Surah Al-Fath Verse 11 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Fathسَيَقُولُ لَكَ ٱلۡمُخَلَّفُونَ مِنَ ٱلۡأَعۡرَابِ شَغَلَتۡنَآ أَمۡوَٰلُنَا وَأَهۡلُونَا فَٱسۡتَغۡفِرۡ لَنَاۚ يَقُولُونَ بِأَلۡسِنَتِهِم مَّا لَيۡسَ فِي قُلُوبِهِمۡۚ قُلۡ فَمَن يَمۡلِكُ لَكُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔا إِنۡ أَرَادَ بِكُمۡ ضَرًّا أَوۡ أَرَادَ بِكُمۡ نَفۡعَۢاۚ بَلۡ كَانَ ٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرَۢا
Aey Nabi, badwi (bedouns) arabon mein se jo log pichey chodh diye gaye thay ab woh aa kar zaroor tumse kahenge ke humein apne amwal aur baal bacchon ki fikr ne mashgul kar rakkha tha. Aap hamare liye magfirat ki dua famayein. Yeh log apni zubaano se woh baatein kehte hain jo unke dilon mein nahin hoti. Unse kehna “acha, yahi baat hai to kaun tumhare maamle mein Allah ke faisle ko rok dene ka kuch bhi ikhtiyar rakhta hai agar woh tumhein koi nuksan pahunchana chahey ya nafa bakshna chahe? Tumhare aamal se to Allah hi ba-khabar hai