Surah Fussilat - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
حمٓ
Haa Meem
Surah Fussilat, Verse 1
تَنزِيلٞ مِّنَ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Yeh khuda e Rehman o Raheem ki taraf se nazil karda cheez hai
Surah Fussilat, Verse 2
كِتَٰبٞ فُصِّلَتۡ ءَايَٰتُهُۥ قُرۡءَانًا عَرَبِيّٗا لِّقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
Ek aisi kitaab jiski aayat khoob khol kar bayan ki gayi hain, Arabi zubaan ka Quran, un logon ke liye jo ilm rakhte hain
Surah Fussilat, Verse 3
بَشِيرٗا وَنَذِيرٗا فَأَعۡرَضَ أَكۡثَرُهُمۡ فَهُمۡ لَا يَسۡمَعُونَ
Basharat(khush-khabri) dene wala aur dara dene wala magar in logon mein se aksar ne issey ru-gardani ki aur woh sunkar nahin detey
Surah Fussilat, Verse 4
وَقَالُواْ قُلُوبُنَا فِيٓ أَكِنَّةٖ مِّمَّا تَدۡعُونَآ إِلَيۡهِ وَفِيٓ ءَاذَانِنَا وَقۡرٞ وَمِنۢ بَيۡنِنَا وَبَيۡنِكَ حِجَابٞ فَٱعۡمَلۡ إِنَّنَا عَٰمِلُونَ
Kehte hain “Jis cheez ki taraf tu humein bula raha hai uske liye hamare dilon par gilaf (purde) chade huey hain, hamare kaan behrey (deaf) ho gaye hain, aur hamare aur tere darmiyaan ek hijab hayal ho gaya hai. Tu apna kaam kar, hum apna kaam kiye jayenge”
Surah Fussilat, Verse 5
قُلۡ إِنَّمَآ أَنَا۠ بَشَرٞ مِّثۡلُكُمۡ يُوحَىٰٓ إِلَيَّ أَنَّمَآ إِلَٰهُكُمۡ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞ فَٱسۡتَقِيمُوٓاْ إِلَيۡهِ وَٱسۡتَغۡفِرُوهُۗ وَوَيۡلٞ لِّلۡمُشۡرِكِينَ
Aey Nabi , insey kaho, mein to ek bashar hoon tum jaisa. Mujhey wahee ke zariye se bataya jaata hai ke tumhara khuda to bas ek hi khuda hai, Lihaza tum seedhey usi ka rukh ikhtiyar karo aur ussey maafi chaho. Tabahi hai un mushrikon ke liye
Surah Fussilat, Verse 6
ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَهُم بِٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ كَٰفِرُونَ
Jo zakat nahin detay aur aakhirat ke munkir hain
Surah Fussilat, Verse 7
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُمۡ أَجۡرٌ غَيۡرُ مَمۡنُونٖ
Rahey woh log jinhon ne maan liya aur neik aamaal kiye, unke liye yaqeenan aisa ajar hai jiska silsila kabhi tootne wala nahin hai
Surah Fussilat, Verse 8
۞قُلۡ أَئِنَّكُمۡ لَتَكۡفُرُونَ بِٱلَّذِي خَلَقَ ٱلۡأَرۡضَ فِي يَوۡمَيۡنِ وَتَجۡعَلُونَ لَهُۥٓ أَندَادٗاۚ ذَٰلِكَ رَبُّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aey Nabi! Insey kaho, kya tum us khuda se kufr karte ho aur dusron ko uska humsar (shareek / equals) thehratey ho jisne zameen ko do (two) dino mein bana diya? Wahi to saarey jahan waalon ka Rubb hai
