Surah Al-Fath - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
إِنَّا فَتَحۡنَا لَكَ فَتۡحٗا مُّبِينٗا
Aey Nabi, humne tumko khuli fatah ata kardi
Surah Al-Fath, Verse 1
لِّيَغۡفِرَ لَكَ ٱللَّهُ مَا تَقَدَّمَ مِن ذَنۢبِكَ وَمَا تَأَخَّرَ وَيُتِمَّ نِعۡمَتَهُۥ عَلَيۡكَ وَيَهۡدِيَكَ صِرَٰطٗا مُّسۡتَقِيمٗا
Taa-ke Allah tumhari agli pichli har kotahi se dargurzar farmaye, aur tumpar apni niyamat ki takmeel(poori) karde, aur tumhein seedha rasta dikhaye
Surah Al-Fath, Verse 2
وَيَنصُرَكَ ٱللَّهُ نَصۡرًا عَزِيزًا
Aur tumko zabardast nusrat bakhshe
Surah Al-Fath, Verse 3
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ ٱلسَّكِينَةَ فِي قُلُوبِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ لِيَزۡدَادُوٓاْ إِيمَٰنٗا مَّعَ إِيمَٰنِهِمۡۗ وَلِلَّهِ جُنُودُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Wahi hai jisne momino ke dilon mein sakinat ((Tranquility) nazil farmayi taa-ke apne imaan ke saath woh ek iman aur bada lein. Zameen aur aasmano ke sab lashkar Allah ke kabza-e-qudrat mein hain, aur woh Aleem o Hakeem hai
Surah Al-Fath, Verse 4
لِّيُدۡخِلَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَا وَيُكَفِّرَ عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عِندَ ٱللَّهِ فَوۡزًا عَظِيمٗا
(Usne yeh kaam is liye kiya hai) taa-ke momin mardon aur auraton ko hamesha rehne ke liye aisi jannaton mein daakhil farmaye jinke nichey nehrein beh rahi hongi aur unki buraiyan unse dur karde. Allah ke nazdeek yeh badi kamiyabi hai
Surah Al-Fath, Verse 5
وَيُعَذِّبَ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَٱلۡمُنَٰفِقَٰتِ وَٱلۡمُشۡرِكِينَ وَٱلۡمُشۡرِكَٰتِ ٱلظَّآنِّينَ بِٱللَّهِ ظَنَّ ٱلسَّوۡءِۚ عَلَيۡهِمۡ دَآئِرَةُ ٱلسَّوۡءِۖ وَغَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ وَلَعَنَهُمۡ وَأَعَدَّ لَهُمۡ جَهَنَّمَۖ وَسَآءَتۡ مَصِيرٗا
Aur un munafiq mardon aur auraton aur mushrik mardon aur auraton ko saza de jo Allah ke mutaliq burey gumaan rakhte hain. Burayi ke phair mein woh khud hi aa gaye hain, Allah ka gazab unpar hua aur usne unpar laanat ki aur unke liye jahannum muhayya kardi jo bahut hi bura thikana hai
Surah Al-Fath, Verse 6
وَلِلَّهِ جُنُودُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمًا
Zameen aur aasamano ke lashkar Allah hi ke qabza-e-qudrat mein hain aur woh zabardast aur hakeem(wise) hai
Surah Al-Fath, Verse 7
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَٰكَ شَٰهِدٗا وَمُبَشِّرٗا وَنَذِيرٗا
Aey Nabi hunme tumko shahadat(witness) dene wala basharat(good news) dene wala aur khabardar kardene wala bana kar bheja hai
Surah Al-Fath, Verse 8
لِّتُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَتُعَزِّرُوهُ وَتُوَقِّرُوهُۚ وَتُسَبِّحُوهُ بُكۡرَةٗ وَأَصِيلًا
Taa-ke aey logon , tum Allah aur uske Rasool par imaan lao aur uska saath do, uski taazim-o-tauqeer(support him, and revere ) karo aur subah o shaam uski tasbeeh karte raho
