Surah Ash-Shura - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
حمٓ
Haa Meem
Surah Ash-Shura, Verse 1
عٓسٓقٓ
Ain seen Qaaf
Surah Ash-Shura, Verse 2
كَذَٰلِكَ يُوحِيٓ إِلَيۡكَ وَإِلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكَ ٱللَّهُ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Isi tarah Allah galib o hakeem (Most Mighty, the Most Wise) tumhari taraf aur tumse pehle guzre huey (Rasoolon) ki taraf wahee karta raha hai
Surah Ash-Shura, Verse 3
لَهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَلِيُّ ٱلۡعَظِيمُ
Aasmaano aur zameen mein jo kuch bhi hai usi ka hai, woh baratar aur azeem hai
Surah Ash-Shura, Verse 4
تَكَادُ ٱلسَّمَٰوَٰتُ يَتَفَطَّرۡنَ مِن فَوۡقِهِنَّۚ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يُسَبِّحُونَ بِحَمۡدِ رَبِّهِمۡ وَيَسۡتَغۡفِرُونَ لِمَن فِي ٱلۡأَرۡضِۗ أَلَآ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
Qareeb hai ke aasmaan upar se phatt padein farishtey apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh kar rahey hain, aur zameen walon ke haqq mein darguzar ki darkhwastein kiye jaate hain. Aagah raho, haqeeqat mein Allah gafoor o Raheem hi hai
Surah Ash-Shura, Verse 5
وَٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءَ ٱللَّهُ حَفِيظٌ عَلَيۡهِمۡ وَمَآ أَنتَ عَلَيۡهِم بِوَكِيلٖ
Jin logon ne usko chodh kar apne kuch dusre sarparast bana rakkhe hain, Allah hi unpar nigraan hai, tum unke hawala daar nahin ho
Surah Ash-Shura, Verse 6
وَكَذَٰلِكَ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ قُرۡءَانًا عَرَبِيّٗا لِّتُنذِرَ أُمَّ ٱلۡقُرَىٰ وَمَنۡ حَوۡلَهَا وَتُنذِرَ يَوۡمَ ٱلۡجَمۡعِ لَا رَيۡبَ فِيهِۚ فَرِيقٞ فِي ٱلۡجَنَّةِ وَفَرِيقٞ فِي ٱلسَّعِيرِ
Haan, isi tarah aey Nabi, yeh Quraan e arabi humne tumhari taraf wahee (revelation) kiya hai taa-ke tum bastiyaon ke markaz (shehar e Makkah) aur uske gird o pesh rehne walon ko khabardar kardo, aur jamaa honay ke din se dara do jiske aane mein koi shakk nahin.Ek girooh ko jannat mein jaana hai aur dusre girooh ko dozakh mein
Surah Ash-Shura, Verse 7
وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَجَعَلَهُمۡ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ وَلَٰكِن يُدۡخِلُ مَن يَشَآءُ فِي رَحۡمَتِهِۦۚ وَٱلظَّـٰلِمُونَ مَا لَهُم مِّن وَلِيّٖ وَلَا نَصِيرٍ
Agar Allah chahta to in sab ko ek hi ummat bana deta, magar woh jisey chahta hai apni rehmat mein dakhil karta hai. Aur zaalimon ka na koi wali hai na madadgaar
Surah Ash-Shura, Verse 8
أَمِ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءَۖ فَٱللَّهُ هُوَ ٱلۡوَلِيُّ وَهُوَ يُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Kya yeh (aisey naadaan hain ke) inhon ne usey chodh kar dusre wali(protectors) bana rakkhe hain? Wali(protector) to Allah hi hai, wahi murdon (dead) ko zinda karta hai, aur woh har cheez par qadir hai