Surah Fussilat, Verse 9
وَجَعَلَ فِيهَا رَوَٰسِيَ مِن فَوۡقِهَا وَبَٰرَكَ فِيهَا وَقَدَّرَ فِيهَآ أَقۡوَٰتَهَا فِيٓ أَرۡبَعَةِ أَيَّامٖ سَوَآءٗ لِّلسَّآئِلِينَ
Usne (zameen ko wajood mein laane ke baad) upar se ispar pahadh (mountains) jamaa diye aur ismein barakatein rakh di aur iske andar sab maangne waalon ke liye har ek ki talab o haajat ke mutaabiq theek andaze se khuraak ka saaman muhaiyya kardiya. Yeh sab kaam chaar (four) din mein ho gaye
Surah Fussilat, Verse 10
ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰٓ إِلَى ٱلسَّمَآءِ وَهِيَ دُخَانٞ فَقَالَ لَهَا وَلِلۡأَرۡضِ ٱئۡتِيَا طَوۡعًا أَوۡ كَرۡهٗا قَالَتَآ أَتَيۡنَا طَآئِعِينَ
Phir woh aasmaan ki taraf mutwajjeh huwa Jo us waqt mehaz dhuwan (smoke) tha. Usne aasman aur zameen se kaha “wajood mein aa jao, khwa tum chaho ya na chaho.” Dono ne kaha “ hum aa gaye farma bardaron ki tarah”
Surah Fussilat, Verse 11
فَقَضَىٰهُنَّ سَبۡعَ سَمَٰوَاتٖ فِي يَوۡمَيۡنِ وَأَوۡحَىٰ فِي كُلِّ سَمَآءٍ أَمۡرَهَاۚ وَزَيَّنَّا ٱلسَّمَآءَ ٱلدُّنۡيَا بِمَصَٰبِيحَ وَحِفۡظٗاۚ ذَٰلِكَ تَقۡدِيرُ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡعَلِيمِ
Tab usne do din ke andar saath (seven) aasmaan bana diye, aur har aasmaan mein us ka kanoon wahee (reveal) kardiya. Aur aasmaan e duniya ko humne chiraagon (lamps) se aarasta (adorn) kiya aur isey khoob mehfooz kardiya. Yeh sab kuch ek zabardast hasti ka mansooba (plan) hai
Surah Fussilat, Verse 12
فَإِنۡ أَعۡرَضُواْ فَقُلۡ أَنذَرۡتُكُمۡ صَٰعِقَةٗ مِّثۡلَ صَٰعِقَةِ عَادٖ وَثَمُودَ
Ab agar yeh log mooh moadte hain to insey kehdo ke “main tumko usi tarah ke ek achanak toot padne waley azaab se darata hoon jaisa Aad aur Samood par nazil hua tha.”
Surah Fussilat, Verse 13
إِذۡ جَآءَتۡهُمُ ٱلرُّسُلُ مِنۢ بَيۡنِ أَيۡدِيهِمۡ وَمِنۡ خَلۡفِهِمۡ أَلَّا تَعۡبُدُوٓاْ إِلَّا ٱللَّهَۖ قَالُواْ لَوۡ شَآءَ رَبُّنَا لَأَنزَلَ مَلَـٰٓئِكَةٗ فَإِنَّا بِمَآ أُرۡسِلۡتُم بِهِۦ كَٰفِرُونَ
Jab khuda ke Rasool unke paas aagey aur peechey, har taraf se aaye aur unhein samjhaya ke Allah ke siwa kisi ki bandagi na karo to unhon ne kaha “hamara Rubb chahta to farishte bhejta, lihaza hum us baat ko nahin maante jiske liye tum bheje gaye ho.”
