Surah Fussilat - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
حمٓ
Haa-meem
Surah Fussilat, Verse 1
تَنزِيلٞ مِّنَ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Utari hui hai baray meharban boht reham walay ki taraf say
Surah Fussilat, Verse 2
كِتَٰبٞ فُصِّلَتۡ ءَايَٰتُهُۥ قُرۡءَانًا عَرَبِيّٗا لِّقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
(Aisi) kitab hai jiss ki aayaton ki wazeh tafseel ki gaee hai (iss haal mein kay) quran arabi zaban mein hai uss qom kay liye jo janti hai
Surah Fussilat, Verse 3
بَشِيرٗا وَنَذِيرٗا فَأَعۡرَضَ أَكۡثَرُهُمۡ فَهُمۡ لَا يَسۡمَعُونَ
Khuskhabri sunanay wala aur daraney wala hai phir bhi inn ki aksariyat ney mun pher liya aur woh suntay hi nahi
Surah Fussilat, Verse 4
وَقَالُواْ قُلُوبُنَا فِيٓ أَكِنَّةٖ مِّمَّا تَدۡعُونَآ إِلَيۡهِ وَفِيٓ ءَاذَانِنَا وَقۡرٞ وَمِنۢ بَيۡنِنَا وَبَيۡنِكَ حِجَابٞ فَٱعۡمَلۡ إِنَّنَا عَٰمِلُونَ
Aur enhon ney kaha kay tu jiss ki taraf humen bula raha hai humaray dil to iss say parday mein hain aur humaray kaano mein giraani hai aur hum mein aur tujh mein aik hijab hai acha tu abb apna kaam kiyey ja hum bhi yaqeenan kaam kerney walay hain
Surah Fussilat, Verse 5
قُلۡ إِنَّمَآ أَنَا۠ بَشَرٞ مِّثۡلُكُمۡ يُوحَىٰٓ إِلَيَّ أَنَّمَآ إِلَٰهُكُمۡ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞ فَٱسۡتَقِيمُوٓاْ إِلَيۡهِ وَٱسۡتَغۡفِرُوهُۗ وَوَيۡلٞ لِّلۡمُشۡرِكِينَ
Aap keh dijiyey! Kay mein to tum hi jaisa insan hun mujh per wahee nazil ki jati hai kay tum sab ka mabood aik Allah hi hai so tum uss ki taraf mutawajja hojaoaur uss say gunhaon ki maafi chahao aur inn mushrikon kay liye (bari hi) kharabi hai
Surah Fussilat, Verse 6
ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَهُم بِٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ كَٰفِرُونَ
Jo zakat nahi detay aur aakhirat kay bhi munkir hi rehtay hain
Surah Fussilat, Verse 7
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُمۡ أَجۡرٌ غَيۡرُ مَمۡنُونٖ
Be-shak jo log eman layen aur bhalay kaam keren unn kay liye na khatam honey wala ajar hai
Surah Fussilat, Verse 8
۞قُلۡ أَئِنَّكُمۡ لَتَكۡفُرُونَ بِٱلَّذِي خَلَقَ ٱلۡأَرۡضَ فِي يَوۡمَيۡنِ وَتَجۡعَلُونَ لَهُۥٓ أَندَادٗاۚ ذَٰلِكَ رَبُّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aap keh dijiye! Kay kiya tum uss (Allah) ka inkar kertay ho aur tum uss kay shareek muqarrar kertay ho jiss ney do din mein zamin peda kerdi saray jahano ka perwardigar wohi hai
Surah Fussilat, Verse 9
وَجَعَلَ فِيهَا رَوَٰسِيَ مِن فَوۡقِهَا وَبَٰرَكَ فِيهَا وَقَدَّرَ فِيهَآ أَقۡوَٰتَهَا فِيٓ أَرۡبَعَةِ أَيَّامٖ سَوَآءٗ لِّلسَّآئِلِينَ
Aur uss ney zamin mein aur uss kay uper say pahaar gaar diyey aur iss mein barkat rakh di aur iss mein (rehney walon ki) ghizaon ki tajweez bhi issi mein kerdi (sirf) char din mein zaroorat mandon kay liye yaksan tor per
Surah Fussilat, Verse 10
ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰٓ إِلَى ٱلسَّمَآءِ وَهِيَ دُخَانٞ فَقَالَ لَهَا وَلِلۡأَرۡضِ ٱئۡتِيَا طَوۡعًا أَوۡ كَرۡهٗا قَالَتَآ أَتَيۡنَا طَآئِعِينَ
