Surah Al-Jathiya - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
حمٓ
Haa Meem
Surah Al-Jathiya, Verse 1
تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ مِنَ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ
Is kitaab ka nuzul Allah ki taraf se hai jo zabardast aur Hakeem hai
Surah Al-Jathiya, Verse 2
إِنَّ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ لَأٓيَٰتٖ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ
Haqeeqat yeh hai ke aasmaano aur zameen mein beshumaar nishaniyan hain iman laney walon ke liye
Surah Al-Jathiya, Verse 3
وَفِي خَلۡقِكُمۡ وَمَا يَبُثُّ مِن دَآبَّةٍ ءَايَٰتٞ لِّقَوۡمٖ يُوقِنُونَ
Aur tumhari apni paidaish mein, aur un haiwanaat(janwaron) mein jinko Allah (zameen mein) phayla raha hai, badi nishaniyan hain un logon ke liye jo yaqeen laney waley hain
Surah Al-Jathiya, Verse 4
وَٱخۡتِلَٰفِ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ وَمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مِن رِّزۡقٖ فَأَحۡيَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَا وَتَصۡرِيفِ ٱلرِّيَٰحِ ءَايَٰتٞ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
Aur shab-o-roz (night and day) ke farq o ikhtilaf mein, aur us rizq mein jisey Allah aasmaan se nazil farmata hai phir uske zariye se murda zameen ko jila uthata hai, aur hawaon ki gardish mein bahut nishaniyan hain un logon ke liye jo aqal se kaam letey hain
Surah Al-Jathiya, Verse 5
تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱللَّهِ نَتۡلُوهَا عَلَيۡكَ بِٱلۡحَقِّۖ فَبِأَيِّ حَدِيثِۭ بَعۡدَ ٱللَّهِ وَءَايَٰتِهِۦ يُؤۡمِنُونَ
Yeh Allah ki nishaniyan hain jinhein hum tumhare saamne theek theek bayan kar rahey hain. Ab aakhir Allah aur uski aayat ke baad aur kaunsi baat hai jispar yeh log imaan layenge
Surah Al-Jathiya, Verse 6
وَيۡلٞ لِّكُلِّ أَفَّاكٍ أَثِيمٖ
Tabahi hai har us jhoote badh amal shaks ke liye
Surah Al-Jathiya, Verse 7
يَسۡمَعُ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِ ثُمَّ يُصِرُّ مُسۡتَكۡبِرٗا كَأَن لَّمۡ يَسۡمَعۡهَاۖ فَبَشِّرۡهُ بِعَذَابٍ أَلِيمٖ
Jiske saamne Allah ki aayat padi jaati hain, aur woh unko sunta hai, phir puray istakbar ke saath apne kufr par is tarah ada rehta hai goya usne unko suna hi nahin. Aise shaks ko dardnaak azaab ka musda suna do
Surah Al-Jathiya, Verse 8
وَإِذَا عَلِمَ مِنۡ ءَايَٰتِنَا شَيۡـًٔا ٱتَّخَذَهَا هُزُوًاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ
Hamari aayat mein se koi baat jab uske ilm mein aati hai to woh unka mazaak bana leta hain. Aisey sab logon ke liye zillat ka azaab hai
Surah Al-Jathiya, Verse 9
مِّن وَرَآئِهِمۡ جَهَنَّمُۖ وَلَا يُغۡنِي عَنۡهُم مَّا كَسَبُواْ شَيۡـٔٗا وَلَا مَا ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَوۡلِيَآءَۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٌ
Unke aage jahannum hai. Jo kuch bhi unhone duniya mein kamaya hai usmein se koi cheez unke kisi kaam na aayegi. Na unke woh sarparast hi unke liye kuch kar sakenge jinhein Allah ko chodh kar unhon ne apna wali bana rakkha hai. Unke liye bada azaab hai
Surah Al-Jathiya, Verse 10
هَٰذَا هُدٗىۖ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمۡ لَهُمۡ عَذَابٞ مِّن رِّجۡزٍ أَلِيمٌ
Yeh Quran sarasar hidayat hai, aur un logon ke liye balaa ka dardnaak azaab hai jinhon ne apne Rubb ki aayat ko maan-ne se inkar kiya
Surah Al-Jathiya, Verse 11