Surah Ash-Shura, Verse 9
وَمَا ٱخۡتَلَفۡتُمۡ فِيهِ مِن شَيۡءٖ فَحُكۡمُهُۥٓ إِلَى ٱللَّهِۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبِّي عَلَيۡهِ تَوَكَّلۡتُ وَإِلَيۡهِ أُنِيبُ
Tumhare darmiyan jis maamle mein bhi ikhtilaf ho, uska faisla karna Allah ka kaam hai. Wahi Allah mera Rubb hai, usi par maine bharosa kiya, aur usi ki taraf main rujoo karta hoon
Surah Ash-Shura, Verse 10
فَاطِرُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ جَعَلَ لَكُم مِّنۡ أَنفُسِكُمۡ أَزۡوَٰجٗا وَمِنَ ٱلۡأَنۡعَٰمِ أَزۡوَٰجٗا يَذۡرَؤُكُمۡ فِيهِۚ لَيۡسَ كَمِثۡلِهِۦ شَيۡءٞۖ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡبَصِيرُ
Aasmaano aur zameen ka banane waala, jisne tumhari apni jins se tumhare liye jodey (pairs) paida kiye, aur isi tarah jaanwaron mein bhi (unhi ke hum jins) jodey(pairs) banaye, aur is tareeqe se woh tumhari naslein (generations) phailata hai. Qayanat ki koi cheez uske mushabeh nahin, woh sab kuch sunnay aur dekhne wala hai
Surah Ash-Shura, Verse 11
لَهُۥ مَقَالِيدُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُۚ إِنَّهُۥ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
Aasmaano aur zameen ke khazano ki kunjiyan usi ke paas hain. Jisey chahta hai khula rizq deta hai aur jisey chahta hai napa tula deta hai. Usey har cheez ka ilm hai
Surah Ash-Shura, Verse 12
۞شَرَعَ لَكُم مِّنَ ٱلدِّينِ مَا وَصَّىٰ بِهِۦ نُوحٗا وَٱلَّذِيٓ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ وَمَا وَصَّيۡنَا بِهِۦٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَمُوسَىٰ وَعِيسَىٰٓۖ أَنۡ أَقِيمُواْ ٱلدِّينَ وَلَا تَتَفَرَّقُواْ فِيهِۚ كَبُرَ عَلَى ٱلۡمُشۡرِكِينَ مَا تَدۡعُوهُمۡ إِلَيۡهِۚ ٱللَّهُ يَجۡتَبِيٓ إِلَيۡهِ مَن يَشَآءُ وَيَهۡدِيٓ إِلَيۡهِ مَن يُنِيبُ
Usne tumhare liye deen ka wahi tareeqa muqarrar kiya hai jiska hukum usne Nooh ko diya tha, aur jisey (aey Muhammad) ab tumhari taraf humne wahee ke zariye se bheja hai, aur jiski hidayat hum Ibrahim aur Moosa aur Isa ko de chuke hain, is takeed ke saath ke qayam karo is deen ko aur us mein mutafarriq na ho jao. Yahi baat in mushrikin ko sakht nagawaar hui hai jiski taraf aey Muhammad tum inhein dawat de rahey ho. Allah jisey chahta hai apna kar leta hai, aur woh apni taraf aane ka raasta usi ko dikhata hai jo uski taraf rujoo karey
Surah Ash-Shura, Verse 13
وَمَا تَفَرَّقُوٓاْ إِلَّا مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَهُمُ ٱلۡعِلۡمُ بَغۡيَۢا بَيۡنَهُمۡۚ وَلَوۡلَا كَلِمَةٞ سَبَقَتۡ مِن رَّبِّكَ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗى لَّقُضِيَ بَيۡنَهُمۡۚ وَإِنَّ ٱلَّذِينَ أُورِثُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِنۢ بَعۡدِهِمۡ لَفِي شَكّٖ مِّنۡهُ مُرِيبٖ
