Surah Muhammad - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ أَضَلَّ أَعۡمَٰلَهُمۡ
Jin logon ne kufr kiya aur Allah ke raaste se roka Allah ne unke aamal ko raigaan (waste /vain) kardiya
Surah Muhammad, Verse 1
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ وَءَامَنُواْ بِمَا نُزِّلَ عَلَىٰ مُحَمَّدٖ وَهُوَ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّهِمۡ كَفَّرَ عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡ وَأَصۡلَحَ بَالَهُمۡ
Aur jo log imaan laye aur jinhon ne neik aamal kiye aur us cheez ko maan liya jo Muhammad par nazil hui hai aur hai woh sarasar haqq unke Rubb ki taraf se Allah ne unki burayian (evil deeds) unse dur kardi aur unka haal durust kardiya
Surah Muhammad, Verse 2
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱتَّبَعُواْ ٱلۡبَٰطِلَ وَأَنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّبَعُواْ ٱلۡحَقَّ مِن رَّبِّهِمۡۚ كَذَٰلِكَ يَضۡرِبُ ٱللَّهُ لِلنَّاسِ أَمۡثَٰلَهُمۡ
Yeh is liye ke kufr karne walon ne baatil (falsehood) ki pairwi ki aur imaan lane walon ne us haqq ki pairwi ki jo unke Rubb ki taraf se aaya hai. Is tarhaan Allah logon ko unki theek theek haisiyat bataye deta hai
Surah Muhammad, Verse 3
فَإِذَا لَقِيتُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَضَرۡبَ ٱلرِّقَابِ حَتَّىٰٓ إِذَآ أَثۡخَنتُمُوهُمۡ فَشُدُّواْ ٱلۡوَثَاقَ فَإِمَّا مَنَّۢا بَعۡدُ وَإِمَّا فِدَآءً حَتَّىٰ تَضَعَ ٱلۡحَرۡبُ أَوۡزَارَهَاۚ ذَٰلِكَۖ وَلَوۡ يَشَآءُ ٱللَّهُ لَٱنتَصَرَ مِنۡهُمۡ وَلَٰكِن لِّيَبۡلُوَاْ بَعۡضَكُم بِبَعۡضٖۗ وَٱلَّذِينَ قُتِلُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَلَن يُضِلَّ أَعۡمَٰلَهُمۡ
Pas jab in kafiron se tumhari muth-bhaid (battle) ho to pehla kaam gardanein (necks) maarna hai, yahan tak ke jab tum unko acchi tarah kuchal do tab qaidiyon (captives) ko mazboot baandho. Iske baad (tumhein ikhtiyar hai) ehsan karo ya fidiye (ransom) ka muaamla karlo, taa-aanke ladayi apne hatiyar daal de. Yeh hai tumhare karne ka kaam. Allah chahta to khud hi unse nimat leta, magar (yeh tareeqa us ne is liye ikhtiyar kiya hai) taa-ke tum logon ko ek dusre ke zariye se aazmaye aur jo log Allah ki raah mein maarey jayenge Allah unke aamal ko hargiz zaya na karega
Surah Muhammad, Verse 4
سَيَهۡدِيهِمۡ وَيُصۡلِحُ بَالَهُمۡ
Woh unki rehnumayi farmayega, unka haal durust kardega
Surah Muhammad, Verse 5
وَيُدۡخِلُهُمُ ٱلۡجَنَّةَ عَرَّفَهَا لَهُمۡ
Aur unko us jannat mein daakhil karega jissey woh unko waqif kara chuka hai
Surah Muhammad, Verse 6
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِن تَنصُرُواْ ٱللَّهَ يَنصُرۡكُمۡ وَيُثَبِّتۡ أَقۡدَامَكُمۡ
Aey logon jo imaan laye ho, agar tum Allah ki madad karoge to woh tumhari madad karega aur tumhare qadam mazboot jamaa dega
Surah Muhammad, Verse 7
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَتَعۡسٗا لَّهُمۡ وَأَضَلَّ أَعۡمَٰلَهُمۡ
Rahe woh log jinhon ne kufr kiya hai, to unke liye halakat hai aur Allah ne unke aamal ko bhatka diya hai
Surah Muhammad, Verse 8
