Surah Az-Zukhruf - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
حمٓ
Haa Meem
Surah Az-Zukhruf, Verse 1
وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُبِينِ
Kasam hai is wazeh kitaab ki
Surah Az-Zukhruf, Verse 2
إِنَّا جَعَلۡنَٰهُ قُرۡءَٰنًا عَرَبِيّٗا لَّعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
Ke humne isey arabi zubaan ka Quran banaya hai taa-ke tumlog isey samjho
Surah Az-Zukhruf, Verse 3
وَإِنَّهُۥ فِيٓ أُمِّ ٱلۡكِتَٰبِ لَدَيۡنَا لَعَلِيٌّ حَكِيمٌ
Aur dar haqeeqat yeh ummul kitaab mein sabt(transcribed) hai, hamare haan badi buland maratba aur hikmat se labrez kitaab
Surah Az-Zukhruf, Verse 4
أَفَنَضۡرِبُ عَنكُمُ ٱلذِّكۡرَ صَفۡحًا أَن كُنتُمۡ قَوۡمٗا مُّسۡرِفِينَ
Ab kya hum tumse bezaar hokar yeh dars-e-naseehat tumhare yahan bhejna chodh dein sirf isliye tum hadd se guzare huey log ho
Surah Az-Zukhruf, Verse 5
وَكَمۡ أَرۡسَلۡنَا مِن نَّبِيّٖ فِي ٱلۡأَوَّلِينَ
Pehle guzri hui qaumon mein bhi baarha (baar baar) humne Nabi bheje hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 6
وَمَا يَأۡتِيهِم مِّن نَّبِيٍّ إِلَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Kabhi aisa nahin hua ke koi Nabi unke haan (yahan) aaya ho aur unhon ne uska mazak na udaya ho
Surah Az-Zukhruf, Verse 7
فَأَهۡلَكۡنَآ أَشَدَّ مِنۡهُم بَطۡشٗا وَمَضَىٰ مَثَلُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Phir jo log insey badarja zyada taaqatwar thay unhein humne halak kardiya. Pichli qaumon ki misalien guzar chuki hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 8
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ لَيَقُولُنَّ خَلَقَهُنَّ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡعَلِيمُ
Agar tum in logon se pucho ke zameen aur aasmaano ko kisne paida kiya hai to yeh khud kahenge ke inhein usi zabardast ilmi hasti ne paida kiya hai
Surah Az-Zukhruf, Verse 9
ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ مَهۡدٗا وَجَعَلَ لَكُمۡ فِيهَا سُبُلٗا لَّعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُونَ
Wahi na jisne tumhare liye is zameen ko gehwara (cradle) banaya aur ismein tumhari khatir raaste bana diye taa-ke tum apni manzil e maqsood ki raah paa sako
Surah Az-Zukhruf, Verse 10
وَٱلَّذِي نَزَّلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءَۢ بِقَدَرٖ فَأَنشَرۡنَا بِهِۦ بَلۡدَةٗ مَّيۡتٗاۚ كَذَٰلِكَ تُخۡرَجُونَ
Jisne ek khaas miqdar mein aasman se paani utara aur uske zariye se murda (dead) zameen ko jila uthaya. Isi tarah ek roz tum zameen se baramad kiye jaogey
Surah Az-Zukhruf, Verse 11
وَٱلَّذِي خَلَقَ ٱلۡأَزۡوَٰجَ كُلَّهَا وَجَعَلَ لَكُم مِّنَ ٱلۡفُلۡكِ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ مَا تَرۡكَبُونَ
Wahi jisne yeh tamaam jodey (pairs) paida kiye, aur jisne tumhare liye kashtiyon (ships) aur jaanwaron ko sawari banaya taa-ke tum unki pusht (backs) par chadho
Surah Az-Zukhruf, Verse 12
لِتَسۡتَوُۥاْ عَلَىٰ ظُهُورِهِۦ ثُمَّ تَذۡكُرُواْ نِعۡمَةَ رَبِّكُمۡ إِذَا ٱسۡتَوَيۡتُمۡ عَلَيۡهِ وَتَقُولُواْ سُبۡحَٰنَ ٱلَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُۥ مُقۡرِنِينَ