Phir aasman ki taraf mutawajja hua aur woh dhuwan (sa) tha pus issay aur zamin say farmaya kay tum khushi say aao ya na khushi say. Donon ney araz kiya hum ba-khushi hazir hain
Surah Fussilat, Verse 11
فَقَضَىٰهُنَّ سَبۡعَ سَمَٰوَاتٖ فِي يَوۡمَيۡنِ وَأَوۡحَىٰ فِي كُلِّ سَمَآءٍ أَمۡرَهَاۚ وَزَيَّنَّا ٱلسَّمَآءَ ٱلدُّنۡيَا بِمَصَٰبِيحَ وَحِفۡظٗاۚ ذَٰلِكَ تَقۡدِيرُ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡعَلِيمِ
Pus do din mein saat aasman bana diyey aur her aasman mein iss kay munasib ehkaam ki wahee bhej di aur hum ney aasman-e-duniya ko charaghon say zeenat di aur nigheybaani ki yeh tadbeer Allah ghalib-o-dana ki hai
Surah Fussilat, Verse 12
فَإِنۡ أَعۡرَضُواْ فَقُلۡ أَنذَرۡتُكُمۡ صَٰعِقَةٗ مِّثۡلَ صَٰعِقَةِ عَادٖ وَثَمُودَ
Abb bhi yeh roo-gardan ho to keh dijiyey! Kay mein tumhen uss karak (azab-e-aasmani) say darata hun jo misil aadiyon aur samoodiyon ki karak kay hogi
Surah Fussilat, Verse 13
إِذۡ جَآءَتۡهُمُ ٱلرُّسُلُ مِنۢ بَيۡنِ أَيۡدِيهِمۡ وَمِنۡ خَلۡفِهِمۡ أَلَّا تَعۡبُدُوٓاْ إِلَّا ٱللَّهَۖ قَالُواْ لَوۡ شَآءَ رَبُّنَا لَأَنزَلَ مَلَـٰٓئِكَةٗ فَإِنَّا بِمَآ أُرۡسِلۡتُم بِهِۦ كَٰفِرُونَ
Unn kay pass jab unkay aagay peechay payghumbar aaye kay tum Allah kay siwa kissi ki ibadat na kero to unhon ney jawab diya kay agar humara perwardigar chahata to farishton ko bhejta. Hum to tumhari risalat kay bilkul munkir hain
Surah Fussilat, Verse 14
فَأَمَّا عَادٞ فَٱسۡتَكۡبَرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَقَالُواْ مَنۡ أَشَدُّ مِنَّا قُوَّةًۖ أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ ٱلَّذِي خَلَقَهُمۡ هُوَ أَشَدُّ مِنۡهُمۡ قُوَّةٗۖ وَكَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَجۡحَدُونَ
Abb aad ney to bey waja zamin mein sirkashi shooro kerdi aur kehney lagay kay hum say zor-aawar kon hai? Kiya unhen yeh nazar na aaya kay jiss ney unhen peda kiya hai woh unn say (boht hi) ziyadah zor-aawar hai woh (aakhir tak) humari aayaton ka inkar hi kertay rahey
Surah Fussilat, Verse 15
فَأَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ رِيحٗا صَرۡصَرٗا فِيٓ أَيَّامٖ نَّحِسَاتٖ لِّنُذِيقَهُمۡ عَذَابَ ٱلۡخِزۡيِ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَعَذَابُ ٱلۡأٓخِرَةِ أَخۡزَىٰۖ وَهُمۡ لَا يُنصَرُونَ
Bil-aakhir hum ney unn per aik tez-o-tund aandhi manhoos dino mein bhej di kay unhen dunyawi zindagi mein zillat kay azab ka maza chakha den aur (yaqeen mano) kay aakhirat ka azab iss say boht ziyadah ruswaee wala hai aur woh madad nahi kiyey jayen gay
Surah Fussilat, Verse 16
وَأَمَّا ثَمُودُ فَهَدَيۡنَٰهُمۡ فَٱسۡتَحَبُّواْ ٱلۡعَمَىٰ عَلَى ٱلۡهُدَىٰ فَأَخَذَتۡهُمۡ صَٰعِقَةُ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡهُونِ بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Rahey samood so hum ney unn ki bhi rehbari ki phir bhi unhon ney hidayat per andhay-pan ko tarjeeh di jiss bina per unhen (sarapa) zillat kay azab ki karak ney unn kay kartooton kay baees pakar liya