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَرِهُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأَحۡبَطَ أَعۡمَٰلَهُمۡ
Kyunke unhon ne us cheez ko napasand kiya jisey Allah ne naazil kiya hai, lihaza Allah ne unke aamal zaya (waste) kardiye
Surah Muhammad, Verse 9
۞أَفَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۖ دَمَّرَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡۖ وَلِلۡكَٰفِرِينَ أَمۡثَٰلُهَا
Kya woh zameen mein chale phire na thay ke un logon ka anjaam dekhte jo unse pehle guzar chuke hain? Allah ne unka sab kuch unpar ulat diya, aur aise hi nataij in kaafiron ke liye muqaddar hain
Surah Muhammad, Verse 10
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ مَوۡلَى ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَأَنَّ ٱلۡكَٰفِرِينَ لَا مَوۡلَىٰ لَهُمۡ
Yeh is liye ke imaan laane walon ka haami o nasir (Protector) Allah hai aur kaafiron ka haami o nasir (Protector) koi nahin
Surah Muhammad, Verse 11
إِنَّ ٱللَّهَ يُدۡخِلُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يَتَمَتَّعُونَ وَيَأۡكُلُونَ كَمَا تَأۡكُلُ ٱلۡأَنۡعَٰمُ وَٱلنَّارُ مَثۡوٗى لَّهُمۡ
Iman laney walon aur neik amal karne walon ko Allah un jannaton mein daakhil karega jinke nichey nehrein behti hain, aur kufr karne waale bas duniya ki chandh roza zindagi ke mazey loot rahey hain, janwaron ki tarah kha pee rahey hain, aur unka aakhri thikana jahannum hai
Surah Muhammad, Verse 12
وَكَأَيِّن مِّن قَرۡيَةٍ هِيَ أَشَدُّ قُوَّةٗ مِّن قَرۡيَتِكَ ٱلَّتِيٓ أَخۡرَجَتۡكَ أَهۡلَكۡنَٰهُمۡ فَلَا نَاصِرَ لَهُمۡ
Aey Nabi (s.a.s) kitni hi bastiyan aisi guzar chuki hain jo tumhare us basti se bahut zyada zoarawar thin jisne tumhein nikal diya hai? Unhein humne is tarhaan halaak kardiya ke koi unka bachane wala na tha
Surah Muhammad, Verse 13
أَفَمَن كَانَ عَلَىٰ بَيِّنَةٖ مِّن رَّبِّهِۦ كَمَن زُيِّنَ لَهُۥ سُوٓءُ عَمَلِهِۦ وَٱتَّبَعُوٓاْ أَهۡوَآءَهُم
Bhala kahin aisa ho sakta hai ke jo apne Rubb ki taraf se ek saaf o sareeh hidayat par ho, woh un logon ki tarah ho jaye jinke liye unka bura amal khushnuma bana diya gaya hai aur woh apni khwahishat ke pairo ban gaye hain
Surah Muhammad, Verse 14
مَّثَلُ ٱلۡجَنَّةِ ٱلَّتِي وُعِدَ ٱلۡمُتَّقُونَۖ فِيهَآ أَنۡهَٰرٞ مِّن مَّآءٍ غَيۡرِ ءَاسِنٖ وَأَنۡهَٰرٞ مِّن لَّبَنٖ لَّمۡ يَتَغَيَّرۡ طَعۡمُهُۥ وَأَنۡهَٰرٞ مِّنۡ خَمۡرٖ لَّذَّةٖ لِّلشَّـٰرِبِينَ وَأَنۡهَٰرٞ مِّنۡ عَسَلٖ مُّصَفّٗىۖ وَلَهُمۡ فِيهَا مِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِ وَمَغۡفِرَةٞ مِّن رَّبِّهِمۡۖ كَمَنۡ هُوَ خَٰلِدٞ فِي ٱلنَّارِ وَسُقُواْ مَآءً حَمِيمٗا فَقَطَّعَ أَمۡعَآءَهُمۡ
Parhezgar-on ke liye jis jannat ka waada kiya gaya hai uski shaan to yeh hai ke usmein nehrein beh rahi hongi nithre (incorruptible /unpolluted) huye pani ki, nehrein beh rahi hongi aisey doodh ki jiske mazay(taste) mein zara farq na aaya hoga, nehrein beh rahi hongi aisi sharaab ki jo peene walon ke liye lazeez (delicious) hongi, nehrein beh rahi hongi saaf shafaaf shehad (honey) ki. Usmein unke liye har taraah ke phal hongay aur unke Rubb ki taraf se bakshish. (kya woh shaks jiske hissey mein yeh jannat aane wali hai) un logon ki taraah ho sakta hai jo jahannam mein hamesha rahenge aur jinhein aisa garam(hot) pani pilaya jayega jo unke aantein (bowels) tak kaat dega