۞ٱللَّهُ ٱلَّذِي سَخَّرَ لَكُمُ ٱلۡبَحۡرَ لِتَجۡرِيَ ٱلۡفُلۡكُ فِيهِ بِأَمۡرِهِۦ وَلِتَبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِهِۦ وَلَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Woh Allah hi to hai jisne tumhare liye samandar ko musakkhar kiya taa-ke uske hukum se kashtiyan usmein chalein aur tum uska fazal talash karo aur shukar guzar ho
Surah Al-Jathiya, Verse 12
وَسَخَّرَ لَكُم مَّا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا مِّنۡهُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ
Usne zameen aur aasmaano ki saari hi cheezon ko tumhare liye musakkhar kardiya, sab kuch apne paas se. Ismein badi nishaniyan hai un logon ke lye jo gaur o fikr karne wale hain
Surah Al-Jathiya, Verse 13
قُل لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ يَغۡفِرُواْ لِلَّذِينَ لَا يَرۡجُونَ أَيَّامَ ٱللَّهِ لِيَجۡزِيَ قَوۡمَۢا بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
(Aey Nabi) imaan laney walon se kehdo ke jo log Allah ki taraf se bure din aane ka koi andesha nahin rakhte, unki harakaton par darguzar se kaam lein taa-ke Allah khud ek giroh ko uski kamayi ka badla de
Surah Al-Jathiya, Verse 14
مَنۡ عَمِلَ صَٰلِحٗا فَلِنَفۡسِهِۦۖ وَمَنۡ أَسَآءَ فَعَلَيۡهَاۖ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُمۡ تُرۡجَعُونَ
Jo koi neik amal karega apne hi liye karega, aur jo burai karega woh aap hi uska khumyaza (consequence) bhugtega. Phir jaana to sabko apne Rubb hi ki taraf hai
Surah Al-Jathiya, Verse 15
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحُكۡمَ وَٱلنُّبُوَّةَ وَرَزَقۡنَٰهُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ وَفَضَّلۡنَٰهُمۡ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ
Issey pehle bani Israel ko humne kitaab aur hukum aur nabuwat ata ki thi, unko humne umda samaan e zeist se nawaza, duniya bhar ke logon par unhein fazilat ata ki
Surah Al-Jathiya, Verse 16
وَءَاتَيۡنَٰهُم بَيِّنَٰتٖ مِّنَ ٱلۡأَمۡرِۖ فَمَا ٱخۡتَلَفُوٓاْ إِلَّا مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَهُمُ ٱلۡعِلۡمُ بَغۡيَۢا بَيۡنَهُمۡۚ إِنَّ رَبَّكَ يَقۡضِي بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فِيمَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ
Aur deen ke maamle mein unhein wazeh hidayat de di.Phir jo ikhtilaf unke darmiyan runama hua woh (nawaqifiyat ki wajah se nahin balke) ilm aa jaaney ke baad hua aur us bina par hua ke woh aapas mein ek dusre par zyadati karna chahte thay. Allah qayamat ke roz un maamlaat ka faisla farmadega jinmein woh ikhtilaf karte rahey hain
Surah Al-Jathiya, Verse 17
ثُمَّ جَعَلۡنَٰكَ عَلَىٰ شَرِيعَةٖ مِّنَ ٱلۡأَمۡرِ فَٱتَّبِعۡهَا وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَ ٱلَّذِينَ لَا يَعۡلَمُونَ
Iske baad aey Nabi humne tumko din ke maamley mein ek saaf shah-raah(shariyat) par qayam kiya hai. Lihaza tum usi par chalo aur un logon ki khwahishat ka ittiba na karo jo ilm nahin rakhte
Surah Al-Jathiya, Verse 18
إِنَّهُمۡ لَن يُغۡنُواْ عَنكَ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـٔٗاۚ وَإِنَّ ٱلظَّـٰلِمِينَ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٖۖ وَٱللَّهُ وَلِيُّ ٱلۡمُتَّقِينَ
Allah ke muqable mein woh tumhare kuch bhi kaam nahin aa sakte. Zaalim log ek dusre ke saathi hain, aur muttaaqiyon ka saathi Allah hai
Surah Al-Jathiya, Verse 19
هَٰذَا بَصَـٰٓئِرُ لِلنَّاسِ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٞ لِّقَوۡمٖ يُوقِنُونَ