Surah Fussilat, Verse 17
وَنَجَّيۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَكَانُواْ يَتَّقُونَ
Aur (haan) eman daar aur paarsaaon ko hum ney (baal baal) bacha liya
Surah Fussilat, Verse 18
وَيَوۡمَ يُحۡشَرُ أَعۡدَآءُ ٱللَّهِ إِلَى ٱلنَّارِ فَهُمۡ يُوزَعُونَ
Aur jiss din Allah kay dushman dozakh ki taraf laye jayen gay aur inn (sab) ko jama kerdiya jayega
Surah Fussilat, Verse 19
حَتَّىٰٓ إِذَا مَا جَآءُوهَا شَهِدَ عَلَيۡهِمۡ سَمۡعُهُمۡ وَأَبۡصَٰرُهُمۡ وَجُلُودُهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Yahan tak kay jab bilkul jahannum kay pass aajayen gay unn per unn kay kaan aur unn ki aankhen aur unn ki khaalen unn kay aemaal ki gawahee den gay
Surah Fussilat, Verse 20
وَقَالُواْ لِجُلُودِهِمۡ لِمَ شَهِدتُّمۡ عَلَيۡنَاۖ قَالُوٓاْ أَنطَقَنَا ٱللَّهُ ٱلَّذِيٓ أَنطَقَ كُلَّ شَيۡءٖۚ وَهُوَ خَلَقَكُمۡ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Yeh apni khalon say kahen gay kay tum ney humaray khilaf shahdat kiyon di woh jawab den gi kay humen uss Allah ney qoot-e-goyaee ata farmaee jiss ney her cheez ko bolney ki taqat bakhshi hai ussi ney tumhen awwal martaba peda kiya aur ussi ki taraf tum sab lotaye jaogay
Surah Fussilat, Verse 21
وَمَا كُنتُمۡ تَسۡتَتِرُونَ أَن يَشۡهَدَ عَلَيۡكُمۡ سَمۡعُكُمۡ وَلَآ أَبۡصَٰرُكُمۡ وَلَا جُلُودُكُمۡ وَلَٰكِن ظَنَنتُمۡ أَنَّ ٱللَّهَ لَا يَعۡلَمُ كَثِيرٗا مِّمَّا تَعۡمَلُونَ
Aur tum (apni bad-aemaaliyan) iss waja say pocheedah rakhtay hi na thay kay tum per tumhari kaan aur tumhari aankhen aur tumhari khaalen gawahee den gi han tum yeh samjhtay rahey kay tum jo kuch bhi ker rahey ho iss mein say boht say aemaal say Allah bey-khabar hai
Surah Fussilat, Verse 22
وَذَٰلِكُمۡ ظَنُّكُمُ ٱلَّذِي ظَنَنتُم بِرَبِّكُمۡ أَرۡدَىٰكُمۡ فَأَصۡبَحۡتُم مِّنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Tumhari issi bad-gumani ney jo tum ney apnay rab say ker rakhi thi tumhen halak ker diya aur bil-aakhir tum ziyan kaaron mein hogaye
Surah Fussilat, Verse 23
فَإِن يَصۡبِرُواْ فَٱلنَّارُ مَثۡوٗى لَّهُمۡۖ وَإِن يَسۡتَعۡتِبُواْ فَمَا هُم مِّنَ ٱلۡمُعۡتَبِينَ
Abb agar yeh sabar keren to bhi inn ka thikana jahannum hi hai. Aur agar yeh (uzar-o)-maafi kay khuastgaar hon to bhi (mazoor-o)-maaf nahi rakhay jayen gay
Surah Fussilat, Verse 24
۞وَقَيَّضۡنَا لَهُمۡ قُرَنَآءَ فَزَيَّنُواْ لَهُم مَّا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُمۡ وَحَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقَوۡلُ فِيٓ أُمَمٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِم مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِۖ إِنَّهُمۡ كَانُواْ خَٰسِرِينَ
Aur hum ney inn kay kuch hum nashee muqarrar ker rakhay rhay jinhon ney unn kay aglay pichlay aemaal unn ki nighaon mein khoobsurat bana rakhay thay aur inn kay haq mein bhi Allah ka qol unn ummaton kay sath poora hua jo inn say pehlay jinno aur insano ki guzar chuki hain. Yaqeenan woh ziyan kaar sabir huyey