Surah Fussilat, Verse 14
فَأَمَّا عَادٞ فَٱسۡتَكۡبَرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَقَالُواْ مَنۡ أَشَدُّ مِنَّا قُوَّةًۖ أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ ٱلَّذِي خَلَقَهُمۡ هُوَ أَشَدُّ مِنۡهُمۡ قُوَّةٗۖ وَكَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَجۡحَدُونَ
Aad ka haal yeh tha ke woh zameen mein kisi haqq ke bagair baday ban baithey aur kehne lagey: “ kaun hai humse zyada zoorawar?” Unko yeh na soojha ke jis khuda ne unko paida kiya hai woh unse zyada zoorawar hai? Woh hamari aayat ka inkaar hi karte rahey
Surah Fussilat, Verse 15
فَأَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ رِيحٗا صَرۡصَرٗا فِيٓ أَيَّامٖ نَّحِسَاتٖ لِّنُذِيقَهُمۡ عَذَابَ ٱلۡخِزۡيِ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَخۡزَىٰۖ وَهُمۡ لَا يُنصَرُونَ
Aakhir e kaar humne chandh manhoos dino mein sakht toofaani hawa unpar bhej di taa-ke unhein duniya hi ki zindagi mein zillat o ruswayi ke azaab ka maza chakha dein.Aur aakhirat ka azaab to issey bhi zyada ruswa-kun hai. Wahan koi unki madad karne wala na hoga
Surah Fussilat, Verse 16
وَأَمَّا ثَمُودُ فَهَدَيۡنَٰهُمۡ فَٱسۡتَحَبُّواْ ٱلۡعَمَىٰ عَلَى ٱلۡهُدَىٰ فَأَخَذَتۡهُمۡ صَٰعِقَةُ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡهُونِ بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Rahey Samood, to unke samne humne raah e raast pesh ki magar unhon ne raasta dekhne ke bajaye andha (blind) bana rehna pasand kiya. Aakhir unke kartooton ki badaulat zillat ka azaab unpar toot pada
Surah Fussilat, Verse 17
وَنَجَّيۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَكَانُواْ يَتَّقُونَ
Aur humne un logon ko bacha liya jo imaan laaye thay aur gumrahi o bad-amali se parheiz karte thay
Surah Fussilat, Verse 18
وَيَوۡمَ يُحۡشَرُ أَعۡدَآءُ ٱللَّهِ إِلَى ٱلنَّارِ فَهُمۡ يُوزَعُونَ
Aur zara us waqt ka khayal karo jab Allah ke yeh dushman dozakh ki taraf jaane ke liye ghair laaye jayenge unke agalon ko pichlon ke aane tak roak rakkha jayega
Surah Fussilat, Verse 19
حَتَّىٰٓ إِذَا مَا جَآءُوهَا شَهِدَ عَلَيۡهِمۡ سَمۡعُهُمۡ وَأَبۡصَٰرُهُمۡ وَجُلُودُهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Phir jab sab wahan pahunch jayenge to unke kaan aur unki aankhein aur unke jism ki khaalein (skins) unpar gawahi dengi ke woh duniya mein kya kuch karte rahey hain
Surah Fussilat, Verse 20
وَقَالُواْ لِجُلُودِهِمۡ لِمَ شَهِدتُّمۡ عَلَيۡنَاۖ قَالُوٓاْ أَنطَقَنَا ٱللَّهُ ٱلَّذِيٓ أَنطَقَ كُلَّ شَيۡءٖۚ وَهُوَ خَلَقَكُمۡ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Woh apne jism ki khaalon se kahenge “ tumne hamare khilaf kyun gawahi di? “ woh jawab dengi “ humein usi khuda ne goyaii (speech) di hai jisne har cheez ko goya(speech) kardiya hai. Usi ne tumko pehli martaba paida kiya tha aur ab usi ki taraf tum wapas laaye ja rahey ho
Surah Fussilat, Verse 21
وَمَا كُنتُمۡ تَسۡتَتِرُونَ أَن يَشۡهَدَ عَلَيۡكُمۡ سَمۡعُكُمۡ وَلَآ أَبۡصَٰرُكُمۡ وَلَا جُلُودُكُمۡ وَلَٰكِن ظَنَنتُمۡ أَنَّ ٱللَّهَ لَا يَعۡلَمُ كَثِيرٗا مِّمَّا تَعۡمَلُونَ
