Surah Al-Ahqaf - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
حمٓ
Haa meem
Surah Al-Ahqaf, Verse 1
تَنزِيلُ ٱلۡكِتَٰبِ مِنَ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ
Is kitaab ka nuzul Allah zabardast aur dana ki taraf se hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 2
مَا خَلَقۡنَا ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَآ إِلَّا بِٱلۡحَقِّ وَأَجَلٖ مُّسَمّٗىۚ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَمَّآ أُنذِرُواْ مُعۡرِضُونَ
Humne zameen aur aasmaano ko aur un saari cheezon ko jo unke darmiyan hain bar-haqq aur ek muddat e khaas ke taayun ke saath paida kiya hai. Magar yeh kaafir log us haqeeqat se mooh moade hue hain jisse unko khabardar kiya gaya hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 3
قُلۡ أَرَءَيۡتُم مَّا تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَرُونِي مَاذَا خَلَقُواْ مِنَ ٱلۡأَرۡضِ أَمۡ لَهُمۡ شِرۡكٞ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِۖ ٱئۡتُونِي بِكِتَٰبٖ مِّن قَبۡلِ هَٰذَآ أَوۡ أَثَٰرَةٖ مِّنۡ عِلۡمٍ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Aey Nabi, inse kaho, “kabhi tumne aankhein khol kar dekha bhi ke woh hastiyan hain kya jinhein tum khuda ko chodh kar pukarte ho? Zara mujhey dikhao to sahih ke zameen mein unhon ne kya paida kiya hai, ya aasmano ki takhleeq o tadbeer mein unka kya hissa hai. Issey pehle aayi hui kitaab ya ilm ka koi baqiyya (in aqaid ke sabot mein) tumhare paas ho to wahi le aao agar tum sacche ho”
Surah Al-Ahqaf, Verse 4
وَمَنۡ أَضَلُّ مِمَّن يَدۡعُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَن لَّا يَسۡتَجِيبُ لَهُۥٓ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَهُمۡ عَن دُعَآئِهِمۡ غَٰفِلُونَ
Aakhir us shaks se zyada behka hua insaan aur kaun hoga jo Allah ko chodh kar unko pukare jo qayamat tak usey jawab nahin de sakte, balke issey bhi bekhabar hain ke pukarne waley unko pukar rahey hain
Surah Al-Ahqaf, Verse 5
وَإِذَا حُشِرَ ٱلنَّاسُ كَانُواْ لَهُمۡ أَعۡدَآءٗ وَكَانُواْ بِعِبَادَتِهِمۡ كَٰفِرِينَ
Aur jab tamam Insan jamaa kiye jayenge us waqt woh apne pukarne walon ke dushman aur unki ibadat ke munkir honge
Surah Al-Ahqaf, Verse 6
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا بَيِّنَٰتٖ قَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَهُمۡ هَٰذَا سِحۡرٞ مُّبِينٌ
In logon ko jab hamari saaf saaf aayat sunayi jaati hain aur haqq inke saamne aa jata hai to yeh kafir log uske mutaaliq kehte hain ke yeh to khula jaadu hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 7
أَمۡ يَقُولُونَ ٱفۡتَرَىٰهُۖ قُلۡ إِنِ ٱفۡتَرَيۡتُهُۥ فَلَا تَمۡلِكُونَ لِي مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔاۖ هُوَ أَعۡلَمُ بِمَا تُفِيضُونَ فِيهِۚ كَفَىٰ بِهِۦ شَهِيدَۢا بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡۖ وَهُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