Aur jab unpar baitho (sit) to apne Rubb ka ehsan yaad karo aur kaho ke “paak hai woh jisne hamare liye in cheezon ko musakkhar(bas mein) kardiya warna hum unhein qaabu mein laane ki taaqat na rakhte thay
Surah Az-Zukhruf, Verse 13
وَإِنَّآ إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنقَلِبُونَ
Aur ek roz humein apne Rubb ki taraf palatna hai”
Surah Az-Zukhruf, Verse 14
وَجَعَلُواْ لَهُۥ مِنۡ عِبَادِهِۦ جُزۡءًاۚ إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لَكَفُورٞ مُّبِينٌ
(Yeh sab kuch jaante aur maante huey bhi) in logon ne uske bandon (servants) mein se baaz ko uska juz (part) bana daala, haqeeqat yeh hai ke Insaan khula ehsan faramosh hai
Surah Az-Zukhruf, Verse 15
أَمِ ٱتَّخَذَ مِمَّا يَخۡلُقُ بَنَاتٖ وَأَصۡفَىٰكُم بِٱلۡبَنِينَ
Kya Allah ne apni makhlooq mein se apne liye betiyan intikhab (chose) ki aur tumhein beiton (sons) se nawaza
Surah Az-Zukhruf, Verse 16
وَإِذَا بُشِّرَ أَحَدُهُم بِمَا ضَرَبَ لِلرَّحۡمَٰنِ مَثَلٗا ظَلَّ وَجۡهُهُۥ مُسۡوَدّٗا وَهُوَ كَظِيمٌ
Aur haal yeh hai ke jis aulad ko yeh log us khuda e Rehman ki taraf mansoob karte hain uski wiladat ka musda (tidings/news/khabar) jab khud in mein se kisi ko diya jata hai to uske mooh par siyahi(darkens) chaa jaati hai aur woh gham se bhar jaata hai
Surah Az-Zukhruf, Verse 17
أَوَمَن يُنَشَّؤُاْ فِي ٱلۡحِلۡيَةِ وَهُوَ فِي ٱلۡخِصَامِ غَيۡرُ مُبِينٖ
Kya Allah ke hisse mein woh aulad aayi jo zewaron (ornaments) mein paali jaati hai aur behas o hujjat mein apna mudda puri tarah wazeh bhi nahin kar sakti
Surah Az-Zukhruf, Verse 18
وَجَعَلُواْ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةَ ٱلَّذِينَ هُمۡ عِبَٰدُ ٱلرَّحۡمَٰنِ إِنَٰثًاۚ أَشَهِدُواْ خَلۡقَهُمۡۚ سَتُكۡتَبُ شَهَٰدَتُهُمۡ وَيُسۡـَٔلُونَ
Unhon ne farishton ko, jo khuda e Rehman ke khaas banday hain, auratein karar de liya. Kya unke jism ki saakht inhon ne dekhi hai? Inki gawahi likh li jayegi aur inhein iske jawab-dahi karni hogi
Surah Az-Zukhruf, Verse 19
وَقَالُواْ لَوۡ شَآءَ ٱلرَّحۡمَٰنُ مَا عَبَدۡنَٰهُمۗ مَّا لَهُم بِذَٰلِكَ مِنۡ عِلۡمٍۖ إِنۡ هُمۡ إِلَّا يَخۡرُصُونَ
Yeh kehte hain “agar khuda-e-Rehman chahta (ke hum unki ibadat na karein) to hum kabhi unko na poojte” yeh is maamle ki haqeeqat ko qatai nahin jaante, mehaz teer tukkay ladate hain (are simply conjecturing /guess work)
Surah Az-Zukhruf, Verse 20
أَمۡ ءَاتَيۡنَٰهُمۡ كِتَٰبٗا مِّن قَبۡلِهِۦ فَهُم بِهِۦ مُسۡتَمۡسِكُونَ
Kya humne issey pehle koi kitaab inko di thi jiski sanad [apne is malaika (farihste) parasti ke liye] yeh apne paas rakhte hon
Surah Az-Zukhruf, Verse 21
بَلۡ قَالُوٓاْ إِنَّا وَجَدۡنَآ ءَابَآءَنَا عَلَىٰٓ أُمَّةٖ وَإِنَّا عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِم مُّهۡتَدُونَ
Nahin, balke yeh kehte hain ke humne apne baap dada ko ek tarike par paya hai aur hum unhi ke nakshe qadam par chal rahe hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 22
وَكَذَٰلِكَ مَآ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ فِي قَرۡيَةٖ مِّن نَّذِيرٍ إِلَّا قَالَ مُتۡرَفُوهَآ إِنَّا وَجَدۡنَآ ءَابَآءَنَا عَلَىٰٓ أُمَّةٖ وَإِنَّا عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِم مُّقۡتَدُونَ