Tum duniya mein jarahim (crime) karte waqt chupte thay to tumhein yeh khayal na tha ke kabhi tumhare apne kaan aur tumhari aankhein aur tumhare jism ki khaalein (skins) tumpar gawahi dengi balke tumne yeh samajha tha ke tumhare bahut se aamal ki Allah ko bhi khabar nahin hai
Surah Fussilat, Verse 22
وَذَٰلِكُمۡ ظَنُّكُمُ ٱلَّذِي ظَنَنتُم بِرَبِّكُمۡ أَرۡدَىٰكُمۡ فَأَصۡبَحۡتُم مِّنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Tumhara yahi gumaan jo tumne apne Rubb ke saath kiya tha, tumhein ley dooba aur isi ki badaulat tum khasare(loss) mein padh gaye”
Surah Fussilat, Verse 23
فَإِن يَصۡبِرُواْ فَٱلنَّارُ مَثۡوٗى لَّهُمۡۖ وَإِن يَسۡتَعۡتِبُواْ فَمَا هُم مِّنَ ٱلۡمُعۡتَبِينَ
Is halat mein woh sabr karein (ya na karein) aag hi unka thikana hogi, aur agar rujoo ka mauqa chahenge to koi mauqa unhein na diya jayega
Surah Fussilat, Verse 24
۞وَقَيَّضۡنَا لَهُمۡ قُرَنَآءَ فَزَيَّنُواْ لَهُم مَّا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُمۡ وَحَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقَوۡلُ فِيٓ أُمَمٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِم مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِۖ إِنَّهُمۡ كَانُواْ خَٰسِرِينَ
Humne unpar aisey saathi musallat kardiye thay jo unhein aagey aur peechey har cheez khushnuma banakar dikhate thay. Aakhir e kaar unpar bhi wahi faisla e azaab chaspan ho kar raha jo un se pehle guzray huey Jinno aur Insano ke girohon par chaspan ho chuka tha, yaqeenan woh khasare (loss) mein reh jaane waley thay
Surah Fussilat, Verse 25
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَا تَسۡمَعُواْ لِهَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ وَٱلۡغَوۡاْ فِيهِ لَعَلَّكُمۡ تَغۡلِبُونَ
Yeh munkireen e haqq kehte hain “is Quran ko hargiz na sunoo aur jab yeh sunaya jaye to ismein khalal daalo, shayad ke is tarah tum gaalib aa jao”
Surah Fussilat, Verse 26
فَلَنُذِيقَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَذَابٗا شَدِيدٗا وَلَنَجۡزِيَنَّهُمۡ أَسۡوَأَ ٱلَّذِي كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
In kaafiron ko hum sakht azaab ka maza chakha kar rahenge aur jo badhtareen harakaat yeh karte rahey hain unka poora poora badla inhein dengey
Surah Fussilat, Verse 27
ذَٰلِكَ جَزَآءُ أَعۡدَآءِ ٱللَّهِ ٱلنَّارُۖ لَهُمۡ فِيهَا دَارُ ٱلۡخُلۡدِ جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَجۡحَدُونَ
Woh dozakh hai jo Allah ke dushmano ko badley mein milegi, usi mein hamesha hamesha ke liye inka ghar hoga. Yeh hai saza is jurm ki ke woh hamari aayat ka inkar karte rahey
Surah Fussilat, Verse 28
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ رَبَّنَآ أَرِنَا ٱلَّذَيۡنِ أَضَلَّانَا مِنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ نَجۡعَلۡهُمَا تَحۡتَ أَقۡدَامِنَا لِيَكُونَا مِنَ ٱلۡأَسۡفَلِينَ
Wahan yeh kaafir kahenge ke “ aey hamare Rubb, zara humein dikha de un Jinno aur Insano ko jinhon ne humein gumraah kiya tha, hum unhein paon (legs) taley roondh daalein taa-ke woh khoob zaleel o khwar hon.”