Logon mein jo tafraqa(ikhtilaf) runuma hua woh iske baad hua ke unke paas ilm aa chuka tha aur is bina par hua ke woh aapas mein ek dusre par zyadati karna chahte thay. Agar tera Rubb pehle hi yeh na farma chuka hota ke ek waqt e muqarrar tak faisla multawi rakkha jayega to inka qaziya chuka diya gaya hota. Aur haqeeqat yeh hai ke aglon ke baad jo log kitab ke waaris banaye gaye woh uski taraf se badey istarab angez shakk mein padey huey hain
Surah Ash-Shura, Verse 14
فَلِذَٰلِكَ فَٱدۡعُۖ وَٱسۡتَقِمۡ كَمَآ أُمِرۡتَۖ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَهُمۡۖ وَقُلۡ ءَامَنتُ بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ مِن كِتَٰبٖۖ وَأُمِرۡتُ لِأَعۡدِلَ بَيۡنَكُمُۖ ٱللَّهُ رَبُّنَا وَرَبُّكُمۡۖ لَنَآ أَعۡمَٰلُنَا وَلَكُمۡ أَعۡمَٰلُكُمۡۖ لَا حُجَّةَ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمُۖ ٱللَّهُ يَجۡمَعُ بَيۡنَنَاۖ وَإِلَيۡهِ ٱلۡمَصِيرُ
Junke yeh halat paida ho chuki hai isliye aey Muhammad (s.a.s.) ab tum usi deen ki taraf dawat do, aur jis tarah tumhein hukum diya gaya hai us par mazbooti ke saath qayam ho jaao, aur in logon ki khwaishat ki ittiba na karo. Aur inse kehdo ke: “Allah ne jo kitaab bhi nazil ki hai main uspar imaan laya, mujhe hukum diya gaya hai ke main tumahre darmiyan insaaf karoon. Allah hi hamara Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi. Hamare aamal hamare liye hain aur tumhare aamal tumhare liye. Hamare aur tumhare darmiyan koi jhagda nahin. Allah ek roz hum sab ko jamaa karega aur usi ki taraf sab ko jana hai”
Surah Ash-Shura, Verse 15
وَٱلَّذِينَ يُحَآجُّونَ فِي ٱللَّهِ مِنۢ بَعۡدِ مَا ٱسۡتُجِيبَ لَهُۥ حُجَّتُهُمۡ دَاحِضَةٌ عِندَ رَبِّهِمۡ وَعَلَيۡهِمۡ غَضَبٞ وَلَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدٌ
Allah ki dawat par labbaik kahey jaane ke baad jo log (labbaik kehne walon se) Allah ke deen ke muaamle mein jhagde karte hain, unki hujjat baazi unke Rubb ke nazdeek baatil hai, aur unpar uska gazab hai aur unke liye sakht azaab hai
Surah Ash-Shura, Verse 16
ٱللَّهُ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ وَٱلۡمِيزَانَۗ وَمَا يُدۡرِيكَ لَعَلَّ ٱلسَّاعَةَ قَرِيبٞ
Woh Allah hi hai jisne haqq ke saath yeh kitaab aur mizaan nazil ki hai aur tumhein kya khabar, shayad ke faisley ki ghadi qareeb hi aa lagi ho
Surah Ash-Shura, Verse 17
يَسۡتَعۡجِلُ بِهَا ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِهَاۖ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مُشۡفِقُونَ مِنۡهَا وَيَعۡلَمُونَ أَنَّهَا ٱلۡحَقُّۗ أَلَآ إِنَّ ٱلَّذِينَ يُمَارُونَ فِي ٱلسَّاعَةِ لَفِي ضَلَٰلِۭ بَعِيدٍ
Jo log uske aane par imaan nahin rakhte woh to us ke liye jaldi machate hain, magar jo uspar imaan rakhte hain woh ussey darte hain aur jaante hain ke yaqeenan woh aane wali hai.Khoob sunlo, jo log us ghadi ke aane mein shakk daalne wali behsain (arguments) karte hain woh gumrahi mein bahut dur nikal gaye hain