Isi tarah tumse pehle jis basti mein bhi humne koi nazeer(darane wala) bheja, uske khaate peete logon ne yahi kaha ke humne apne baap dada ko ek tareeqe par paya hai aur hum unhi ke naqshe qadam ki pairwi kar rahe hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 23
۞قَٰلَ أَوَلَوۡ جِئۡتُكُم بِأَهۡدَىٰ مِمَّا وَجَدتُّمۡ عَلَيۡهِ ءَابَآءَكُمۡۖ قَالُوٓاْ إِنَّا بِمَآ أُرۡسِلۡتُم بِهِۦ كَٰفِرُونَ
Har Nabi ne unsey poocha, kya tum usi dagar par cahle jaogey khwah mein us raaste se zyada saheeh raasta tumhein bataun jispar tumne apne baap dada ko paya? Unhon ne saare Rasoolon ko yahi jawab diya ke jis deen ki taraf bulane ke liye tum bheje gaye ho hum uske kaafir hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 24
فَٱنتَقَمۡنَا مِنۡهُمۡۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُكَذِّبِينَ
Aakhir e kaar humne unki khabar le daali aur dekh lo ke jhutlane walon ka kya anjaam hua
Surah Az-Zukhruf, Verse 25
وَإِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِيمُ لِأَبِيهِ وَقَوۡمِهِۦٓ إِنَّنِي بَرَآءٞ مِّمَّا تَعۡبُدُونَ
Yaad karo woh waqt jab Ibrahim ne apne baap aur apni qaum se kaha tha ke “tum jinki bandagi karte ho mera unsey koi taaq nahin
Surah Az-Zukhruf, Verse 26
إِلَّا ٱلَّذِي فَطَرَنِي فَإِنَّهُۥ سَيَهۡدِينِ
Mera talluq sirf ussey hai jisne mujhe paida kiya, wahi meri rehnumayi karega”
Surah Az-Zukhruf, Verse 27
وَجَعَلَهَا كَلِمَةَۢ بَاقِيَةٗ فِي عَقِبِهِۦ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
Aur Ibrahim yahi kalima apne peechey apni aulad mein chodh gaya taa-ke woh iski taraf ruju karein
Surah Az-Zukhruf, Verse 28
بَلۡ مَتَّعۡتُ هَـٰٓؤُلَآءِ وَءَابَآءَهُمۡ حَتَّىٰ جَآءَهُمُ ٱلۡحَقُّ وَرَسُولٞ مُّبِينٞ
(Is ke bawajood jab yeh log dusron ki bandagi karne lagey to maine inko mita nahin diya) balke main inhein aur inke baap dada ko mata-e-hayat (sustenance) deta raha yahan tak ke inke paas haqq, aur khol khol kar bayan karne wala Rasool aa gaya
Surah Az-Zukhruf, Verse 29
وَلَمَّا جَآءَهُمُ ٱلۡحَقُّ قَالُواْ هَٰذَا سِحۡرٞ وَإِنَّا بِهِۦ كَٰفِرُونَ
Magar jab woh haqq inke paas aaya to inhon ne keh diya yeh to jaadu hai aur hum isko maanne se inkar karte hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 30
وَقَالُواْ لَوۡلَا نُزِّلَ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانُ عَلَىٰ رَجُلٖ مِّنَ ٱلۡقَرۡيَتَيۡنِ عَظِيمٍ
Kehte hain, yeh Quran dono sheharon ke baday aadmiyon mein se kisi par kyoun na nazil kiya gaya
Surah Az-Zukhruf, Verse 31
أَهُمۡ يَقۡسِمُونَ رَحۡمَتَ رَبِّكَۚ نَحۡنُ قَسَمۡنَا بَيۡنَهُم مَّعِيشَتَهُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۚ وَرَفَعۡنَا بَعۡضَهُمۡ فَوۡقَ بَعۡضٖ دَرَجَٰتٖ لِّيَتَّخِذَ بَعۡضُهُم بَعۡضٗا سُخۡرِيّٗاۗ وَرَحۡمَتُ رَبِّكَ خَيۡرٞ مِّمَّا يَجۡمَعُونَ
Kya tere Rubb ki rehmat yeh log takseem karte hain? Duniya ki zindagi mein inki guzar basar ke zaraye to humne inke darmiyan takseem kiye hain, Aur in mein se kuch logon ko kuch dusre logon par humne badarja-ha fauqiyat di hai taa-ke yeh ek dusre se khidmat lein aur tere Rubb ki rehmat us daulat se zyada keemati hai jo (inke rahees) samait rahe hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 32