Surah Muhammad, Verse 15
وَمِنۡهُم مَّن يَسۡتَمِعُ إِلَيۡكَ حَتَّىٰٓ إِذَا خَرَجُواْ مِنۡ عِندِكَ قَالُواْ لِلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ مَاذَا قَالَ ءَانِفًاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ طَبَعَ ٱللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ وَٱتَّبَعُوٓاْ أَهۡوَآءَهُمۡ
In mein se kuch log aise hain jo kaan laga kar tumhari baat sunte hain aur phir jab tumhare paas se nikalte hain un logon se jinhein ilm ki niyamat bakshi gayi hai puchte hain ke abhi abhi inhon ne kya kaha tha?yeh woh log hain jinke dilon par Allah ne thappa (seal) laga diya hai aur yeh apni apni khwaishat ke pairo bane huey hain
Surah Muhammad, Verse 16
وَٱلَّذِينَ ٱهۡتَدَوۡاْ زَادَهُمۡ هُدٗى وَءَاتَىٰهُمۡ تَقۡوَىٰهُمۡ
Rahe woh log jinhon ne hidayat payi hai, Allah unko aur zyada hidayat deta hai aur unhein unke hisse ka taqwa ata farmata hai
Surah Muhammad, Verse 17
فَهَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا ٱلسَّاعَةَ أَن تَأۡتِيَهُم بَغۡتَةٗۖ فَقَدۡ جَآءَ أَشۡرَاطُهَاۚ فَأَنَّىٰ لَهُمۡ إِذَا جَآءَتۡهُمۡ ذِكۡرَىٰهُمۡ
Ab kya yeh log bas qayamat hi ke muntazir hain ke woh achanak inpar aa jaye? Uski alamaat to aa chuki hain jab woh khud aa jayegi to inke liye nasihat kabool karne ka kaunsa mauqa baaqi reh jayega
Surah Muhammad, Verse 18
فَٱعۡلَمۡ أَنَّهُۥ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا ٱللَّهُ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لِذَنۢبِكَ وَلِلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مُتَقَلَّبَكُمۡ وَمَثۡوَىٰكُمۡ
Pas aey Nabi, khoob jaan lo ke Allah ke siwa koi ibadat ka mustahiq nahin hai, aur maafi maango apne kasoor ke liye bhi aur momin mardon aur auraton ke liye bhi. Allah tumhari sargarmiyon ko bhi jaanta hai aur tumhare thikane se bhi waqif hai
Surah Muhammad, Verse 19
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَوۡلَا نُزِّلَتۡ سُورَةٞۖ فَإِذَآ أُنزِلَتۡ سُورَةٞ مُّحۡكَمَةٞ وَذُكِرَ فِيهَا ٱلۡقِتَالُ رَأَيۡتَ ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ يَنظُرُونَ إِلَيۡكَ نَظَرَ ٱلۡمَغۡشِيِّ عَلَيۡهِ مِنَ ٱلۡمَوۡتِۖ فَأَوۡلَىٰ لَهُمۡ
Jo log iman laye hain woh keh rahe thay ke koi surat kyun nahin nazil ki jaati (jis mein jung ka hukum diya jaye) magar jab ek mohkam surat nazil kardi gayi jismein jung ka zikr tha to tumne dekha ke jinke dilon mein bimari thi woh tumhari taraf is tarah dekh rahey hain jaise kisi par maut chaa gayi ho. Afsos unke haal par
Surah Muhammad, Verse 20
طَاعَةٞ وَقَوۡلٞ مَّعۡرُوفٞۚ فَإِذَا عَزَمَ ٱلۡأَمۡرُ فَلَوۡ صَدَقُواْ ٱللَّهَ لَكَانَ خَيۡرٗا لَّهُمۡ
