Surah Al-Jathiya Verse 17 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Jathiyaوَءَاتَيۡنَٰهُم بَيِّنَٰتٖ مِّنَ ٱلۡأَمۡرِۖ فَمَا ٱخۡتَلَفُوٓاْ إِلَّا مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَهُمُ ٱلۡعِلۡمُ بَغۡيَۢا بَيۡنَهُمۡۚ إِنَّ رَبَّكَ يَقۡضِي بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فِيمَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ
Aur deen ke maamle mein unhein wazeh hidayat de di.Phir jo ikhtilaf unke darmiyan runama hua woh (nawaqifiyat ki wajah se nahin balke) ilm aa jaaney ke baad hua aur us bina par hua ke woh aapas mein ek dusre par zyadati karna chahte thay. Allah qayamat ke roz un maamlaat ka faisla farmadega jinmein woh ikhtilaf karte rahey hain