وَلَوۡلَآ أَن يَكُونَ ٱلنَّاسُ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ لَّجَعَلۡنَا لِمَن يَكۡفُرُ بِٱلرَّحۡمَٰنِ لِبُيُوتِهِمۡ سُقُفٗا مِّن فِضَّةٖ وَمَعَارِجَ عَلَيۡهَا يَظۡهَرُونَ
Agar yeh andesha na hota ke saare log ek hi tareeqe ke ho jayenge to hum khuda e Rehman se kufr karne walon ke gharon ki chatein (canopy), aur unki seedhiyan (ladders) jinse woh apne baala khaano par chadte hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 33
وَلِبُيُوتِهِمۡ أَبۡوَٰبٗا وَسُرُرًا عَلَيۡهَا يَتَّكِـُٔونَ
Aur unke darwaze , aur unke takhat jinpar woh takiye (pillows) laga kar baithte hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 34
وَزُخۡرُفٗاۚ وَإِن كُلُّ ذَٰلِكَ لَمَّا مَتَٰعُ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۚ وَٱلۡأٓخِرَةُ عِندَ رَبِّكَ لِلۡمُتَّقِينَ
Sab chandi aur soney (gold) ke banwa detay .Yeh to mehaz hayat e duniya ki mataah hain.Aur aakhirat tere Rubb ke haan sirf muttaqeen ke liye hai
Surah Az-Zukhruf, Verse 35
وَمَن يَعۡشُ عَن ذِكۡرِ ٱلرَّحۡمَٰنِ نُقَيِّضۡ لَهُۥ شَيۡطَٰنٗا فَهُوَ لَهُۥ قَرِينٞ
Jo shaks Rehman ke zikar se tagaful (gaflat) barat-ta hai, hum ispar ek shaytan musallat kar detay hain aur woh uska rafiq ban jata hai
Surah Az-Zukhruf, Verse 36
وَإِنَّهُمۡ لَيَصُدُّونَهُمۡ عَنِ ٱلسَّبِيلِ وَيَحۡسَبُونَ أَنَّهُم مُّهۡتَدُونَ
Yeh shayateen aisay logon ko raah e raast par aane se rokte hain, aur woh apni jagah yeh samajhte hain ke hum theek jaa rahe hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 37
حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَنَا قَالَ يَٰلَيۡتَ بَيۡنِي وَبَيۡنَكَ بُعۡدَ ٱلۡمَشۡرِقَيۡنِ فَبِئۡسَ ٱلۡقَرِينُ
Aakhir e kaar jab yeh shaks hamare haan pahuchega to apne shaytan se kahega “kaash mere aur tere darmiyan mashriq o magrib ka boadh (doori/ distance) hota, tu to badhtareen saathi nikla”
Surah Az-Zukhruf, Verse 38
وَلَن يَنفَعَكُمُ ٱلۡيَوۡمَ إِذ ظَّلَمۡتُمۡ أَنَّكُمۡ فِي ٱلۡعَذَابِ مُشۡتَرِكُونَ
Us waqt in logon se kaha jayega ke jab tum zulm kar chuke to aaj yeh baat tumhare liye kuch bhi nafeh nahin hai ke tum aur tumahre shayateen azaab mein mushtarik hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 39
أَفَأَنتَ تُسۡمِعُ ٱلصُّمَّ أَوۡ تَهۡدِي ٱلۡعُمۡيَ وَمَن كَانَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
Ab kya aey Nabi tum behron (deaf) ko sunaoge? Ya andhon (blind) aur sareeh gumrahi mein padey huey logon ko raah dihoge
Surah Az-Zukhruf, Verse 40
فَإِمَّا نَذۡهَبَنَّ بِكَ فَإِنَّا مِنۡهُم مُّنتَقِمُونَ
Ab to humein inko saza deni hai khwah tumhein duniya se utha lein
Surah Az-Zukhruf, Verse 41
أَوۡ نُرِيَنَّكَ ٱلَّذِي وَعَدۡنَٰهُمۡ فَإِنَّا عَلَيۡهِم مُّقۡتَدِرُونَ
Ya tumko aankhon se inka woh anjaam dikha dein jiska humne issey waada kiya hai. Humein inpar poori qudrat haasil hai
Surah Az-Zukhruf, Verse 42