(Unki zubaan par hai) itaat ka ikrar aur acchi acchi batein. Magar jab qataii hukum de diya gaya us waqt woh Allah se apne ahad mein sacche nikalte to unhi ke liye accha tha
Surah Muhammad, Verse 21
فَهَلۡ عَسَيۡتُمۡ إِن تَوَلَّيۡتُمۡ أَن تُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَتُقَطِّعُوٓاْ أَرۡحَامَكُمۡ
Ab kya tum logon se iske siwa kuch aur tawaqqu ki ja sakti hai ke agar tum ulte mooh phir gaye to zameen mein phir fasad barpa karoge aur aapas mein ek dusre ke galay (throats) kaatoge
Surah Muhammad, Verse 22
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَعَنَهُمُ ٱللَّهُ فَأَصَمَّهُمۡ وَأَعۡمَىٰٓ أَبۡصَٰرَهُمۡ
Yeh log hain jinpar Allah ne laanat ki aur inko andha (blind) aur behra bana diya
Surah Muhammad, Verse 23
أَفَلَا يَتَدَبَّرُونَ ٱلۡقُرۡءَانَ أَمۡ عَلَىٰ قُلُوبٍ أَقۡفَالُهَآ
Kya un logon ne Quran par gaur nahin kiya, ya dilon par unke qufal (locks) chade huey hain
Surah Muhammad, Verse 24
إِنَّ ٱلَّذِينَ ٱرۡتَدُّواْ عَلَىٰٓ أَدۡبَٰرِهِم مِّنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ ٱلۡهُدَى ٱلشَّيۡطَٰنُ سَوَّلَ لَهُمۡ وَأَمۡلَىٰ لَهُمۡ
Haqeeqat yeh hai ke jo log hidayat wazeh ho jaane ke baad ussey phir gaye unke liye shaytan ne is rawish ko sahal bana diya hai aur jhuti tawaqquat ka silsila unke liye daraaz kar rakkha hai
Surah Muhammad, Verse 25
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَالُواْ لِلَّذِينَ كَرِهُواْ مَا نَزَّلَ ٱللَّهُ سَنُطِيعُكُمۡ فِي بَعۡضِ ٱلۡأَمۡرِۖ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ إِسۡرَارَهُمۡ
Is liye unhon ne Allah ke nazil karda deen ko napasand karne walon se kehdiya ke baaz maamlaat mein hum tumhari manenge.Allah unki yeh khufiya baatein khoob jaanta hai
Surah Muhammad, Verse 26
فَكَيۡفَ إِذَا تَوَفَّتۡهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَضۡرِبُونَ وُجُوهَهُمۡ وَأَدۡبَٰرَهُمۡ
Phir us waqt kya haal hoga jab farishtey inki roohein qabz karenge aur inke mooh aur peethon (backs) par maarte huey inhein le jayenge
Surah Muhammad, Verse 27
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمُ ٱتَّبَعُواْ مَآ أَسۡخَطَ ٱللَّهَ وَكَرِهُواْ رِضۡوَٰنَهُۥ فَأَحۡبَطَ أَعۡمَٰلَهُمۡ
Yeh isi liye to hoga ke inhon ne us tariqe ki pairwi ki jo Allah ko naraaz karne wala hai aur us ki raza ka raasta ikhtiyar karna pasand na kiya. Isi bina par usne inke sab aamaal zaya kar diye
Surah Muhammad, Verse 28
أَمۡ حَسِبَ ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٌ أَن لَّن يُخۡرِجَ ٱللَّهُ أَضۡغَٰنَهُمۡ
Kya woh log jinke dilon mein bimari hai yeh samjhe baithe hain ke Allah unke dilon ke khot (keena) zahir nahin karega
Surah Muhammad, Verse 29
وَلَوۡ نَشَآءُ لَأَرَيۡنَٰكَهُمۡ فَلَعَرَفۡتَهُم بِسِيمَٰهُمۡۚ وَلَتَعۡرِفَنَّهُمۡ فِي لَحۡنِ ٱلۡقَوۡلِۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ أَعۡمَٰلَكُمۡ
Hum chahein to unhein tumko aankhon se dikha dein aur unke chehron se tum unko pehchaan lo magar unke andaaz e kalaam se to tum unko jaan hi logay.Allah tum sab ke aamal se khoob waqif hai
Surah Muhammad, Verse 30