Surah Al-Fath, Verse 9
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُبَايِعُونَكَ إِنَّمَا يُبَايِعُونَ ٱللَّهَ يَدُ ٱللَّهِ فَوۡقَ أَيۡدِيهِمۡۚ فَمَن نَّكَثَ فَإِنَّمَا يَنكُثُ عَلَىٰ نَفۡسِهِۦۖ وَمَنۡ أَوۡفَىٰ بِمَا عَٰهَدَ عَلَيۡهُ ٱللَّهَ فَسَيُؤۡتِيهِ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Aey Nabi, jo log tumse bayt kar rahe thay(pledge allegiance to you) woh dar asal Allah se bayt kar rahey thay. Unke haath par Allah ka haath tha. Ab jo is ahad ko todeyga uski ahad shikani ka wabal uski apni hi zaat par hoga, aur jo us ahad ko wafa karega jo usne Allah se kiya hai, Allah ankqareeb usko bada ajar ata farmayega
Surah Al-Fath, Verse 10
سَيَقُولُ لَكَ ٱلۡمُخَلَّفُونَ مِنَ ٱلۡأَعۡرَابِ شَغَلَتۡنَآ أَمۡوَٰلُنَا وَأَهۡلُونَا فَٱسۡتَغۡفِرۡ لَنَاۚ يَقُولُونَ بِأَلۡسِنَتِهِم مَّا لَيۡسَ فِي قُلُوبِهِمۡۚ قُلۡ فَمَن يَمۡلِكُ لَكُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔا إِنۡ أَرَادَ بِكُمۡ ضَرًّا أَوۡ أَرَادَ بِكُمۡ نَفۡعَۢاۚ بَلۡ كَانَ ٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرَۢا
Aey Nabi, badwi (bedouns) arabon mein se jo log pichey chodh diye gaye thay ab woh aa kar zaroor tumse kahenge ke humein apne amwal aur baal bacchon ki fikr ne mashgul kar rakkha tha. Aap hamare liye magfirat ki dua famayein. Yeh log apni zubaano se woh baatein kehte hain jo unke dilon mein nahin hoti. Unse kehna “acha, yahi baat hai to kaun tumhare maamle mein Allah ke faisle ko rok dene ka kuch bhi ikhtiyar rakhta hai agar woh tumhein koi nuksan pahunchana chahey ya nafa bakshna chahe? Tumhare aamal se to Allah hi ba-khabar hai
Surah Al-Fath, Verse 11
بَلۡ ظَنَنتُمۡ أَن لَّن يَنقَلِبَ ٱلرَّسُولُ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ إِلَىٰٓ أَهۡلِيهِمۡ أَبَدٗا وَزُيِّنَ ذَٰلِكَ فِي قُلُوبِكُمۡ وَظَنَنتُمۡ ظَنَّ ٱلسَّوۡءِ وَكُنتُمۡ قَوۡمَۢا بُورٗا
(Magar asal baat woh nahin hai jo tum keh rahey ho) balke tumne yun samjha ke Rasool aur mominin apne ghar walon mein hargiz palat kar na aa sakenge aur yeh khayal tumhare dilon ko bahut bhala laga. Aur tumne bahut burey guman kiye aur tum sakht badh batin (immensely evil) log ho”
Surah Al-Fath, Verse 12
وَمَن لَّمۡ يُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ فَإِنَّآ أَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ سَعِيرٗا
Allah aur uske Rasool par jo log imaan na rakhte hon aisey kaafiron ke liye humne bhadakti aag muhaiyya kar rakkhi hai
Surah Al-Fath, Verse 13
وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ يَغۡفِرُ لِمَن يَشَآءُ وَيُعَذِّبُ مَن يَشَآءُۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Aasmano aur zameen ki badshahi ka maalik Allah hi hai. Jisey chahe maaf karey aur jisey chahe saza de. Aur woh Gafoor o Raheem hai
Surah Al-Fath, Verse 14
