَهَلۡ إِلَىٰ خُرُوجٖ مِّن سَبِيلٖ
Woh kahenge “Aey hamare Rubb, tu nay waqayi humein do dafa maut aur do dafa zindagi dedi. Ab hum apne kasooron ka aitraaf karte hain.Kya ab yahan se nikalne ki bhi koi sabeel hai?”
Surah Ghafir, Verse 11
ذَٰلِكُم بِأَنَّهُۥٓ إِذَا دُعِيَ ٱللَّهُ وَحۡدَهُۥ كَفَرۡتُمۡ وَإِن يُشۡرَكۡ بِهِۦ تُؤۡمِنُواْۚ فَٱلۡحُكۡمُ لِلَّهِ ٱلۡعَلِيِّ ٱلۡكَبِيرِ
(jawab milega) “yeh halat jismein tum mubtala ho, is wajah se hai ke jab akele Allah ki taraf bulaya jata tha to tum manne se inkar kar detay thay aur jab uske saath dusron ko milaya jata tha to tum maan letay thay. Ab faisla Allah buzurg o bartar ke haath hai”
Surah Ghafir, Verse 12
هُوَ ٱلَّذِي يُرِيكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ وَيُنَزِّلُ لَكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ رِزۡقٗاۚ وَمَا يَتَذَكَّرُ إِلَّا مَن يُنِيبُ
Wahi hai jo tumko apni nishaniyan dikhata hai aur aasmaan se tumhare liye rizq naazil karta hai, magar ( in nihsaniyon ke mushahidey se)sabaq sirf wahi shaks leta hai jo Allah ki taraf rujoo karne wala ho
Surah Ghafir, Verse 13
فَٱدۡعُواْ ٱللَّهَ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡكَٰفِرُونَ
(pas aey rujoo karne walon) Allah hi ko pukaro apne deen ko uske liye khaalis karke, khwah tumhara yeh fail(kaam/amal) kaafiron ko kitna hi nagawaar ho
Surah Ghafir, Verse 14
رَفِيعُ ٱلدَّرَجَٰتِ ذُو ٱلۡعَرۡشِ يُلۡقِي ٱلرُّوحَ مِنۡ أَمۡرِهِۦ عَلَىٰ مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦ لِيُنذِرَ يَوۡمَ ٱلتَّلَاقِ
Woh buland darajon wala, Maalik e Arsh hai apne bandon mein se jispar chahta hai apne hukum se rooh nazil kar deta hai taa-ke woh mulaqat ke din se khabardar karde
Surah Ghafir, Verse 15
يَوۡمَ هُم بَٰرِزُونَۖ لَا يَخۡفَىٰ عَلَى ٱللَّهِ مِنۡهُمۡ شَيۡءٞۚ لِّمَنِ ٱلۡمُلۡكُ ٱلۡيَوۡمَۖ لِلَّهِ ٱلۡوَٰحِدِ ٱلۡقَهَّارِ
Woh din jabke sab log bay purdah hongey, Allah se unki koi baat bhi chupi hui na hogi ( us roz pukar kar poochca jayega) aaj baadshahi kiski hai? (saara aalam pukar utthega) Allah waahid-e-qahhar (the One the Overpowering) ki
Surah Ghafir, Verse 16
ٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَىٰ كُلُّ نَفۡسِۭ بِمَا كَسَبَتۡۚ لَا ظُلۡمَ ٱلۡيَوۡمَۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
(Kaha jayega) aaj har mutanaffis ko us kamayi ka badla diya jayega jo usne ki thi. Aaj kisi par koi zulm na hoga aur Allah hisaab lene mein bahut teiz hai
Surah Ghafir, Verse 17
وَأَنذِرۡهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡأٓزِفَةِ إِذِ ٱلۡقُلُوبُ لَدَى ٱلۡحَنَاجِرِ كَٰظِمِينَۚ مَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِنۡ حَمِيمٖ وَلَا شَفِيعٖ يُطَاعُ
(Aey Nabi) dara do in logon ko usdin se jo qareeb aa laga hai, jab kalijey (livers) mooh ko aa rahe hongey aur log chup chaap gham ke ghoont peay khaday hongey. Zaalimon ka na koi mushfiq dost hoga aur na koi shafee jiski baat maani jaye
Surah Ghafir, Verse 18
يَعۡلَمُ خَآئِنَةَ ٱلۡأَعۡيُنِ وَمَا تُخۡفِي ٱلصُّدُورُ
Allah nigahon ki chori tak se waaqif hai aur woh raaz tak jaanta hai jo seeno ne chupa rakhe hain
Surah Ghafir, Verse 19
وَٱللَّهُ يَقۡضِي بِٱلۡحَقِّۖ وَٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ لَا يَقۡضُونَ بِشَيۡءٍۗ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡبَصِيرُ
Aur Allah theek theek bay-laag(with justice) faisla karega .Rahey woh jinko ( yeh mushrikeen) Allah ko chodh kar pukarte hain, woh kisi cheez ka bhi faisla karne waley nahin hain. Bila shubah Allah hi sabkuch sunney aur dekhne wala hai
Surah Ghafir, Verse 20
