Surah Ash-Shura Verse 7 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Ash-Shuraوَكَذَٰلِكَ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ قُرۡءَانًا عَرَبِيّٗا لِّتُنذِرَ أُمَّ ٱلۡقُرَىٰ وَمَنۡ حَوۡلَهَا وَتُنذِرَ يَوۡمَ ٱلۡجَمۡعِ لَا رَيۡبَ فِيهِۚ فَرِيقٞ فِي ٱلۡجَنَّةِ وَفَرِيقٞ فِي ٱلسَّعِيرِ
Haan, isi tarah aey Nabi, yeh Quraan e arabi humne tumhari taraf wahee (revelation) kiya hai taa-ke tum bastiyaon ke markaz (shehar e Makkah) aur uske gird o pesh rehne walon ko khabardar kardo, aur jamaa honay ke din se dara do jiske aane mein koi shakk nahin.Ek girooh ko jannat mein jaana hai aur dusre girooh ko dozakh mein