Surah Ad-Dukhan - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
حمٓ
Haa Meem
Surah Ad-Dukhan, Verse 1
وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُبِينِ
Kasam hai is kitaab e Mubeen ki
Surah Ad-Dukhan, Verse 2
إِنَّآ أَنزَلۡنَٰهُ فِي لَيۡلَةٖ مُّبَٰرَكَةٍۚ إِنَّا كُنَّا مُنذِرِينَ
Ke humne isey ek badi khair o barakat wali raat mein nazil kiya hai, kyunke hum logon ko mutanabbeh (warning) karne ka irada rakhte thay
Surah Ad-Dukhan, Verse 3
فِيهَا يُفۡرَقُ كُلُّ أَمۡرٍ حَكِيمٍ
Yeh woh raat thi jismein har maamle ka hakeemana faisla
Surah Ad-Dukhan, Verse 4
أَمۡرٗا مِّنۡ عِندِنَآۚ إِنَّا كُنَّا مُرۡسِلِينَ
Hamare hukum se sadir kiya jata hai. Hum ek Rasool bhejne waley thay
Surah Ad-Dukhan, Verse 5
رَحۡمَةٗ مِّن رَّبِّكَۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Tere Rubb ki rehmat ke taur par.Yaqeenan wahi sab kuch sunne aur jaanne wala hai
Surah Ad-Dukhan, Verse 6
رَبِّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَآۖ إِن كُنتُم مُّوقِنِينَ
Aasmano aur zameen ka Rubb aur har us cheez ka Rubb jo Aasman o zameen ke darmiyan hai agar tum log waqaii yakeen rakhne waley ho
Surah Ad-Dukhan, Verse 7
لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ يُحۡيِۦ وَيُمِيتُۖ رَبُّكُمۡ وَرَبُّ ءَابَآئِكُمُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Koi maabood uske siwa nahin hai. Wahi zindagi ata karta hai aur wahi maut deta hai.Tumhara Rubb aur tumhare un aslaaf (forefathers) ka Rubb jo pehle guzar chuke hain
Surah Ad-Dukhan, Verse 8
بَلۡ هُمۡ فِي شَكّٖ يَلۡعَبُونَ
(Magar fil-waqeh in logon ko yaqeen nahin hai) balke yeh apne shakk mein paday khel rahey hain
Surah Ad-Dukhan, Verse 9
فَٱرۡتَقِبۡ يَوۡمَ تَأۡتِي ٱلسَّمَآءُ بِدُخَانٖ مُّبِينٖ
Accha intezar karo us din ka jab aasman sareeh dhuwan (smoke) liye huey aayega
Surah Ad-Dukhan, Verse 10
يَغۡشَى ٱلنَّاسَۖ هَٰذَا عَذَابٌ أَلِيمٞ
Aur woh logon par chaa jayega, yeh hai dardnaak saza
Surah Ad-Dukhan, Verse 11
رَّبَّنَا ٱكۡشِفۡ عَنَّا ٱلۡعَذَابَ إِنَّا مُؤۡمِنُونَ
(Ab kehte hain ke) “ parwardigar , humpar se yeh azaab taal de, hum imaan laatey hain”
Surah Ad-Dukhan, Verse 12
أَنَّىٰ لَهُمُ ٱلذِّكۡرَىٰ وَقَدۡ جَآءَهُمۡ رَسُولٞ مُّبِينٞ
Inki gaflat kahan dur hoti hai? Inka haal to yeh hai ke in ke paas Rasool e mubeen aa gaya
Surah Ad-Dukhan, Verse 13
ثُمَّ تَوَلَّوۡاْ عَنۡهُ وَقَالُواْ مُعَلَّمٞ مَّجۡنُونٌ
Phir bhi yeh uski taraf multafit na huey aur kaha ke “ yeh to sikhaya padaya bawla hai (well-tutored madman)”