۞أَوَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ كَانُواْ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَانُواْ هُمۡ أَشَدَّ مِنۡهُمۡ قُوَّةٗ وَءَاثَارٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ فَأَخَذَهُمُ ٱللَّهُ بِذُنُوبِهِمۡ وَمَا كَانَ لَهُم مِّنَ ٱللَّهِ مِن وَاقٖ
Kya yeh log kabhi zameen mein chaley phiray nahin hain ke inhein un logon ka anjaam nazar aata jo insey pehle guzar chuke hain? Woh insey zyada taaqatwar thay aur insey zyada zabardast aasaar zameen mein chodh gaye hain. Magar Allah ne unke gunahon par unhein pakad liya aur unko Allah se bachane wala koi na tha
Surah Ghafir, Verse 21
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَانَت تَّأۡتِيهِمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَكَفَرُواْ فَأَخَذَهُمُ ٱللَّهُۚ إِنَّهُۥ قَوِيّٞ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Yeh unka anjaam is liye hua ke unke paas unke
Surah Ghafir, Verse 22
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا مُوسَىٰ بِـَٔايَٰتِنَا وَسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٍ
Humne Moosa ko
Surah Ghafir, Verse 23
إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَهَٰمَٰنَ وَقَٰرُونَ فَقَالُواْ سَٰحِرٞ كَذَّابٞ
Firoun aur Haaman aur Qaroon ki taraf apni nishaniyon aur numaya sanad-e-maamoriyat ke saath bheja. Magar unhon ne kaha “ saahir(jaadugar) hai, kazzab(jhoota) hai”
Surah Ghafir, Verse 24
فَلَمَّا جَآءَهُم بِٱلۡحَقِّ مِنۡ عِندِنَا قَالُواْ ٱقۡتُلُوٓاْ أَبۡنَآءَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَهُۥ وَٱسۡتَحۡيُواْ نِسَآءَهُمۡۚ وَمَا كَيۡدُ ٱلۡكَٰفِرِينَ إِلَّا فِي ضَلَٰلٖ
Phir jab woh hamari taraf se haqq unke saamne ley aaya to unhon ne kaha “jo log imaan laa kar iske saath shamil huey hain in sabke ladkon ko qatal karo aur ladkiyon ko jeeta (zinda) chodh do”. Magar kaafiron ki chaal akarat (vain) hi gayi
Surah Ghafir, Verse 25
وَقَالَ فِرۡعَوۡنُ ذَرُونِيٓ أَقۡتُلۡ مُوسَىٰ وَلۡيَدۡعُ رَبَّهُۥٓۖ إِنِّيٓ أَخَافُ أَن يُبَدِّلَ دِينَكُمۡ أَوۡ أَن يُظۡهِرَ فِي ٱلۡأَرۡضِ ٱلۡفَسَادَ
Ek roz Firoun ne apne darbariyon se kaha “chodo mujhey main is Moosa ko qatal kiye deta hoon, aur pukar dekhe yeh apne Rubb ko.Mujhey andesha hai ke yeh tumhara deen badal daalega, ya mulk mein fasaad barpa karega”
Surah Ghafir, Verse 26
وَقَالَ مُوسَىٰٓ إِنِّي عُذۡتُ بِرَبِّي وَرَبِّكُم مِّن كُلِّ مُتَكَبِّرٖ لَّا يُؤۡمِنُ بِيَوۡمِ ٱلۡحِسَابِ
Moosa ne kaha “maine to har us mutakabbir (ghamandi) ke muqable mein jo yaum ul hisaab par imaan nahin rakhta apne Rubb aur tumhare Rubb ki panaah ley li hai”
Surah Ghafir, Verse 27
وَقَالَ رَجُلٞ مُّؤۡمِنٞ مِّنۡ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ يَكۡتُمُ إِيمَٰنَهُۥٓ أَتَقۡتُلُونَ رَجُلًا أَن يَقُولَ رَبِّيَ ٱللَّهُ وَقَدۡ جَآءَكُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ مِن رَّبِّكُمۡۖ وَإِن يَكُ كَٰذِبٗا فَعَلَيۡهِ كَذِبُهُۥۖ وَإِن يَكُ صَادِقٗا يُصِبۡكُم بَعۡضُ ٱلَّذِي يَعِدُكُمۡۖ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي مَنۡ هُوَ مُسۡرِفٞ كَذَّابٞ
Is mauqe par aale Firoun mein se ek momin shaks, jo apna imaan chupaye huey tha, bol utha: “Kya tum ek shaks ko sirf is bina par qatal kardoge ke woh kehta hai mera Rubb Allah hai? Halaanke woh tumhare Rubb ki taraf se tumhare paas bayyinat le aaya, agar woh jhoota hai to uska jhoot khud usi par palat padega, lekin agar woh saccha hai to jin haulnaak nataij ka woh tumko khauff dilata hai unmein se kuch to tumpar zaroor hi aa jayenge. Allah kisi aise shaks ko hidayat nahin deta jo hadd se guzar janey wala aur kazzab (jhoota) ho
Surah Ghafir, Verse 28