Kya unka kehna yeh hai ke Rasool ne isey khud ghadh (fabricated) liya hai? Inse kaho “ agar maine isey khud ghadh (fabricated) liya hai to tum mujhey khuda ki pakad se kuch bhi na bacha sakogey. Jo baatein tum banate ho Allah unko khoob jaanta hai, mere aur tumhare darmiyaan wahi gawahi dene ke liye kaafi hai, aur woh bada darguzar karne wala aur Raheem hai”
Surah Al-Ahqaf, Verse 8
قُلۡ مَا كُنتُ بِدۡعٗا مِّنَ ٱلرُّسُلِ وَمَآ أَدۡرِي مَا يُفۡعَلُ بِي وَلَا بِكُمۡۖ إِنۡ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّ وَمَآ أَنَا۠ إِلَّا نَذِيرٞ مُّبِينٞ
Inse kaho “main koi nirala Rasool to nahin hoon, main nahin jaanta ke kal tumhare saath kya hona hai aur mere saath kya. Main to sirf us wahee (revelation) ki pairwi karta hoon jo mere paas bheji jaati hai aur main ek saaf saaf khabardar kardene wale ke siwa kuch nahin hoon”
Surah Al-Ahqaf, Verse 9
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِن كَانَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ وَكَفَرۡتُم بِهِۦ وَشَهِدَ شَاهِدٞ مِّنۢ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ عَلَىٰ مِثۡلِهِۦ فَـَٔامَنَ وَٱسۡتَكۡبَرۡتُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aey Nabi, inse kaho “ kabhi tumne socha bhi ke agar yeh kalaam Allah hi ki taraf se hua aur tum ne iska inkar kardiya ( to tumhara kya anjaam hoga)?Aur is jaise ek kalaam par to bani Israel ka ek gawah shahadat bhi de chukka hai. Woh imaan le aaya aur tum apne ghamand (arrogant) mein padey rahey. Aise zaalimon ko Allah hidayat nahin diya karta”
Surah Al-Ahqaf, Verse 10
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَوۡ كَانَ خَيۡرٗا مَّا سَبَقُونَآ إِلَيۡهِۚ وَإِذۡ لَمۡ يَهۡتَدُواْ بِهِۦ فَسَيَقُولُونَ هَٰذَآ إِفۡكٞ قَدِيمٞ
Jin logon ne maan-ne se inkar kardiya hai woh imaan laney walon ke mutaaliq kehte hain “ke agar is kitaab ko maan lena koi accha kaam hota to yeh log is maamle mein humse sabaqat na leja sakte thay”. Chunke inhon ne usse hidayat na paayi is liye ab yeh zaroor kahenge ke yeh to purana jhoot hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 11
وَمِن قَبۡلِهِۦ كِتَٰبُ مُوسَىٰٓ إِمَامٗا وَرَحۡمَةٗۚ وَهَٰذَا كِتَٰبٞ مُّصَدِّقٞ لِّسَانًا عَرَبِيّٗا لِّيُنذِرَ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ وَبُشۡرَىٰ لِلۡمُحۡسِنِينَ
Halaanke isse pehle Moosa ki kitaab rehnuma aur rehmat bankar aa chuki hai, aur yeh kitaab uski tasdeeq karne wali zubaan-e-arabi mein aayi hai taake zaalimon ko mutanabbe (warn) karde aur neik rawish ikhtiyar karne walon ko basharat de de
Surah Al-Ahqaf, Verse 12
إِنَّ ٱلَّذِينَ قَالُواْ رَبُّنَا ٱللَّهُ ثُمَّ ٱسۡتَقَٰمُواْ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Yakeenan jin logon ne kehdiya ke Allah hi hamara Rubb hai, phir us par jamm gaye, unke liye na koi khauff hai aur na woh ghamgheen hongey
Surah Al-Ahqaf, Verse 13
أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِ خَٰلِدِينَ فِيهَا جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Aise sab log Jannat mein jaane waley hain. Jahan woh hamesha rahenge apne un aamal ke badle jo woh duniya mein karte rahey hain
Surah Al-Ahqaf, Verse 14
وَوَصَّيۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ بِوَٰلِدَيۡهِ إِحۡسَٰنًاۖ حَمَلَتۡهُ أُمُّهُۥ كُرۡهٗا وَوَضَعَتۡهُ كُرۡهٗاۖ وَحَمۡلُهُۥ وَفِصَٰلُهُۥ ثَلَٰثُونَ شَهۡرًاۚ حَتَّىٰٓ إِذَا بَلَغَ أَشُدَّهُۥ وَبَلَغَ أَرۡبَعِينَ سَنَةٗ قَالَ رَبِّ أَوۡزِعۡنِيٓ أَنۡ أَشۡكُرَ نِعۡمَتَكَ ٱلَّتِيٓ أَنۡعَمۡتَ عَلَيَّ وَعَلَىٰ وَٰلِدَيَّ وَأَنۡ أَعۡمَلَ صَٰلِحٗا تَرۡضَىٰهُ وَأَصۡلِحۡ لِي فِي ذُرِّيَّتِيٓۖ إِنِّي تُبۡتُ إِلَيۡكَ وَإِنِّي مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
Humne Insan ko hidayat ki ke woh apne walidain ke saath neik bartaao karey. Uski maa ne mushakkat utha kar usey pait mein rakkha aur mushakkat utha kar hi usko jana(delivered). Aur uske hamal aur doodh chudane mein tees (thirty) mahine lag gaye. Yahan tak ke jab woh apni puri taaqat ko pahuncha aur chaalis(forty) saal ka ho gaya to usne kaha “Aey mere Rubb mujhey taufiq de ke main teri un niyamaton ka shukar ada karoon jo tu ne mujhey aur mere walidain ko ata famayi, aur aisa neik amal karoon jis se tu raazi ho, aur meri aulad ko bhi neik bana kar mujhey sukh de, mein tere huzoor tawbah karta hoon aur taabe farmaan (muslim)bandon mein se hoon”
Surah Al-Ahqaf, Verse 15
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ نَتَقَبَّلُ عَنۡهُمۡ أَحۡسَنَ مَا عَمِلُواْ وَنَتَجَاوَزُ عَن سَيِّـَٔاتِهِمۡ فِيٓ أَصۡحَٰبِ ٱلۡجَنَّةِۖ وَعۡدَ ٱلصِّدۡقِ ٱلَّذِي كَانُواْ يُوعَدُونَ
Is tarah ke logon se hum unke behtreen aamal ko qabool karte hain aur unki buraiyon se darguzar kar jaate hain. Yeh jannati logon mein shamil hongey us sacche waade ke mutaabiq jo insey kya jaata raha hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 16
وَٱلَّذِي قَالَ لِوَٰلِدَيۡهِ أُفّٖ لَّكُمَآ أَتَعِدَانِنِيٓ أَنۡ أُخۡرَجَ وَقَدۡ خَلَتِ ٱلۡقُرُونُ مِن قَبۡلِي وَهُمَا يَسۡتَغِيثَانِ ٱللَّهَ وَيۡلَكَ ءَامِنۡ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞ فَيَقُولُ مَا هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Aur jis shaks ne apne waldain se kaha “ Uff, tang kar diya tumne” kya tum mujhe yeh khauff dilate ho ke main marne ke baad phir qabar se nikala jaunga halanke mujh se pehle bahut si nasalein(generations) guzar chuki hain ( unmein se to koi uth kar na aaya)”Maa aur baap Allah ki duhayi dekar kehte hain “ arey badnaseeb ,maan ja , Allah ka waada saccha hai”. Magar woh kehta hai “ yeh sab agle waqton ki farsuda(fables) kahaniyan hai”
Surah Al-Ahqaf, Verse 17
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ حَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقَوۡلُ فِيٓ أُمَمٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِم مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِۖ إِنَّهُمۡ كَانُواْ خَٰسِرِينَ