سَيَقُولُ ٱلۡمُخَلَّفُونَ إِذَا ٱنطَلَقۡتُمۡ إِلَىٰ مَغَانِمَ لِتَأۡخُذُوهَا ذَرُونَا نَتَّبِعۡكُمۡۖ يُرِيدُونَ أَن يُبَدِّلُواْ كَلَٰمَ ٱللَّهِۚ قُل لَّن تَتَّبِعُونَا كَذَٰلِكُمۡ قَالَ ٱللَّهُ مِن قَبۡلُۖ فَسَيَقُولُونَ بَلۡ تَحۡسُدُونَنَاۚ بَلۡ كَانُواْ لَا يَفۡقَهُونَ إِلَّا قَلِيلٗا
Jab tum maal-e-ganimat hasil karne ke liye jane lagoge to yeh pichey chodey jane waley log tumse zaroor kahenge ke humein bhi apne saath chalne do. Yeh chahte hain ke Allah ke farmaan ko badal dein. Inse saaf keh dena ke “Tum hargiz hamare saath nahin chal sakte. Allah pehle hi yeh farma chuka hai” yeh kahenge ke “nahin, balke tumlog humse hasad kar rahey ho” (halanke baat hasad ki nahin hai) balke yeh log sahih baat ko kam hi samajhte hain
Surah Al-Fath, Verse 15
قُل لِّلۡمُخَلَّفِينَ مِنَ ٱلۡأَعۡرَابِ سَتُدۡعَوۡنَ إِلَىٰ قَوۡمٍ أُوْلِي بَأۡسٖ شَدِيدٖ تُقَٰتِلُونَهُمۡ أَوۡ يُسۡلِمُونَۖ فَإِن تُطِيعُواْ يُؤۡتِكُمُ ٱللَّهُ أَجۡرًا حَسَنٗاۖ وَإِن تَتَوَلَّوۡاْ كَمَا تَوَلَّيۡتُم مِّن قَبۡلُ يُعَذِّبۡكُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا
In pichey chodey janey waley badwi(bedouin) arabon se kehna ke “ankareeb tumhein aisey logon se ladne ke liye bulaya jayega jo badey zoarawar hain. Tumko unse jung karni hogi ya woh mutii (surrender) ho jayenge. Us waqt agar tumne hukum e jihad ki itaat ki to Allah tumhein accha ajar dega. Aur agar tum phir usi tarah mooh moad gaye jis tarah pehle moad chuke ho to Allah tumko dardnaak saza dega
Surah Al-Fath, Verse 16
لَّيۡسَ عَلَى ٱلۡأَعۡمَىٰ حَرَجٞ وَلَا عَلَى ٱلۡأَعۡرَجِ حَرَجٞ وَلَا عَلَى ٱلۡمَرِيضِ حَرَجٞۗ وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ يُدۡخِلۡهُ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ وَمَن يَتَوَلَّ يُعَذِّبۡهُ عَذَابًا أَلِيمٗا
Agar andha aur langda aur mareez jihad ke liye na aaye to koi haraj nahin. Jo koi Allah aur uske Rasool ki itaat karega Allah usey un jannaton mein dakhil karega jinke nichey nehrein beh rahi hongi, aur jo mooh pherega usey woh dardnaak azaab dega”
Surah Al-Fath, Verse 17
۞لَّقَدۡ رَضِيَ ٱللَّهُ عَنِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ إِذۡ يُبَايِعُونَكَ تَحۡتَ ٱلشَّجَرَةِ فَعَلِمَ مَا فِي قُلُوبِهِمۡ فَأَنزَلَ ٱلسَّكِينَةَ عَلَيۡهِمۡ وَأَثَٰبَهُمۡ فَتۡحٗا قَرِيبٗا
Allah momino se khush ho gaya jab woh darakht ke nichey tumse bayt (swore allegiance) kar rahey thay. Unke dilon ka haal usko maloom tha. Is liye usne unpar sakinat(inner peace) nazil farmayi, unko inaam mein qareebi fatah bakshi
Surah Al-Fath, Verse 18
وَمَغَانِمَ كَثِيرَةٗ يَأۡخُذُونَهَاۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمٗا
Aur bahut sa maal-e-ganimat unhein ata kar diya jisey woh (anqareeb) hasil karenge. Allah zabardast aur hakeem(wise) hai
Surah Al-Fath, Verse 19
وَعَدَكُمُ ٱللَّهُ مَغَانِمَ كَثِيرَةٗ تَأۡخُذُونَهَا فَعَجَّلَ لَكُمۡ هَٰذِهِۦ وَكَفَّ أَيۡدِيَ ٱلنَّاسِ عَنكُمۡ وَلِتَكُونَ ءَايَةٗ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ وَيَهۡدِيَكُمۡ صِرَٰطٗا مُّسۡتَقِيمٗا