Surah Fussilat, Verse 25
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَا تَسۡمَعُواْ لِهَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ وَٱلۡغَوۡاْ فِيهِ لَعَلَّكُمۡ تَغۡلِبُونَ
Aur kafiron ney kaha iss quran ko suno hi mat (iss kay parhay janey ka waqt) aur be-huda goee kero kiya ajab kay tum ghalib aajao
Surah Fussilat, Verse 26
فَلَنُذِيقَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَذَابٗا شَدِيدٗا وَلَنَجۡزِيَنَّهُمۡ أَسۡوَأَ ٱلَّذِي كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Pus yaqeenan hum inn kafiron ko sakht azab chakhayen gay. Aur enhen inn kay bad-tareen aemaal ka badla (zaroor) zaroor den gay
Surah Fussilat, Verse 27
ذَٰلِكَ جَزَآءُ أَعۡدَآءِ ٱللَّهِ ٱلنَّارُۖ لَهُمۡ فِيهَا دَارُ ٱلۡخُلۡدِ جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَجۡحَدُونَ
Allah kay dushmano ki saza yehi dozakh ki aag hai jiss mein inn ka hameshgi ka ghar hai (yeh) badla hai humari aayaton say inkar kerney ka
Surah Fussilat, Verse 28
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ رَبَّنَآ أَرِنَا ٱلَّذَيۡنِ أَضَلَّانَا مِنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ نَجۡعَلۡهُمَا تَحۡتَ أَقۡدَامِنَا لِيَكُونَا مِنَ ٱلۡأَسۡفَلِينَ
Aur kafir log kahen gay aey humaray rab! Humen jinno insano (kay woh dono fareeq) dikha jinhon ney humen gumrah kiya (takay) hum unehn apnay qadmon talay daal den takay woh jahannum mein sab say neechay (sakht azab mein) hojayen
Surah Fussilat, Verse 29
إِنَّ ٱلَّذِينَ قَالُواْ رَبُّنَا ٱللَّهُ ثُمَّ ٱسۡتَقَٰمُواْ تَتَنَزَّلُ عَلَيۡهِمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ أَلَّا تَخَافُواْ وَلَا تَحۡزَنُواْ وَأَبۡشِرُواْ بِٱلۡجَنَّةِ ٱلَّتِي كُنتُمۡ تُوعَدُونَ
(Waqaee) jinn logon ney kaha humara perwardigar Allah hai phir iss per waeem rahey unn kay pass farishtay (yeh kehtay huyey) aatay hain kay tum kuch bhi andesha aur ghum na kero (bulkay) iss jannat ki bisharat sunn lo jiss ka tum wada diyey gayey ho
Surah Fussilat, Verse 30
نَحۡنُ أَوۡلِيَآؤُكُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَفِي ٱلۡأٓخِرَةِۖ وَلَكُمۡ فِيهَا مَا تَشۡتَهِيٓ أَنفُسُكُمۡ وَلَكُمۡ فِيهَا مَا تَدَّعُونَ
Tumhari dunyawi zindagi mein bhi hum tumharay rafiq thay aur aakhirat mein bhi rahen gay jiss cheez ko tumhara ji chahye aur jo kuch tum mango sab tumharay liye (jannat mein mojood) hai
Surah Fussilat, Verse 31
نُزُلٗا مِّنۡ غَفُورٖ رَّحِيمٖ
Ghafoor-o-Raheem (mabood) ki taraf say yeh sab kuch bator mehmani kay hai
Surah Fussilat, Verse 32
وَمَنۡ أَحۡسَنُ قَوۡلٗا مِّمَّن دَعَآ إِلَى ٱللَّهِ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا وَقَالَ إِنَّنِي مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
Aur uss say ziyadah achi baat wala kon hai jo Allah ki taraf bulaye aur nek kaam keray aur kahey kay mein musalmanon mein say hun
Surah Fussilat, Verse 33