Surah Ad-Dukhan, Verse 14
إِنَّا كَاشِفُواْ ٱلۡعَذَابِ قَلِيلًاۚ إِنَّكُمۡ عَآئِدُونَ
Hum zara azaab hataye detay hain, tum log phir wahi kuch karoge jo pehle kar rahe thay
Surah Ad-Dukhan, Verse 15
يَوۡمَ نَبۡطِشُ ٱلۡبَطۡشَةَ ٱلۡكُبۡرَىٰٓ إِنَّا مُنتَقِمُونَ
Jis roz hum badi zarb (assault) lagayenge woh din hoga jab hum tumse intiqaam lenge
Surah Ad-Dukhan, Verse 16
۞وَلَقَدۡ فَتَنَّا قَبۡلَهُمۡ قَوۡمَ فِرۡعَوۡنَ وَجَآءَهُمۡ رَسُولٞ كَرِيمٌ
Hum insey pehle Firaun ki qaum ko isi aazmaish mein daal chuke hain. Unke paas ek nihayat shareef Rasool aaya
Surah Ad-Dukhan, Verse 17
أَنۡ أَدُّوٓاْ إِلَيَّ عِبَادَ ٱللَّهِۖ إِنِّي لَكُمۡ رَسُولٌ أَمِينٞ
Aur usne kaha “Allah ke bandon ko mere hawale karo, main tumhare liye ek amanat-daar Rasool hoon
Surah Ad-Dukhan, Verse 18
وَأَن لَّا تَعۡلُواْ عَلَى ٱللَّهِۖ إِنِّيٓ ءَاتِيكُم بِسُلۡطَٰنٖ مُّبِينٖ
Allah ke muqable mein sarkashi na karo. Main tumhare saamne (apni maamuriyat ki) sareeh sanad (clear authority) pesh karta hoon
Surah Ad-Dukhan, Verse 19
وَإِنِّي عُذۡتُ بِرَبِّي وَرَبِّكُمۡ أَن تَرۡجُمُونِ
Aur main apne Rubb aur tumhare Rubb ki panaah le chuka hoon issey ke tum mujhpar hamla-awar (attack) ho
Surah Ad-Dukhan, Verse 20
وَإِن لَّمۡ تُؤۡمِنُواْ لِي فَٱعۡتَزِلُونِ
Agar tum meri baat nahin maante to mujhpar haath daalne se baaz raho”
Surah Ad-Dukhan, Verse 21
فَدَعَا رَبَّهُۥٓ أَنَّ هَـٰٓؤُلَآءِ قَوۡمٞ مُّجۡرِمُونَ
Aakhir e kaar usne apne Rubb ko pukara ke yeh log mujrim hain
Surah Ad-Dukhan, Verse 22
فَأَسۡرِ بِعِبَادِي لَيۡلًا إِنَّكُم مُّتَّبَعُونَ
(Jawab diya gaya) accha to raat-o-raat mere bandon (servants) ko lekar chal padh. Tum logon ka peecha kiya jayega
Surah Ad-Dukhan, Verse 23
وَٱتۡرُكِ ٱلۡبَحۡرَ رَهۡوًاۖ إِنَّهُمۡ جُندٞ مُّغۡرَقُونَ
Samandar ko uske haal par khula chodh de.Yeh saara lashkar garq (drown) honay wala hai
Surah Ad-Dukhan, Verse 24
كَمۡ تَرَكُواْ مِن جَنَّـٰتٖ وَعُيُونٖ
Kitne hi baag aur chasme
Surah Ad-Dukhan, Verse 25
وَزُرُوعٖ وَمَقَامٖ كَرِيمٖ
Aur kheit (gardens) aur shaandaar mahal thay jo woh chodh gaye
Surah Ad-Dukhan, Verse 26
وَنَعۡمَةٖ كَانُواْ فِيهَا فَٰكِهِينَ
Kitne hi aish ke sar-o-samaan, jin mein woh mazey kar rahey thay unke pichey dharay reh gaye
Surah Ad-Dukhan, Verse 27
كَذَٰلِكَۖ وَأَوۡرَثۡنَٰهَا قَوۡمًا ءَاخَرِينَ
Yeh hua unka anjaam, aur humne dusron ko in cheezon ka waris bana diya
Surah Ad-Dukhan, Verse 28
فَمَا بَكَتۡ عَلَيۡهِمُ ٱلسَّمَآءُ وَٱلۡأَرۡضُ وَمَا كَانُواْ مُنظَرِينَ