Yeh woh log hain jinpar azaab ka faisla chaspan ho chuka hai. Insey pehle Jinno aur Insano ke jo toley(communities) (isi qumash ke) ho guzre hain unhi mein yeh bhi ja shamil hongey. Beshak yeh ghatey(loss) mein reh janey wale log hain
Surah Al-Ahqaf, Verse 18
وَلِكُلّٖ دَرَجَٰتٞ مِّمَّا عَمِلُواْۖ وَلِيُوَفِّيَهُمۡ أَعۡمَٰلَهُمۡ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Dono girohon mein se har ek ke darje unke aamal ke lihaz se hain taa-ke Allah unke kiye ka pura pura badla unko de. Unpar zulm hargiz na kiya jaaye
Surah Al-Ahqaf, Verse 19
وَيَوۡمَ يُعۡرَضُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَلَى ٱلنَّارِ أَذۡهَبۡتُمۡ طَيِّبَٰتِكُمۡ فِي حَيَاتِكُمُ ٱلدُّنۡيَا وَٱسۡتَمۡتَعۡتُم بِهَا فَٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَوۡنَ عَذَابَ ٱلۡهُونِ بِمَا كُنتُمۡ تَسۡتَكۡبِرُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَبِمَا كُنتُمۡ تَفۡسُقُونَ
Phir jab yeh kaafir aag ke saame laa khade kiye jayenge to unse kaha jayega: “ tum apne hissay ki niyamatein apni duniya ki zindagi mein khatam kar chuke aur unka lutf tumne utha liya, ab jo takabbur tum zameen mein kisi haqq ke bagair karte rahe aur jo nafarmaniyan tumne ki unke padash mein aaj tumko zillat ka azaab diya jayega”
Surah Al-Ahqaf, Verse 20
۞وَٱذۡكُرۡ أَخَا عَادٍ إِذۡ أَنذَرَ قَوۡمَهُۥ بِٱلۡأَحۡقَافِ وَقَدۡ خَلَتِ ٱلنُّذُرُ مِنۢ بَيۡنِ يَدَيۡهِ وَمِنۡ خَلۡفِهِۦٓ أَلَّا تَعۡبُدُوٓاْ إِلَّا ٱللَّهَ إِنِّيٓ أَخَافُ عَلَيۡكُمۡ عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ
Zara inhein Aad ke bhai (Hud) ka qissa sunao jabke usne ahqaf mein apni qaum ko khabardar kiya tha aur aise khabardar karne waley ussey pehle bhi guzar chuke thay aur uske baad bhi aate rahey ke “ Allah ke siwa kisi ki bandagi na karo , mujhe tumhare haqq mein ek baday haulnaak din ke azaab ka andesha hai”
Surah Al-Ahqaf, Verse 21
قَالُوٓاْ أَجِئۡتَنَا لِتَأۡفِكَنَا عَنۡ ءَالِهَتِنَا فَأۡتِنَا بِمَا تَعِدُنَآ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
Unhon ne kaha “ kya tu isliye aaya hai ke humein behka kar hamare maboodon se bargashta kar de? Accha to le aa apna woh azaab jissey tu humein darata hai agar waqai tu saccha hai”
Surah Al-Ahqaf, Verse 22
قَالَ إِنَّمَا ٱلۡعِلۡمُ عِندَ ٱللَّهِ وَأُبَلِّغُكُم مَّآ أُرۡسِلۡتُ بِهِۦ وَلَٰكِنِّيٓ أَرَىٰكُمۡ قَوۡمٗا تَجۡهَلُونَ
Usne kaha ke “iska ilm to Allah ko hai, main sirf woh paighaam tumhein pahuncha raha hoon jisey dekar mujhey bheja gaya hai. Magar main dekh raha hoon ke tumlog jahalat barat rahey ho”
Surah Al-Ahqaf, Verse 23
فَلَمَّا رَأَوۡهُ عَارِضٗا مُّسۡتَقۡبِلَ أَوۡدِيَتِهِمۡ قَالُواْ هَٰذَا عَارِضٞ مُّمۡطِرُنَاۚ بَلۡ هُوَ مَا ٱسۡتَعۡجَلۡتُم بِهِۦۖ رِيحٞ فِيهَا عَذَابٌ أَلِيمٞ