فَٱسۡتَمۡسِكۡ بِٱلَّذِيٓ أُوحِيَ إِلَيۡكَۖ إِنَّكَ عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Tum bahar-haal us kitaab ko mazbooti se thamay raho jo wahi ke zariye se tumhare paas bheji gayi hai, yaqeenan tum seedhey raaste par ho
Surah Az-Zukhruf, Verse 43
وَإِنَّهُۥ لَذِكۡرٞ لَّكَ وَلِقَوۡمِكَۖ وَسَوۡفَ تُسۡـَٔلُونَ
Haqeeqat yeh hai ke yeh kitaab tumahre liye aur tumhari qaum ke liye ek bahut bada sharaf hai aur anqareeb tum logon ko iski jawab-dahi karni hogi
Surah Az-Zukhruf, Verse 44
وَسۡـَٔلۡ مَنۡ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ مِن رُّسُلِنَآ أَجَعَلۡنَا مِن دُونِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ءَالِهَةٗ يُعۡبَدُونَ
Tumse pehle humne jitne Rasool bheje thay un sab se pooch dekho, kya humne khuda e Rehman ke siwa kuch dusre maabood bhi muqarrar kiye thay ke unki bandagi ki jaaye
Surah Az-Zukhruf, Verse 45
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا مُوسَىٰ بِـَٔايَٰتِنَآ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦ فَقَالَ إِنِّي رَسُولُ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Humne Moosa ko apni nishaniyon ke saath Firoun aur uske ayaan-e-sultanat ke paas bheja, aur usne jaa kar kaha ke main Rubb ul aalamin ka Rasool hoon
Surah Az-Zukhruf, Verse 46
فَلَمَّا جَآءَهُم بِـَٔايَٰتِنَآ إِذَا هُم مِّنۡهَا يَضۡحَكُونَ
Phir jab usne hamari nishaniyan unke saamne pesh ki to woh thatte (laughter) maarne lagey
Surah Az-Zukhruf, Verse 47
وَمَا نُرِيهِم مِّنۡ ءَايَةٍ إِلَّا هِيَ أَكۡبَرُ مِنۡ أُخۡتِهَاۖ وَأَخَذۡنَٰهُم بِٱلۡعَذَابِ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
Hum ek par ek aisi nishani unko dikhate chale gaye jo pehli se badh chadh kar thi, aur humne unko azaab mein dhar liya taa-ke woh apni rawish se baaz aayein
Surah Az-Zukhruf, Verse 48
وَقَالُواْ يَـٰٓأَيُّهَ ٱلسَّاحِرُ ٱدۡعُ لَنَا رَبَّكَ بِمَا عَهِدَ عِندَكَ إِنَّنَا لَمُهۡتَدُونَ
Har azaab ke mauqe par woh kehte, Aey saahir (Jaadugar/magician), apne Rubb ki taraf se jo mansab tujhe haasil hai uski bina par hamare liye ussey duaa kar, hum zaroor raah-e-raast par aa jayenge
Surah Az-Zukhruf, Verse 49
فَلَمَّا كَشَفۡنَا عَنۡهُمُ ٱلۡعَذَابَ إِذَا هُمۡ يَنكُثُونَ
Magar joonh hi ke hum unpar se azaab hata detay woh apni baat se phir jaatey thay
Surah Az-Zukhruf, Verse 50
وَنَادَىٰ فِرۡعَوۡنُ فِي قَوۡمِهِۦ قَالَ يَٰقَوۡمِ أَلَيۡسَ لِي مُلۡكُ مِصۡرَ وَهَٰذِهِ ٱلۡأَنۡهَٰرُ تَجۡرِي مِن تَحۡتِيٓۚ أَفَلَا تُبۡصِرُونَ
Ek roz Firoun ne apni qaum ke darmiyan pukar kar kaha, “logon, kya misr (egypt) ki baadshahi meri nahin hai, aur yeh nehrein (streams) mere nichey nahin beh rahi hain? Kya tum logon ko nazar nahin aata
Surah Az-Zukhruf, Verse 51
أَمۡ أَنَا۠ خَيۡرٞ مِّنۡ هَٰذَا ٱلَّذِي هُوَ مَهِينٞ وَلَا يَكَادُ يُبِينُ
Mein behtar hoon ya yeh shaks jo zaleel o haqeer hai aur apni baat bhi khol kar bayan nahin kar sakta
Surah Az-Zukhruf, Verse 52
فَلَوۡلَآ أُلۡقِيَ عَلَيۡهِ أَسۡوِرَةٞ مِّن ذَهَبٍ أَوۡ جَآءَ مَعَهُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ مُقۡتَرِنِينَ
Kyun na ispar soney (gold) ke kangan (bangles) utare gaye? Ya farishton ka ek dasta iski ardali mein na aaya?”