يَٰقَوۡمِ لَكُمُ ٱلۡمُلۡكُ ٱلۡيَوۡمَ ظَٰهِرِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَمَن يَنصُرُنَا مِنۢ بَأۡسِ ٱللَّهِ إِن جَآءَنَاۚ قَالَ فِرۡعَوۡنُ مَآ أُرِيكُمۡ إِلَّا مَآ أَرَىٰ وَمَآ أَهۡدِيكُمۡ إِلَّا سَبِيلَ ٱلرَّشَادِ
Aey meri qaum ke logon! Aaj tumhein baadshahi hasil hai aur zameen mein tum gaalib ho, lekin agar khuda ka azaab humpar aa gaya to phir kaun hai jo hamari madad kar sakega?” Firoun ne kaha “Main to tum logon ko wahi rai dey raha hoon jo mujhey munasib nazar aati hai aur main usi raaste ki taraf tumhari rehnumayi karta hoon jo theek hai”
Surah Ghafir, Verse 29
وَقَالَ ٱلَّذِيٓ ءَامَنَ يَٰقَوۡمِ إِنِّيٓ أَخَافُ عَلَيۡكُم مِّثۡلَ يَوۡمِ ٱلۡأَحۡزَابِ
Woh shaks jo imaan laaya tha usne kaha “Aey meri qaum ke logon, Mujhey khauf hai ke kahin tumpar bhi woh din na aa jaaye jo issey pehle bahut se jatthon (parties) par aa chuka hai
Surah Ghafir, Verse 30
مِثۡلَ دَأۡبِ قَوۡمِ نُوحٖ وَعَادٖ وَثَمُودَ وَٱلَّذِينَ مِنۢ بَعۡدِهِمۡۚ وَمَا ٱللَّهُ يُرِيدُ ظُلۡمٗا لِّلۡعِبَادِ
Jaisa din qaum e Nooh aur Aad aur Samood, aur unke baad waali qaumon par aaya tha. Aur yeh haqeeqat hai ke Allah apne bandon par zulm ka koi irada nahin rakhta
Surah Ghafir, Verse 31
وَيَٰقَوۡمِ إِنِّيٓ أَخَافُ عَلَيۡكُمۡ يَوۡمَ ٱلتَّنَادِ
Aey Qaum, mujhey darr hai ke kahin tumpar fariyad o fugaan ka din (day of calling) na aa jaaye
Surah Ghafir, Verse 32
يَوۡمَ تُوَلُّونَ مُدۡبِرِينَ مَا لَكُم مِّنَ ٱللَّهِ مِنۡ عَاصِمٖۗ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِنۡ هَادٖ
Jab tum ek dusre ko pukaroge aur bhaagay bhaagay phirogey, magar us waqt Allah se bachane wala koi na hoga.Sach yeh hai ke jisey Allah bhatka dey usey phir koi raasta dikhane wala nahin hota
Surah Ghafir, Verse 33
وَلَقَدۡ جَآءَكُمۡ يُوسُفُ مِن قَبۡلُ بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَمَا زِلۡتُمۡ فِي شَكّٖ مِّمَّا جَآءَكُم بِهِۦۖ حَتَّىٰٓ إِذَا هَلَكَ قُلۡتُمۡ لَن يَبۡعَثَ ٱللَّهُ مِنۢ بَعۡدِهِۦ رَسُولٗاۚ كَذَٰلِكَ يُضِلُّ ٱللَّهُ مَنۡ هُوَ مُسۡرِفٞ مُّرۡتَابٌ
Issey pehle Yusuf tumhare paas bayyinat lekar aaye thay magar tum unki layi hui taleem ki taraf se shakk hi mein paday rahey. Phir jab unka inteqal ho gaya to tumne kaha ab unke baad Allah koi Rasool hargiz na bhejega.” Isi taraah Allah un sab logon ko gumraahi mein daal deta hai jo hadd se guzarne waale aur shakki(doubting) hotey hain
Surah Ghafir, Verse 34
ٱلَّذِينَ يُجَٰدِلُونَ فِيٓ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ بِغَيۡرِ سُلۡطَٰنٍ أَتَىٰهُمۡۖ كَبُرَ مَقۡتًا عِندَ ٱللَّهِ وَعِندَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۚ كَذَٰلِكَ يَطۡبَعُ ٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ قَلۡبِ مُتَكَبِّرٖ جَبَّارٖ
Aur Allah ki aayat mein jhagade karte hain bagair iske ke unke paas koi sanad ya daleel aayi ho.Yeh rawayya Allah aur imaan laney walon ke nazdeek sakht mabguz (na-pasand) hai.Isi tarah Allah har mutakabbir o Jabbar ke dil par thappa laga deta hai
Surah Ghafir, Verse 35
وَقَالَ فِرۡعَوۡنُ يَٰهَٰمَٰنُ ٱبۡنِ لِي صَرۡحٗا لَّعَلِّيٓ أَبۡلُغُ ٱلۡأَسۡبَٰبَ
Firoun ne kaha “Aey Haamaan, mere liye ek buland imarat bana taa-ke main raaston tak pahuch sakun
Surah Ghafir, Verse 36
أَسۡبَٰبَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ فَأَطَّلِعَ إِلَىٰٓ إِلَٰهِ مُوسَىٰ وَإِنِّي لَأَظُنُّهُۥ كَٰذِبٗاۚ وَكَذَٰلِكَ زُيِّنَ لِفِرۡعَوۡنَ سُوٓءُ عَمَلِهِۦ وَصُدَّ عَنِ ٱلسَّبِيلِۚ وَمَا كَيۡدُ فِرۡعَوۡنَ إِلَّا فِي تَبَابٖ