Phir jab unhon ne us azaab ko apni waadiyon (valleys) ki taraf aate dekha to kehne lagey “yeh badal hai jo humko sairaab kardega”. balke yeh wahi cheez hai jiske liye tum jaldi macha rahe thay, yeh hawa ka toofaan hai jismein dardnaak azaab chala aa raha hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 24
تُدَمِّرُ كُلَّ شَيۡءِۭ بِأَمۡرِ رَبِّهَا فَأَصۡبَحُواْ لَا يُرَىٰٓ إِلَّا مَسَٰكِنُهُمۡۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
Apne Rubb ke hukum se har cheez ko tabaah kar dalega”. Aakhir e kaar unka haal yeh hua ke unke rehne ke jaghon ke siwa wahan kuch nazar na aata tha. Is tarah hum mujrimon ko badla diya karte hain
Surah Al-Ahqaf, Verse 25
وَلَقَدۡ مَكَّنَّـٰهُمۡ فِيمَآ إِن مَّكَّنَّـٰكُمۡ فِيهِ وَجَعَلۡنَا لَهُمۡ سَمۡعٗا وَأَبۡصَٰرٗا وَأَفۡـِٔدَةٗ فَمَآ أَغۡنَىٰ عَنۡهُمۡ سَمۡعُهُمۡ وَلَآ أَبۡصَٰرُهُمۡ وَلَآ أَفۡـِٔدَتُهُم مِّن شَيۡءٍ إِذۡ كَانُواْ يَجۡحَدُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَحَاقَ بِهِم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Unko humne woh kuch diya tha jo tum logon ko nahin diya hai. Unko humne kaan, aankehin aur dil sab kuch de rakkhe thay, magar na woh kaan unke kisi kaam aaye, na aankhein, na dil, kyunke woh Allah ki aayat ka inkar karte thay, aur usi cheez ke phair mein woh aa gaye jiska woh mazaak udate thay
Surah Al-Ahqaf, Verse 26
وَلَقَدۡ أَهۡلَكۡنَا مَا حَوۡلَكُم مِّنَ ٱلۡقُرَىٰ وَصَرَّفۡنَا ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
Tumhare gird o pesh ke ilakon mein bahut se bastiyon ko hum halaak kar chuke hain. Humne apni aayat bhej kar baar baar tarah tarah se unko samjhaya, shayad ke woh baaz aa jayein
Surah Al-Ahqaf, Verse 27
فَلَوۡلَا نَصَرَهُمُ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ قُرۡبَانًا ءَالِهَةَۢۖ بَلۡ ضَلُّواْ عَنۡهُمۡۚ وَذَٰلِكَ إِفۡكُهُمۡ وَمَا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Phir kyun na un hastiyon ne unki madad ki jinhein Allah ko chodh kar unhon ne taqarrub-e-ilallah ka zariya samajhte huey maabood bana liya tha? Balke woh to unsey khoye gaye. Aur yeh tha unke jhoot aur un banawati aqeedon ka anjaam jo unhon ne ghadh rakkhe thay
Surah Al-Ahqaf, Verse 28
وَإِذۡ صَرَفۡنَآ إِلَيۡكَ نَفَرٗا مِّنَ ٱلۡجِنِّ يَسۡتَمِعُونَ ٱلۡقُرۡءَانَ فَلَمَّا حَضَرُوهُ قَالُوٓاْ أَنصِتُواْۖ فَلَمَّا قُضِيَ وَلَّوۡاْ إِلَىٰ قَوۡمِهِم مُّنذِرِينَ
(Aur woh waqiya bhi qabil e zikar hai) jab hum Jinno ke ek girooh ko tumhari taraf le aaye thay taa-ke Quran sunein. Jab woh us jagaah pahunche (jahan tum Quraan padh rahe thay) to unhon ne aapas mein kaha khamosh ho jao, phir jab woh padha ja chukka to woh khabardar karne walay ban kar apni qaum ki taraf palte(returned)
Surah Al-Ahqaf, Verse 29
قَالُواْ يَٰقَوۡمَنَآ إِنَّا سَمِعۡنَا كِتَٰبًا أُنزِلَ مِنۢ بَعۡدِ مُوسَىٰ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ يَهۡدِيٓ إِلَى ٱلۡحَقِّ وَإِلَىٰ طَرِيقٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Unhon ne jaa kar kaha “aey hamari qaum ke logon, humne ek kitaab suni hai jo Moosa ke baad naazil ki gayi hai, tasdeeq(confirm) karne wali hai apne se pehle aayi hui kitaabon ki, rehnumayi karti hai haqq aur raah-e-raast ki taraf