Surah Az-Zukhruf, Verse 53
فَٱسۡتَخَفَّ قَوۡمَهُۥ فَأَطَاعُوهُۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمٗا فَٰسِقِينَ
Usne apni qaum ko halka samjha aur unhon ne uski itaat ki, dar haqeeqat woh thay hi faasiq log
Surah Az-Zukhruf, Verse 54
فَلَمَّآ ءَاسَفُونَا ٱنتَقَمۡنَا مِنۡهُمۡ فَأَغۡرَقۡنَٰهُمۡ أَجۡمَعِينَ
Aakhir e kaar jab unhon ne humein gazabnaak kardiya to humne unse inteqam liya aur unko ikattha garq (drown) kiya
Surah Az-Zukhruf, Verse 55
فَجَعَلۡنَٰهُمۡ سَلَفٗا وَمَثَلٗا لِّلۡأٓخِرِينَ
Aur baad walon ke liye pesh-ro aur namoona ibrat banakar rakh diya
Surah Az-Zukhruf, Verse 56
۞وَلَمَّا ضُرِبَ ٱبۡنُ مَرۡيَمَ مَثَلًا إِذَا قَوۡمُكَ مِنۡهُ يَصِدُّونَ
Aur jonhi ke ibne Maryam (Jesus) ki misal di gayi, tumhari qaum ke logon ne uspar gul macha diya (chilla utthey/ raised a clamour)
Surah Az-Zukhruf, Verse 57
وَقَالُوٓاْ ءَأَٰلِهَتُنَا خَيۡرٌ أَمۡ هُوَۚ مَا ضَرَبُوهُ لَكَ إِلَّا جَدَلَۢاۚ بَلۡ هُمۡ قَوۡمٌ خَصِمُونَ
Aur lagey kehne ke hamare maabood acche hain ya woh? Yeh misaal woh tumhare saamne mehaz kach-behasi (argument/ contentiousness) ke liye laaye hain, haqeeat yeh hai ke yeh hain hi jhagdalu log
Surah Az-Zukhruf, Verse 58
إِنۡ هُوَ إِلَّا عَبۡدٌ أَنۡعَمۡنَا عَلَيۡهِ وَجَعَلۡنَٰهُ مَثَلٗا لِّبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ
Ibne Maryam (Jesus) iske siwa kuch na tha ek banda tha jispar humne inaam kiya aur bani israel ke liye apni qudrat ka ek namuna bana diya
Surah Az-Zukhruf, Verse 59
وَلَوۡ نَشَآءُ لَجَعَلۡنَا مِنكُم مَّلَـٰٓئِكَةٗ فِي ٱلۡأَرۡضِ يَخۡلُفُونَ
Hum chahein to tumse farishte paida kardein jo zameen mein tumhare janasheen(successors) hon
Surah Az-Zukhruf, Verse 60
وَإِنَّهُۥ لَعِلۡمٞ لِّلسَّاعَةِ فَلَا تَمۡتَرُنَّ بِهَا وَٱتَّبِعُونِۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ مُّسۡتَقِيمٞ
Aur woh dar-asal qayamat ki ek nishani hai, pas tum usmein shakk na karo meri baat maan lo, yahi seedha raasta hai
Surah Az-Zukhruf, Verse 61
وَلَا يَصُدَّنَّكُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُۖ إِنَّهُۥ لَكُمۡ عَدُوّٞ مُّبِينٞ
Aisa na ho shaytan tumko ussey roak de ke woh tumhara khula dushman hai
Surah Az-Zukhruf, Verse 62
وَلَمَّا جَآءَ عِيسَىٰ بِٱلۡبَيِّنَٰتِ قَالَ قَدۡ جِئۡتُكُم بِٱلۡحِكۡمَةِ وَلِأُبَيِّنَ لَكُم بَعۡضَ ٱلَّذِي تَخۡتَلِفُونَ فِيهِۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ
Aur jab Isa (Jesus) sareeh nishaniyan liye huey aaya tha to usne kaha tha ke “main tum logon ke paas hikmat lekar aaya hoon, aur isliye aaya hoon ke tumpar baaz un baaton ki haqeeqat khol doon jin mein tum ikhtilaf kar rahey ho, lihaza tum Allah se daro aur meri itaat karo
Surah Az-Zukhruf, Verse 63
إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ رَبِّي وَرَبُّكُمۡ فَٱعۡبُدُوهُۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ مُّسۡتَقِيمٞ
Haqeeqat yeh hai ke Allah hi mera Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi.Usi ki tum ibadat karo, yahi seedha raasta hai”
Surah Az-Zukhruf, Verse 64