Surah Fussilat, Verse 29
إِنَّ ٱلَّذِينَ قَالُواْ رَبُّنَا ٱللَّهُ ثُمَّ ٱسۡتَقَٰمُواْ تَتَنَزَّلُ عَلَيۡهِمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ أَلَّا تَخَافُواْ وَلَا تَحۡزَنُواْ وَأَبۡشِرُواْ بِٱلۡجَنَّةِ ٱلَّتِي كُنتُمۡ تُوعَدُونَ
Jin logon ne kaha ke Allah hamara Rubb hai aur phir woh ispar saabit qadam rahey, yaqeenan unpar farishtey nazil hotay hain, aur unsey kehte hain ke “na daro, na gham karo, aur khush ho jao us jannat ki basharat (khush khabri) se jiska tumse waada kiya gaya hai
Surah Fussilat, Verse 30
نَحۡنُ أَوۡلِيَآؤُكُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَفِي ٱلۡأٓخِرَةِۖ وَلَكُمۡ فِيهَا مَا تَشۡتَهِيٓ أَنفُسُكُمۡ وَلَكُمۡ فِيهَا مَا تَدَّعُونَ
Hum is duniya ki zindagi mein bhi tumhare saathi hain aur aakhirat mein bhi. Wahan jo kuch tum chahoge tumhein milega aur har cheez jiski tum tamanna karoge woh tumhari hogi
Surah Fussilat, Verse 31
نُزُلٗا مِّنۡ غَفُورٖ رَّحِيمٖ
Yeh hai samaan e ziyafat us hasti ki taraf se jo Gafoor aur Raheem hai”
Surah Fussilat, Verse 32
وَمَنۡ أَحۡسَنُ قَوۡلٗا مِّمَّن دَعَآ إِلَى ٱللَّهِ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا وَقَالَ إِنَّنِي مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
Aur us shakhs ki baat se acchi baat aur kiski hogi jisne Allah ki taraf bulaya aur neik amal kiya aur kaha ke main musalman hoon
Surah Fussilat, Verse 33
وَلَا تَسۡتَوِي ٱلۡحَسَنَةُ وَلَا ٱلسَّيِّئَةُۚ ٱدۡفَعۡ بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ فَإِذَا ٱلَّذِي بَيۡنَكَ وَبَيۡنَهُۥ عَدَٰوَةٞ كَأَنَّهُۥ وَلِيٌّ حَمِيمٞ
[Aur aey Nabi], Neki aur badi yaksan (barabar) nahin hai, tum badi ko us neki se dafa karo jo behtareen ho, tum dekhoge ke tumhare saath jiski adawat (dushmani) padi hui thi woh jigri dost bangaya hai
Surah Fussilat, Verse 34
وَمَا يُلَقَّىٰهَآ إِلَّا ٱلَّذِينَ صَبَرُواْ وَمَا يُلَقَّىٰهَآ إِلَّا ذُو حَظٍّ عَظِيمٖ
Yeh sifat naseeb nahin hoti magar un logon ko jo sabr karte hain, aur yeh muqaam haasil nahin hota magar un logon ko jo badey naseebey wale hain
Surah Fussilat, Verse 35
وَإِمَّا يَنزَغَنَّكَ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ نَزۡغٞ فَٱسۡتَعِذۡ بِٱللَّهِۖ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Aur agar tum shaytan ki taraf se koi uksahat (temptation) mehsoos karo to Allah ki panaah maang lo, woh sabkuch sunta aur jaanta hai
Surah Fussilat, Verse 36
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِ ٱلَّيۡلُ وَٱلنَّهَارُ وَٱلشَّمۡسُ وَٱلۡقَمَرُۚ لَا تَسۡجُدُواْ لِلشَّمۡسِ وَلَا لِلۡقَمَرِ وَٱسۡجُدُواْۤ لِلَّهِۤ ٱلَّذِي خَلَقَهُنَّ إِن كُنتُمۡ إِيَّاهُ تَعۡبُدُونَ