Surah Ash-Shura, Verse 18
ٱللَّهُ لَطِيفُۢ بِعِبَادِهِۦ يَرۡزُقُ مَن يَشَآءُۖ وَهُوَ ٱلۡقَوِيُّ ٱلۡعَزِيزُ
Allah apne bandon par bahut meharban hai jisey jo kuch chahta hai deta hai. Woh badi quwwat wala aur zabardast hai
Surah Ash-Shura, Verse 19
مَن كَانَ يُرِيدُ حَرۡثَ ٱلۡأٓخِرَةِ نَزِدۡ لَهُۥ فِي حَرۡثِهِۦۖ وَمَن كَانَ يُرِيدُ حَرۡثَ ٱلدُّنۡيَا نُؤۡتِهِۦ مِنۡهَا وَمَا لَهُۥ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ مِن نَّصِيبٍ
Jo koi aakhirat ki kheti chahta hai uski kheti ko hum badhate hain, aur jo duniya ki kheti chahta hai usey duniya hi mein se detay hain magar aakhirat mein uska koi hissa nahin hai
Surah Ash-Shura, Verse 20
أَمۡ لَهُمۡ شُرَكَـٰٓؤُاْ شَرَعُواْ لَهُم مِّنَ ٱلدِّينِ مَا لَمۡ يَأۡذَنۢ بِهِ ٱللَّهُۚ وَلَوۡلَا كَلِمَةُ ٱلۡفَصۡلِ لَقُضِيَ بَيۡنَهُمۡۗ وَإِنَّ ٱلظَّـٰلِمِينَ لَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Kya yeh log kuch aisey sharik e khuda rakhte hain jinhon ne inke liye deen ki noiyat rakhne wala ek aisa tareeka muqarrar kardiya hai jiska Allah ne izan nahin diya? Agar faislay ki baat pehle tai na ho gayi hoti to inka qaziya chuka diya gaya hota. Yaqeenan in zaalimon ke liye dardnaak azaab hai
Surah Ash-Shura, Verse 21
تَرَى ٱلظَّـٰلِمِينَ مُشۡفِقِينَ مِمَّا كَسَبُواْ وَهُوَ وَاقِعُۢ بِهِمۡۗ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فِي رَوۡضَاتِ ٱلۡجَنَّاتِۖ لَهُم مَّا يَشَآءُونَ عِندَ رَبِّهِمۡۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَضۡلُ ٱلۡكَبِيرُ
Tum dekhoge ke yeh zaalim us waqt apne kiye ke anjaam se darr rahey hongey aur woh inpar aa kar rahega. Ba-khilaf iske jo log imaan le aaye hain aur jinhon ne neik aamal kiye hain woh jannat ke gulistano mein honge, jo kuch bhi woh chahenge apne Rubb ke haan paayenge, yahi bada fazal hai
Surah Ash-Shura, Verse 22
ذَٰلِكَ ٱلَّذِي يُبَشِّرُ ٱللَّهُ عِبَادَهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِۗ قُل لَّآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ أَجۡرًا إِلَّا ٱلۡمَوَدَّةَ فِي ٱلۡقُرۡبَىٰۗ وَمَن يَقۡتَرِفۡ حَسَنَةٗ نَّزِدۡ لَهُۥ فِيهَا حُسۡنًاۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ شَكُورٌ
Yeh hai woh cheez jiski khush khabri Allah apne un bandon ko deta hai jinhon ne maan liya aur neik amal kiye. Aey Nabi, in logon se kehdo ke main is kaam par tumse kisi ajar ka taalib nahin hoon. Albatta qarabat (kinsfolk) ki muhabbat zaroor chahta hoon. Jo koi bhalayi kamayega hum uske liye us bhalayi mein khoobi ka izafa kar dengey. Beshak Allah bada darguzar karne wala aur qadardaan hai
Surah Ash-Shura, Verse 23