Surah Al-Ahqaf, Verse 30
يَٰقَوۡمَنَآ أَجِيبُواْ دَاعِيَ ٱللَّهِ وَءَامِنُواْ بِهِۦ يَغۡفِرۡ لَكُم مِّن ذُنُوبِكُمۡ وَيُجِرۡكُم مِّنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ
Aey hamari qaum ke logon, Allah ki taraf bulane waley ki dawat qabool karlo aur ispar imaan le aao, Allah tumhare gunaahon se darguzar famayega aur tumhein azaab e aleem se bacha dega”
Surah Al-Ahqaf, Verse 31
وَمَن لَّا يُجِبۡ دَاعِيَ ٱللَّهِ فَلَيۡسَ بِمُعۡجِزٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَيۡسَ لَهُۥ مِن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءُۚ أُوْلَـٰٓئِكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ
Aur jo koi Allah ke daai (one who calls to Allah) ki baat na maane woh na zameen mein khud koi bal boota rakhta hai ke Allah ko zach(frustrate) karde, aur na uske koi aise haami-o-sarparast (protector) hain ke Allah se usko bacha lein. Aisey log khuli gumraahi mein padey huey hain
Surah Al-Ahqaf, Verse 32
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّ ٱللَّهَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَلَمۡ يَعۡيَ بِخَلۡقِهِنَّ بِقَٰدِرٍ عَلَىٰٓ أَن يُحۡـِۧيَ ٱلۡمَوۡتَىٰۚ بَلَىٰٓۚ إِنَّهُۥ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Aur kya in logon ko yeh sujhayi nahin deta ke jis khuda ne yeh zameen aur aasmaan paida kiye hain aur inko banate huey jo na thaka, woh zaroor ispar qadir hai ke murdon (dead) ko jila uthaye? Kyun nahin, yaqeenan woh har cheez ki qudrat rakhta hai
Surah Al-Ahqaf, Verse 33
وَيَوۡمَ يُعۡرَضُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ عَلَى ٱلنَّارِ أَلَيۡسَ هَٰذَا بِٱلۡحَقِّۖ قَالُواْ بَلَىٰ وَرَبِّنَاۚ قَالَ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ
Jis roz yeh kaafir aag ke saamne laye jayenge , us waqt unsey pucha jayega “ kya yeh haqq nahin hai?” yeh kahenge “ haan, hamare Rubb ki kasam (yeh waqai haqq hai)” Allah farmayega “ accha to ab azaab ka mazaa chakkho apne us inkar ki padash mein jo tum karte rahe thay”
Surah Al-Ahqaf, Verse 34
فَٱصۡبِرۡ كَمَا صَبَرَ أُوْلُواْ ٱلۡعَزۡمِ مِنَ ٱلرُّسُلِ وَلَا تَسۡتَعۡجِل لَّهُمۡۚ كَأَنَّهُمۡ يَوۡمَ يَرَوۡنَ مَا يُوعَدُونَ لَمۡ يَلۡبَثُوٓاْ إِلَّا سَاعَةٗ مِّن نَّهَارِۭۚ بَلَٰغٞۚ فَهَلۡ يُهۡلَكُ إِلَّا ٱلۡقَوۡمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
Pas aey Nabi, sabr karo jis tarhan ulul azm (strong will) Rasoolon ne sabr kiya hai, aur inke maamle mein jaldi na karo. Jis roz yeh log us cheez ko dekh lenge jiska inhein khauff dilaya ja raha hai to inhein yun maloon hoga ke jaise duniya mein din ki ek ghadi bhar se zyada nahin rahey thay. Baat pahuncha di gayi, ab kya nafarmaan logon ke siwa aur koi halak hoga
Surah Al-Ahqaf, Verse 35