Allah ki nishaniyon mein se hain yeh raat aur din aur Suraj aur Chand. Suraj ko aur Chand ko sajda na karo balke us khuda ko sajda karo jisne unhein paida kiya hai agar fil waqaii tum usi ki ibadat karne waley ho
Surah Fussilat, Verse 37
فَإِنِ ٱسۡتَكۡبَرُواْ فَٱلَّذِينَ عِندَ رَبِّكَ يُسَبِّحُونَ لَهُۥ بِٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ وَهُمۡ لَا يَسۡـَٔمُونَ۩
Lekin agar yeh log guroor mein aa kar apni hi baat par adey rahein to parwah nahin, jo farishtey tere Rubb ke muqarrab hain woh shab-o-roz(night and day) uski tasbeeh kar rahey hain aur kabhi nahin thakte
Surah Fussilat, Verse 38
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦٓ أَنَّكَ تَرَى ٱلۡأَرۡضَ خَٰشِعَةٗ فَإِذَآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡهَا ٱلۡمَآءَ ٱهۡتَزَّتۡ وَرَبَتۡۚ إِنَّ ٱلَّذِيٓ أَحۡيَاهَا لَمُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰٓۚ إِنَّهُۥ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
Aur Allah ki nishaniyon mein se ek yeh hai ke tum dekhte ho zameen sooni (barren) padi hui hai, phir joon-hi ke humne uspar paani barsaya, yakayak woh phabak uthti hai aur phool jaati hai (quivers and wells).Yakeenan jo khuda is mari (dead) hui zameen ko jila(zinda) uthata hai woh murdon ko bhi zindagi bakshne wala hai.Yaqeenan woh har cheez par qudrat rakhta hai
Surah Fussilat, Verse 39
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُلۡحِدُونَ فِيٓ ءَايَٰتِنَا لَا يَخۡفَوۡنَ عَلَيۡنَآۗ أَفَمَن يُلۡقَىٰ فِي ٱلنَّارِ خَيۡرٌ أَم مَّن يَأۡتِيٓ ءَامِنٗا يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ ٱعۡمَلُواْ مَا شِئۡتُمۡ إِنَّهُۥ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٌ
Jo log hamari aayat ko ultay maani pehnatay hain (pervert Our Signs) woh humse kuch chupe huey nahin hain. Khud hi sochlo ke aaya woh shaks behtar hai jo aag mein jhonka janey wala hai ya woh jo Qayamat ke roz aman ki halat mein haazir hoga? Karte raho jo kuch tum chaho, tumhari saari harkaton ko Allah dekh raha hai
Surah Fussilat, Verse 40
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِٱلذِّكۡرِ لَمَّا جَآءَهُمۡۖ وَإِنَّهُۥ لَكِتَٰبٌ عَزِيزٞ
Yeh woh log hain jinke samne kalaam-e-naseehat aaya to unhon ne isey maan-ne se inkar kardiya, magar haqeeqat yeh hai ke yeh ek zabardast kitaab hai
Surah Fussilat, Verse 41
لَّا يَأۡتِيهِ ٱلۡبَٰطِلُ مِنۢ بَيۡنِ يَدَيۡهِ وَلَا مِنۡ خَلۡفِهِۦۖ تَنزِيلٞ مِّنۡ حَكِيمٍ حَمِيدٖ
Baatil na saamne se ispar aa sakta hai na peechey se, yeh ek hakeem (most wise) o Hameed(Immensely Praiseworthy) ki nazil karda cheez hai
Surah Fussilat, Verse 42
مَّا يُقَالُ لَكَ إِلَّا مَا قَدۡ قِيلَ لِلرُّسُلِ مِن قَبۡلِكَۚ إِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغۡفِرَةٖ وَذُو عِقَابٍ أَلِيمٖ