أَمۡ يَقُولُونَ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبٗاۖ فَإِن يَشَإِ ٱللَّهُ يَخۡتِمۡ عَلَىٰ قَلۡبِكَۗ وَيَمۡحُ ٱللَّهُ ٱلۡبَٰطِلَ وَيُحِقُّ ٱلۡحَقَّ بِكَلِمَٰتِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Kya yeh log kehte hain ke is shaks ne Allah par jhoota bohtan ghadh liya hai? Agar Allah chahe to tumhare dil par mohar karde. Woh baatil ko mita deta hai aur haq ko apne farmaano se haqq kar dikhata hai. Woh seeno ke chupey huey raaz jaanta hai
Surah Ash-Shura, Verse 24
وَهُوَ ٱلَّذِي يَقۡبَلُ ٱلتَّوۡبَةَ عَنۡ عِبَادِهِۦ وَيَعۡفُواْ عَنِ ٱلسَّيِّـَٔاتِ وَيَعۡلَمُ مَا تَفۡعَلُونَ
Wahi hai jo apne bandon se tawbah qabool karta hai aur buraiyon se darguzar karta hai, halanke tum logon ke sab afaal (jo kuch kar rahe ho) ka usey ilm hai
Surah Ash-Shura, Verse 25
وَيَسۡتَجِيبُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ وَيَزِيدُهُم مِّن فَضۡلِهِۦۚ وَٱلۡكَٰفِرُونَ لَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدٞ
Woh imaan laane walon aur neik amal karne waalon ki dua qabool karta hai aur apne fazal se unko aur zyada deta hai. Rahey inkar karne walay, to unke liye dardnaak saza hai
Surah Ash-Shura, Verse 26
۞وَلَوۡ بَسَطَ ٱللَّهُ ٱلرِّزۡقَ لِعِبَادِهِۦ لَبَغَوۡاْ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَٰكِن يُنَزِّلُ بِقَدَرٖ مَّا يَشَآءُۚ إِنَّهُۥ بِعِبَادِهِۦ خَبِيرُۢ بَصِيرٞ
Agar Allah apne sab bandon(servants) ko khula rizq de deta to woh zameen mein sarkashi ka toofaan barpa kar detey, Magar woh ek hisaab se jitna chahta hai naazil karta hai, yaqeenan woh apne bandon se ba khabar hai aur un par nigaah rakhta hai
Surah Ash-Shura, Verse 27
وَهُوَ ٱلَّذِي يُنَزِّلُ ٱلۡغَيۡثَ مِنۢ بَعۡدِ مَا قَنَطُواْ وَيَنشُرُ رَحۡمَتَهُۥۚ وَهُوَ ٱلۡوَلِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
Wahi hai jo logon ke mayous ho janey ke baad meh (rain) barsata hai aur apni rehmat phaila deta hai, aur wahi qaabil e taareef wali hai
Surah Ash-Shura, Verse 28
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِۦ خَلۡقُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَثَّ فِيهِمَا مِن دَآبَّةٖۚ وَهُوَ عَلَىٰ جَمۡعِهِمۡ إِذَا يَشَآءُ قَدِيرٞ
Uski nishaniyon mein se hai yeh zameen aur aasmaano ki paidaish, aur yeh jaandaar makhlooqat jo usne dono jagah phayla rakkhi hain. Woh jab chahey inhein ikattha kar sakta hai
Surah Ash-Shura, Verse 29
وَمَآ أَصَٰبَكُم مِّن مُّصِيبَةٖ فَبِمَا كَسَبَتۡ أَيۡدِيكُمۡ وَيَعۡفُواْ عَن كَثِيرٖ
Tumpar jo musibat bhi aayi hai, tumhare apne haathon ki kamayi se aayi hai, aur bahut se kasooron se woh waise hi darguzar kar jaata hai
Surah Ash-Shura, Verse 30
وَمَآ أَنتُم بِمُعۡجِزِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَمَا لَكُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ مِن وَلِيّٖ وَلَا نَصِيرٖ
Tum zameen mein apne khuda ko aajiz (frustrate) kardene waley nahin ho, aur Allah ke muqable mein tum koi haami o naasir (protector or helper) nahin rakhte