وَلَا تَسۡتَوِي ٱلۡحَسَنَةُ وَلَا ٱلسَّيِّئَةُۚ ٱدۡفَعۡ بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ فَإِذَا ٱلَّذِي بَيۡنَكَ وَبَيۡنَهُۥ عَدَٰوَةٞ كَأَنَّهُۥ وَلِيٌّ حَمِيمٞ
Neki aur badi barabar nahi hoti. Buraee say bhalalee ko dafa kero phir wohi jiss kay aur tumharay darmiyan dushmani hai aisa hojayega jaisay dili dost
Surah Fussilat, Verse 34
وَمَا يُلَقَّىٰهَآ إِلَّا ٱلَّذِينَ صَبَرُواْ وَمَا يُلَقَّىٰهَآ إِلَّا ذُو حَظٍّ عَظِيمٖ
Aur yeh baat unhin ko naseeb hoti hai jo sabar keren aur issay siwaye baray naseebay walon kay koi nahi paa sakta
Surah Fussilat, Verse 35
وَإِمَّا يَنزَغَنَّكَ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ نَزۡغٞ فَٱسۡتَعِذۡ بِٱللَّهِۖ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Aur aar shetan ki taraf say koi waswasa aaye to Allah ki panah talab kero. Yaqeenan woh boht hi sunnay wala jannay wala hai
Surah Fussilat, Verse 36
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِ ٱلَّيۡلُ وَٱلنَّهَارُ وَٱلشَّمۡسُ وَٱلۡقَمَرُۚ لَا تَسۡجُدُواْ لِلشَّمۡسِ وَلَا لِلۡقَمَرِ وَٱسۡجُدُواْۤ لِلَّهِۤ ٱلَّذِي خَلَقَهُنَّ إِن كُنتُمۡ إِيَّاهُ تَعۡبُدُونَ
Aur din raat aur sooraj chand bhi (ussi ki) nishaniyon mien say hain tum sooraj ko sajdah na kero na chand ko bulkay sajdah uss Allah kay liye kero jiss ney inn sab ko peda kiya hai agar tumhen ussi ki ibadat kerni hai to
Surah Fussilat, Verse 37
فَإِنِ ٱسۡتَكۡبَرُواْ فَٱلَّذِينَ عِندَ رَبِّكَ يُسَبِّحُونَ لَهُۥ بِٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ وَهُمۡ لَا يَسۡـَٔمُونَ۩
Phir bhi agar yeh kibr-o-ghuroor keren to woh (farishtay) jo aap kay rab kay nazdeek hain woh to raat din uss ki tasbeeh biyan ker rahen hain aur (kissi waqt bhi) nahi uktatay
Surah Fussilat, Verse 38
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦٓ أَنَّكَ تَرَى ٱلۡأَرۡضَ خَٰشِعَةٗ فَإِذَآ أَنزَلۡنَا عَلَيۡهَا ٱلۡمَآءَ ٱهۡتَزَّتۡ وَرَبَتۡۚ إِنَّ ٱلَّذِيٓ أَحۡيَاهَا لَمُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰٓۚ إِنَّهُۥ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
Uss Allah ki nishaniyon mein say (yeh bhi) hai kay tu zamin ko dabi dabaee dekhta hai phir jab hum iss per meenh barsatay hain to woh tar-o-taza hoker ubharney lagti hai. Jiss ney ussay zindah kiya wohi yaqeeni tor per murdon ko bhi zindah kerney wala hai be-shak woh her (her) cheez per qadir hai
Surah Fussilat, Verse 39
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُلۡحِدُونَ فِيٓ ءَايَٰتِنَا لَا يَخۡفَوۡنَ عَلَيۡنَآۗ أَفَمَن يُلۡقَىٰ فِي ٱلنَّارِ خَيۡرٌ أَم مَّن يَأۡتِيٓ ءَامِنٗا يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ ٱعۡمَلُواْ مَا شِئۡتُمۡ إِنَّهُۥ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٌ
Be-shak jo log humari aayaton mein kaj-rawi kertay hain woh (kuch) hum say makhfi nahi (batlao to) jo aag mein dala jaye woh acha hai ya woh jo aman-o-amaan kay sath qayamat kay din aaye? Tum jo chahao kertay chalay jao woh tumhara sab kiya keraya dekh raha hai
Surah Fussilat, Verse 40