Aey Nabi, tumse jo kuch kaha jaa raha hai usmein koi cheez bhi aisi nahin hai jo tumse pehle guzrey huey Rasoolon se na kahi jaa chuki ho. Beshak tumhara Rubb bada darguzar karne wala hai, aur uske saath badi dardnaak saza dene wala hai
Surah Fussilat, Verse 43
وَلَوۡ جَعَلۡنَٰهُ قُرۡءَانًا أَعۡجَمِيّٗا لَّقَالُواْ لَوۡلَا فُصِّلَتۡ ءَايَٰتُهُۥٓۖ ءَا۬عۡجَمِيّٞ وَعَرَبِيّٞۗ قُلۡ هُوَ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ هُدٗى وَشِفَآءٞۚ وَٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ فِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَقۡرٞ وَهُوَ عَلَيۡهِمۡ عَمًىۚ أُوْلَـٰٓئِكَ يُنَادَوۡنَ مِن مَّكَانِۭ بَعِيدٖ
Agar hum isko ajami(non arabic) Quraan bana kar bhejte to yeh log kehte “Kyun na iski aayat khol kar bayan ki gayi? Kya ajeeb baat hai ke kalaam ajami (non-arabic) hai aur mukhatib arabi”.Insey kaho yeh quran imaan laanay walaon ke liye to hidayat aur shifaa hai, magar jo log iman nahin laatey unke liye yeh kaano ki daat (plug / behrapan) aur aankhon ki patti (covering) hai .Unka haal to aisa hai jaise unko door se pukara ja raha ho
Surah Fussilat, Verse 44
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ فَٱخۡتُلِفَ فِيهِۚ وَلَوۡلَا كَلِمَةٞ سَبَقَتۡ مِن رَّبِّكَ لَقُضِيَ بَيۡنَهُمۡۚ وَإِنَّهُمۡ لَفِي شَكّٖ مِّنۡهُ مُرِيبٖ
Issey pehle humne Moosa ko kitaab di thi aur uske maamle mein bhi yahi ikhtilaf hua tha. Agar tere Rubb ne pehle hi ek baat tai na kardi hoti to in ikhtilaf karne walon ke darmiyan faisla chuka diya jata, aur haqeeqat yeh hai ke yeh log uski taraf se sakht iztaraab angeiz (sakht bechain karne wale/disquieting) shakk mein paday huey hain
Surah Fussilat, Verse 45
مَّنۡ عَمِلَ صَٰلِحٗا فَلِنَفۡسِهِۦۖ وَمَنۡ أَسَآءَ فَعَلَيۡهَاۗ وَمَا رَبُّكَ بِظَلَّـٰمٖ لِّلۡعَبِيدِ
Jo koi neik amal karega apne hi liye accha karega, jo badi (evil) karega uska wabal usi par hoga, aur tera Rubb apne bandon ke haqq mein zaalim nahin hai
Surah Fussilat, Verse 46
۞إِلَيۡهِ يُرَدُّ عِلۡمُ ٱلسَّاعَةِۚ وَمَا تَخۡرُجُ مِن ثَمَرَٰتٖ مِّنۡ أَكۡمَامِهَا وَمَا تَحۡمِلُ مِنۡ أُنثَىٰ وَلَا تَضَعُ إِلَّا بِعِلۡمِهِۦۚ وَيَوۡمَ يُنَادِيهِمۡ أَيۡنَ شُرَكَآءِي قَالُوٓاْ ءَاذَنَّـٰكَ مَامِنَّا مِن شَهِيدٖ
Us sa-ath (hour/Qayamat) ka ilm Allah hi ki taraf raajeh hota hai, wahi un saare phalon (fruits) ko jaanta hai jo apne shagufon (coverings/sheath) mein se nilakte hain, usi ko maaloom hai ke kaunsi maada (female) hamila (conceive) hui hai aur kisne baccha janaa (give birth) hai. Phir jis roz woh in logon ko pukarega ke kahan hain mere woh shareek? Yeh kahenge, “hum arz kar chuke hain, aaj hum mein se koi iski gawahi dene wala nahin hai.”