Surah Ash-Shura, Verse 31
وَمِنۡ ءَايَٰتِهِ ٱلۡجَوَارِ فِي ٱلۡبَحۡرِ كَٱلۡأَعۡلَٰمِ
Uski nishaniyon mein se hain yeh jahaz (ships) jo samandar mein pahadon ki tarah nazar aate hain
Surah Ash-Shura, Verse 32
إِن يَشَأۡ يُسۡكِنِ ٱلرِّيحَ فَيَظۡلَلۡنَ رَوَاكِدَ عَلَىٰ ظَهۡرِهِۦٓۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّكُلِّ صَبَّارٖ شَكُورٍ
Allah jab chahey hawa ko saakin (motionless) karde aur yeh samandar ki peeth (back) par khade reh jayein. Ismein badi nishaniyan hain har us shaks ke liye jo kamal darja sabr o shukar karne wala ho
Surah Ash-Shura, Verse 33
أَوۡ يُوبِقۡهُنَّ بِمَا كَسَبُواْ وَيَعۡفُ عَن كَثِيرٖ
Ya (unpar sawar honay walon ke) bahut se gunahon se dar guzar karte huey unke chandh hi kartooton ki padash mein unhein dubo (drown) de
Surah Ash-Shura, Verse 34
وَيَعۡلَمَ ٱلَّذِينَ يُجَٰدِلُونَ فِيٓ ءَايَٰتِنَا مَا لَهُم مِّن مَّحِيصٖ
Aur us waqt hamari aayat mein jhagade karne walon ko pata chal jaaye ke unke liye koi jaaye panaah nahin hai
Surah Ash-Shura, Verse 35
فَمَآ أُوتِيتُم مِّن شَيۡءٖ فَمَتَٰعُ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۚ وَمَا عِندَ ٱللَّهِ خَيۡرٞ وَأَبۡقَىٰ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَلَىٰ رَبِّهِمۡ يَتَوَكَّلُونَ
Jo kuch bhi tum logon ko diya gaya hai woh mehaz duniya ki chand roza zindagi ka sar o saaman hai, aur jo kuch Allah ke haan hai woh behtar bhi hai aur payedar bhi. Woh un logon ke liye hai jo imaan laye hain aur apne Rubb par bharosa karte hain
Surah Ash-Shura, Verse 36
وَٱلَّذِينَ يَجۡتَنِبُونَ كَبَـٰٓئِرَ ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡفَوَٰحِشَ وَإِذَا مَا غَضِبُواْ هُمۡ يَغۡفِرُونَ
Jo badey badey gunahon aur be hayayi ke kaamon se parheiz karte hain aur agar gussa aa jaye to darguzar kar jatey hain
Surah Ash-Shura, Verse 37
وَٱلَّذِينَ ٱسۡتَجَابُواْ لِرَبِّهِمۡ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَأَمۡرُهُمۡ شُورَىٰ بَيۡنَهُمۡ وَمِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ يُنفِقُونَ
Jo apne Rubb ka hukum maante hain, namaz qayam karte hain, apne maamlaat aapas ke mashware se chalate hain, humne jo kuch bhi rizq unhein diya hai us mein se kharch karte hain
Surah Ash-Shura, Verse 38
وَٱلَّذِينَ إِذَآ أَصَابَهُمُ ٱلۡبَغۡيُ هُمۡ يَنتَصِرُونَ
Aur jab unpar zyadati ki jaati hai to uska muqaabla karte hain
Surah Ash-Shura, Verse 39
وَجَزَـٰٓؤُاْ سَيِّئَةٖ سَيِّئَةٞ مِّثۡلُهَاۖ فَمَنۡ عَفَا وَأَصۡلَحَ فَأَجۡرُهُۥ عَلَى ٱللَّهِۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Burayi ka badla waisi hi burayi hai, phir jo koi maaf karde aur islaah karey uska ajar Allah ke zimme hai. Allah zaalimon ko pasand nahin karta
Surah Ash-Shura, Verse 40