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِٱلذِّكۡرِ لَمَّا جَآءَهُمۡۖ وَإِنَّهُۥ لَكِتَٰبٌ عَزِيزٞ
Jinn logon ney apnay pass quran phonch janey kay bawajood uss say kufur kiya (woh bhi hum say posheedah nahi) yeh bari ba-wuqa’at kitab hai
Surah Fussilat, Verse 41
لَّا يَأۡتِيهِ ٱلۡبَٰطِلُ مِنۢ بَيۡنِ يَدَيۡهِ وَلَا مِنۡ خَلۡفِهِۦۖ تَنزِيلٞ مِّنۡ حَكِيمٍ حَمِيدٖ
Jiss kay pass baatil phatak bhi nahi sakta na uss kay aagay say na uss kay peechay say yeh hai nazil kerdah hikmaton walay khoobiyon walay (Allah) ki taraf say
Surah Fussilat, Verse 42
مَّا يُقَالُ لَكَ إِلَّا مَا قَدۡ قِيلَ لِلرُّسُلِ مِن قَبۡلِكَۚ إِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغۡفِرَةٖ وَذُو عِقَابٍ أَلِيمٖ
Aap say wohi kaha jata hai jo aap say pehlay rasoolon say bhi kaha gaya hai yaqeenan aap ka rab maafi wala aur dard-naak azab wala hai
Surah Fussilat, Verse 43
وَلَوۡ جَعَلۡنَٰهُ قُرۡءَانًا أَعۡجَمِيّٗا لَّقَالُواْ لَوۡلَا فُصِّلَتۡ ءَايَٰتُهُۥٓۖ ءَا۬عۡجَمِيّٞ وَعَرَبِيّٞۗ قُلۡ هُوَ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ هُدٗى وَشِفَآءٞۚ وَٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ فِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَقۡرٞ وَهُوَ عَلَيۡهِمۡ عَمًىۚ أُوْلَـٰٓئِكَ يُنَادَوۡنَ مِن مَّكَانِۭ بَعِيدٖ
Aur agar hum issay ajami zaban ka quran banatay to kehtay kay iss ki aayaten saaf saaf biyan kiyon nahi ki gayen? Yeh kiya kay ajami kitab aur aap arabi rasool? Aap keh dijiyey! Kay yeh to eman walon kay liye hidayat-o-shifa hai aur jo eman nahi latay unn kay kaano mein to (behra-pan aur) bojh hai aur yeh unn per andha-pan hai yeh woh log hain jo kissi boht door daraz jagah say pukaray jarahey hain
Surah Fussilat, Verse 44
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ فَٱخۡتُلِفَ فِيهِۚ وَلَوۡلَا كَلِمَةٞ سَبَقَتۡ مِن رَّبِّكَ لَقُضِيَ بَيۡنَهُمۡۚ وَإِنَّهُمۡ لَفِي شَكّٖ مِّنۡهُ مُرِيبٖ
Yaqeenan hum ney Musa (alh-e-salam) ko kitab di thi so uss mein bhi ikhtilaf kiya gaya aur agar (woh) baat na hoti (jo) aap kay rab ki taraf say pehlay hi muqarrar ho chuki hai to unkay darmiyan (kabhi ka) faisla ho chuka hota yeh log to iss kay baray mein boht sakht bey-shain kerney walay shak mein hain
Surah Fussilat, Verse 45
مَّنۡ عَمِلَ صَٰلِحٗا فَلِنَفۡسِهِۦۖ وَمَنۡ أَسَآءَ فَعَلَيۡهَاۗ وَمَا رَبُّكَ بِظَلَّـٰمٖ لِّلۡعَبِيدِ
Jo shaks nek kaam keray ga woh apnay nafay kay liye aur jo bura kaam keray ga uss ka wabal bhi ussi per hai. Aur aap ka rab bandon per zulm kerney wala nahi
Surah Fussilat, Verse 46
۞إِلَيۡهِ يُرَدُّ عِلۡمُ ٱلسَّاعَةِۚ وَمَا تَخۡرُجُ مِن ثَمَرَٰتٖ مِّنۡ أَكۡمَامِهَا وَمَا تَحۡمِلُ مِنۡ أُنثَىٰ وَلَا تَضَعُ إِلَّا بِعِلۡمِهِۦۚ وَيَوۡمَ يُنَادِيهِمۡ أَيۡنَ شُرَكَآءِي قَالُوٓاْ ءَاذَنَّـٰكَ مَامِنَّا مِن شَهِيدٖ
Qayamat ka ilm Allah hi ki taraf lotaya jata hai aur jo jo phal apnay shagoofon mein say nikaltay hain aur jo madah hamal say hoti hai aur jo bachay woh janti (peda kerti) hai sab ka ilm ussay hai aur jiss din Allah Taalaa inn (mushrikon) ko bula ker daryaft farmaye ga meray shareek kahan hain woh jawab den gay kay hum ney to tujhay keh sunaya kay hum mein say to koi iss ka gawah nahi