Aasmaano ke raaston tak, aur Moosa ke khuda ko jhaank kar dekhun.Mujhey to yeh Moosa jhoota hi maloom hota hai.” Is tarah Firoun ke liye uski badh-amali khushnuma bana di gayi aur woh raah e raast se roak diya gaya. Firoun ki saari chaalbaazi (uski apni) tabahi ke raaste hi mein sarf (use/istemal) hui
Surah Ghafir, Verse 37
وَقَالَ ٱلَّذِيٓ ءَامَنَ يَٰقَوۡمِ ٱتَّبِعُونِ أَهۡدِكُمۡ سَبِيلَ ٱلرَّشَادِ
Woh shaks jo imaan laya tha bola “ Aey meri qaum ke logon, meri baat maano, main tumhein saheeh raasta batata hoon
Surah Ghafir, Verse 38
يَٰقَوۡمِ إِنَّمَا هَٰذِهِ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا مَتَٰعٞ وَإِنَّ ٱلۡأٓخِرَةَ هِيَ دَارُ ٱلۡقَرَارِ
Aey qaum, yeh duniya ki zindagi to chand roza hai, hamesha ke liye qayam (permanent abode) ki jagah aakhirat hi hai
Surah Ghafir, Verse 39
مَنۡ عَمِلَ سَيِّئَةٗ فَلَا يُجۡزَىٰٓ إِلَّا مِثۡلَهَاۖ وَمَنۡ عَمِلَ صَٰلِحٗا مِّن ذَكَرٍ أَوۡ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَأُوْلَـٰٓئِكَ يَدۡخُلُونَ ٱلۡجَنَّةَ يُرۡزَقُونَ فِيهَا بِغَيۡرِ حِسَابٖ
Jo burayi karega usko utna hi badla milega jitni usne burayi ki hogi aur jo neik amal karega, khwah woh mard ho ya aurat, bashart ye ke ho woh momin, aise sab log jannat mein daakhil hongey jahan unko bay hisaab rizq diya jayega
Surah Ghafir, Verse 40
۞وَيَٰقَوۡمِ مَا لِيٓ أَدۡعُوكُمۡ إِلَى ٱلنَّجَوٰةِ وَتَدۡعُونَنِيٓ إِلَى ٱلنَّارِ
Aey qaum, aakhir yeh kya maajra hai ke mai to tum logon ko nijaat (salvation) ki taraf bulata hoon aur tumlog mujhey aag ki taraf dawat detey ho
Surah Ghafir, Verse 41
تَدۡعُونَنِي لِأَكۡفُرَ بِٱللَّهِ وَأُشۡرِكَ بِهِۦ مَا لَيۡسَ لِي بِهِۦ عِلۡمٞ وَأَنَا۠ أَدۡعُوكُمۡ إِلَى ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡغَفَّـٰرِ
Tum mujhey is baat ki dawat detey ho ke main Allah se kufr karoon aur uske saath un hastiyon ko shareek thehraun jinhein main nahin jaanta Halaanke main tumhein us zabardast magfirat karne wale khuda ki taraf bula raha hoon
Surah Ghafir, Verse 42
لَا جَرَمَ أَنَّمَا تَدۡعُونَنِيٓ إِلَيۡهِ لَيۡسَ لَهُۥ دَعۡوَةٞ فِي ٱلدُّنۡيَا وَلَا فِي ٱلۡأٓخِرَةِ وَأَنَّ مَرَدَّنَآ إِلَى ٱللَّهِ وَأَنَّ ٱلۡمُسۡرِفِينَ هُمۡ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِ
Nahin, haqq yeh hai aur iske khilaf nahin ho sakta ke jinki taraf tum mujhey bula rahey ho unke liye na duniya mein koi dawat hai na aakhirat mein, aur hum sabko palatna Allah hi ki taraf hai, aur hadd se guzarne waley aag mein janey waley hain
Surah Ghafir, Verse 43
فَسَتَذۡكُرُونَ مَآ أَقُولُ لَكُمۡۚ وَأُفَوِّضُ أَمۡرِيٓ إِلَى ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ بَصِيرُۢ بِٱلۡعِبَادِ
Aaj jo kuch main keh raha hoon , anqareeb woh waqt aayega jab tum usey yaad karogey aur apna maamla main Allah ke supurd karta hoon, woh apne bandon ka nigehbaan hai”
Surah Ghafir, Verse 44
فَوَقَىٰهُ ٱللَّهُ سَيِّـَٔاتِ مَا مَكَرُواْۖ وَحَاقَ بِـَٔالِ فِرۡعَوۡنَ سُوٓءُ ٱلۡعَذَابِ
Aakhir e kaar un logon ne jo buri se buri chalein us momin ke khilaf chalin, Allah ne un sabse usko bacha liya, aur Firoun ke saathi khud badtareen azaab ke pher mein aa gaye
Surah Ghafir, Verse 45
ٱلنَّارُ يُعۡرَضُونَ عَلَيۡهَا غُدُوّٗا وَعَشِيّٗاۚ وَيَوۡمَ تَقُومُ ٱلسَّاعَةُ أَدۡخِلُوٓاْ ءَالَ فِرۡعَوۡنَ أَشَدَّ ٱلۡعَذَابِ
Dozakh ki aag hai jiske saamney subah o shaam woh pesh kiye jaate hain, aur jab qayamat ki ghadi aa jayegi to hukum hoga ke aale Firoun ko shadeed-tarr azaab mein daakhil karo
Surah Ghafir, Verse 46
وَإِذۡ يَتَحَآجُّونَ فِي ٱلنَّارِ فَيَقُولُ ٱلضُّعَفَـٰٓؤُاْ لِلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُوٓاْ إِنَّا كُنَّا لَكُمۡ تَبَعٗا فَهَلۡ أَنتُم مُّغۡنُونَ عَنَّا نَصِيبٗا مِّنَ ٱلنَّارِ