وَلَمَنِ ٱنتَصَرَ بَعۡدَ ظُلۡمِهِۦ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مَا عَلَيۡهِم مِّن سَبِيلٍ
Aur jo log zulm honay ke baad badla lein unko malamat nahin ki ja sakti
Surah Ash-Shura, Verse 41
إِنَّمَا ٱلسَّبِيلُ عَلَى ٱلَّذِينَ يَظۡلِمُونَ ٱلنَّاسَ وَيَبۡغُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّۚ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Malamat ke mustahiq to woh hain jo dusron par zulm karte hain aur zameen mein na haqq zyadatiyan karte hain. Aisey logon ke liye dardnaak azaab hai
Surah Ash-Shura, Verse 42
وَلَمَن صَبَرَ وَغَفَرَ إِنَّ ذَٰلِكَ لَمِنۡ عَزۡمِ ٱلۡأُمُورِ
Albatta jo shaks sabr se kaam le aur darguzar karey, to yeh badi ulul azmi ke kaamon mein se hai
Surah Ash-Shura, Verse 43
وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِن وَلِيّٖ مِّنۢ بَعۡدِهِۦۗ وَتَرَى ٱلظَّـٰلِمِينَ لَمَّا رَأَوُاْ ٱلۡعَذَابَ يَقُولُونَ هَلۡ إِلَىٰ مَرَدّٖ مِّن سَبِيلٖ
Jis ko Allah hi gumraahi mein phenk de us ka koi sambhaalne wala Allah ke baad nahin hai. Tum dekho ge yeh zaalim jab azaab dekhenge to kahenge ab palatne ki bhi koi sabeel hai
Surah Ash-Shura, Verse 44
وَتَرَىٰهُمۡ يُعۡرَضُونَ عَلَيۡهَا خَٰشِعِينَ مِنَ ٱلذُّلِّ يَنظُرُونَ مِن طَرۡفٍ خَفِيّٖۗ وَقَالَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِنَّ ٱلۡخَٰسِرِينَ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ وَأَهۡلِيهِمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ أَلَآ إِنَّ ٱلظَّـٰلِمِينَ فِي عَذَابٖ مُّقِيمٖ
Aur tum dekhoge ke yeh jahannum ke saamne jab laye jayenge to zillat ke maare jhuke jaa rahey hongey aur usko nazar bacha bacha kar kan aankiyon (covert glance) se dekhenge.Us waqt woh log jo iman laye thay kahenge ke waqai asal ziyan kaar ([true] losers) wahi hain jinhon ne aaj qayamat ke din apne aapko aur apne mutaaliqin ko khasare mein daal diya. Khabardar raho, zaalim log mustaqil azaab mein hongey
Surah Ash-Shura, Verse 45
وَمَا كَانَ لَهُم مِّنۡ أَوۡلِيَآءَ يَنصُرُونَهُم مِّن دُونِ ٱللَّهِۗ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِن سَبِيلٍ
Aur unke koi haami o sarparast na hongey jo Allah ke muqaable mein unki madad ko aayein. Jisey Allah gumraahi mein phenk de uske liye bachao ki koi sabeel nahin
Surah Ash-Shura, Verse 46
ٱسۡتَجِيبُواْ لِرَبِّكُم مِّن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَ يَوۡمٞ لَّا مَرَدَّ لَهُۥ مِنَ ٱللَّهِۚ مَا لَكُم مِّن مَّلۡجَإٖ يَوۡمَئِذٖ وَمَا لَكُم مِّن نَّكِيرٖ
Maan lo apne Rubb ki baat qabl iske ke woh din aaye jiske talne ki koi surat Allah ki taraf se nahin hai. Us din tumhare liye koi jaaye panaah na hogi aur na koi tumhare haal ko badalne ki koshish karne wala hoga
Surah Ash-Shura, Verse 47