فَٱخۡتَلَفَ ٱلۡأَحۡزَابُ مِنۢ بَيۡنِهِمۡۖ فَوَيۡلٞ لِّلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡ عَذَابِ يَوۡمٍ أَلِيمٍ
Magar (uski is saaf taleem ke bawajood) girohon (factions) ne aapas mein ikhtilaf kiya, pas tabahi hai un logon ke liye jinhon ne zulm kiya ek dardnaak din ke azaab se
Surah Az-Zukhruf, Verse 65
هَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا ٱلسَّاعَةَ أَن تَأۡتِيَهُم بَغۡتَةٗ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ
Kya yeh log ab bas isi cheez ke muntazir hain ke achanak inpar qiyamat aa jaye aur inhein khabar bhi na ho
Surah Az-Zukhruf, Verse 66
ٱلۡأَخِلَّآءُ يَوۡمَئِذِۭ بَعۡضُهُمۡ لِبَعۡضٍ عَدُوٌّ إِلَّا ٱلۡمُتَّقِينَ
Woh din jab aayega to muttaqin ko chodh kar baaki sab dost ek dursre ke dushman ho jayenge
Surah Az-Zukhruf, Verse 67
يَٰعِبَادِ لَا خَوۡفٌ عَلَيۡكُمُ ٱلۡيَوۡمَ وَلَآ أَنتُمۡ تَحۡزَنُونَ
Us roz un logon se jo hamari aayat par imaan laaye thay aur mutii-e-farmaan bankar rahey thay
Surah Az-Zukhruf, Verse 68
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَكَانُواْ مُسۡلِمِينَ
Kaha jayega ke “aey mere bandon (servents), aaj tumhare liye koi khauff nahin aur na tumhein koi gham lahiq hoga
Surah Az-Zukhruf, Verse 69
ٱدۡخُلُواْ ٱلۡجَنَّةَ أَنتُمۡ وَأَزۡوَٰجُكُمۡ تُحۡبَرُونَ
Dakhil ho jao jannat mein tum aur tumhari biwiyan, tumhein khush kardiya jaayega”
Surah Az-Zukhruf, Verse 70
يُطَافُ عَلَيۡهِم بِصِحَافٖ مِّن ذَهَبٖ وَأَكۡوَابٖۖ وَفِيهَا مَا تَشۡتَهِيهِ ٱلۡأَنفُسُ وَتَلَذُّ ٱلۡأَعۡيُنُۖ وَأَنتُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Unke aagay soonay (golden) ke thal (Platters) aur sagar gardish karaye jayenge aur har mann bhaati aur nigaahon ko lazzat dene wali cheez wahan maujood hogi. Unse kaha jayega, “tum ab yahan hamesha rahoge
Surah Az-Zukhruf, Verse 71
وَتِلۡكَ ٱلۡجَنَّةُ ٱلَّتِيٓ أُورِثۡتُمُوهَا بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Tum is jannat ke waaris apne un aamal ki wajah se huey ho jo tum duniya mein karte rahe
Surah Az-Zukhruf, Verse 72
لَكُمۡ فِيهَا فَٰكِهَةٞ كَثِيرَةٞ مِّنۡهَا تَأۡكُلُونَ
Tumhare liye yahan bakasrat fawake(abundant fruits) maujood hain jinhein tum khaogey”
Surah Az-Zukhruf, Verse 73
إِنَّ ٱلۡمُجۡرِمِينَ فِي عَذَابِ جَهَنَّمَ خَٰلِدُونَ
Rahe mujreem , to woh hamesha jahannum ke azaab mein mubtala rahenge
Surah Az-Zukhruf, Verse 74
لَا يُفَتَّرُ عَنۡهُمۡ وَهُمۡ فِيهِ مُبۡلِسُونَ
Kabhi unke azaab mein kami na hogi, aur woh us mein mayous padey hongey
Surah Az-Zukhruf, Verse 75
وَمَا ظَلَمۡنَٰهُمۡ وَلَٰكِن كَانُواْ هُمُ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Unpar humne zulm nahin kiya balke woh khud hi apne upar zulm karte rahey
Surah Az-Zukhruf, Verse 76
وَنَادَوۡاْ يَٰمَٰلِكُ لِيَقۡضِ عَلَيۡنَا رَبُّكَۖ قَالَ إِنَّكُم مَّـٰكِثُونَ
Woh pukarenge, “aey maalik, tera Rubb hamara kaam hi tamam ka de to accha hai” woh jawab dega “tum yun hi padey rahogey
Surah Az-Zukhruf, Verse 77
لَقَدۡ جِئۡنَٰكُم بِٱلۡحَقِّ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَكُمۡ لِلۡحَقِّ كَٰرِهُونَ