Yeh basirat ki roshiniyan hain sab logon ke liye aur hidayat aur rehmat un logon ke liye jo yaqeen layein
Surah Al-Jathiya, Verse 20
أَمۡ حَسِبَ ٱلَّذِينَ ٱجۡتَرَحُواْ ٱلسَّيِّـَٔاتِ أَن نَّجۡعَلَهُمۡ كَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ سَوَآءٗ مَّحۡيَاهُمۡ وَمَمَاتُهُمۡۚ سَآءَ مَا يَحۡكُمُونَ
Kya woh log jinhon ne buraiyon ka irtiqaab kiya hai yeh samjhe baithay hain ke hum unhein aur imaan laney walon aur neik amal karne walon ko ek jaisa kardenge ke inka jeena aur marna yaksan ho jaye? Bahut burey hukum hain jo yeh log lagate hain
Surah Al-Jathiya, Verse 21
وَخَلَقَ ٱللَّهُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّ وَلِتُجۡزَىٰ كُلُّ نَفۡسِۭ بِمَا كَسَبَتۡ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Allah ne to Aasmaano aur zameen ko barhaqq paida kiya hai aur is liye kiya hai ke har mutannafis ko uski kamayi ka badla diya jaye. Logon par zulm hargiz na kiya jayega
Surah Al-Jathiya, Verse 22
أَفَرَءَيۡتَ مَنِ ٱتَّخَذَ إِلَٰهَهُۥ هَوَىٰهُ وَأَضَلَّهُ ٱللَّهُ عَلَىٰ عِلۡمٖ وَخَتَمَ عَلَىٰ سَمۡعِهِۦ وَقَلۡبِهِۦ وَجَعَلَ عَلَىٰ بَصَرِهِۦ غِشَٰوَةٗ فَمَن يَهۡدِيهِ مِنۢ بَعۡدِ ٱللَّهِۚ أَفَلَا تَذَكَّرُونَ
Phir kya tumne kabhi us shaks ke haal par bhi gaur kiya jisne apni khwahish e nafs ko apna khuda bana liya aur Allah ne ilm ke bawajood usey gumrahi mein phenk diya aur uske dil aur kaano (ears) par mohar laga di aur uski aankhon par purdah daal diya? Allah ke baad ab aur kaun hai jo usey hidayat de? Kya tum log koi sabaq nahin letay
Surah Al-Jathiya, Verse 23
وَقَالُواْ مَا هِيَ إِلَّا حَيَاتُنَا ٱلدُّنۡيَا نَمُوتُ وَنَحۡيَا وَمَا يُهۡلِكُنَآ إِلَّا ٱلدَّهۡرُۚ وَمَا لَهُم بِذَٰلِكَ مِنۡ عِلۡمٍۖ إِنۡ هُمۡ إِلَّا يَظُنُّونَ
Yeh log kehte hain ke “zindagi bas yahi hamari duniya ki zindagi hai, yahin hamara marna aur jeena hai aur gardish-e-ayyam ( passage of time) ke siwa koi cheez nahin ho humein halaak karti ho.” Dar haqeeqat is maamle mein inke paas koi ilm nahin hai yeh mehaz gumaan ki bina par yeh baatein karte hain
Surah Al-Jathiya, Verse 24
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا بَيِّنَٰتٖ مَّا كَانَ حُجَّتَهُمۡ إِلَّآ أَن قَالُواْ ٱئۡتُواْ بِـَٔابَآئِنَآ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Aur jab hamari wazeh aayat unhein sunayi jaati hain to inke paas koi hujjat iske siwa nahin hoti ke utha lao hamare baap dada ko agar tum sacche ho
Surah Al-Jathiya, Verse 25
قُلِ ٱللَّهُ يُحۡيِيكُمۡ ثُمَّ يُمِيتُكُمۡ ثُمَّ يَجۡمَعُكُمۡ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ لَا رَيۡبَ فِيهِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
Aey Nabi insey kaho Allah hi tumhein zindagi bakashta hai, phir wahi tumhein maut deta hai , phir wahi tumko us qayamat ke din jamaa karega jiske aane mein koi shakk nahin. Magar aksar log jaante nahin hain
Surah Al-Jathiya, Verse 26
وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَيَوۡمَ تَقُومُ ٱلسَّاعَةُ يَوۡمَئِذٖ يَخۡسَرُ ٱلۡمُبۡطِلُونَ
Zameen aur aasmaano ki badshahi Allah hi ki hai, aur jis roz qayamat ki ghadi aa khadi hogi us din baatil parast khasarey (nuksan) mein padh jayenge
Surah Al-Jathiya, Verse 27