Phir na aasman unpar roya na zameen, aur zara si mohalat bhi unko na di gayi
Surah Ad-Dukhan, Verse 29
وَلَقَدۡ نَجَّيۡنَا بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ مِنَ ٱلۡعَذَابِ ٱلۡمُهِينِ
Is taraah bani Israel ko humne sakht zillat ke azaab
Surah Ad-Dukhan, Verse 30
مِن فِرۡعَوۡنَۚ إِنَّهُۥ كَانَ عَالِيٗا مِّنَ ٱلۡمُسۡرِفِينَ
Firoun se najaat di jo hadd se guzar janey walon mein fil waqeh badey unchey darje ka aadmi tha
Surah Ad-Dukhan, Verse 31
وَلَقَدِ ٱخۡتَرۡنَٰهُمۡ عَلَىٰ عِلۡمٍ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aur unki halat jaante huye, unko duniya ki dursi qaumon par tarjeeh di
Surah Ad-Dukhan, Verse 32
وَءَاتَيۡنَٰهُم مِّنَ ٱلۡأٓيَٰتِ مَا فِيهِ بَلَـٰٓؤٞاْ مُّبِينٌ
Aur unhein aisi nishaniya dikhayi jin mein sareeh aazmaish thi
Surah Ad-Dukhan, Verse 33
إِنَّ هَـٰٓؤُلَآءِ لَيَقُولُونَ
Yeh log kehte hain
Surah Ad-Dukhan, Verse 34
إِنۡ هِيَ إِلَّا مَوۡتَتُنَا ٱلۡأُولَىٰ وَمَا نَحۡنُ بِمُنشَرِينَ
“hamari pehli maut ke siwa aur kuch nahin uske baad hum dobara uthaye jaane wale nahin hai
Surah Ad-Dukhan, Verse 35
فَأۡتُواْ بِـَٔابَآئِنَآ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Agar tum sacchey ho to utha lao hamare baap dada ko”
Surah Ad-Dukhan, Verse 36
أَهُمۡ خَيۡرٌ أَمۡ قَوۡمُ تُبَّعٖ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ أَهۡلَكۡنَٰهُمۡۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ مُجۡرِمِينَ
Yeh behtar hai ya tubbah ki qaum aur ussey pehle ke log? Humne unko isi bina par tabah kiya ke woh mujrim ho gaye thay
Surah Ad-Dukhan, Verse 37
وَمَا خَلَقۡنَا ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا لَٰعِبِينَ
Yeh Aasman o zameen aur inke darmiyan ki cheezein humne kuch khel ke taur par nahin bana di hai
Surah Ad-Dukhan, Verse 38
مَا خَلَقۡنَٰهُمَآ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Inko humne bar-haqq paida kiya hai, magar aksar log jaante hain hai
Surah Ad-Dukhan, Verse 39
إِنَّ يَوۡمَ ٱلۡفَصۡلِ مِيقَٰتُهُمۡ أَجۡمَعِينَ
In sabke uthaye janey ke liye the-shuda waqt faisle ka din hai
Surah Ad-Dukhan, Verse 40
يَوۡمَ لَا يُغۡنِي مَوۡلًى عَن مَّوۡلٗى شَيۡـٔٗا وَلَا هُمۡ يُنصَرُونَ
Woh din jab koi azeez kareeb apne kisi azeez kareeb ke kuch bhi kaam nahin aayega. Aur na kahin se unhein koi madad pahunchegi
Surah Ad-Dukhan, Verse 41
إِلَّا مَن رَّحِمَ ٱللَّهُۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلرَّحِيمُ
Siwaye iske ke Allah hi kisi par reham karey, woh zabardast aur Raheem hai