وَلَنَبۡلُوَنَّكُمۡ حَتَّىٰ نَعۡلَمَ ٱلۡمُجَٰهِدِينَ مِنكُمۡ وَٱلصَّـٰبِرِينَ وَنَبۡلُوَاْ أَخۡبَارَكُمۡ
Hum zaroor tum logon ko aazmaish mein dalenge taake tumhare halaat ki jaanch karein aur dekh lein ke tum mein mujahid aur sabit qadam kaun hain
Surah Muhammad, Verse 31
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ وَشَآقُّواْ ٱلرَّسُولَ مِنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ ٱلۡهُدَىٰ لَن يَضُرُّواْ ٱللَّهَ شَيۡـٔٗا وَسَيُحۡبِطُ أَعۡمَٰلَهُمۡ
Jin logon ne kufr kiya aur Allah ki raah se roaka aur Rasool se jhagda kiya jabke unpar raah e raast wazeh ho chuki thi, dar haqeeqat woh Allah ka koi nuksan bhi nahin kar sakte, balke Allah hi unka sab kiya karaya gaarat (null / fruitless) kardega
Surah Muhammad, Verse 32
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَ وَلَا تُبۡطِلُوٓاْ أَعۡمَٰلَكُمۡ
Aey logon jo iman laye ho, Tum Allah ki itaat karo aur Rasool ki itaat karo aur apne aamal ko barbaad na karlo
Surah Muhammad, Verse 33
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ ثُمَّ مَاتُواْ وَهُمۡ كُفَّارٞ فَلَن يَغۡفِرَ ٱللَّهُ لَهُمۡ
Kufr karne walon aur raah e khuda se roakne walon aur marte dum tak kufr par jamey rehne walon ko to Allah hargiz maaf na karega
Surah Muhammad, Verse 34
فَلَا تَهِنُواْ وَتَدۡعُوٓاْ إِلَى ٱلسَّلۡمِ وَأَنتُمُ ٱلۡأَعۡلَوۡنَ وَٱللَّهُ مَعَكُمۡ وَلَن يَتِرَكُمۡ أَعۡمَٰلَكُمۡ
Pas tum bodeyh (faint-hearted) na bano aur sulah ki darkhwast na karo. Tum hi ghalib rehne wale ho. Allah tumhare saath hai aur tumhare aamal ko woh hargiz zaya na karega
Surah Muhammad, Verse 35
إِنَّمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا لَعِبٞ وَلَهۡوٞۚ وَإِن تُؤۡمِنُواْ وَتَتَّقُواْ يُؤۡتِكُمۡ أُجُورَكُمۡ وَلَا يَسۡـَٔلۡكُمۡ أَمۡوَٰلَكُمۡ
Yeh duniya ki zindagi to ek khel aur tamasha hai agar tum imaan rakkho aur taqwe ki rawish par chalte raho to Allah tumhare ajar tumko dega aur woh tumhare maal tumse na maange ga
Surah Muhammad, Verse 36
إِن يَسۡـَٔلۡكُمُوهَا فَيُحۡفِكُمۡ تَبۡخَلُواْ وَيُخۡرِجۡ أَضۡغَٰنَكُمۡ
Agar kahin woh tumhare maal tumse maang le aur sab ke sab tumse talab karle to tum bukhal (kanjoosi /niggardly /miserly) karoge aur woh tumhare khot (failings) ubhar layega
Surah Muhammad, Verse 37
هَـٰٓأَنتُمۡ هَـٰٓؤُلَآءِ تُدۡعَوۡنَ لِتُنفِقُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَمِنكُم مَّن يَبۡخَلُۖ وَمَن يَبۡخَلۡ فَإِنَّمَا يَبۡخَلُ عَن نَّفۡسِهِۦۚ وَٱللَّهُ ٱلۡغَنِيُّ وَأَنتُمُ ٱلۡفُقَرَآءُۚ وَإِن تَتَوَلَّوۡاْ يَسۡتَبۡدِلۡ قَوۡمًا غَيۡرَكُمۡ ثُمَّ لَا يَكُونُوٓاْ أَمۡثَٰلَكُم
Dekho, tum logon ko dawat di jaa rahi hai ke Allah ki raah mein maal kharch karo ispar tum mein se kuch log hain jo bukhal (niggardly / kanjoosi) kar rahe hain. Halaanke jo bukhal (niggardly) karta hai woh dar haqeeqat apne aap hi se bukhal kar raha hai. Allah to Gani (all-Sufficient) hai, tumhi uske mohtaj ho. Agar tum mooh moadoge to Allah tumhari jagah kisi aur qaum ko le aayega aur woh tum jaise na hongey
Surah Muhammad, Verse 38