وَتَرَىٰ كُلَّ أُمَّةٖ جَاثِيَةٗۚ كُلُّ أُمَّةٖ تُدۡعَىٰٓ إِلَىٰ كِتَٰبِهَا ٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَوۡنَ مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Us waqt tum har girooh ko ghuthano (knees) ke bal gira dekhoge. Har girooh ko pukara jayega ke aaye aur apna naame aamal dekhe. Unse kaha jayega: “aaj tum logon ko un aamal ka badla diya jayega jo tum karte rahe thay
Surah Al-Jathiya, Verse 28
هَٰذَا كِتَٰبُنَا يَنطِقُ عَلَيۡكُم بِٱلۡحَقِّۚ إِنَّا كُنَّا نَسۡتَنسِخُ مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Yeh hamara tayyar karaya hua aamal naama hai jo tumhare upar theek theek shahadat de raha hai, jo kuch bhi tum karte thay usey hum likhwate ja rahe thay”
Surah Al-Jathiya, Verse 29
فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فَيُدۡخِلُهُمۡ رَبُّهُمۡ فِي رَحۡمَتِهِۦۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡمُبِينُ
Phir jo log imaan laaye thay aur neik aamal karte rahey thay unhein unka Rubb apni rehmat mein dakhil karega. Aur yahi sareeh kaamiyabi hai
Surah Al-Jathiya, Verse 30
وَأَمَّا ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَفَلَمۡ تَكُنۡ ءَايَٰتِي تُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ فَٱسۡتَكۡبَرۡتُمۡ وَكُنتُمۡ قَوۡمٗا مُّجۡرِمِينَ
Aur jin logon ne kufr kiya tha unsey kaha jayega “kya meri aayat tumko nahin sunayi jaati thin? Magar tumne takabbur kiya aur mujrim bankar rahey
Surah Al-Jathiya, Verse 31
وَإِذَا قِيلَ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞ وَٱلسَّاعَةُ لَا رَيۡبَ فِيهَا قُلۡتُم مَّا نَدۡرِي مَا ٱلسَّاعَةُ إِن نَّظُنُّ إِلَّا ظَنّٗا وَمَا نَحۡنُ بِمُسۡتَيۡقِنِينَ
Aur jab kaha jaata tha ke Allah ka waada bar- haqq hai aur qayamat ke aane mein koi shakk nahin, to tum kehte thay ke hum nahin jaante qayamat kya hoti hai, hum to bas ek gumaan sa rakhte hain , yaqeen hum ko nahin hai”
Surah Al-Jathiya, Verse 32
وَبَدَا لَهُمۡ سَيِّـَٔاتُ مَا عَمِلُواْ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Us waqt unpar unke aamal ki buraiyan khul jayengi aur woh usi cheez ke pher mein aa jayenge jiska woh mazaak udaya karte thay
Surah Al-Jathiya, Verse 33
وَقِيلَ ٱلۡيَوۡمَ نَنسَىٰكُمۡ كَمَا نَسِيتُمۡ لِقَآءَ يَوۡمِكُمۡ هَٰذَا وَمَأۡوَىٰكُمُ ٱلنَّارُ وَمَا لَكُم مِّن نَّـٰصِرِينَ
Aur insey kehdiya jayega ke “Aaj hum bhi usi tarah tumhein bhulaye detay hain jis tarah tum is din ki mulaqaat ko bhool gaye thay.Tumhara thikana ab dozakh hai aur koi tumhari madad karne wala nahin hai
Surah Al-Jathiya, Verse 34
ذَٰلِكُم بِأَنَّكُمُ ٱتَّخَذۡتُمۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ هُزُوٗا وَغَرَّتۡكُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَاۚ فَٱلۡيَوۡمَ لَا يُخۡرَجُونَ مِنۡهَا وَلَا هُمۡ يُسۡتَعۡتَبُونَ
Yeh tumhara anjaam is liye hua hai ke tumne Allah ki aayat ka mazaak bana liya tha aur tumhein duniya ki zindagi ne dhoke mein daal diya tha. Lihaza aaj na yeh log dozakh se nikale jayenge aur na inse kaha jayega ke maafi maang kar apne Rubb ko raazi karo”
Surah Al-Jathiya, Verse 35
فَلِلَّهِ ٱلۡحَمۡدُ رَبِّ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَرَبِّ ٱلۡأَرۡضِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Pas taarif Allah hi ke liye hai jo zameen aur aasmaano ka maalik aur saare jahan waalon ka parwardigar hai
Surah Al-Jathiya, Verse 36
وَلَهُ ٱلۡكِبۡرِيَآءُ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Zameen aur aasmaano mein badayi usi ke liye hai aur wahi zabardast (most mighty) aur daana(most wise) hai
Surah Al-Jathiya, Verse 37