Surah Ad-Dukhan, Verse 42
إِنَّ شَجَرَتَ ٱلزَّقُّومِ
Zakkhum ka darakht (tree)
Surah Ad-Dukhan, Verse 43
طَعَامُ ٱلۡأَثِيمِ
Gunahgaar ka kha-ja (khana /food) hoga
Surah Ad-Dukhan, Verse 44
كَٱلۡمُهۡلِ يَغۡلِي فِي ٱلۡبُطُونِ
Tail (oil) ki tiljhat (dregs) jaisa, pait (bellies) mein is tarah josh khayega
Surah Ad-Dukhan, Verse 45
كَغَلۡيِ ٱلۡحَمِيمِ
Jaise khaulta (boiling) hua pani josh khata hai
Surah Ad-Dukhan, Verse 46
خُذُوهُ فَٱعۡتِلُوهُ إِلَىٰ سَوَآءِ ٱلۡجَحِيمِ
Pakado isey aur raged-te (dragging) huey le jao isko jahannum ke beechon beech
Surah Ad-Dukhan, Verse 47
ثُمَّ صُبُّواْ فَوۡقَ رَأۡسِهِۦ مِنۡ عَذَابِ ٱلۡحَمِيمِ
Aur undhail (pour) do iske sar par khaulte (boiling) paani ka azaab
Surah Ad-Dukhan, Verse 48
ذُقۡ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡكَرِيمُ
Chakkh iska maza, bada zabardast izzatdaar aadmi hai tu
Surah Ad-Dukhan, Verse 49
إِنَّ هَٰذَا مَا كُنتُم بِهِۦ تَمۡتَرُونَ
Yeh wahi cheez hai jiske aane mein tumlog shakk rakhte thay”
Surah Ad-Dukhan, Verse 50
إِنَّ ٱلۡمُتَّقِينَ فِي مَقَامٍ أَمِينٖ
Khuda tars log aman ki jagah mein hongey
Surah Ad-Dukhan, Verse 51
فِي جَنَّـٰتٖ وَعُيُونٖ
Baaghon (gardens) aur chashmo mein
Surah Ad-Dukhan, Verse 52
يَلۡبَسُونَ مِن سُندُسٖ وَإِسۡتَبۡرَقٖ مُّتَقَٰبِلِينَ
Hareer-o-deeba (silk and brocade) ke libas pehne, aamne saamne baithey honge
Surah Ad-Dukhan, Verse 53
كَذَٰلِكَ وَزَوَّجۡنَٰهُم بِحُورٍ عِينٖ
Yeh hogi inki shaan aur hum gori gori aah-o-chashm auratein unse biyah denge
Surah Ad-Dukhan, Verse 54
يَدۡعُونَ فِيهَا بِكُلِّ فَٰكِهَةٍ ءَامِنِينَ
Wahan woh itminaan se har tarah ki lazeez cheezein talab karenge
Surah Ad-Dukhan, Verse 55
لَا يَذُوقُونَ فِيهَا ٱلۡمَوۡتَ إِلَّا ٱلۡمَوۡتَةَ ٱلۡأُولَىٰۖ وَوَقَىٰهُمۡ عَذَابَ ٱلۡجَحِيمِ
Wahan maut ka maza woh kabhi na chakhenge . Bas duniya mein jo maut aa chuki so aa chuki aur Allah apne fazal se
Surah Ad-Dukhan, Verse 56
فَضۡلٗا مِّن رَّبِّكَۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Unko jahannum ke azaab se bacha dega yahi badi kamiyabi hai
Surah Ad-Dukhan, Verse 57
فَإِنَّمَا يَسَّرۡنَٰهُ بِلِسَانِكَ لَعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ
Aey Nabi (s.a.s) humne is kitaab ko tumhari zubaan mein sahal (easy / aasaan) bana diya hai taake yeh log nasihat hasil karein
Surah Ad-Dukhan, Verse 58
فَٱرۡتَقِبۡ إِنَّهُم مُّرۡتَقِبُونَ
Ab tum bhi intezar karo, yeh bhi muntazir (intezar kar rahey) hain
Surah Ad-Dukhan, Verse 59