Phir zara khayal karo us waqt ka jab yeh log dozakh mein ek dusre se jhagad rahey hongey. Duniya mein jo log kamzoar thay woh badey ban-ney walon se kahenge ke “hum tumhare tabey(followers) thay, ab kya yahan tum naar-e-jahannum (hell fire) ki takleef ke kuch hissey se humko bacha logey
Surah Ghafir, Verse 47
قَالَ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُوٓاْ إِنَّا كُلّٞ فِيهَآ إِنَّ ٱللَّهَ قَدۡ حَكَمَ بَيۡنَ ٱلۡعِبَادِ
Woh badey bannay waley jawab dengey “ hum sab yahan ek haal mein hain,aur Allah bandon ke darmiyan faisla kar chuka hai”
Surah Ghafir, Verse 48
وَقَالَ ٱلَّذِينَ فِي ٱلنَّارِ لِخَزَنَةِ جَهَنَّمَ ٱدۡعُواْ رَبَّكُمۡ يُخَفِّفۡ عَنَّا يَوۡمٗا مِّنَ ٱلۡعَذَابِ
Phir yeh dozakh mein padey huey log jahannum ke ahal-kaaroon (keepers of Hell) se kahenge “ Apne Rubb se dua karo ke hamare azaab mein bas ek din ki takhfif karde”
Surah Ghafir, Verse 49
قَالُوٓاْ أَوَلَمۡ تَكُ تَأۡتِيكُمۡ رُسُلُكُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِۖ قَالُواْ بَلَىٰۚ قَالُواْ فَٱدۡعُواْۗ وَمَا دُعَـٰٓؤُاْ ٱلۡكَٰفِرِينَ إِلَّا فِي ضَلَٰلٍ
Woh poochenge “kya tumhare paas tumhare Rasool bayyinaat (clear proofs) lekar nahin aatey rahey thay?” woh kahenge “haan” jahannum ke ahalkar bolenge: “phir tum hi dua karo, aur kafiron ki dua akarat (vain) hi janey wali hai.”
Surah Ghafir, Verse 50
إِنَّا لَنَنصُرُ رُسُلَنَا وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَيَوۡمَ يَقُومُ ٱلۡأَشۡهَٰدُ
Yaqeen jaano ke hum apne Rasoolon aur imaan laney walon ki madad is duniya ki zindagi mein bhi laaziman karte hain, aur us roz bhi karenge jab gawaah khade hongey
Surah Ghafir, Verse 51
يَوۡمَ لَا يَنفَعُ ٱلظَّـٰلِمِينَ مَعۡذِرَتُهُمۡۖ وَلَهُمُ ٱللَّعۡنَةُ وَلَهُمۡ سُوٓءُ ٱلدَّارِ
Jab zaalimon ko unki maazrat(excuses) kuch bhi faiyda na degi aur unpar laanat padegi aur badhtareen thikana unke hissay mein aayega
Surah Ghafir, Verse 52
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡهُدَىٰ وَأَوۡرَثۡنَا بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱلۡكِتَٰبَ
Aakhir dekhlo ke Moosa ki humne rehmumayi ki aur bani Israel ko us kitaab ka waris bana diya
Surah Ghafir, Verse 53
هُدٗى وَذِكۡرَىٰ لِأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Jo aqal o daanish rakhne walon ke liye hidayat o naseehat hai
Surah Ghafir, Verse 54
فَٱصۡبِرۡ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لِذَنۢبِكَ وَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ بِٱلۡعَشِيِّ وَٱلۡإِبۡكَٰرِ
Pas (aey Nabi), sabr karo, Allah ka waada bar-haqq hai, apne kasoor ki maafi chaho aur subah o shaam apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh karte raho
Surah Ghafir, Verse 55
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُجَٰدِلُونَ فِيٓ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ بِغَيۡرِ سُلۡطَٰنٍ أَتَىٰهُمۡ إِن فِي صُدُورِهِمۡ إِلَّا كِبۡرٞ مَّا هُم بِبَٰلِغِيهِۚ فَٱسۡتَعِذۡ بِٱللَّهِۖ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡبَصِيرُ
Haqeeqat yeh hai ke jo log kisi sanad o hujjat ke bagair jo unke paas aayi ho, Allah ki aayat mein jhagade kar rahey hain unke dilon mein kibr (ghamand /pride) bhara hua hai. Magar woh us badayi ko pahunchne waley nahin hain jiska woh ghamand rakhte hain. Bas Allah ki panaah maang lo, woh sabkuch dekhta aur sunta hai
Surah Ghafir, Verse 56
لَخَلۡقُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ أَكۡبَرُ مِنۡ خَلۡقِ ٱلنَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
Aasmano aur zameen ka paida karna Insano ko paida karne ki ba-nisbat yaqeenan zyada bada kaam hai, magar aksar log jaante nahin hai
Surah Ghafir, Verse 57