Surah Fussilat, Verse 47
وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَدۡعُونَ مِن قَبۡلُۖ وَظَنُّواْ مَا لَهُم مِّن مَّحِيصٖ
Aur yeh jin (jin) ki parashtish iss say pehlay kertay thay woh inn ki nigah say gum hogaye aur enhon ney samjh liya kay abb inn kay liye koi bachao nahi
Surah Fussilat, Verse 48
لَّا يَسۡـَٔمُ ٱلۡإِنسَٰنُ مِن دُعَآءِ ٱلۡخَيۡرِ وَإِن مَّسَّهُ ٱلشَّرُّ فَيَـُٔوسٞ قَنُوطٞ
Bhalaee kay mangney say insan thakta nahi aur agar issay koi takleef phonch jaye to mayyus aur na umeed hojata hai
Surah Fussilat, Verse 49
وَلَئِنۡ أَذَقۡنَٰهُ رَحۡمَةٗ مِّنَّا مِنۢ بَعۡدِ ضَرَّآءَ مَسَّتۡهُ لَيَقُولَنَّ هَٰذَا لِي وَمَآ أَظُنُّ ٱلسَّاعَةَ قَآئِمَةٗ وَلَئِن رُّجِعۡتُ إِلَىٰ رَبِّيٓ إِنَّ لِي عِندَهُۥ لَلۡحُسۡنَىٰۚ فَلَنُنَبِّئَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِمَا عَمِلُواْ وَلَنُذِيقَنَّهُم مِّنۡ عَذَابٍ غَلِيظٖ
Aur jo museebat ussay phonch chuki hai iss kay baad agar hum issay kissi rehmat ka maza chakhayen to woh keh uthta hai kay iss ka to mein haqdaar hi tha aur mein to khayal hi nahi ker sakta kay qayamat qaeem hogi aur agar mein apnay rab kay pass wapis kiya gaya to bhi yaqeenan meray liye uss kay pass bhi behtri hai yaqeenan hum inn kuffaar ko unkay aemaal say khabardaar keren gay aur unhen sakht azab ka maza chakhayen gay
Surah Fussilat, Verse 50
وَإِذَآ أَنۡعَمۡنَا عَلَى ٱلۡإِنسَٰنِ أَعۡرَضَ وَنَـَٔا بِجَانِبِهِۦ وَإِذَا مَسَّهُ ٱلشَّرُّ فَذُو دُعَآءٍ عَرِيضٖ
Aur jab hum insan per apna inam kertay hain to woh mun pher leta hai aur kinara kash hojata hai aur jab ussay museebat parti hai to bari lambi chori duyen kerney wala bann jata hai
Surah Fussilat, Verse 51
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِن كَانَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ ثُمَّ كَفَرۡتُم بِهِۦ مَنۡ أَضَلُّ مِمَّنۡ هُوَ فِي شِقَاقِۭ بَعِيدٖ
Aap keh dijiyey! Kay bhala yeh to batao kay agar yeh quran Allah ki taraf say aaya hua ho phir tum ney issay na mana pus uss say barh ker behka hua kon hoga jo mukhalifat mein (haq say) door chala jaye
Surah Fussilat, Verse 52
سَنُرِيهِمۡ ءَايَٰتِنَا فِي ٱلۡأٓفَاقِ وَفِيٓ أَنفُسِهِمۡ حَتَّىٰ يَتَبَيَّنَ لَهُمۡ أَنَّهُ ٱلۡحَقُّۗ أَوَلَمۡ يَكۡفِ بِرَبِّكَ أَنَّهُۥ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
Un-qareeb hum enhen apni nishaniyan aafaq-e-aalam mein bhi dikhayen gay aur khud inn ki apni zaat mein bhi yahan tak kay inn per khul jaye kay haq yehi hai kiya aap kay rab ka her cheez say waqif-o-aagah hona kafi nahi
Surah Fussilat, Verse 53
أَلَآ إِنَّهُمۡ فِي مِرۡيَةٖ مِّن لِّقَآءِ رَبِّهِمۡۗ أَلَآ إِنَّهُۥ بِكُلِّ شَيۡءٖ مُّحِيطُۢ
Yaqeen jano! Kay yeh log apnay rab kay roobaroo janey say shak mein hain yaad rakho kay Allah Taalaa her cheez ka ehaata kiyey huyey hai
Surah Fussilat, Verse 54