فَإِنۡ أَعۡرَضُواْ فَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ عَلَيۡهِمۡ حَفِيظًاۖ إِنۡ عَلَيۡكَ إِلَّا ٱلۡبَلَٰغُۗ وَإِنَّآ إِذَآ أَذَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ مِنَّا رَحۡمَةٗ فَرِحَ بِهَاۖ وَإِن تُصِبۡهُمۡ سَيِّئَةُۢ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيهِمۡ فَإِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ كَفُورٞ
Ab agar yeh log mooh moadte hain to aey Nabi humne tumko unpar nigehbaan bana kar to nahin bheja hai. Tumpar to sirf baat pahuncha dene ki zimmedari hai.Insaan ka haal yeh hai ke jab hum usey apni rehmat ka maza chakhate hain to uspar phool jata hai. Aur agar uske apne haathon ka kiya dhara kisi musibat ki shakal mein uspar ulat padta hai to sakht na shukra ban jata hai
Surah Ash-Shura, Verse 48
لِّلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ يَهَبُ لِمَن يَشَآءُ إِنَٰثٗا وَيَهَبُ لِمَن يَشَآءُ ٱلذُّكُورَ
Allah zameen aur aasmaano ki baadshahi ka maalik hai. Jo kuch chahta hai paida karta hai. Jisey chahta hai ladkiyan deta hai, jisey chahta hai ladke deta hai
Surah Ash-Shura, Verse 49
أَوۡ يُزَوِّجُهُمۡ ذُكۡرَانٗا وَإِنَٰثٗاۖ وَيَجۡعَلُ مَن يَشَآءُ عَقِيمًاۚ إِنَّهُۥ عَلِيمٞ قَدِيرٞ
Jisey chahta hai ladke aur ladkiyan mila-jula kar deta hai aur jisey chahta hai baanjh (barren) kardeta hai. Woh sab kuch jaanta hai aur har cheez par qadir hai
Surah Ash-Shura, Verse 50
۞وَمَا كَانَ لِبَشَرٍ أَن يُكَلِّمَهُ ٱللَّهُ إِلَّا وَحۡيًا أَوۡ مِن وَرَآيِٕ حِجَابٍ أَوۡ يُرۡسِلَ رَسُولٗا فَيُوحِيَ بِإِذۡنِهِۦ مَا يَشَآءُۚ إِنَّهُۥ عَلِيٌّ حَكِيمٞ
Kisi bashar (Insaan) ka yeh muqaam nahin hai ke Allah us se ru-baru baat karey, uski baat ya to wahee (isharey/ revelation) ke taur par hoti hai, ya purday ke piche se, ya phir woh koi paigaambar (farishta) bhejta hai aur woh uske hukum se jo kuch woh chahta hai, wahi karta hai. Woh bartar aur Hakeem(wise) hai
Surah Ash-Shura, Verse 51
وَكَذَٰلِكَ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ رُوحٗا مِّنۡ أَمۡرِنَاۚ مَا كُنتَ تَدۡرِي مَا ٱلۡكِتَٰبُ وَلَا ٱلۡإِيمَٰنُ وَلَٰكِن جَعَلۡنَٰهُ نُورٗا نَّهۡدِي بِهِۦ مَن نَّشَآءُ مِنۡ عِبَادِنَاۚ وَإِنَّكَ لَتَهۡدِيٓ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Aur isi tarah (aey Muhammad s.a.s) humne apne hukum se ek rooh tumhari tarf wahee ki hai. Tumhein kuch pata na tha ke kitaab kya hoti hai aur Imaan kya hota hai, Magar us rooh ko humne ek roshni bana diya jissey hum raah dikhate hain apne bandon mein se jisey chahte hain. Yaqeenan tum seedhey raaste ki taraf rehnumayi kar rahey ho
Surah Ash-Shura, Verse 52
صِرَٰطِ ٱللَّهِ ٱلَّذِي لَهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ أَلَآ إِلَى ٱللَّهِ تَصِيرُ ٱلۡأُمُورُ
Us khuda ke raaste ki taraf jo zameen aur aasmaano ki har cheez ka maalik hai. khabardar raho, saarey muaamlaat Allah hi ki taraf rujoo karte hain
Surah Ash-Shura, Verse 53