وَمَا يَسۡتَوِي ٱلۡأَعۡمَىٰ وَٱلۡبَصِيرُ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ وَلَا ٱلۡمُسِيٓءُۚ قَلِيلٗا مَّا تَتَذَكَّرُونَ
Aur yeh nahin ho sakta ke andha (blind) aur beena (dekhne wala) yaksan ho jaye, aur imandaar o saleh aur badhkaar barabar thehrein. Magar tumlog kam hi kuch samajhte ho
Surah Ghafir, Verse 58
إِنَّ ٱلسَّاعَةَ لَأٓتِيَةٞ لَّا رَيۡبَ فِيهَا وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يُؤۡمِنُونَ
Yaqeenan qayamat ki ghadi aane waali hai. Uske aane mein koi shakk nahin, magar aksar log nahin maante
Surah Ghafir, Verse 59
وَقَالَ رَبُّكُمُ ٱدۡعُونِيٓ أَسۡتَجِبۡ لَكُمۡۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَسۡتَكۡبِرُونَ عَنۡ عِبَادَتِي سَيَدۡخُلُونَ جَهَنَّمَ دَاخِرِينَ
Tumhara Rubb kehta hai “ Mujhey pukaro, main tumhari duaein qabool karunga. Jo log ghamand mein aa kar meri ibadat se mooh moadte hain, zaroor woh zaleel o khwar ho kar jahannum mein daakhil hongey”
Surah Ghafir, Verse 60
ٱللَّهُ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلَّيۡلَ لِتَسۡكُنُواْ فِيهِ وَٱلنَّهَارَ مُبۡصِرًاۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَذُو فَضۡلٍ عَلَى ٱلنَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَشۡكُرُونَ
Woh Allah hi to hai jisne tumhare liye raat banayi taa-ke tum usmein sukoon haasil karo, Aur din ko roshan kiya. Haqeeqat yeh hai ke Allah logon par bada fazl farmane wala hai magar aksar log shukar ada nahin karte
Surah Ghafir, Verse 61
ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡ خَٰلِقُ كُلِّ شَيۡءٖ لَّآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ فَأَنَّىٰ تُؤۡفَكُونَ
Wahi Allah (jisne tumhare liye yeh kuch kiya hai) tumhara Rubb hai. Har cheez ka khaliq uske siwa koi mabood nahin. Phir tum kidhar se behkaye jaa rahe ho
Surah Ghafir, Verse 62
كَذَٰلِكَ يُؤۡفَكُ ٱلَّذِينَ كَانُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ يَجۡحَدُونَ
Isi tarah woh sab log behkaye jatey rahey hain jo Allah ki aayat ka inkar karte thay
Surah Ghafir, Verse 63
ٱللَّهُ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ قَرَارٗا وَٱلسَّمَآءَ بِنَآءٗ وَصَوَّرَكُمۡ فَأَحۡسَنَ صُوَرَكُمۡ وَرَزَقَكُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡۖ فَتَبَارَكَ ٱللَّهُ رَبُّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Woh Allah hi to hai jisne tumhare liye zameen ko jaaye qaraar (dwelling place) banaya aur upar Aasmaan ka gumbadh (canopy) bana diya, jisne tumhari surat banayi aur badi hi umdah banayi. Jisne tumhein paakeeza cheezon ka rizq diya. Wahi Allah (jis ke yeh kaam hai) tumhara Rubb hai, Bay hisaab barakaton wala hai woh qayanaat ka Rubb
Surah Ghafir, Verse 64
هُوَ ٱلۡحَيُّ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ فَٱدۡعُوهُ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَۗ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Wahi zinda hai uske siwa koi mabood nahin.Usi ko tum pukaro apne deen ko uske liye khaalis karke. Saari tareef Allah Rabbul aalameen hi ke liye hai
Surah Ghafir, Verse 65
۞قُلۡ إِنِّي نُهِيتُ أَنۡ أَعۡبُدَ ٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ لَمَّا جَآءَنِيَ ٱلۡبَيِّنَٰتُ مِن رَّبِّي وَأُمِرۡتُ أَنۡ أُسۡلِمَ لِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
(Aey Nabi), In logon se kehdo ke “mujhey to un hastiyon ki ibadat se manah kardiya gaya hai jinhein tum Allah ko chodh kar pukarte ho. (main yeh kaam kaise kar sakta hoon) jabke mere paas mere Rubb ki taraf se bayyinat aa chuki hain. Mujhey hukum diya hai ke main Rubb ul aalameen ke aagey sar-e-tasleem kham kardun.”