Hum tumhare paas haqq lekar aaye thay magar tum mein se aksar ko haqq hi nagawaar tha”
Surah Az-Zukhruf, Verse 78
أَمۡ أَبۡرَمُوٓاْ أَمۡرٗا فَإِنَّا مُبۡرِمُونَ
Kya in logon ne koi iqdam (plot) karne ka faisla karliya hai? Accha to hum bhi phir ek faisla kiye letey hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 79
أَمۡ يَحۡسَبُونَ أَنَّا لَا نَسۡمَعُ سِرَّهُمۡ وَنَجۡوَىٰهُمۚ بَلَىٰ وَرُسُلُنَا لَدَيۡهِمۡ يَكۡتُبُونَ
Kya inhon ne yeh samajh rakkha hai ke hum inki raaz ki baatein aur inki sargoshiyan sunte nahin hain? Hum sab kuch sun rahey hain aur hamare farishtey inke paas hi likh rahe hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 80
قُلۡ إِن كَانَ لِلرَّحۡمَٰنِ وَلَدٞ فَأَنَا۠ أَوَّلُ ٱلۡعَٰبِدِينَ
Inse kaho, agar waqai Rehman ki koi aulad hoti to sabse pehle Ibadat karne wala main hota”
Surah Az-Zukhruf, Verse 81
سُبۡحَٰنَ رَبِّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ رَبِّ ٱلۡعَرۡشِ عَمَّا يَصِفُونَ
Paak hai aasmaano aur zameen ka farma rawan, Arsh ka maalik, un saari baaton se jo yeh log us ki taraf mansoob karte hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 82
فَذَرۡهُمۡ يَخُوضُواْ وَيَلۡعَبُواْ حَتَّىٰ يُلَٰقُواْ يَوۡمَهُمُ ٱلَّذِي يُوعَدُونَ
Accha, inhein apne baatil khayalat mein garq aur apne khel mein munhamik rehne do, yahan tak ke yeh apna woh din dekh lein jiska inhein khauff dilaya jaa raha hai
Surah Az-Zukhruf, Verse 83
وَهُوَ ٱلَّذِي فِي ٱلسَّمَآءِ إِلَٰهٞ وَفِي ٱلۡأَرۡضِ إِلَٰهٞۚ وَهُوَ ٱلۡحَكِيمُ ٱلۡعَلِيمُ
Wahi ek aasman mein bhi khuda hai aur zameen mein bhi khuda, aur wahi hakeem o Aleem hai
Surah Az-Zukhruf, Verse 84
وَتَبَارَكَ ٱلَّذِي لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَا وَعِندَهُۥ عِلۡمُ ٱلسَّاعَةِ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Bahut baala-o-bartar hai woh jiske qabze mein zameen aur aasmaano aur har us cheez ki baadshahi hai jo zameen o aasman ke darmiyan payi jaati hai. Aur wahi qayamat ki ghadi ka ilm rakhta hai, aur usi ki taraf tum sab paltaye jaane waale ho
Surah Az-Zukhruf, Verse 85
وَلَا يَمۡلِكُ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِهِ ٱلشَّفَٰعَةَ إِلَّا مَن شَهِدَ بِٱلۡحَقِّ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ
Usko chodh kar yeh log jinhein pukarte hain woh kisi shafaat ka ikhtiyar nahin rakhte, illa yeh ke koi ilm ki bina par haqq ki shahadat de
Surah Az-Zukhruf, Verse 86
وَلَئِن سَأَلۡتَهُم مَّنۡ خَلَقَهُمۡ لَيَقُولُنَّ ٱللَّهُۖ فَأَنَّىٰ يُؤۡفَكُونَ
Aur agar tum insey pucho ke inhein kisne paida kiya hai to yeh khud kahenge ke Allah ne. Phir kahan se yeh dhoka kha rahe hain
Surah Az-Zukhruf, Verse 87
وَقِيلِهِۦ يَٰرَبِّ إِنَّ هَـٰٓؤُلَآءِ قَوۡمٞ لَّا يُؤۡمِنُونَ
Kasam hai Rasool ke is qaul ki ke aey Rubb, yeh woh log hain jo maan kar nahin detay
Surah Az-Zukhruf, Verse 88
فَٱصۡفَحۡ عَنۡهُمۡ وَقُلۡ سَلَٰمٞۚ فَسَوۡفَ يَعۡلَمُونَ
Accha, aey nabi insey darguzar karo aur kehdo ke salaam hai tumhein, anqareeb inhein maaloom ho jayega
Surah Az-Zukhruf, Verse 89