Surah Fussilat, Verse 47
وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَدۡعُونَ مِن قَبۡلُۖ وَظَنُّواْ مَا لَهُم مِّن مَّحِيصٖ
Us waqt woh sarey maabood insey ghum ho jaayenge jinhein yeh issey pehle pukarte thay, aur yeh log samajh lenge ke inke liye ab koi jaaye panaah nahin hai
Surah Fussilat, Verse 48
لَّا يَسۡـَٔمُ ٱلۡإِنسَٰنُ مِن دُعَآءِ ٱلۡخَيۡرِ وَإِن مَّسَّهُ ٱلشَّرُّ فَيَـُٔوسٞ قَنُوطٞ
Insaan kabhi bhalayi ki dua maangte nahin thakta, aur jab koi aafat ispar aa jaati hai to mayoos o dil shikasta ho jata hai
Surah Fussilat, Verse 49
وَلَئِنۡ أَذَقۡنَٰهُ رَحۡمَةٗ مِّنَّا مِنۢ بَعۡدِ ضَرَّآءَ مَسَّتۡهُ لَيَقُولَنَّ هَٰذَا لِي وَمَآ أَظُنُّ ٱلسَّاعَةَ قَآئِمَةٗ وَلَئِن رُّجِعۡتُ إِلَىٰ رَبِّيٓ إِنَّ لِي عِندَهُۥ لَلۡحُسۡنَىٰۚ فَلَنُنَبِّئَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِمَا عَمِلُواْ وَلَنُذِيقَنَّهُم مِّنۡ عَذَابٍ غَلِيظٖ
Magar junhi ke sakht waqt guzar jaane ke baad hum isey apni rehmant ka mazaa chakhate hain, yeh kehta hai ke “main isi ka mustahiq hoon, aur main nahin samajhta ke qayamat kabhi aayegi, lekin agar waqai main apne Rubb ki tarf paltaya gaya to wahan bhi mazey karunga”. Halanke kufr karne walon ko laziman hum bata kar rahenge ke woh kya karke aaye hain, aur unhein hum baday gandhey azaab ka maza chakhayenge
Surah Fussilat, Verse 50
وَإِذَآ أَنۡعَمۡنَا عَلَى ٱلۡإِنسَٰنِ أَعۡرَضَ وَنَـَٔا بِجَانِبِهِۦ وَإِذَا مَسَّهُ ٱلشَّرُّ فَذُو دُعَآءٍ عَرِيضٖ
Insaan ko jab hum niyamat detay hain to woh mooh pherta hai aur akad jata hai, aur jab usey koi aafat choo jaati hai to lambi chowdi duaein karne lagta hai
Surah Fussilat, Verse 51
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِن كَانَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ ثُمَّ كَفَرۡتُم بِهِۦ مَنۡ أَضَلُّ مِمَّنۡ هُوَ فِي شِقَاقِۭ بَعِيدٖ
(Aey Nabi), insey kaho, kabhi tumne yeh bhi socha ke agar waqayi yeh Quran khuda hi ki taraf se hua aur tum iska inkar karte rahey to us shaks se badh kar bhatka hua aur kaun hoga jo iski mukhalifat mein door tak nikal gaya ho
Surah Fussilat, Verse 52
سَنُرِيهِمۡ ءَايَٰتِنَا فِي ٱلۡأٓفَاقِ وَفِيٓ أَنفُسِهِمۡ حَتَّىٰ يَتَبَيَّنَ لَهُمۡ أَنَّهُ ٱلۡحَقُّۗ أَوَلَمۡ يَكۡفِ بِرَبِّكَ أَنَّهُۥ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
Anqareeb hum unko apni nishaniyan aafaq (horizons)mein bhi dikhayenge aur inke apne nafs mein bhi yahan tak-ke inpar yeh baat khul jayegi ke yeh Quran waqayi barhaqq hai, kya yeh baat kaafi nahin hai ke tera Rubb har cheez ka shahid(witness) hai
Surah Fussilat, Verse 53
أَلَآ إِنَّهُمۡ فِي مِرۡيَةٖ مِّن لِّقَآءِ رَبِّهِمۡۗ أَلَآ إِنَّهُۥ بِكُلِّ شَيۡءٖ مُّحِيطُۢ
Aagaah raho, yeh log apne Rubb ki mulaqaat mein shakk rakhte hain. Sun rakkho woh har cheez par muheet(fully encompasses everything) hai
Surah Fussilat, Verse 54