Surah Ghafir, Verse 66
هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَكُم مِّن تُرَابٖ ثُمَّ مِن نُّطۡفَةٖ ثُمَّ مِنۡ عَلَقَةٖ ثُمَّ يُخۡرِجُكُمۡ طِفۡلٗا ثُمَّ لِتَبۡلُغُوٓاْ أَشُدَّكُمۡ ثُمَّ لِتَكُونُواْ شُيُوخٗاۚ وَمِنكُم مَّن يُتَوَفَّىٰ مِن قَبۡلُۖ وَلِتَبۡلُغُوٓاْ أَجَلٗا مُّسَمّٗى وَلَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
Wahi to hai jisne tumko mitti se paida kiya, phir nutfey se, phir khoon ke lothdey se, phir woh tumhein bachhe ki shakal mein nilkalta hai, phir tumhein badhata hai taake tum apni poori taaqat ko pahunch jao, phir aur badhata hai taa-ke tum budhape ko pahuncho aur tum mein se koi pehle hi wapas bula liya jaata hai. Yeh sab kuch is liye kiya jaata hai taa-ke tum apne muqarrar waqt tak pahunch jao, Aur is liye ke tum haqeeqat ko samjho
Surah Ghafir, Verse 67
هُوَ ٱلَّذِي يُحۡيِۦ وَيُمِيتُۖ فَإِذَا قَضَىٰٓ أَمۡرٗا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ
Wahi hai zindagi denay wala, aur wahi maut denay wala hai. Woh jis baat ka bhi faisla karta hai, bas ek hukum deta hai ke woh ho jaye aur woh jo jaati hai
Surah Ghafir, Verse 68
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ يُجَٰدِلُونَ فِيٓ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ أَنَّىٰ يُصۡرَفُونَ
Tumne dekha un logon ko jo Allah ki aayaat mein jhagade karte hain, kahan se woh phiraye jaa rahe hain
Surah Ghafir, Verse 69
ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِٱلۡكِتَٰبِ وَبِمَآ أَرۡسَلۡنَا بِهِۦ رُسُلَنَاۖ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ
Yeh log jo is kitaab ko aur un saari kitabon ko jhutlate hain jo humne apne Rasoolon ke saath bheji thi anqareeb unhein maaloom ho jayega
Surah Ghafir, Verse 70
إِذِ ٱلۡأَغۡلَٰلُ فِيٓ أَعۡنَٰقِهِمۡ وَٱلسَّلَٰسِلُ يُسۡحَبُونَ
Jab tauq (fetters) unki gardano mein hongey, aur zanjeerein, jinse pakad kar
Surah Ghafir, Verse 71
فِي ٱلۡحَمِيمِ ثُمَّ فِي ٱلنَّارِ يُسۡجَرُونَ
Woh khaulte huey pani ki taraf kheenchey jayenge aur phir dozakh ki aag mein jhonk diye jayenge
Surah Ghafir, Verse 72
ثُمَّ قِيلَ لَهُمۡ أَيۡنَ مَا كُنتُمۡ تُشۡرِكُونَ
Phir unse pucha jayega ke ab kahan hai Allah ke siwa woh dusre khuda jinko tum shareek karte thay
Surah Ghafir, Verse 73
مِن دُونِ ٱللَّهِۖ قَالُواْ ضَلُّواْ عَنَّا بَل لَّمۡ نَكُن نَّدۡعُواْ مِن قَبۡلُ شَيۡـٔٗاۚ كَذَٰلِكَ يُضِلُّ ٱللَّهُ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Woh jawab denge “khoye gaye woh humse, balke hum issey pehle kisi cheez ko na pukarte thay”. Is tarah Allah kaafiron ka gumraah hona mutahaqqiq (to stumble in error) kardega
Surah Ghafir, Verse 74
ذَٰلِكُم بِمَا كُنتُمۡ تَفۡرَحُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَبِمَا كُنتُمۡ تَمۡرَحُونَ
Unse kaha jayega “yeh tumhara anjaam is liye hua hai ke tum zameen mein gair haqq par magan thay aur phir us par itratay thay
Surah Ghafir, Verse 75
ٱدۡخُلُوٓاْ أَبۡوَٰبَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَاۖ فَبِئۡسَ مَثۡوَى ٱلۡمُتَكَبِّرِينَ
Ab jao, Jahannum ke darwazon mein daakhil ho jao hamesha tumko wahin rehna hai, bahut hi bura thikana hai mutakabbirin (proud) ka”
Surah Ghafir, Verse 76
فَٱصۡبِرۡ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞۚ فَإِمَّا نُرِيَنَّكَ بَعۡضَ ٱلَّذِي نَعِدُهُمۡ أَوۡ نَتَوَفَّيَنَّكَ فَإِلَيۡنَا يُرۡجَعُونَ
Pas aey Nabi, sabr karo Allah ka wada barhaqq hai. Ab khwa hum tumhare saamne hi inko un buray nataij ka koi hissa dikha dein jinse hum inhein dara rahey hain, ya (ussey pehle) tumhein duniya se utha lein, palat kar aana to inhein hamari hi taraf hai
