Surah Al-Fath Verse 16 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Fathقُل لِّلۡمُخَلَّفِينَ مِنَ ٱلۡأَعۡرَابِ سَتُدۡعَوۡنَ إِلَىٰ قَوۡمٍ أُوْلِي بَأۡسٖ شَدِيدٖ تُقَٰتِلُونَهُمۡ أَوۡ يُسۡلِمُونَۖ فَإِن تُطِيعُواْ يُؤۡتِكُمُ ٱللَّهُ أَجۡرًا حَسَنٗاۖ وَإِن تَتَوَلَّوۡاْ كَمَا تَوَلَّيۡتُم مِّن قَبۡلُ يُعَذِّبۡكُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا
In pichey chodey janey waley badwi(bedouin) arabon se kehna ke “ankareeb tumhein aisey logon se ladne ke liye bulaya jayega jo badey zoarawar hain. Tumko unse jung karni hogi ya woh mutii (surrender) ho jayenge. Us waqt agar tumne hukum e jihad ki itaat ki to Allah tumhein accha ajar dega. Aur agar tum phir usi tarah mooh moad gaye jis tarah pehle moad chuke ho to Allah tumko dardnaak saza dega