Surah Al-Fath Verse 11 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Fathسَيَقُولُ لَكَ ٱلۡمُخَلَّفُونَ مِنَ ٱلۡأَعۡرَابِ شَغَلَتۡنَآ أَمۡوَٰلُنَا وَأَهۡلُونَا فَٱسۡتَغۡفِرۡ لَنَاۚ يَقُولُونَ بِأَلۡسِنَتِهِم مَّا لَيۡسَ فِي قُلُوبِهِمۡۚ قُلۡ فَمَن يَمۡلِكُ لَكُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔا إِنۡ أَرَادَ بِكُمۡ ضَرًّا أَوۡ أَرَادَ بِكُمۡ نَفۡعَۢاۚ بَلۡ كَانَ ٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرَۢا
Dehatiyon mein say jo log peechay chor diyey gaye thay woh abb tujh say kahen gay kay hum apnay maal aur baal bachon mein lagay reh gaye pus aap humaray liye maghfirat talab kijiye. Yeh log apni zabano say woh kehtay hain jo inn kay dilon mein nahi hai. Aap jawab day dijiye kay tumharay liye Allah ki taraf say kissi cheez ka bhi ikhtiyar kon rakhta hai agar woh tumhen nuksan phonchana chahye to ya tumhen koi nafa dena chahye to, bulkay tum jo kuch ker rahey ho uss say Allah khoob ba-khabar hai