Surah Ghafir, Verse 77
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا رُسُلٗا مِّن قَبۡلِكَ مِنۡهُم مَّن قَصَصۡنَا عَلَيۡكَ وَمِنۡهُم مَّن لَّمۡ نَقۡصُصۡ عَلَيۡكَۗ وَمَا كَانَ لِرَسُولٍ أَن يَأۡتِيَ بِـَٔايَةٍ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ فَإِذَا جَآءَ أَمۡرُ ٱللَّهِ قُضِيَ بِٱلۡحَقِّ وَخَسِرَ هُنَالِكَ ٱلۡمُبۡطِلُونَ
Aey Nabi, tumse pehle hum bahut se Rasool bhej chuke hain jinmein se baaz ke haalat humne tumko bataye hain aur baaz ke nahin bataye. Kisi Rasool ki bhi yeh taaqat na thi ke Allah ke izan ke bagair khud koi nishani le aata. Phir jab Allah ka hukum aa gaya to haqq ke mutabiq faisla kardiya gaya aur us waqt galat-kaar log khasare (loss) mein padh gaye
Surah Ghafir, Verse 78
ٱللَّهُ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَنۡعَٰمَ لِتَرۡكَبُواْ مِنۡهَا وَمِنۡهَا تَأۡكُلُونَ
Allah hi ne tumhare liye yeh maweshi janwar banaye hain taa-ke in mein se kisi par tum sawar ho aur kisi ka gosht khao
Surah Ghafir, Verse 79
وَلَكُمۡ فِيهَا مَنَٰفِعُ وَلِتَبۡلُغُواْ عَلَيۡهَا حَاجَةٗ فِي صُدُورِكُمۡ وَعَلَيۡهَا وَعَلَى ٱلۡفُلۡكِ تُحۡمَلُونَ
Inke andar tumhare liye aur bhi bahut se munafe (faidey) hain, woh is kaam bhi aate hain ke tumhare dilon mein jahan jaane ki haajat ho wahan tum unpar pahunch sako, unpar bhi aur kashtiyon par bhi tum sawar kiye jatey ho
Surah Ghafir, Verse 80
وَيُرِيكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ فَأَيَّ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ تُنكِرُونَ
Allah apni yeh nishaniyan tumhein dikha raha hai, Aakhir tum uski kin kin nishaniyon ka inkar karogey
Surah Ghafir, Verse 81
أَفَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَانُوٓاْ أَكۡثَرَ مِنۡهُمۡ وَأَشَدَّ قُوَّةٗ وَءَاثَارٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ فَمَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Phir kya yeh zameen mein chaley phirey nahin hain ke inko un logon ka anjaam nazar aata jo insey pehle guzar chuke hain? Woh insey taadaad mein zyada thay, inse badhkar taaqatwar thay, aur zameen mein insey zyada shaandaar aasaar chodh gaye hain.Jo kuch kamayi unhon ne ki thi aakhir woh unke kisi kaam aayi
Surah Ghafir, Verse 82
فَلَمَّا جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَرِحُواْ بِمَا عِندَهُم مِّنَ ٱلۡعِلۡمِ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Jab unke Rasool unke paas bayyinaat (clear proofs) lekar aaye to woh usi ilm mein magan rahey jo unke apne paas tha, aur phir usi cheez ke phair mein aa gaye jiska woh mazak udate thay
Surah Ghafir, Verse 83
فَلَمَّا رَأَوۡاْ بَأۡسَنَا قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَحۡدَهُۥ وَكَفَرۡنَا بِمَا كُنَّا بِهِۦ مُشۡرِكِينَ
Jab unhon ne hamara azaab dekh liya to pukar utthey ke humne maan liya Allah wahdahu laa shareek ko aur hum inkar karte hain un sab maaboodon ka jinhein hum shareek thehrate thay
Surah Ghafir, Verse 84
فَلَمۡ يَكُ يَنفَعُهُمۡ إِيمَٰنُهُمۡ لَمَّا رَأَوۡاْ بَأۡسَنَاۖ سُنَّتَ ٱللَّهِ ٱلَّتِي قَدۡ خَلَتۡ فِي عِبَادِهِۦۖ وَخَسِرَ هُنَالِكَ ٱلۡكَٰفِرُونَ
Magar hamara azaab dekh lene ke baad unka imaan unke liye kuch bhi naafeh (faydamand) na ho sakta tha, kyunke yahi Allah ka muqarrar zaabta hai jo hamesha uske bandon mein jaari raha hai, aur us waqt kaafir log khasarey (nuksan) mein padh gaye
Surah Ghafir, Verse 85