Allah tumse ba-kasrat amwal-e-ganimat ka wada karta hai jinhein tum hasil karoge. Fauri taur par to yeh fatah usne tumhein ata kardi aur logon ke haath tumhare khilaf uthne se roak diye, taa-ke yeh momino ke liye ek nishani ban jaye aur Allah seedhe raaste ki taraf tumhein hidayat bakshe
Surah Al-Fath, Verse 20
وَأُخۡرَىٰ لَمۡ تَقۡدِرُواْ عَلَيۡهَا قَدۡ أَحَاطَ ٱللَّهُ بِهَاۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٗا
Iske alawa dusre aur ganimaton ka bhi woh tumse waada karta hai jinpar tum abhi tak qadir nahin huey ho aur Allah ne inko gher rakkha hai, Allah har cheez par qadir hai
Surah Al-Fath, Verse 21
وَلَوۡ قَٰتَلَكُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوَلَّوُاْ ٱلۡأَدۡبَٰرَ ثُمَّ لَا يَجِدُونَ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرٗا
Yeh kafir log agar is waqt tumse ladd gaye hotey to yaqeenan peeth pher jaatey aur koi haami o madadgaar na paate
Surah Al-Fath, Verse 22
سُنَّةَ ٱللَّهِ ٱلَّتِي قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلُۖ وَلَن تَجِدَ لِسُنَّةِ ٱللَّهِ تَبۡدِيلٗا
Yeh Allah ki sunnat hai jo pehle se chali aa rahi hai aur tum Allah ki sunnat mein koi tabdili na paogey
Surah Al-Fath, Verse 23
وَهُوَ ٱلَّذِي كَفَّ أَيۡدِيَهُمۡ عَنكُمۡ وَأَيۡدِيَكُمۡ عَنۡهُم بِبَطۡنِ مَكَّةَ مِنۢ بَعۡدِ أَنۡ أَظۡفَرَكُمۡ عَلَيۡهِمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرًا
Wahi hai jisne Makkah ki wadi mein unke haath tumse aur tumhare haath unse roak diye, halanke woh unpar tumhein galaba ata kar chuka tha aur jo kuch tum kar rahey thay Allah usey dekh raha tha
Surah Al-Fath, Verse 24
هُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّوكُمۡ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ وَٱلۡهَدۡيَ مَعۡكُوفًا أَن يَبۡلُغَ مَحِلَّهُۥۚ وَلَوۡلَا رِجَالٞ مُّؤۡمِنُونَ وَنِسَآءٞ مُّؤۡمِنَٰتٞ لَّمۡ تَعۡلَمُوهُمۡ أَن تَطَـُٔوهُمۡ فَتُصِيبَكُم مِّنۡهُم مَّعَرَّةُۢ بِغَيۡرِ عِلۡمٖۖ لِّيُدۡخِلَ ٱللَّهُ فِي رَحۡمَتِهِۦ مَن يَشَآءُۚ لَوۡ تَزَيَّلُواْ لَعَذَّبۡنَا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ عَذَابًا أَلِيمًا
Whai log to hain jinhon ne kufr kiya aur tumko masjid e haram se roka aur haadi(qurbani) ke Unton (camels) ko unki qurbani ki jagah na pahunchne diya. Agar (Makkah mein) aisey momin Mard o aurat maujood na hotay jinhein tum nahin jante, aur yeh khatra na hota ke nadanastagi mein tum unhein pamaal kardoge aur ussey tumpar haraf aayega (to jung na roaki jati. roaki woh is liye gayi) taa-ke Allah apni rehmat mein jisko chahe daakhil karle. Woh momin alag ho gaye hotey to (ehle Makkah mein se) jo kafir thay unko hum zaroor sakht saza dete
Surah Al-Fath, Verse 25
إِذۡ جَعَلَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلۡحَمِيَّةَ حَمِيَّةَ ٱلۡجَٰهِلِيَّةِ فَأَنزَلَ ٱللَّهُ سَكِينَتَهُۥ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ وَعَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَأَلۡزَمَهُمۡ كَلِمَةَ ٱلتَّقۡوَىٰ وَكَانُوٓاْ أَحَقَّ بِهَا وَأَهۡلَهَاۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٗا
(Yahi wajah hai ke) jab in kafiron ne apne dilon mei jaahilana hamiyat bitha li to Allah ne apne Rasool aur momino par sakinat nazil farmayi aur momino ko taqwa ki baat ka paband rakkha, ke wahi uske zyada haqdar aur uske ahel thay. Allah har cheez ka ilm rakhta hai
Surah Al-Fath, Verse 26
لَّقَدۡ صَدَقَ ٱللَّهُ رَسُولَهُ ٱلرُّءۡيَا بِٱلۡحَقِّۖ لَتَدۡخُلُنَّ ٱلۡمَسۡجِدَ ٱلۡحَرَامَ إِن شَآءَ ٱللَّهُ ءَامِنِينَ مُحَلِّقِينَ رُءُوسَكُمۡ وَمُقَصِّرِينَ لَا تَخَافُونَۖ فَعَلِمَ مَا لَمۡ تَعۡلَمُواْ فَجَعَلَ مِن دُونِ ذَٰلِكَ فَتۡحٗا قَرِيبًا
Fil waqeh Allah ne apne Rasool ko saccha khwab dikhaya tha jo theek theek haqq ke mutabiq tha. Insha Allah tum zaroor masjid e haram mein purey aman ke saath dakhil hongey, apne sar mundwa-ogey (shave) aur baal tarashwa-ogey aur tumhein koi khauff na hoga. Woh us baat ko janta tha jisey tum na jante thay is liye woh khwab pura honay se pehle usne yeh qareebi fatah tumko ata farmadi
Surah Al-Fath, Verse 27
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ رَسُولَهُۥ بِٱلۡهُدَىٰ وَدِينِ ٱلۡحَقِّ لِيُظۡهِرَهُۥ عَلَى ٱلدِّينِ كُلِّهِۦۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدٗا
Woh Allah hi hai jisne apne Rasool ko hidayat aur deen e haqq ke saath bheja hai taa-ke usko purey jins-e-din par gaalib karde (prevail over every religion) aur is haqeeqat par Allah ki gawahi kaafi hai
Surah Al-Fath, Verse 28
مُّحَمَّدٞ رَّسُولُ ٱللَّهِۚ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥٓ أَشِدَّآءُ عَلَى ٱلۡكُفَّارِ رُحَمَآءُ بَيۡنَهُمۡۖ تَرَىٰهُمۡ رُكَّعٗا سُجَّدٗا يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّنَ ٱللَّهِ وَرِضۡوَٰنٗاۖ سِيمَاهُمۡ فِي وُجُوهِهِم مِّنۡ أَثَرِ ٱلسُّجُودِۚ ذَٰلِكَ مَثَلُهُمۡ فِي ٱلتَّوۡرَىٰةِۚ وَمَثَلُهُمۡ فِي ٱلۡإِنجِيلِ كَزَرۡعٍ أَخۡرَجَ شَطۡـَٔهُۥ فَـَٔازَرَهُۥ فَٱسۡتَغۡلَظَ فَٱسۡتَوَىٰ عَلَىٰ سُوقِهِۦ يُعۡجِبُ ٱلزُّرَّاعَ لِيَغِيظَ بِهِمُ ٱلۡكُفَّارَۗ وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ مِنۡهُم مَّغۡفِرَةٗ وَأَجۡرًا عَظِيمَۢا
Muhammad Allah ke Rasool hain, aur jo log unke saath hain woh kuffar par sakht aur aapas mein raheem hain. Tum jab dekhoge unhein ruku va sujood aur Allah ke fazl aur uski khushnudi ki talab mein mashgul paogey. Sujood ke asarat unke chehron par maujood hain jinse woh alag pehchane jatey hain. Yeh hai unki sifat Taurat mein. Aur Injeel mein unki misal yun di gayi hai ke goya ek kheti hai jisne pehle kopal nikali, phir us ko taqviyat di, phir woh gadhrayi, phir apne tanay (stem) par khadi ho gayi. Kaasht (sowers) karne walon ko woh khush karti hai taa-ke kuffar inke phalne phoolne par jalein (enraged). Is giroh ke log jo imaan laye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain Allah ne unse magfirat aur bade ajar ka waada farmaya hai
Surah Al-Fath, Verse 29